Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 11

Parah-Yaataziroon 11 

Surat-Tauba 09
(Sura-Tauba Madina mai Nazil hui, is mai aikso-unattees (129) Aayatain hain)

09.94 Yeh log tumharay samney uzur paish keren gay jab tum inn kay pass wapis jaogay. Aap keh dijiye kay yeh uzur paish mat kero hum kabhi tum ko sacha na samjhen gay Allah Taalaa hum ko tumhari khabar dey chuka hai aur aaenda bhi Allah aur uss ka rasool tumhari kaar guzari dekh len gay phir aisay kay pass lotaye jaogay jo posheeda aur zahir sab ka jannay wala hai phir woh tum ko bata dey ga jo kuch tum kertay thay.

09.95 Haan woh abb tumharay samney Allah ki qasmen kha jayen gay jab tum unn kay pass wapis jaogay takay tum unn ko unn ki halat per chor do. So tum unn ko unn ki halat per chor do. Woh log bilkul ganday hain aur unn ka thikana dozakh hai unn kaamon kay badlay jinhen woh kiya kertay thay.

09.96 Yeh iss liye qasmen khayen gay kay tum inn say razi hojao to Allah Taalaa to aisay fasiq logon say razi nahi hota.

09.97 Dehati log kufur aur nifaq mein boht hi sakht hain aur unn ko aisa hona hi chahaiye kay unn ko inn kay ehkaam ka ilm na ho jo Allah Taalaa ney apney rasool per nazil farmaye hain aur Allah bara ilm wala bari hikmat wala hai.

09.98 Aur inn dehatiyon mein baaz aisay hain kay jo kuch kharach kertay hain uss ko jurmana samajhtay hain aur tum musalmanon kay wastay buray waqt kay muntazir rehtay hain bura waqt inn hi per parney wala hai aur Allah sunnay wala aur jannay wala hai.

09.99 Aur baaz ehal-e-dehaat mein aisay bhi hain jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain aur jo kuch kharach kertay hain inn ko indallah qurb hasil honey ka zariya aur rasool ki dua ka zariya banatay hain yaad rakho kay inn kay yeh kharach kerna be-shak inn kay liye mojib-e-qurbat hai inn ko Allah Taalaa zaroor apni remat mein dakhil keray ga Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.

09.100 Aur jo mohajreen aur ansaar sabiq aur muqaddam hain aur jitney log ikhlaas kay sath unn kay pairo hain Allah unn sab say razi hua aur woh sab uss say razi huye aur Allah ney unn kay liye aisay baagh mohiyya ker rakhay hain jin kay neechay nehren jaari hongi jin mein hamesha rahen gay yeh bari kaamyabi hai.
http://qurantube.blogspot.com/

09.101 Aur kuch tumharay gird-o-paish walon mein aur kuch madinay walon mein aisay munafiq hain kay nifaq per aray huye hain aap inn ko nahi jantay inn ko hum jantay hain hum inn ko dohri saza den gay phir woh baray bhari azab ki taraf bhejay jayen gay.

09.102 Aur kuch aur log hain jo apni khata kay iqrari hain jinhon ney milay julay amal kiye thay kuch bhalay aur kuch buray Allah say umeed hai kay unn ki toba qabool farmaye. Bila shuba Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.

09.103 Aap inn kay maalon mein sadqa ley lijiye jiss kay zariye say aap inn ko pak saaf ker den aur inn kay liye dua kijiye bila shuba aap ki dua inn kay liye mojib-e-itminaan hai aur Allah Taalaa khoob sunta hai khoob janta hai.

09.104 Kiya inn ko yeh khabar nahi kay Allah hi apney bandon ki toba qabool kerta hai aur wohi sadqaat ko qabool farmata hai aur yeh kay Allah hi toba qabool kerney mein aur rehmat kerney mein kaamil hai.

09.105 Keh dijiye kay tum amal kiye jao tumharay amal Allah khud dekh ley ga aur uss ka rasool aur eman walay (bhi dekh len gay) aur zaroor tum ko aisay kay pass jana hai jo tamam chupi aur khuli cheezon ka jannay wala hai. So woh tum ko tumhara sab kiya hua batla dey ga.

09.106 Aur kuch aur log hain jin ka moamla Allah kay hukum aaney tak mulatawee hai unn ko saza dey ga ya unn ki toba qabool ker ley ga aur Allah khoob jannay wala hai bara hikmata wala hai.

09.107 Aur baaz aisay hain jinhon ney inn aghraaz kay liye masjid banaee hai kay zarrar phonchayen aur kufur ki baaten keren aur eman daron mein tafreeq dalen aur uss shaks kay qayam ka saman keren jo iss say pehlay say Allah aur rasool ka mukhalif hai aur qasmen kha jayen gay kay ba-juz bhalaee kay aur humari kuch neeyat nahi aur Allah gawah hai kay woh bilkul jhootay hain.

09.108 Aap iss mein kabhi kharay na hon. Albatta jiss masjid ki bunyaad awwal din say taqwa per rakhi gaee hai woh iss laeeq hai kay aap iss mein kharay hon iss mein aisay aadmi hain kay woh khoob pak honey ko pasand kertay hain aur Allah Taalaa khoob pak honey walon ko pasand kerta hai.

09.109 Phir aaya aisa shaks behtar hai jiss ney apni emaarat ki bunyaad Allah say darney per aur Allah ki khushnoodi per rakhi ho ya woh shaks kay jiss ney apni emaarat ki bunyaad kissi ghaati kay kinaray per jo kay girney hi ko ho rakhi ho phir woh iss ko ley ker aatish-e-dozakh mein girr paray aur Allah Taalaa aisay zalimon ko samajh hi nahi deta.

09.110 Inn ki yeh emaarat jo enhon ney banaee hai hamesha inn kay dilon mein shak ki bunyaad per (kaanta bann ker) khutakti rahey gi haan magar inn kay dil hi agar paash paash hojayen to khair aur Allah Taalaa bara ilm wala bari hikmat wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/

09.111 Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai.

09.112 Woh aisay hain jo tauba kerney walay ibadat kerney walay hamd kerney walay roza rakhney walay (yaa raah-e-haq mein safar kerney walay) rukoo aur sajda kerney walay nek baaton ki taleem kerney walay aur buri baaton say baaz rakhney walay aur Allah ki haddon ka khayal rakhney walay hain aur aisay momineen ko aap khushkhabri suna dijiye.

09.113 Payghumbar ko aur doosray musalmanon ko jaaez nahi kay mushrikeen kay liye maghfirat ki dua maangen agar cheh woh rishtay daar hi hon iss amar kay zahir ho janey kay baad kay yeh log dozakhi hain.

09.114 Aur ibrahim (alh-e-salam) ka apney baap kay liye dua-e-maghfirat maangna woh sirf wada kay sabab say tha jo unhon ney uss say wada ker liya tha phir jab unn per yeh baat zahir hogaee kay woh Allah ka dushman hai to woh iss say mehaz mehaz bey talluq hogaye waqaee ibrahim (alh-e-salam) baray naram dil aur burd baar thay.

09.115 Aur Allah aisa nahi kerta kay kissi qom ko hidayat ker kay baad mein gumrah kerdey jab tak kay unn cheezon ko saaf saaf na batla dey jin say woh bachen be-shak Allah Taalaa her cheez ko khoob janta hai.

09.116 Bila shuba Allah hi ki saltanat hai aasmanon aur zamin mein. Wohi jilata aur maarta hai aur tumhara Allah kay siwa na koi yaar hai aur na koi madadgar hai.

09.117 Allah Taalaa ney payghumber kay haal per tawajja farmaee aur mohajreen aur ansaar kay haal per bhi jinhon ney aisi tangi kay waqt payghumbar ka sath diya iss kay baad kay inn mein say aik giroh kay dilon mein kuch tazalzul ho chala tha. Phir Allah ney unn kay haal per tawajja farmaee. Bila shuba Allah Taalaa inn sab per boht hi shafiq meharban hai.

09.118 Aur teen shakson kay haal per bhi jin ka moamla multawee chor diya gaya tha. Yahan tak kay jab zamin ba-waajood apni farakhi kay unn per tang honey lagi aur woh khud apni jaan say tang aagaye aur unhon ney samajh liya kay Allah say kahin panah nahi mill sakti be-juz iss kay kay ussi ki taraf rujoo kiya jaye phir unn kay haal per tawajja farmaee takay woh aaeenda bhi toba ker saken. Be-shak Allah Taalaa boht toba qabool kerney wala aur bara reham wala hai.

09.119 Aey eman walo! Allah Taalaa say daro aur sachon kay sath raho.

09.120 Madinay kay rehney walon ko aur jo dehaati unn kay gird-o-paish mein hain unn ko yeh zaiba na tha kay rasool Allah ko chor ker peechay reh jayen aur na yeh kay apni jaan ko unn ki jaan say aziz samajhen yeh iss sabab say key inn ko Allah ki raah mein jo piyas lagi aur jo thakaan phonchi aur jo bhook lagi aur jo kissi aisi jagah chalay jo kuffaar kay liye mojib-e-ghaiz hua ho aur dushmanon ki jo kuch khabar li inn sab per inn kay naam (aik aik) nek kaam likh gaya. Yaqeenan Allah Taalaa mukhliseen ka ajar zaya nahi kerta.

09.121 Aur jo kuch chota bara enhon ney kharach kiya aur jitney maidan inn ko tey kerney paray yeh sab bhi inn kay naam likha gaya takay Allah Taalaa inn kay kaamon ka achay say acha badla dey.

09.122 Aur musalmanon ko yeh na chahaiye kay sab kay sab nikal kharay hon so aisa kiyon na kiya jaye kay inn ki her bari jamat mein say aik choti jamat jaya keray takay woh deen ki samajh boojh hasil keren aur takay yeh log apni qom ko jabkay woh inn kay pass aayen darayen takay woh darr jayen.

09.123 Aey eman walon! inn kuffaar say laro jo tumharay aas pass hain aur inn ko tumharay andar sakhti pana chahaiye aur yeh yaqeen rakho kay Allah Taalaa muttaqi logon kay sath hai.

09.124 Aur jab koi surat nazil ki jati hai to baaz munafiqeen kehtay hain kay iss surat ney tum mein say kiss kay eman ko ziyada kiya hai so log jo eman walay hain iss surat ney unn kay eman ko ziyada kiya hai aur woh khush horahey hain.

09.125 Aur jin kay dilon mein rog hai iss surat ney unn mein unn ki gandagi kay sath aur gandagi barha di aur woh halat-e-kufur hi mein marr gaye.

09.126 Aur kiya inn ko nahi dikhlaee deta kay yeh log her saal aik baar ya do baar kissi na kissi aafat mein phanstay rehtay hain phir bhi na toba kertay aur na naseehat qabool kertay hain.

09.127 Aur jab koi surat nazil ki jati hai to aik doosray ko dekhney lagtay hain kay tum ko koi dekhta to nahi phir chal detay hain Allah Taalaa ney inn ka dil pher diya hai iss waja say kay woh bey samajh log hain.

09.128 Tumharay pass aik aisay payghumber tashreef laye hain jo tumhari jinss mein say hain jin per tumhari takleef boht hi dushwaar guzarti hai jo tumhari bhalaee kay khuwan hain. Jo musalmanon per baray hi shafiq aur meharban hain.

09.129 Phir agar roo gardaani keren to aap keh dijiye kay meray liya Allah kafi hai iss kay siwa koi mabood nahi. Mein ney issi per bharosa kiya aur woh baray arsh ka maalik hai.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Younus 10
(Sura-Younus Makka mai Nazil hui, is mai aikso-nou (109) Aayatain hain)


10.01 Alif-laam-raa ye pur hikmat kitab ki aayaten hain.

10.02 Kiya inn logon ko iss baat say tajjub hua kay hum ney inn mein say aik shaks kay pass wahee bhej di kay sab aadmiyon ko daraiye aur jo eman ley aaye unn ko yeh khushkhabri suniye kay inn kay rab kay pass inn ko poora ajar-o-martaba milay ga. Kafiron ney kaha yeh shaks to bila shuba sareeh jadoogar hai.

10.03 Bila shuba tumhara rab Allah hi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda ker diya phir arsh per qaeem hua woh her kaam ki tadbeer kerta hai. Uss ki ijazat kay baghair koi uss kay pass sifarish kerney wala nahi aisa Allah tumhara rab hai so tum uss ki ibadat kero kiya tum phir bhi nasihat nahi pakartay.

10.04 Tum sab ko Allah hi kay pass jana hai Allah ney sacha wada ker rakha hai. Be-shak wohi pehli baar bhi peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga takay aisay logon ko jo kay eman laye aur unhon ney nek kaam kiye insaf kay sath jaza dey aur jin logon ney kufur kiya unn kay wastay kholta hua pani peenay ko milay ga aur dard naak azab hoga unn kay kufur ki waja say.

10.05 Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney aftab ko chamakta hua banaya aur chand ko noorani banaya aur uss kay liye manzilen muqarrar kin takay tum barson ki ginti aur hisab maloom ker liya kero. Allah Taalaa ney yeh cheezen bey faeeda nahi peda kin. Woh yeh dalaeel unn ko saaf saaf batla raha hai jo danish rakhtay hain.

10.06 Bila shuna raat aur din kay yakay baad deegray aaney mein aur Allah Taalaa ney jo kuch aasmanon aur zamin mein peda kiya hai inn sab mein unn logon kay liye dalaeel hain jo Allah ka darr rakhtay hain.

10.07 Jin logon ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai aur woh dunyawi zindagi per razi hogaye hain aur iss mein ji laga bethay hain aur jo log humari aayaton say ghafil hain.

10.08 Aisay logon ka thikana unn kay aemaal ki waja say dozakh hai.

10.09 Yaqeenan jo log emaan laye aur unhon ney nek kaam kiye unn ka rab unn ko unn kay eman kay sabab unn kay maqsad tak phoncha dey ga nemat kay baghon mein jin key neechay nehren jari hongi.

10.10 Unn kay mun say yeh baat niklay gi “Subhan Allah” (Allah Pak hai) aur unn ka bahumi salam yeh hoga “Assalam-o-Alaikum” (Aap per Salamti ho) aur unn ki akheer baat yeh hogi "Alhamd-o-Lillah-e-Rab-ul-Aalameen" (tamam tareefen Allah kay liye hain jo saray jahaano ka rab hai).
http://qurantube.blogspot.com/

10.11 Aur agar Allah logon per jaldi say nuksan waaqay ker diya kerta jiss tarah woh faeeday kay liye jaldi machatay hain to unn ka wada kabhi ka poora ho chuka hota. So hum unn logon ko jin ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai unn kay haal per chor rakhtay hain kay apni sirkashi mein bhataktay rahen.

10.12 Aur jab insan ko koi takleef phonchti hai to hum ko pukarta hai letay bhi bethay bhi kharay bhi. Phir jab hum uss ki takleef uss say hata detay hain to woh aisa hojata hai kay goya uss ney apni takleef kay liye jo ussay phonchi thi kabhi humen pukara hi na tha inn hadd say guzarney walon kay aemaal ko unn kay liye issi tarah khushnuma bana diya gaya hai.

10.13 Aur hum ney tum say pehlay boht say girohon ko halak ker diya jabkay unhon ney zulm kiya halankay unn kay pass unn kay payghumber bhi dalaeel ley ker aaye aur woh aisay kab thay kay eman ley aatay? Hum mujrim logon ko aisi hi saza diya kertay hain.

10.14 Phir unn kay baad hum ney duniya mein bajaye unn kay tum ko janasheen kiya takay hum dekh len kay tum kiss tarah kaam kertay ho.

10.15 Aur jab inn kay samney humari aayaten parhi jati hain jo bilkul saaf saaf hain to yeh log jin ko humaray pass aaney ki umeed nahi hai yun kehtay hain kay iss kay siwa koi doosra quran layiye ya iss mein kuch tarmeem ker dijiye. Aap keh dijiye kay mujhay yeh haq nahi kay mein apni taraf say iss mein tarmeem kerdoon bus mein to issi ki ittabaa keroon ga jo meray pass wahee kay zariye say phoncha hai agar mein apney rab ki na farmani keroon to mein aik baray din kay azab ka andesha rakhta hun.

10.16 Aap yun keh dijiye kay agar Allah ko manzoor hota to na to mein tum ko woh parh ker sunata aur na Allah Taalaa tum ko iss ki itlaa deta kiyon kay mein iss say pehlay to aik baray hissay umar tak mein tum mein reh chuka hun. Phir kiya tum aqal nahi rakhtay.

10.17 So uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah per jhoot bandhay ya uss ki aayaton ko jhoota batlaye yaqeenan aisay mujrimon ko aslan falah na hogi.

10.18 Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko zarrar phoncha saken aur na unn ko nafa phoncha saken aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.

10.19 Aur tamam log aik hi ummat kay thay phir unhon ney ikhtilaf peda ker liya aur agar aik baat na hoti jo aap kay rab ki taraf say pehlay thehar chuki hai to jiss cheez mein yeh log ikhtilaf ker rahey hain unn ka qataee faisla ho chuka hota.

10.20 Aur yeh log yun kehtay hain kay inn per inn kay rab ki janib say koi nishani kiyon nahi nazil hoti? So aap farma dijiye kay ghaib ki khabar sirf Allah ko hai so tum bhi muntazir raho mein bhi tumharay sath munatazir hun.
http://qurantube.blogspot.com/

10.21 Aur jab hum logon ko iss amar kay baad kay inn per koi museebat parr chuki ho kissi nemat ka maza chakha detay hain to woh foran hi humari aayaton kay baray mein caalen chalney lagtay hain aap keh dijiye kay Allah chaal chalney mein tum say ziyada tez hai bil yaqeen humaray farishtay tumhari sab chaalon ko likh rahey hain.

10.22 Aur Allah aisa hai kay tum ko khushki aur darya mein chalata hai yahan tak kay jab tum kashti mein hotay ho aur woh kashtiyan logon ko mowafiq hawa kay zariye ley ker chalti hain aur woh log inn say khush hotay hain inn per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur her taraf say unn per mojen uthti chali aati hain aur woh samajhtay hain kay (buray) aa ghiray (ussa waqat) sab khalis aetiqaad ker kay Alla hi ko pukartay hain kay agar tu hum ko iss say bacha ley to hum zaroor shukar guzaar bann jayen.

10.23 Phri jab Allah Taalaa unn ko bacha leta hai to foran hi woh zamin mein na haq sirkashi kerney lagtay hain aey logo! Yeh tumhari sirkashi tumharay liye wabaal honey wali hai dunyawi zindagi kay (chand) faeeday hain phir humaray pass tum ko aana hai phir hum sab tumhara kiya hua tum ko batla den gay.

10.24 Pus duniyawi zindagi ki halat to aisi hai jaisay hum ney aasman say pani barsaya phir uss say zamin ki nabataat jin ko aadmi aur chopaye khatay hain khoob gunjaan ho ker nikli. Yahan tak kay jab woh zamin apni ronaq ka poora hissa ley chuki aur uss ki khoob zebaeesh hogaee aur uss kay malikon ney samajh liya kay abb hum iss per bilkul qabiz ho chukay to din mein ya raat mein iss per humari taraf say koi hukum (azab) aa para so hum ney uss ko aisa saaf ker diya kay goya kal woh mojood hi na thay hum issi tarah aayat ko saaf saaf biyan kertay hainaisay logon kay liye jo sochtay hain.

10.25 Aur Allah Taalaa salamti kay ghar ki taraf tum ko bulata hai aur jiss ko chahata hai raah-e-raast per chalney ki tofiq deta hai.

10.26 Jin logon ney neki ki hai unn kay wastay khoobi hai aur mazeed baran bhi aur unn kay chehron per na siayahi chahaye gi aur na zillat yeh log jannat mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rehen gay.

10.27 Aur jin logon ney bad kaam kiye unn ki badi ki saza uss kay barabar milay gi aur unn ko zillat chahaye gi unn ko Allah Taalaa say koi na bacha sakay ga. Goya unn kay chehron per andheri raat kay parat kay parat lapet diye gaye hain. Yeh log dozakh mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rahen gay.

10.28 Aur woh din bhi qabil-e-ziker hai jiss roz hum inn sab ko jama keren gay phir mushrikeen say kahen gay kay tum aur tumharay shareek apni jagah thehro phir hum inn kay aapas mein phoot daal den gay aur inn kay woh shurka kahen gay kay tum humari ibadat nahi kertay thay.

10.29 So humaray tumharya darmiyan Allah kafi hai gawah kay tor per kay hum ko tumhari ibadat ki khabar bhi na thi.

10.30 Uss muqam per her shaks apney aglay kiye huye kaamon ki jaanch ker ley ga aur yeh log Allah ki taraf jo inn ka malik-e-haqeeqi hai lotaye jayen gay aur jo kuch jhoot bandha kertay thay sab unn say ghaeeb hojayen gay.
http://qurantube.blogspot.com/


10.31 Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko aasman aur zamin say rizq phonchata hai ya woh kaun hai jo kanon aur aankhon per poora ikhtiyar rakhta hai aur woh kaun hai jo zinda ko murda say nikalta hai aur murda ko zinda say nikalta hai aur woh kaun hai jo tamam kaamon ki tadbeeren kerta hai? Zaroor woh yehi kahen gay kay “Allah” to unn say kahiye phir kiyon nahi dartay.

10.32 So yeh hai Allah Taalaa jo tumahra rab haqeeqi hai. Phir haq kay baad aur kiya reh gaya ba-juz gumrahi kay phir kahan phiray jatay ho. Issi tarah aap kay rab ki yeh baat kay yeh eman na layen gay tamam fasiq logon kay haq mein sabit ho chuki hai.

10.33 Aap yun kahiye kay kiya tumharay shurka mein koi aisa hai jo pehli baar bhi peda keray phir doobara bhi peda keray? Aap keh dijiye kay Allah hi pehli baar peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga. Phir tum kahan phiray jatay ho?

10.34 Aap kahiye kay tumharay shurka mein koi aisa hai kay haq ka raasta batata ho? Aap keh dijiye kay Allah hi haq ka raasta batata hai. To phir aaya jo shaks haq ka raasta batata ho woh ziyada ittabaa kay laeeq hai ya woh shaks jiss ko baghair bataye khud hi raasta na soojhay? Pus tum ko kiya hogaya hai tum kaisay faislay kertay ho.

10.35 Aur inn mein say aksar log sirf gumaan per chal rahey hain. Yaqeenan gumaan haq (ki maarfat) mein kuch bhi kaam nahi dey sakta yeh jo kuch ker rahey hain yaqeenan Allah ko sab khabar hai.

10.36 Aur yeh quran aisa nahi hai kay Allah (ki wahee) kay baghair (apney hi say) gharr liya gaya ho. Bulkay yeh to (unn kitabon ki) tasdeeq kerney wala hai jo iss kay qabal (nazil) ho chuki hain aur kitab (ehkaam-e-zarooriya) ki tafseel biyan kerney wala hai iss mein koi baat shak ki nahi kay rab-ul-aalameen ki taraf say hai.

10.37 Kiya yeh log yun kehtay hain kay aap ney iss ko gharr liya hai? Aap keh dijiye kay phir tum iss ki misil aik hi surat lao aur jin jin ghair Allah ko bula sako bula lo agar sachay ho.

10.38 Bulkay aisi cheezon ki takzeeb kerney lagay jiss ko apney ehaat-e-ilmi mein nahi laye aur hanooz inn ko iss ka akheer nateeja nahi mila.

10.39 Jo log inn say pehlay huye hain issi tarah unhon ney bhi jhutlaya tha so dekh lijiye unn zalimon ka anjam kaisa hua?

10.40 Aur inn mein say baaz aisay hain jo iss per eman ley aayen gay aur baaz aisay hain kay iss per eman na layen gay. Aur aap ka rab mufisdon ko khoob janta hai.
http://qurantube.blogspot.com/


10.41 Aur agar aap ko jhutlatay rahen to yeh keh dijiye kay meray liye mera amal aur tumhara liye tumhara amal tum meray amal say bari ho aur mein tumharay amal say bari hun.

10.42 Aur inn mein say baaz aisay hain jo aap ki taraf kaan lagaye bethay hain. Kiya aap behron ko sunatay hain go unn ko samajh bhi na ho?

10.43 Aur inn mein baaz aisay hain jo aap ko takk rahey hain. Phir kiya aap andhon ko raasta dikhlana chahatay hain go inn ko baseerat bhi na ho?

10.44 Yeh yaqeeni baat hai kay Allah logon per kuch zulm nahi kerta lekin log khud hi apni janon per zulm kertay hain.

10.45 Aur inn ko woh din yaad dulaiye jiss mein Allah inn ko (apney huzoor) jama keray ga (to inn ko aisa mehsoos hoga) kay goya woh (duniya mein) saray din ki aik aadh ghari rahey hongay aur aapas mein aik doosray ko pehchanney ko thehray hon. Waqaee khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah kay pass janey ko jhutlaya aur woh hudayat paney walay na thay.

10.46 Aur jiss ka inn say hum wada ker rahey hain uss mein say kuch thora sa agar hum aap ko dikhla den ya (unn kay zahoor say pehlay) hum aap ko wafat dey den so humaray pass to inn ko aana hi hai. Phir Allah inn kay sab afaal per gawah hai.

10.47 Aur her ummat kay liye aik rasool hai so jab unn kay woh rasool aa chukta hai unn ka faisla insaf kay sath kiya jata hai aur unn per zulm nahi kiya jata.

10.48 Aur yeh log kehtay hain kay yeh wada kab hoga? Agar tum sachay ho.

10.49 Aap farma dijiye kay mein apni zaat kay liye to kissi nafay ka aur kissi zarrar ka ikhtiyar rakhta hi nahi magar jitna Allah ko manzoor ho. Her ummat kay liye aik moyyen waqt hai jab unn ka woh moyyen waqt aa phonchta hai to aik ghari na peechay hatt saktay hain aur na aagay sirak saktay hain.

10.50 Aap farma dijiye kay yeh batlao kay agar tum per Allah ka azab raat ko aa paray ya din ko to azab mein konsi cheez aisi hai kay mujrim log iss ko jaldi maang rahey hain.
http://qurantube.blogspot.com/

10.51 Kiya phir jab woh aa hi paray ga uss per eman lao gay. Haan abb mana! Halankay tum iss ki jaldi machaya kertay thay.

10.52 Phri zalimon say kaha jayega ka hamesha ka azab chakho. Tum ko to tumharay kiye ka hi badla mila hai.

10.53 Aur woh aap say daryaft kertay hain kay kiya azab waqaee sach hai? Aap farma dijiye kay haan qasam hai meray rab ki woh waqaee sach hai aur tum kissi taraf Allah ko aajiz nahi ker saktay.

10.54 Aur agar her jaan jiss ney zulm (shirk) kiya hai kay pass itna ho kay sari zamin bhar jaye tab bhi uss ko dey ker apni jaan bachaney lagay aur jab azab ko dekhen gay tp pasheymani ko posheeda rakhen gay. Aur inn ka faisla insaf kay sath hoga. Aur inn per zulm na hoga.

10.55 Yaad rakho kay jitni cheezen aasmanon aur zamin mein hain sab Allah hi kay mulk mein hain. Yaad rakho kay Allah Taalaa ka wada sacha hai lekin boht say aadmi ilm nahi rakhtay.

10.56 Wohi jaan dalta hai aur wohi jaan nikalta hai aur tum sab ussi kay pass laye jaogay.

10.57 Aey logo! Tumharay pass tumhara rab ki taraf say aik aisi cheez aaee hai jo naseehat hai aur dilon mein jo rog hain unn kay liye shifa hai aur rehnumaee kerney wali hai aur rehmat hai eman walon kay liye.

10.58 Aap keh dijiye kay bus logon ko Allah key iss inam aur rehmat per khush hona chahaiye. Woh iss say ba-darjaha behtar hai jiss ko woh jama ker rahey hain.

10.59 Aap kahiye kay yeh to batao kay Allah ney tumharay liye jo kuch rizq bheja tha phri tum ney uss ka kuch hissa haram aur kuch halal qarar dey liya. Aap poochiye kay kiya tum ko Allah ney hukum diya tha ya Allah per iftra hi kertay ho?

10.60 Aur jo log Allah per jhoot iftrra bandhtay hain unn ka qayamat ki nisbat kiya gumaan hai? Waqaee logon per Allah Taalaa ka bara hi fazal hai lekin aksar aadmi shukar nahi kertay.
http://qurantube.blogspot.com/

10.61 Aur aap kissi haal mein hon aur munjmila inn ehwaal kay aap kahin say quran parhtay hon aur jo kaam bhi kertay hon hum ko sab ki khabar rehti hai jab tum uss kaam mein mashghool hotay ho. Aur aap kay rab say koi cheez zarra barabar bhi ghaeeb nahi na zamin mein aur na aasman mein aur na koi cheez uss say choti aur na koi cheez bari magar yeh sab kitab-e-mubin mein hai.

10.62 Yaad rakho kay Allah kay doston per na koi andesha hai aur na woh ghumgeen hotay hain.
10.63 Yeh woh log hain jo eman laye aur (buraiyon say) perhez rakhtay hain.

10.64 Inn kay liye dunyawi zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi khushkhabri hai Allah Taalaa ki baaton mein kuch farq hua nahi kerta. Yeh bari kaamyabi hai.

10.65 Aur aap ko inn ki baaten ghum mein na daalen. Tamam tar ghalba Allah hi kay liye hai woh sunta janta hai.

10.66 Yaad rakho kay jitney kuch aasman mein hain aur jitney zamin mein hain yeh sab Allah hi kay hain aur jo log Allah ko chor ker doosray shurka ki ibadat ker rahey hain kiss cheez ki ittabaa ker rahey hain aur mehaz atkalen laga rahey hain.

10.67 Woh aisa hi hai jiss ney tumharay liye raat banaee takay tum iss mein aaram kero aur din bhi iss tor per banaya kay dekhney bhalney ka zariya hai tehqeeq iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo suntay hain.

10.68 Woh kehtay hain kay Allah aulad rakhta hai. Subhan Allah! Woh to kissi ka mohtaj nahi ussi ki milkiyat hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Tumharay pass iss per koi daleel nahi. Kiya Allah kay zimmay aisi baat lagatay ho jiss ka tum ilm nahi rakhtay.

10.69 Aap keh dijiye kay jo log Allah per jhoot iftra kertay hain woh kaamyab na hongay.

10.70 Yeh duniya mein thora sa aish hai phir humaray pass inn ko aana hai phir hum inn ko inn kay kufur kay badlay sakht azab chakhayen gay.
http://qurantube.blogspot.com/

10.71 Aur aap inn ko nooh (alh-e-salam) ka qissa parh ker sunaiye jab kay unhon ney apni qom say farmaya kay aey meri qom! Agar tum ko mera rehna aur ehkaam-e-elahi ki naseehat kerna bhari maloom hota hai to mera to Allah hi per bharosa hai. Tum apni tadbeer maaye apney shurka kay pukhta kerlo phir tumhari tadbeer tumhari ghuttan ka baees nahi honi chahaiye. Aur phir meray sath ker guzro aur mujh ko mohlat na do.

10.72 Phir bhi agar tum aeyraaz hi kiye jao to mein ney tum say koi maawza to nahi maanga mera maawza to sirf Allah hi kay zimmay hai aur mujh ko hukum kiya gaya hai kay mein musalmanon mein say rahon.

10.73 So woh log inn ko jhutlatay rahey pus hum ney inn ko aur jo inn kay sath kashti mein thay unn ko nijat di aur unn ko janasheen banaya aur jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya tha unn ko gharq ker diya. So dekhna chahaiye kaisa anjam hua unn logon ka jo daraye jaa chukay thay.

10.74 Phir nooh (alh-e-salam) kay baad hum ney aur rasoolon ko unn ki qom ki taraf bheja so woh unn kay pass roshan daleelen ley ker aaye pus jiss cheez ko unhon ney awwal mein jhoota keh diya yeh na hua ka phir uss ko maan letay. Allah Taalaa issi tarah hadd say barhney walon kay dilon per band laga deta hai.

10.75 Phir inn payghumbaron kay baad hum ney musa (alh-e-salam) aur haroon (alh-e-salam) ko firaon aur uss kay sardaron kay pass apni nishaniyan dey ker bheja. So unhon ney takabbur kiya aur woh log mujrim qom thay.

10.76 Phir jab unn ko humaray pass say sahih daleel phonchi to woh log kehney lagay kay yaqeenan yeh sareeh jadoo hai.

10.77 Musa (alh-e-salam) ney farmaya kay kiya tum iss sahih daleel ki nisbat jabkay woh tumharay pass phonchi aisi baat kehtay ho kiya yeh jadoo hai halankay jadoogar kaamyab nahi hua keray.

10.78 Woh log kehney lagay kiya tum humaray pass iss liye aaye ho kay hum ko iss tareeqay say hata do jiss per hum ney apney baap dadon ko paya hai aur tum dono ko duniya mein baraee mill jaye aur hum tum dono ko kabhi na manen gay.

10.79 Aur firaon ney kaha meray pass tamam maahir jadoogaron ko hazir kero.

10.80 Phir jab jadoogar aaye to musa (alh-e-salam) ney unn say farmaya kay dalo jo kuch tum dalney walay ho.
http://qurantube.blogspot.com/

10.81 So jab unhon ney dala to musa (alh-e-salam) ney farmaya kay yeh jo kuch tum laye ho jadoo hai. Yaqeeni baat hai kay Allah iss ko abhi darhum barhumkiye deta hai Allah aisay dasadiyon ka kaam bannay nahi deta.

10.82 Aur Allah Taalaa haq ko apney farmaan say sabit ker deta hai go mujrim kaisa hi na gawar samjhen.

10.83 Pus musa (alh-e-salam) per unn ki qom mein say sirf qadray qaleel aadmi eman laye woh bhi firaon say aur apney hukkaam say dartay dartay kay kahin unn ko takleef phonchaye uss mulk mein firaon tha bhi sirkash aur tha bhi woh insaf ki hadd say guzar janey walon mein.

10.84 Aur musa (alh-e-salam) ney farmaya aey meri qom! Agar tum Allah per eman rakhtay ho to ussi per tawakkal kero agar tum musalman ho.

10.85 Unhon ney arz kiya kay hum ney Allah hi per tawakkal kiya. Aey humaray perwerdigar! Hum ko inn zalimon kay liye fitna na bana.

10.86 Aur hum ko apni rehmat say inn kafir logon say nijat dey.

10.87 Aur hum ney musa (alh-e-salam) aur unn kay bhai kay pass wahee bheji kay tum dono apney unn logon kay liye misir mein ghar bar-qarar rakho aur tum sab apney enhi gharon ko namaz parhney ki jagah qarar dey lo aur namaz kay paband raho aur aap musalmanon ko bisharat dey den.

10.88 Aur musa (alh-e-salam) ney arz kiya aey humaray rab! Tu ney firaon ko aur uss kay sardaron ko saman-e-zeenat aur tarah tarah kay maal dunayawi zindagi mein diye. Aey humaray rab! (issi wastay diye hain kay) woh teri raah say gumrah keren. Aey humaray rab! Unn kay malon ko neest-o-nabood ker dey aur unn kay dilon ko sakht ker dey so yeh eman na laa payen yahan tak kay dard naak azab ko dekh len.

10.89 Haq Taalaa ney farmaya kay tum dono ki dua qabool ker li gaeeso tum sabit qadam raho aur unn logon ki raah na chalna jin ko ilm nahi.

10.90 Hum ney bani israeel ko darya say paar ker diya phir unn kay peechay peechay firaon apney lashkar kay sath zulm aur ziyadti kay iraday say chala yahan tak kay jab dobney laga to kehney laga mein eman lata hun kay jiss per bani israeel eman laye hain uss kay siwa koi mabood nahi aur mein musalman mein say hun.
http://qurantube.blogspot.com/

10.91 (jawab diya gaya kay) abb eman lata hai? Aur pehlay sirkashi kerta raha aur mufsidon mein dakhil raha.

10.92 So aaj hum sirf teri laash ko nijat den gay takay tu unn kay liye nishan-e-ibrat ho jo teray baad hain aur haqeeqat yeh hai kay boht say aadmi humari nishaniyon say ghafil hain.

10.93 Aur hum ney bani israeel ko boht acha thikana rehney ko diya aur hum ney unhen pakeezah cheezen khaney ko den. So unhon ney ikhtilaf nahi kiya yahan tak kay unn kay pass ilm phonch gaya. Yaqeeni baat hai kay aap ka rab unn kay darmiyan qayamat kay din unn umoor mein faisla ker dey ga jinn mein woh ikhtilaf kertay thay.

10.94 Phir agar aap iss ki taraf say shak mein hon jiss ko hum ney aap kay pass bheja hai to aap unn logon say pooch dekhiye jo aap say pehlay kitabon ko parhtay hain. Be-shak aap kay pass aap kay rab ki taraf say sachi kitab aaee hai. Aap hergiz shak kerney walon mein say no hon.

10.95 Aur na unn logon mein say hon jinhon ney Allah Taalaa ki aayaton ko jhutalaya kahin aap khasara paaney walon mein say na hojayen.

10.96 Yaqeenan jin logon kay haq mein aap kay rab ki baat sabit ho chuki hai woh eman na layen gay.

10.97 Go inn kay pass tamam nishaniyan phonch jayen jab tak kay woh dard naak azab ko na dekh len.

10.98 Chunacha koi basti eman na laee kay eman lana uss ko nafey hota siwaye younus (alh-e-salam) ki qom kay. Jab woh eman ley aaye to hum ney ruswaee kay azab ko dunyawi zindagi mein unn per say taal diya aur unn ko aik waqt (khas) tak kay liye zindagi say faeeda uthaney (ka moqa) diya.

10.99 Aur agar aap ka rab chahata to tamam roy-e-zamin kay log sab kay sab eman latay to kiya aap logon per zabardasti ker saktay hain yahan tak kay woh momin hi ho jayen.

10.100 Halankay kissi shaks ka eman lana Allah kay hukum kay baghair mumkin nahi. Aur Allah Taalaa bey aqal logon per gandagi daal deta hai.

10.101 Aap keh dijiye kay tum ghor kero kay kiya kiya cheezen aasmanon mein aur zamin mein hain aur jo log eman nahi latay unn ko nishaniyan aur dhamkiyan kuch faeeda nahi phonchatin.
http://qurantube.blogspot.com/


10.102 So woh log sirf unn logon kay say waqiyaat ka intizar ker rahey hain jo inn say pehlay guzr chukay hain. Aap farma dijiye kay acha to tum intizar mein raho mein bhi tumharay sath intizar kerney walon mein hun.

10.103 Phir hum apney payghumbaron ko aur eman walon ko bacha letay thay issi tarah humaray zimmay hai kay hum eman walon ko nijat diya kertay hain.

10.104 Aap keh dijiye kay aey logo! Tum meray deen ki taraf say shak mein ho to mein inn maboodon ki ibadat nahi kerta jin ki tum Allah ko chor ker ibadat kertay ho lekin haan uss Allah ki ibadat kerta hun jo tumhari jaan qabz kerta hai. Aur mujh ko yeh hukum hua hai kay mein eman laney walon mein say hun.

10.105 Aur yeh kay apna rukh yaksoo hoker (iss) deen ki taraf ker lena aur kabhi mushrikon mein say na hona.

10.106 Aur Allah ko chor ker aisi cheez ki ibadat mat kerna jo tujh ko na koi nafa phoncha sakay aur na koi zarrar phoncha sakay. Phir agar aisa kiya to tum iss halat mein zalimon mein say ho jao gay.

10.107 Aur agar tum ko Allah koi takleef phonchaye to ba-juz uss kay aur koi uss ko door kerney wala nahi hai aur agar woh tum ko koi khair phonchana chahaye to uss kay fazal ka koi hataney wala nahi woh apna fazal apney bandon mein say jiss per chahaye nichawar kerdey aur woh bari maghfirat bari rehmat wala hai.

10.108 Aap keh dijiye kay aey logo! Tumharay pass haq tumharay rab ki taraf say phonch chuka hai iss liye jo shaks raah-e-raast per aajaye so woh apney wastay raah-e-raast per aaye ga aur jo shaks bey raah rahey ga uss ka bey raah hona ussi per paray ga aur mein tum per musallat nahi kiya gaya.

10.109 Aur aap uss ki ittabaa kertay rahiye jo kuch aap kay pass wahee bheji jati hai aur sabar kijiye yahan tak kay Allah faisla ker dey aur woh sab faisla kerney walon mein acha hai.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Hood 11
(Sura-Hood Makka mai Nazil hui, is mai aikso-taees (123) Aayatain hain)


11.01 Alif-laam-raa yeh aik aisi kitab hai kay iss ki aayaten mohkum ki gaee hain phir saaf saaf biyan ki gaee hain aik hakeem ba khabar ki taraf say.

11.02 Yeh kay Allah kay siwa kissi ki ibadat mat kero mein tum ko Allah ki taraf say daraney wala aur bisharat denay wala hun.

11.03 Aur yeh kay tum apney gunah apney rab say moaf kerao phir ussi ki taraf mutawajja raho woh tum ko waqt-e-muqarrara tak acha saman (zindagi) dey ga aur her ziyada amal kerney walay ko ziyada sawab dey ga. Aur agar tum log aeyraaz kertay rahey to mujh ko tumharay liye aik baray din kay azab ka andesha hai.

11.04 Tum ko Allah hi kay pass jana hai aur woh her shey per poori qudrat rakhta hai.

11.05 Yaad rakho woh log apney seenon ko dohra kiye detay hain takay apni baaten (Allah) sau chupa saken. Yaad rakho kay woh log jiss waqt apney kapray lapettay hain woh uss waqt bhi sab janta hai jo kuch chupatay hain aur jo kuch woh zahir kertay hain. Bil yaqeen woh dion kay andar ki baaten janta hai.

1 comment:

Adbox