Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 20

Parah-Ammann-Khalaq 20

Surat-Namal 27
(Sura-Namal Makka mai Nazil hui, is mai teranway (93) Aayatain hain)


27.60 Bhala batao to? Kay aasamano ko aur zamin ko kiss ney peda kiya? Kiss ney aasman say barish barsaee? Phir uss say haray bharay ba-ronaq baghaat uga diye? Unn baghon kay darakhton ko tum hergiz na uga saktay kiya Allah kay sath aur koi mabood bhi hai? Bulkay yeh log hut jatay hain (seedhi raah say).

27.61 Kiya woh jiss ney zamin ko qarar gaah banaya aur uss kay darmiyan nehren jari kerdin aur uss kay liye pahar banaye aur do samandaron kay darmiyan rok bana di kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai? Bulkay inn mein say aksar kuch jantay hi nahi.

27.62 Bay kus ki pukar ko jab kay woh pukaray kaun qabool ker kay sakhti ko door ker deta hai? Aur tumhen zamin ka khalfa banata hai kiya Allah Taalaa kay sath koi aur mabood hai? Tum boht kum naseehat-o-ibrat hasil kertay ho.

27.63 Kiya woh jo tumhen khushki aur tari ki tareekiyon mein raah dikhata hai aur jo apni rehmat say pehlay hi khushkhabriyan denay wali hawayen chalata hai kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai jinhen yeh shareek kertay hain unn sab say Allah buland-o-bala-tar hai.

27.64 Kiya woh jo makhlooq ki awwal dafa pedaeesh kerta hai phir ussay lotaye ga aur jo tumhen aasman aur zamin say roziyan dey raha hai kiya Allah kay sath koi aur mabood hai keh dijiye kay agar sachay hoto apni daleel lao.

27.65 Keh dijiye kay aasmano walon mein say zamin walon mein say siwaye Allah kay koi ghaib nahi janta unhen to yeh bhi nahi maloom kay kab utha kharay kiye jayen gay?

27.66 Bulkay aakhirat kay baray mein unn ka ilm khatam ho chuka hai bulkay yeh iss ki taraf say shak mein hain. Bulkay yeh iss say andhay hain.

27.67 Kafiron ney kaha kay kiya jab hum mitti ho jayen gay aur humaray baap dada bhi kiya hum phir nikalay jayen gay.

27.68 Hum aur humaray baap dadon ko boht pehlay say yeh waday diye jatay rahey. Kuch nahi yeh to sirf aglon kay afsaney hain.

27.69 Keh dijiye kay zamin mein chal phir ker zara dekho to sahi kay gunehgaron ka kaisa anjam hua?

27.70 Aap inn kay baray mein ghum na keren aur inn kay dao ghaat say tang dil na hon.

27.71 Kehtay hain kay yeh wada kab hai agar sachay ho to batla do.
http://qurantube.blogspot.com/

27.72 Jawab dijiye! kay shayad baaz woh cheezen jin ki tum jaldi macha rahey ho tum say boht hi qareen hogaee hon.

27.73 Yaqeenan aap ka perwerdigar tamam logon per baray hi fazal wala hai lekin aksar log na-shukri kertay hain.

27.74 Be-shak aap ka rab unn cheezon ko bhi janta hai jinhen unn kay seenay chupa rahey hain aur jinhen zahir ker rahey hain.

27.75 Aasman-o-zamin ki koi posheeda cheez bhi aisi nahi jo roshan aur khulli kitab mein na ho.

27.76 Yaqeena yeh quran bani israeel kay samney unn aksar cheezon ka biyan ker raha hai jin mein yeh ikhtilaf kertay hain.

27.77 Aur yeh quran emaan walon kay liye yaqeenan hidayat aur rehmat hai.

27.78 Aap ka rab unn kay darmiyan apnay hukum say sab faislay ker dey ga woh bara hi ghalib aur dana hai.

27.79 Pus aap yaqeenan Allah hi per bharosa rakhiye yaqeenan aap sachay aur khullay deen per hain.

27.80 Be-shak aap murdon ko nahi suna saktay hain aur na behron ko apni pukar suna saktay hain jabkay woh peeth pheray roo gardaan ja rahey hon.

27.81 Aur na aap andhon ko unn ki gumrahee say hata ker rehnumaee ker saktay hain aap to sirf unhen suna saktay hain jo humari aayaton per emaan laye hain phir woh farmanbardaar ho jatay hain.

27.82 Jab unn kay upper azab ka wada sabit hojaye ga hum zamin say unn kay liye aik janwar nikalen gay jo unn say batein kerta hoga kay log humari aayaton per yaqeen nahi kertay thay.
http://qurantube.blogspot.com/

27.83 Aur jiss din her ummat mein say unn logon kay giroh ko jo humari aayaton ko jhutlatay thay gher ghaar ker layen gay phir woh sab kay sab alaga ker diye jayen gay.

27.84 Jab sab kay sab aa phonchen gay to Allah Taalaa farmaye ga kay tum ney meri aayaton ko bawajood yeh kay tumhen unn ka poora ilm na tha kiyon jhutlaya? Aur yeh bhi batlao kay tum kiya kuch kertay rahey?

27.85 Ba-sabab iss kay kay unhon ney zulm kiya tha unn per baat jum jayegi aur woh kuch na bol saken gay.

27.86 Kiya woh dekh nahi rahey hain kay hum ney raat ko iss liye banaya hai kay woh iss mein aaram hasil kerlen aur din ko hum ney dikhlaney wala banaya hai yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishaniyan hain jo emaan-o-yaqeen rakhtay hain.

27.87 Jiss din soor phooka jayega tum sab kay sab aasmanon walay aur zmain walay ghabra uthen gay magar jissay Allah Taalaa chahaye aur saray kay saray aajiz-o-pust ho ker uss kay samney hazir hongay.

27.88 Aur aap paharon ko dekh ker apni jagah jamay huye khayal kertay hain lekin woh bhi badal ki tarah urtay phiren gay yeh hai san’at Allah ki jiss ney her cheez ko mazboot banaya hai jo kuch tum kertay ho uss say woh ba-khabar hai.

27.89 Jo log nek amal layen gay unhen uss say behtar badla milay ga aur woh uss din ki ghabrahat say bey khof hongay.

27.90 Aur jo buraee ley ker aayen gay woh ondhay mun aag mein jhonk diye jayen gay. Sirf wohi badla diye jao gay jo tum kertay rahey.

27.91 Mujhay to bus yehi hukum diya gaya hai kay mein iss shehar kay perwerdigar ki ibadat kerta rahon jiss ney issay hurmat wala banaya hai jiss ki milkiyat her cheez hai aur mujhay yeh bhi farmaya gaya hai kay mein farmanbardaron mein say ho jaon.

27.92 Aur mein quran ki tilawat kerta rahon jo raah-e-raast per aajaye woh apnay nafay kay liye raah-e-raast per aayega. Aur jo behak jaye to keh dijiye! kay mein to sirf hoshiyaar kerney walon mein say hun.

27.93 Keh dijiye! kay tamam tareefen Allah hi ko saza waar hain woh un-qareeb apni nishaniyan dikhaye ga jinhen tum (khud) pehchan lo gay aur jo kuch tum kertay ho uss say aap ka rab ghafil nahi.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Qasass 28
(Sura-Qasass Makka mai Nazil hui, is mai atthasi (88) Aayatain hain)


28.01 Tuaa-Seen-Meem

28.02 Yeh aayaten hain roshan kitab ki.

28.03 Hum aap kay samney musa aur firaon ka sahih waqiya biyan kertay hain unn logon kay liye jo emaan rakhtay hain.

28.04 Yaqeenan firaon ney zamin mein sirkashi ker rakhi thi aur wahan kay logon ko giroh giroh bana rakha tha aur unn mein say aik firqay ko kamzor ker rakha tha aur unn kay larkon ko to zibah ker dalta tha aur unn ki larkiyon ko zinda chor deta tha. Be-shak-o-shuba woh tha hi mufisdon mein say.

28.05 Phir humari chahat hui kay hum unn per karam farmayen jinhen zamin mein bey hadd kamzor ker diya gaya tha aur hum unhin ko paishwa aur (zamin) ka waris banayen.

28.06 Aur yeh bhi kay hum unhen zamin mein qudrat-o-ikhtiyar den aur firaon aur haamaan aur unn kay lashkeron ko woh dikhayen jiss say woh darr rahey hain.

28.07 Hum ney musa (alh-e-salam) ki maa ko wahee ki kay issay doodh pilati reh aur jab tujhay iss ki nisbat koi khof maloom hoto issay darya mein baha dena aur koi darr khof ya ranj ghum na kerna hum yaqeenan issay tumhari taraf lotaney walay hain aur issay apnay payghumbaron mein bananey walay hain.

28.08 Aakhir firaon kay logon ney iss bachay ko utha liya kay aakhir kaar yehi bacha inn ka dushman hua aur inn kay ranj ka baees bana kuch shak nahi kay firaon aur haamaan aur unn kay lashkar thay hi khata kaar.

28.09 Aur firaon ki biwi ney kaha kay yeh to teri aur meri aankhon ki thandak hai issay qatal na kero boht mumkin hai kay yeh humen koi faeeda phonchaye ya hum issay apna hi beta bana len aur yeh log shaoor hi na rakhtay thay.

28.10 Musa (alh-e-salam) ki walida ka dil bey qarar hogaya qareeb thin kay iss waqiyey ko zahir ker detin agar hum unn kay dil ko dharas na dey detay yeh iss liey kay woh yaqeen kerney walon mein rahey.
http://qurantube.blogspot.com/

28.11 Musa (alh-e-salam) ki walida ney uss ki behan say kaha kay tu iss kay peechay peechay ja to woh ussay door hi door say dekhti rahi aur firaoniyon ko iss ka ilm bhi na hua.

28.12 Unn kay phonchney say pehlay hum ney musa (alh-e-salam) per daeeiyon ka doodh haram ker diya tha. Yeh kehnay lagi kay kiya mein tumhen aisa gharana bataon jo iss bachay ki tumharay liye perwerish keray aur hon bhi woh iss bachay kay khair khuwa.

28.13 Pus hum ney ussay uss ki maa ki taraf wapis phonchaya takay uss ki aankhen thandi rahen aur aazardah khatir na ho aur jaan ley kay Allah Taalaa ka wada sacha hai lekin aksar log nahi jantay.

28.14 Aur jab musa (alh-e-salam) apni jawani ko phonch gaye aur pooray tawana hogaye hum ney unhen hikmat-o-ilm ata farmaya neki kerney walon ko hum issi tarah badla diya kertay hain.

28.15 Aur musa (alh-e-salam) aik aisay waqt shehar mein aaye jabkay shehar kay log ghaflat mein thay. Yahan do shakson ko lartay huyey paya yeh aik to uss kay rafiqon mein say tha aur yeh doosra uss kay dushmanon mein say uss ki qom walay ney uss kay khilaf jo uss kay dushmanon mein say tha uss say faryad ki jiss per musa (alh-e-salam) ney uss kay mukka mara jiss say woh marr gaya musa (alh-e-salam) kehnay lagay yeh to shetani kaam hai yaqeenan shetan dushman aur khullay tor per behkaney wala hai.

28.16 Phir dua kerney lagay aey perwerdigar! Mein ney khud apnay upper zulm kiya tu mujhay moaf farma dey Allah Taalaa ney ussay bakhsh diya woh bakhsish aur boht meharbani kerney wala hai.

28.17 Kehnay lagay aey meray rab! Jesay tu ney mujh per yeh karam farmaya mein bhi abb hergiz kissi gunehgar ka madadgar na bano ga.

28.18 Subah hi subah dartay andesha ki halat mein khabren lenay ko shehar mein gaye kay achanak wohi shaks jiss ney kal unn say madad talab ki thi unn say faryad ker raha hai. Musa (alh-e-salam) ney uss say kaha iss mein shak nahi tu to sareeh bey raah hai.

28.19 Phir jab uss kay aur apnay dushman ko pakarna chaha woh faryadi kehnay laga kay musa (alh-e-salam) kiya jissa tarah tu ney kal aik shaks ko qatal kiya hai mujhay bhi maar dalna chahata hai tu to mulk mein zalim-o-sirkash hona hi chahata hai aur tera yeh irada hi nahi kay milap kerney walon mein say ho.

28.20 Shehar kay parlay kinaray say aik shaks dorta hua aaya aur kehnay laga aey musa! Yahan kay sardar teray qatal ka mashwara ker rahey hain pus tu boht jald chala ja mujhay apna khair khuwa maan.
http://qurantube.blogspot.com/

28.21 Pus musa (alh-e-salam) wahan say khofzada ho ker dekhtay bhaltay nikal kharay huyey kehnay lagay aey perwerdigar! Mujhay zlimon kay giroh say bacha ley.

28.22 Aur jab madiyan ki taraf mutawajja huyey to kehnay lagay mujhay umeed hai kay mera rab mujhay seedhi raah ley chalay ga.

28.23 Madiyan kay pani per jab aap phonchay to dekha kay logon ki aik jamat wahan pani pila rahi hai aur do aurten alag khari apnay (janwaron ko) rokti hui dikhaee den poocha kay tumhara kiya haal hai woh boleen kay jab tak yeh charwahey wapis na lot jayen hum pani nahi pilatin aur humaray walid boht bari umar kay boorhay hain.

28.24 Pus aap ney khud inn janwaron ko pani pila diya phir saye ki taraf hut aaye aur kehnay lagay aey perwerdigar! Tu jo kuch bhalaee meri taraf utaray mein uss ka mohtaj hun.

28.25 Itnay mein dono aurton mein say aik unn ki taraf sharam-o-haya say chalti hui aaee kehnay lagi kay meray baap aap ko bula rahey hain takay aap ney humaray (janwaron) ko jo pani pilaya hai uss ki ujrat den jab hazrat musa (alh-e-salam) unn kay pass phonchay aur unn say apna sara haal biyan kiya to woh kehnay lagay abb na darr tu ney zalim qom say nijat paee.

28.26 Unn dono mein say aik ney kaha abba ji! Aap enhen mazdoori per rakh lijiyey kiyon kay jinhen aap ujrat per rakhen unn mein say sab say behtar woh hai jo mazboot aur amanat daar ho.

28.27 Uss buzrug ney kaha mein apni inn dono larkiyon mein say aik ko aap kay nikkah mein dena chahata hun iss (mehar per) kay aap aath saal tak mera kaam kaaj keren. Haan agar aap dus saal pooray keren to yeh aap ki taraf say bator ehsan kay hai mein yeh hergiz nahi chahata kay aap ko kissi mushaqqat mein dalon Allah ko manzoor hai to aagay chal ker aap mujhay bhala aadmi payen gay.

28.28 Musa (lah-e-salam) ney kaha khair to yeh baat meray aur aap kay darmiyan pukhta hogaee mein inn dono muddaton mein say jissay poora keron mujh per koi ziyadti na ho hum yeh jo kuch ker rahey hain iss per Allah (gawah aur) kaar saaz hai.

28.29 Jab hazrat musa (alh-e-salam) ney muddat poori ker liaur apnay ghar walon ko ley ker chalay to koh-e-toor ki taraf aag dekhi. Apni biwi say kehnay lagay thero! Mein ney aag dekhi hai boht mumkin hai kay mein wahan say koi khabar laaon ya aag ka koi angara laon takay tum seenk lo.

28.30 Pus jab wahan phonchay to uss ba-barkat zamin kay maidan kay dayen kinaray kay darakht mein say awaz diyey gaye kay aey musa! Yaqeenan mein hi Allah hun saray jahano ka perwerdigar.
http://qurantube.blogspot.com/

28.31 Aur yeh (bhi awaz aaee) kay apni laathi daal dey. Phir jab ussay dekha kay woh saanp ki tarah phan phana rahi hai to peeth pher ker wapis hogaye aur murr ker rukh bhi na kiya hum ney kaha aey musa! Aagay aa darr mat yaqeenan tu her tarah aman wala hai.

28.32 Apnay hath ko apnay girbaan mein daal woh baghair kisi qisam kay rog kay chamakta hua niklay ga bilkul safaid aur khof say (bachney kay liye) apnay bazoo apni taraf mila ley pus yeh dono moajzzay teray liye teray rab ki taraf say hain firaon aur uss ki jamat ki taraf yaqeenan woh sab kay sab bey hukum aur na farman log hain.

28.33 Musa (alh-e-salam) ney kaha perwerdigar! Mein ney unn ka aik aadmi qatal ker diya tha. Abb mujhay andesha hai kay woh mujhay bhi qatal ker daalen.

28.34 Aur mer bhai haroon (alh-e-salam) mujh say boht ziyada faseeh zaban wala hai tu ussay bhi mera madadgar bana ker meray sath bhej kay woh mujhay sacha manay mujhay to khof hai kay woh sab mujhay jhutla den gay.

28.35 Allah Taalaa ney farmaya kay hum teray bhai kay sath tera bazoo mazboot ker den gay aur tum dono ko ghalba den gay firaoni tum tak phonch hi na saken gay ba-sabab humari nishaniyon kay tum dono aur tumhari tabey daari kerney walay hi ghalib rahen gay.

28.36 Pus jab unn kay pass musa (alh-e-salam) humaray diyey huyey khullay moajzzay ley ker phonchay to woh kehnay lagay yeh to sirf ghara gharaya jadoo hai hum ney apnay aglay baap dadon kay zamaney mein kabhi yeh nahi suna.

28.37 Hazrat musa (alh-e-salam) kehnay lagay mera rab taalaa issay khoob janta hai jo uss kay pass ki hidayat ley ker aata hai aur jiss kay liye aakhirat ka (acha) anjam hota hai yaqeenan bey insafon ka bhala na hoga.

28.38 Firaon kehney laga aey darbariyo! Mein to apnay siwa kissi ko tumhara mabood nahi janta. Sunn aey haamaan! Tu meray liye mitti ko aag say pakwa phir meray liye aik mehal tameer ker to mein musa kay mabood ko jhank loon ussay mein to jhooton mein say hi gumaan ker raha hun.

28.39 Uss ney aur uss kay lashkar ney na-haq tareeqay per mulk mein takabbur kiya aur samajh liya kay woh humari janib lotaye hi na jayen gay.

28.40 Bil-aakhir hum ney ussay aur uss kay lashkaron ko pakar liya aur darya burd ker diya abb dekh ley kay unn gunehgaaron ka anjam kaisa kuch hua?
http://qurantube.blogspot.com/


28.41 Aur hum ney unhen aisay imam bana diyey kay logon ko jahannum ki taraf bulayen aur roz-e-qayamat mutlaq madad na kiye jayen.

28.42 Aur hum ney iss duniya mein bhi unn kay peechay apni laanat laga di aur qayamat kay din bhi woh bad-haal logon mein say hongay.

28.43 Aur unn aglay zamaney walon ko halak kerney kay baad hum ney musa (alh-e-salam) ko aisi kitab inayat farmaee jo logon kay liye daleel aur hidayat-o-rehmat ho ker aaee thi takay woh naseehat hasil ker len.

28.44 Aur toot kay maghribi janib jab kay hum ney musa (alh-e-salam) ko hukum ehkaam ki wahee phonchaee thi na to tu mojood tha aur na tu dekhney walon mein say tha.

28.45 Lekin hum ney boht si naslen peda kin jin per lambi muddaten guzar gayen aur na tu madiyan kay rehney walon mein say tha kay unn kay samney humari aayaton ki tilawat kerta bulkay hum hi rasoolon kay bhejney walay rahey.

28.46 Aur na tu toor ki taraf tha jab kay hum ney aawaz di bulkay yeh teray perwerdigar ki taraf say aik rehmat hai iss liye kay tu unn logon ko hoshiyaar ker dey jin kay pass tujh say pehlay koi daraney wala nahi phoncha kiya ajab kay woh naseehat hasil ker len.

28.47 Agar yeh baat na hoti kay enhen unn kay apnay hathon aagay bhejay huyey aemaal ki waja say koi naseehat phonchti to yeh keh uthtay kay aey humaray rab! Tu ney humari taraf koi rasool kiyon na bheja? Kay hum teri aayaton ki tabeydaari kertay aur emaan walon mein say ho jatay.

28.48 Phir jab unn kay pass humari taraf say haq aa phoncha to kehtay hain kay yeh woh kiyon nahi diya gaya jesay diyey gaye thay musa (alh-e-salam) acha to kiya musa (alh-e-salam) ko jo kuch diya gaya tha uss kay sath logon ney kufur nahi kiya tha saaf kaha tha kay yeh dono jadoogar hain jo aik doosray kay madadgaar hain aur hum to inn sab kay munkir hain.

28.49 Kehdey agar sachay hoto tum bhi Allah kay pass say aisi kitab ley aao jo inn dono say ziyada hidayat wali ho mein ussi ki pairwee keroon ga.

28.50 Phir agar yeh teri na maney to tu yaqeen ker lay kay yeh sirf apni khuwaish ki pairwee ker rahey hain. Aur uss say barh ker behka hua kaun hai? Jo apni khuwaish kay peechay para hua ho baghair Allah ki rehnumaee kay be-shak Allah Taalaa zalim logon ko hidayat nahi deta.
http://qurantube.blogspot.com/

28.51 Aur hum barabar pay dar pay logon kay liye apna kalaam bhejtay rahey takay woh naseehat hasil kerlen.

28.52 Jiss ko hum ney iss say pehlay kitab inayat farmaee woh to uss per bhi emaan rakhtay hain.

28.53 Aur jab uss ki aayaten unn kay pass parhi jati hain to woh keh detay hain kay iss kay humaray rab ki taraf say haq honey per humara emaan hai hum to iss say pehlay hi musalman hain.

28.54 Yeh apnay kiye huyey sabar kay badley dohra dohra ajar diye jayen gay. Yeh neki say badi ko taal detay hain aur hum ney enhen jo dey rakha hai iss mein say detay rehtay hain.

28.55 Aur jab bey huda baat kaan mein parti hai to uss say kinara ker letay hain aur keh detay hain kay humaray amal humaray liye aur tumharay amal tumharay liye tum per salam ho hum jahilon say (ulajhna) nahi chahatay.

28.56 Aap jissay chahayen hidayat nahi ker saktay bulkay Allah Taalaa hi jissay chahaye hidayat kerta hai. Hidayat walon say wohi khoob aagah hai.

28.57 Kehney lagay kay agar hum aap kay sath hoker hidayat kay tabey daar bann jayen to hum to apnay mulk say uchak liye jayen kiya hum ney unehn aman-o-amaan aur hurmat walay haram mein jagah nahi di? Jahan tamam cheezon kay phal khinchay chalay aatay hain jo humaray pass bator rizk kay hain lekin inn mein say aksar kuch nahi jantay.

28.58 Aur hum ney boht si woh bastiyan tabah kerdin jo apnay aish-o-ishrat mein itraney lagi thin yeh hain unn ki rehaeesh ki jaghen jo unn kay baad boht kum hi abad ki gaeen aur hum hi hain aakhir sab kuch kay waris.

28.59 Tera rab kissi aik basti ko bhi uss waqt tak halak nahi kerta jab tak kay unn ki kissi bari basti mein apna koi payghumbar nahi bhej dey jo unehn humari aayaten parh ker suna deyaur hum bastiyon ko ussi waqt halak kertay hain jabkay wahan walay zulm-o-sitam per kamar kass len.

28.60 Aur tumhen jo kuch diya gaya hai woh sirf zindag-e-duniya ka samaan aur ussi ki ronaq hai haan Allah kay pass jo hai woh boht hi behtar aur dairpaa hai. Kiya tum nahi samajhtay.
http://qurantube.blogspot.com/

28.61 Kiya woh shaks jiss say hum ney nek wada kiya hai jissay woh qata’an paney wala hai misil uss shaks kay ho sakta hai? Jissay hum ney zindaganiy-e-duniya ki kuch yun hi si manfa’at dey di phir bil-aakhir woh qayamat kay roz pakra baandha hazir kiya jayega.

28.62 Aur jiss din Allah Taalaa unhen pukar ker farmaye ga kay tum jinehn apnay gumaan mein mera shareek thera rahey thay kahan hain.

28.63 Jin per baat aa chuki woh jawab den gay kay aey humaray perwerdigar! Yehi woh hain jinhen hum ney behka rakha tha hum ney enhen issi tarah behkaya jiss tarah hum behkay thay hum teri sarkar mein apni dast darazi kertay hain yeh humari ibadat nahi kertay thay.

28.64 Kaha jayega apnay shareekon ko bulao woh bulayen gay lekin woh jawab tak na den gay aur sab azab dekh len gay kaash yeh log hidayat paa letay.

28.65 Uss din unn ko bula ker poochay ga kay tum ney nabiyon ko kiya jawab diya?

28.66 Phir uss din unn ki tamam daleelen gumm hojayen gi aur aik doosray say sawal tak na keren gay.

28.67 Haan jo shaks tauba ker ley emaan ley aaye aur nek kaam keray yaqeen hai kay woh nijat paaney walon mein say hojaye ga.

28.68 Aur aap ka rab jo chahata hai peda kerta hai aur jisay chahata hai chun leta hai inn mein say kissi ko koi ikhtiyar nahi Allah hi kay liye paki hai woh buland tar hai her uss cheez say kay log shareek kertay hain.

28.69 Unn kay seenay jo kuch chupatay aur jo kuch zahir kertay hain aap ka rab sab kuch janta hai.

28.70 Wohi Allah hai uss kay siwa koi laeeq-e-ibadat nahi duniya aur aakhirat mein ussi ki tareef hai. Ussi kay liye farman rawaqee hai aur ussi ki taraf tum sab pheray jao gay.
http://qurantube.blogspot.com/

28.71 Keh dijiye! kay dekho to sahi agar Allah Taalaa tum per raat hi raat qayamat tak barabar ker dey to siwaye Allah kay kaun mabood hai jo tumharay pass din ki roshni laye? Kiya tum suntay nahi ho?

28.72 Poochiye! Kay yeh bhi batado kay agar Allah Taalaa tum per hamesha qayamat tak din hi din rakhay to bhi siwaye Allah Taalaa kay koi mabood hai jo tumharay pass raat ley aaye? Jiss mein tum aaraam hasil kero kiya tum dekh nahi rahey ho?

28.73 Ussi ney tumharay liye apnay fazal-o-karam say din raat muqarrar ker diye hain kay tum raat mein aaraam kero aur din mein uss ki bheji hui rozi talash kero yeh iss liye kay tum shukar ada kero.

28.74 Aur jiss din unhen pukar ker Allah Taalaa farmaye ga jinhen tum meray shareek khayal kertay thay woh kahan hain?

28.75 Aur hum her ummat mein say aik gawah alag ker len gay kay apni daleelen paish kero pus uss waqt jaan len gay kay haq Allah Taalaa ki taraf hai aur jo kuch iftra woh jortay thay sab unn kay pass say kho jaye ga.

28.76 Qaroon tha to qom-e-musa say lekin unn per zulm kerney laga tha hum ney ussay (iss qadar) khazaney dey rakhay thay kay kaee kaee taqatwar log ba mushkil uss ki kunjiyan utha saktay thay aik baar uss ki qom ney uss say kaha kay itra mat! Allah Taalaa itraney walon say mohabbat nahi rakhta.

28.77 Aur jo kuch Allah Taalaa ney tujhay dey rakha hai uss mein say aakhirat kay ghar ki talash bhi rakh aur apnay dunyawi hissay ko bhi na bhool aur jesay Allah ney teray sath ehsan kiya hai tu bhi acha salook ker aur mulk mein fasad ka khuwan na ho yaqeen maan kay Allah mufsidon ko na pasand rakhta hai.

28.78 Qaroon ney kaha yeh sab kuch mujhay meri apni samajh ki bina per hi diya gaya hai kiya issay abb tak yeh nahi maloom kay Allah Taalaa ney uss say pehlay boht si basti walon ko ghaarat ker diya jo uss say boht ziyada qooat walay aur boht bari jama poonji walay thay. Aur gunehgaaron say unn kay gunahon ki baaz purs aisay waqt nahi ki jati.

28.79 Pus qaroon poori aaraeesh kay sath apni qom kay majmay mein nikla to dunyawi zindagi kay matwalay kehney lagay kaash kay humen bhi kissi tarah woh mill jata jo qaroon ko diya gaya hai. Yeh to bara hi qismat ka dhani hai.

28.80 Zee ilm log unhen samjhaney lagay kay afsos! Behtar cheez to woh hai jo bator sawab unhen milay gi jo Allah per emaan layen aur nek amal keren yeh baat unhi kay dil mein dali jati hai jo sabar-o-sahaar walay hon.
http://qurantube.blogspot.com/

28.81 (aakhir kaar) hum ney ussay uss kay mehal samet zamin mein dhansa diya aur Allah kay siwa koi jamaat uss ki madad kay liye tayyar na hui na woh khud apnay bachaney walon mein say ho saka.

28.82 Aur jo log kal uss kay martabay per phonchney ki aarzoo mandiyan ker rahey thay woh aaj kehney lagay kay kiya tum nahi dekhtay kay Allah Taalaa hi apnay bandon mein say jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai aur tang bhi? Agar Allah Taalaa hum per fazal na kerta to humen bhi dhansa deta kiya dekhtay nahi ho kay na-shukron ko kabhi kaamyabi nahi hoti?

28.83 Aakhirat ka yeh bhala ghar hum unn hi kay liye muqarrar ker detay hain jo zamin mein unchaee baraee aur fakhar nahi kertay na fasad ki chahat rakhtay hain. Perhezgaron kay liye nihayat hi umdaa anjam hai.

28.84 Jo shaks neki laye ga uss uss say behtar milay ga aur jo buraee ley ker aaye ga to aisay bad-aemaali kernay walon ko unn kay unhi aemaal ka badla diya jaye ga jo woh kertay thay.

28.85 Jiss Allah ney aap per quran nazil farmaya hai woh doobara aap ko pehli jagah laaney wala hai keh dijiye! kay mera rab ussay bhi ba-khoobi janta hai jo hidayat laya hai aur uss bhi jo khulli gumrahee mein hai.

28.86 Aap ko kabhi iss ka khayal bhi na guzra tha kay aap ki taraf kitab nazil farmaee jaye gi lekin yeh aap kay rab i meharbaani say utra. Abb aap ko hergiz kafiron ka madadgaar na hona chahaye.

28.87 Khayal rakhiye kay yeh kufaar aap ko Allah Taalaa ki aayaton ki tableegh say rok na den iss kay baad kay yeh aap ki janib utari gaeen to apnay rab ki taraf bulatay rahen aur shirk kerney walon mein say na hon.

28.88 Allah Taalaa kay sath kissi aur mabood ko na pukarna ba-juz Allah Taalaa kay koi aur mabood nahi her cheez fana honey wali hai magar ussi ka mun. (aur zaat ) ussi kay liye farmanrawaee hai aur tum ussi ki taraf lotaye jaogay.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Ankaboot 29
(Sura-Ankaboot Makka mai Nazil hui, is mai unattar (69) Aayatain hain)


29.01 Alif-Laam-Meem

29.02 Kiya logon ney yeh guman ker rakha hai kay unn kay sirf iss daway per kay hum emaan laye hain hum unhen baghair aazmaye huyey hi chor den gay?

29.03 Inn say aglon ko bhi hum ney khoob jancha. Yeqeenan Allah Taalaa unhen bhi jan ley ga jo sach kehtay hain aur unhen bhi maloom ker ley ga jo jhootay hain.

29.04 Kiya jo log burayiyan ker rahey hain unhon ney yeh samajh rakha hai kay woh humaray qaboo say bahir ho jayen gay yeh log kaisi buri tajweezen ker rahen hain.

29.05 Jisay Allah ki mulaqat ki umeed ho pus Allah ka theraya hua waqt yaqeenan aaney wala hai woh sab kuch sunnay wala sab kuch jannay wala hai.

29.06 Aur her aik kosish kerney wala apnay hi bhalay ki kosish kerta hai. Wesay to Allah Taalaa tamam jahaan walon say bey niyaz hai.

29.07 Aur jo log emaan laye aur unhon ney mutabiq-e-sunnat kaam kiye hum unn kay tamam gunahon ko unn say door ker den gay aur unhen unn kay nek aemaal kay behtareen badlay den gay.

29.08 Hum ney her insan ko apnay maa baap kay sath acha salook kerney ki naseehat ki hai haan agar woh yeh kosish keren kay aap meray sath ussay shareek ker len jiss ka aap ko ilm nahi to unn ka kehna na maniyey tum sab ka lotna meri hi taraf hai phir mein her uss cheez say jo tum kertay thay tumhen khabar doon ga.

29.09 Aur jin logon ney emaan qabool kiya aur nek kaam kiye unhen mein apnay nek bandon mein shumar ker loon ga.

29.10 Aur baaz log aisay bhi hain jo zabani kehtay hain kay hum emaan laye hain lekin jab Allah ki raah mein koi mushkil aan parti hai to logon ko ezza dahi ko Allah Taalaa kay azab ki tarah bana letay hain haan haan agar Allah ki madad aajaye to pukar uthtay hain kay hum to tumharay sathi hi hain kiya duniya jahaan kay seeno mein jo kuch hai uss say Allah Taalaa dana nahi hai?
Top Top


29.11 Jo log emaan laye Allah unhen bhi zahir ker kay rahey ga aur munafiqon ko bhi zahir ker kay rahey ga.

29.12 Kafiron ney emaan walon say kaha kay tum humari raah ki taby daari kero tumharay gunah hum utha len gay halankay woh inn kay gunahon mein say kuch bhi nahi uthaney walay yeh to mehaz jhootay hain.

29.13 Albatta yeh apnay bojh dho len gay aur apnay bojhon kay sath hi aur bojh bhi. Aur jo kuch iftra perdaziyan ker rahey hain unn sab ki babat unn say baaz purs ki jaye gi.

29.14 Aur hum ney nooh (alh-e-salam) ko unn ki qom ki taraf bheja woh unn mein sarhay no so saal tak rahey phir to unhen toofan ney dhar pakra aur woh thay bhi zalim.

29.15 Phir hum ney unhen aur kashti walon ko nijat di aur iss waqey ko hum ney tamam jahaan kay liye ibrat ka nishan bana diya.

29.16 Aur ibrahim (alh-e-salam) ney bhi apni qom say farmaya kay Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss say dartay raho agar tum mein daanaaee hai to yehi tumharay liye behtar hai.

29.17 Tum to Allah Taalaa kay siwa buton ki pooja paat ker rahey ho aur jhooti baatein dil say gharh letay ho. Suno! Jin jin ki tum Allah Taalaa kay siwa pooja paat ker rahey ho woh to tumhari rozi kay malik nahi pus tumhen chahayey kay tum Allah Taalaa hi say roziyan talab kero aur ussi ki ibadat kero aur ussi ki shukar guzari kero aur ussi ki taraf tum lotaye jao gay.

29.18 Aur agar tum jhutlao to tum say pehlay ki ummaton ney bhi jhutlaya hai rasool kay zimmay to sirf saaf tor per phoncha dena hi hai.

29.19 Kiya enhon ney nahi dekha kay makhlooq ki ibtida kissa tarah Allah ney ki phir Allah iss ka aey-aada keray ga yeh to Allah Taalaa per boht hi aasan hai.

29.20 Keh dijiye! kay zamin mein chal phir ker dekho to sahi kay kiss tarah Allah Taalaa ney ibtida’an pedaeesh ki. Phir Allah Taalaa hi doosri naee pedaeesh keray ga Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
Top Top


29.21 Jissay chahaye azab keray jiss per chahaye reham keray sab ussi ki taraf lotaye jao gay.

29.22 Tum na to zamin mein Allah Taalaa ko aajiz ker saktay ho na aasman mein Allah Taalaa kay siwa tumhara koi waali hai na madadgaar.

29.23 Jo log Allah Taalaa ki aayaton aur uss ki mulaqat ko bhulatay hain woh meri rehmat say na umeed ho jayen aur unn kay liye dard naak azab hai.

29.24 Unn ki qom ka jawab ba-juz iss kay kuch na tha kay kehney lagay kay issay maar dalo ya issay jala do. Aakhirish Allah ney unhen aag say bacha liya iss mein emaan walay logon kay liye boht si nishaniyan hain.

29.25 (hazrat ibrahim alh-e-salam ney) kaha kay tum ney jin buton ki parastish Allah kay siwa ki hai unhen tum ney apni aapas ki duniyawi dosti ki bina thera li hai tum sab qayamat kay din aik doosray say kufur kerney lago gay aur aik doosray per lanat kerney lago gay. Aur tumhara sab ka thikana dozakh hoga aur tumhara koi madadgaar na hoga.

29.26 Pus hazrat ibrahim (alh-e-salam) per hazrat loot (alh-e-salam) emaan laye aur kehnay lagay kay mein apnay rab ki taraf hijrat kerney wala hun. Woh bara hi ghalib aur hakeem hai.

29.27 Aur hum ney unhen (ibrahim ko) ishaq-o-yaqoob (alheem-us-salam) ata kiye aur hum ney naboowat aur kitab unn ki aulad mein hi kerdi aur hum ney duniya mein bhi ussay sawab diya aur aakhirat mein to woh saleh logon mein say hai.

29.28 Aur hazrat loot (alh-e-salam) ka bhi ziker kero jabkay unhon ney apni qom say farmaya kay tum to iss bad-kaari per utar aaye ho jissay tum say pehlay duniya bhar mein say kissi ney nahi kiya.

29.29 Kiya tum mardon kay pass bad faylee kay liye aatay ho aur raastay band kertay ho aur apni aam majlison mein bey hayaeeyon ka kaam kertay ho? Iss kay jawab mein uss ki qom ney ba-juz iss kay aur kuch nahi kaha kay bus jaa agar sacha hai to humaray pass Allah ka azab ley aa.

29.30 Hazrat loot (alh-e-salam) ney dua ki kay perwerdigar! Iss mufsid qom per meri madad farma.
http://qurantube.blogspot.com/

29.31 Aur jab humaray bhejay huyey farishtay hazrat ibrahim (alh-e-salam) kay pass bisharat ley ker phonchay kehnay lagay kay iss basti walon ko hum halak kerney walay hain yaqeenan yahan kay rehney walay gunehgaar hain.

29.32 (hazrat ibrahim alh-e-salam ney) kaha iss mein to loot (alh-e-salam) hain farishton ney kaha yahan jo hain hum unhen ba-khoobi jantay hain. Loot (alh-e-salam) ko aur uss kay khandan ko siwaye uss ki biwi kay hum bacha len gay albatta woh aurat peechay reh janey walon mein say hai.

29.33 Phir jab humaray qasid loot (alh-e-salam) kay pass phonchay to woh inn ki waja say ghumgeen huyey aur dil hi dil mein ranj kerney lagay. Qasidon ney kaha aap na khof khayiey na aazarda hon hum aap ko maa aap kay mutallaqeen kay bacha len gay magar aap ki biwi kay woh azab kay liye baqi reh janey walon mein say hogi.

29.34 Hum iss basti walon per aasmani azab nazil kerney walay hain iss waja say kay yeh bey hukum ho rahey hain.

29.35 Albaat hum ney uss basti ko sareeh ibrat ki nishani bana diya unn logon kay liye jo aqal rakhtay hain.

29.36 Aur madiyan ki taraf hum ney unn kay bhai shoaib (alh-e-salam) ko bheja unhon ney kaha aey meri qom kay logo! Allah ki ibadat kero qayamat kay din ki tawaqqa rakho aur zamin mein fasad na kertay phiro.

29.37 Phir bhi unhon ney unhen jhutlaya aakhirish unhen zalzalay ney pakar liya aur woh apnay gharon mein bethay kay bethay murda ho ker reh gaye.

29.38 Aur hum ney aadiyon aur samoodiyon ko bhi gharat kiya jin kay baad makanaat tumharay samney zahir hain aur shetan ney unhen unn ki bad aemaaliyan aaraasta ker dikhaee thin aur unhen raah say rok diya tha bawajood yeh kay yeh aankhon walay aur hoshiyaar thay.

29.39 Aur qaroon aur firaon aur haamaan ko bhi unn kay pass hazrat musa (alh-e-salam) khulay khulay moajzzay ley ker aaye thay phir bhi unhon ney zamin mein takabbur kiya lekin hum say aagay barhney walay na ho sakay.
http://qurantube.blogspot.com/

29.40 Phir to her aik ko hum ney uss kay gunah ka wabaal mein giriftar ker liya inn mein say baaz per hum ney pathron ka menh barsaya aur inn mein say baaz ko zor daar awaz sakht awaz ney daboch liya aur inn mein say baaz ko hum ney zamin mein dhansa diya aur inn mein say baaz ko hum ney dobo diya Allah Taalaa aisa nahi kay unn per zulm keray bulkay yehi log apni jano per zulm kertay thay.

29.41 Jin logon ney Allah Taalaa kay siwa aur kaar saaz muqarrar ker rakhay hain unn ki misaal makri ki si hai kay woh bhi aik ghar bana leti hai halankay tamam gharon say ziyada boda ghar makri ka ghar hi hai kaash! Woh jaan letay.

29.42 Allah Taalaa unn tamam cheezon ko janta hai jinhen woh uss kay siwa pukar rahey hain woh zabardast aur zee hikmat hai.

29.43 Hum inn misalon ko logon kay liye biyan farma rahey hain enhen sirf ilm walay hi samajhtay hain.

29.44 Allah Taalaa ney aasmano aur zamin ko masleyhat aur haq kay sath peda kiya hai emaan walon kay liye to iss mein bari bhari daleel hai.

1 comment:

  1. I visited multiple blogs but the audio feature for audio songs current at this web page is in fact fabulous.


    Look into my blog ... unlock iphone 4
    Look into my site - unlock iphone 5

    ReplyDelete

Adbox