Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 13

Parah-Wama-Ubarriyo 13 

Surat-Yousuf 12
(Sura-Yousuf Makka mai Nazil hui, is mai aikso-giyara (111) Aayatain hain)

12.53 Mein apney nafs ki pakeezgi biyan nahi kerta. Be-shak nafs to buraee per ubharney wala hi hai magar yeh kay mera perwerdigar hi apna reham keray yaqeenan mera paalney wala bari bakhsish kerney wala aur boht meharbani farmaney wala hai.

12.54 Badshah ney kaha issay meray pass lao kay mein ussay apney khas kaamon kay liye muqarrar ker loon phir jab uss say baat cheet ki to kehney laga kay aap humaray haan aaj say zee izzat aur amant daar hain.

12.55 (Yousuf ney) kaha aap mujhay mulk kay khazano per muqarrar ker dijiye mein hifazat kerney wala aur ba khabar hun.

12.56 Issi tarah hum ney yousuf (alh-e-salam) ko mulk ka qabza dey diya. Kay woh jahan kahin chahaiye rahey sahey hum jisay chahayen apni rehmat phoncha detay hain. Hum neko kaaron ka sawab zaya nahi kertay.

12.57 Yaqeenan eman daron aur perhezgaron ka ukhrawi ajar boht hi behtar hai.

12.58 Yousuf kay bhai aaye aur yousuf kay pass gaye to uss ney unhen pehchan liya aur unhon ney ussay na pehchana.

12.59 Jab unhen unn ka asbaab muhayya ker diya to kaha kay tum meray pass apney uss bhai ko bhi lana j tumharay baap say hai kiya tum ney nahi dekha kay mein poora naap ker deta hun aur mein hun bhi behtareen maizbaani kerney walon mein.

12.60 Pus agar tum ussay ley ker pass na aaye to meri taraf say tumhen koi naap bhi na milay bulkay tum meray qarib bhi na phatakna.
http://qurantube.blogspot.com/

12.61 Unhon ney kaha acha hum uss kay baap ko uss ki babat phuslayen gay aur poori kosish keren gay.

12.62 Apney khidmat garon say kaha kay inn ki poonji enhi ki boriyon mein rakh do kay jab lot ker apney ehal-o-ayal mein jayen aur poonjiyon ko pehchan len to boht mumkin hai kay yeh phir lot ker aayen.

12.63 Jab yeh log lot ker apney walid kay pass gaye to kehney lagay kay hum say to ghallay ka naap rok liye gaya. Abb aap humaray sath humaray bhai ko bhejiye kay hum paymana bhar ker layen hum uss ki nigehbani kay zimmay daar hain.

12.64 (Yaqoob alh-e-salam) ney kaha mujhay to iss ki babat tumhara waisa hi aitbaar hai jaisa kay iss say pehlay iss kay bhai kay baray mein tha bus Allah hi behtareen hafiz hai aur woh sab meharbano say bara meharban hai.

12.65 Jab unhon ney apna asbaab khola to to apna sarmaya mojood paya jo unn ki janib lota diya gaya tha. Kehney lagay aey humaray baap humen aur kiya chahaiye. Dekhiye to yeh humara sarmaya bhi humen wapis lota diya gaya hai. Hum apney khaandan ko rasad laa den gay aur apney bhai ki nigrani bhi rakhen gay aur aik oont kay bojh ka ghalla ziyada layen gay. Yeh naap to boht aasan hai.

12.66 Yaqoob (alh-e-salam) ney kaha! Mein to issay hergiz hergiz tumharay sath nahi bhejon ga jabtak tum Allah ko beech mein rakh ker mujhay qol-o-qarar na do kay tum issay meray pass phoncha do gay siwaye uss aik soorat kay tum sab giriftaar ker liye jao. Jab enhon ney pakka qol-o-qarar dey diya to enhon ney kaha kay hum jo kuch kehtay hain Allah uss per nigehban hai.

12.67 Aur (yaqoob alh-e-salam) ney kaha aey meray bacho! Tum sab aik darwazay say na jana bulkay kaee juda juda darwazon mein say dakhil hona. Mein Allah ki taraf say aaney wali kissi cheez ko tum say nahi taal sakta. Hukum sirf Allah hi ka chalta hai. Mera kaamil bharosa ussi per hai aur her aik bharosa kerney walay ko ussi per bharosa kerna chahaiye.

12.68 Jab woh unhi raaston say jin ka hukum unn kay walid ney unhen diya tha gaye kuch na tha kay Allah ney jo baat muqarrar ker di hai woh iss say unhen zara bhi bacha ley. Magar yaqoob (alh-e-salam) kay dil mein aik khayal (peda hua) jissay uss ney poora ker liya bila shuba woh humaray sikhlaye huye ilm ka aalim tha lekin aksar log nahi jantay.

12.69 Yeh sab jab yousuf kay pass phonch gaye to uss ney apney bhai ko apney pass bitha liya aur kaha kay mein tera bhai (yousuf) hun pus yeh jo kuch kertay rahey uss ka kuch ranj na ker.

12.70 Phir jab unhen unn ka saman asbaab theek thaak ker kay diya to apney bhai kay asbaab mein pani ka piyala rakh diya. Phir aik aawaz denay walay ney pukar ker kaha aey qafilay walo! Tum log to chor ho.
http://qurantube.blogspot.com/

12.71 Enhon ney unn ki taraf mun pher ker kaha kay tumhari cheez khoi gaee hai?

12.72 Jawab diya kay shahi paymana gumm hai jo issay ley aaye ussay aik oont kay bojh ka ghalla milay ga. Iss waday kay mein zaamin hun.

12.73 Enhon ney kaha Allah ki qasam! Tum ko khoob ilm hai kay hum mulk mein fasad phelaney kay liye nahi aaye aur na hum chor hain.

12.74 Enhon ney kaha acha chor ki kiya saza hai agar tum jhootay ho?

12.75 Jawab diya kay uss ki saza yehi hai kay jiss kay asbaab mein say paya jaye wohi uss ka badla hai. Hum to aisay zalimon ko yehi saza diya kertay hain.

12.76 Pus yousuf ney inn kay saman ki talash kerna shuroo ki apney bhai kay saman ki talashi say pehlay phir uss paymaney ko apnay bhai kay saman (zanbeel) say nikala. Hum ney yousuf kay liye issi tarah yeh tadbeer ki. Uss badshah kay qanoon ki roo say yeh apney bhai ko na ley sakta tha magar yeh kay Allah ko manzoor ho. Hum jiss kay chahayen darjay buland ker den her zee ilm per foqiyat rakhney wala doosra zee ilm mojood hai.

12.77 Enhon ney kaha kay agar iss ney chori ki (to koi tajjub ki baat nahi) iss ka bhai bhi pehlay chori ker chuka hai yousuf (alh-e-salam) ney iss baat ko apney dil mein rakh liya aur inn kay samney bilkul zahir na kiya. Kaha kay tum bad tar jagah mein ho aur jo tum biyan kertay ho ussay Allah hi khoob janta hai.

12.78 Enhon ney kaha aey aziz-e-misir! Iss kay walid boht bari umar kay bilkul boorhay shaks hain. Aap iss kay badlay hum mein say kissi ko ley lijiye. Hum dekhtay hain kay aap baray nek nafs hain.

12.79 Yousuf (alh-e-salam) ney kaha hum ney jiss kay pass apni cheez paee hai uss kay siwa doosray ki giriftari kerney say Allah ki panah chahatay hain aisa kerney say to hum yaqeenan na insafi kerney walay hojayen gay.

12.80 Jab yeh iss say mayus hogaye to tanahee mein beth ker mashwara kerney lagay. Inn mein jo sab say bara tha uss ney kaha tumhen maloom nahi kay tumharay walid ney tum say Allah ki qasam ley ker pukhta qol-o-qarar liya hai aur iss say pehlay yousuf kay baray mein tum kotahi ker chukay ho. Pus mein to iss sir zamin say na taloo ga jabtak walid shab khud mujhay ijazat na den ya Allah Taalaa meray iss moamlay ka faisla ker den wohi behtareen faisla kerney wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/

12.81 Tum sab walid shab ki khidmat mein wapis jao aur kaho kay abba ji! Aap kay shabzaday ney chori ki aur hum ney wohi gawahi di thi jo hum jantay thay. Hum kuch ghaib ki hifazat kerney walay na thay.

12.82 Aap uss shehar kay logon say daryaft farma len jahan hum thay aur uss qafilay say bhi pooch len jiss kay sath hum aaye hain aur yaqeenan hum bilkul sachay hain.

12.83 (Yaqoob alh-e-salam ney) kaha yeh to nahi bulkay tum ney apni taraf say baat bana li pus abb sabar hi behtar hai. Qarib hai kay Allah Taalaa inn sab ko meray pass hi phoncha dey. Wohi ilm-o-hikmat wala hai.

12.84 Phir unn say mun pher liya aur kaha haaye yousuf! Inn ki aankhen ba waja ranj-o-ghum kay safaid ho chuki thin aur woh ghum ko dabaye huye thay.

12.85 Beton ney kaha wallah! Aap hamesha yousuf ki yaad mein hi lagay rahen gay yahan tak kay ghul jayen ya khatam hi ho jayen.

12.86 Unhon ney kaha mein to apni pareshaniyon aur ranj ki faryad Allah hi say ker raha hun mujhay Allah ki taraf say woh baaten maloom hain jo tum nahi jantay.

12.87 Meray piyaray bacho! Tum jao aur yousuf (alh-e-salam) ki aur uss kay bhai ki poori talash kero aur Allah ki rehmat say na umeed na ho. Yaqeenan rab ki rehmat say na umeed wohi hotay hain jo kafir hotay hain.

12.88 Phir jab yeh log yousuf (alh-e-salam) kay pass phonchay to kehney lagay aey aziz! Hum ko aur humaray khaandan ko dukh phoncha hai. Hum haqeer poonji laye hain pus aap humen pooray ghallay ka naap dijiye aur hum per kheyraat kijiye Allah Taalaa kheyraat kerney walon ko badla deta hai.

12.89 Yousuf ney kaha kay jantay bhi ho kay tum ney yousuf aur uss kay bhai kay sath apni nadani ki halat mein kiya kiya?

12.90 Unhon ney kaha kiya (waqaee) tu hi yousuf (alh-e-salam) hai. Jawab diya kay haan mein yousuf (alh-e-salam) hun aur yeh mera bhai hai. Allah ney hum per fazal-o-karam kiya. Baat yeh hai kay jo bhi perhezgari aur sabar keray to Allah Taalaa kissi neko kaar ka ajar zaya nahi kerta.
http://qurantube.blogspot.com/


12.91 Unhon ney kaha Allah ki qasam! Allah Taalaa ney tujhay hum per bartari di hai aur yeh bhi bilkul sach hai kay hum khata kaar thay.

12.92 Jawab diya aaj tum per koi malamat nahi. Allah tumhen bakhshay woh sab meharbano say bara meharban hai.

12.93 Mera yeh kurta tum ley jao aur issay meray walid kay mun per daal do kay woh dekhney lagen aur aajayen aur apney tamam khaandan ko meray pass ley aao.

12.94 Jab yeh qafila juda hua to unn kay walid ney kaha mujhay to yousuf ki khushboo aarahi hai agar tum mujhay sathyaya hua qarar na do.

12.95 Woh kehney lagay kay wallah apney issi puraney khabt mein mubtila hain.

12.96 Jab khushkhabri denay walay ney phonch ker unn kay mun per woh kurta dala ussi waqt woh phir say beena hogaye. Kaha! Kiya mein tum say na kaha kerta tha kay mein Allah ki taraf say woh baaten janta hun jo tum nahi jantay.

12.97 Enhon ney kaha abba ji! Aap humaray liye gunahon ki bakhsish talab kijiye be-shal hum qusoor waar hain.

12.98 Kaha acha mein jald hi tumharay liye apney perwerdigar say bakhsish maangoo ga woh boht bara bakhshney wala aur nihayat meharbani kerney wala hai.

12.99 Jab yeh sara gharana yousuf kay pass phonch gaya to yousuf ney apney maa baap ko apney pass jagah di aur kaha kay Allah ko manzoor hai to aap sab aman-o-amaan kay sath misir mein aao.

12.100 Aur apney takht per apney maa baap ko ooncha bithaya aur sab uss kay samney sajday mein girr gaye. Tab kaha kay abba ji! Yeh meray pehlay kay khuwab ki tabeer hai meray rab ney ussay sacha ker dikhaya uss ney meray sath bara ehsan kiya jab kay mujhay jail khaney say nikala aur aap logon ko sehra say ley aaya uss ikhtilaaf kay baad jo shetan ney mujh mein aur meray bhaiyon mein daal diya tha. Mera rab jo chahaye uss kay liye behtareen tadbeer kerney wala hai. Aur woh boht ilm-o-hikmat wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/

12.101 Aey meray perwerdigar! Tu ney mujhay mulk ata farmaya aur tu ney mujhay khuwab ki tabeer sikhlaee. Aey aasman-o-zamin kay peda kerney walay! Tu hi duniya aur aakhirat mein mera wali (dost) aur kaar saaz hai tu mujhay islam ki halat mein fot ker aur neko mein mila dey.

12.102 Yeh ghaib ki khabron mein say hai jiss ki hum aap ki taraf wahee ker rahey hain. Aap unn kay pass na thay jab kay unhon ney apni baat thaan li thi aur woh fareb kerney lagay thay.

12.103 Go aap laakh chahayen lekin aksar log eman daar na hongay.

12.104 Aap inn say iss per koi ujrat talab nahi ker rahey hain. Yeh to tamam duniya kay liye niri naseehat hi naseehat hai.

12.105 Aasmanon aur zamin mein bhot si nishaniyan hain. Jin say yeh mun moray guzr rahey jatay hain.

12.106 Inn mein say aksar log ba-wajood Allah per eman rakhney kay bhi mushrik hi hain.

12.107 Kiya woh iss baat say bey khof hogaye hain kay inn kay pass Allah kay azabon mein say koi aam azab aajaye ya inn per achanak qayamt toot paray aur woh bey khabar hi hon.

12.108 Aap keh dijiye kay meri raah yehi hai. Mein aur meray muttabeyeen Allah ki taraf bula rahey hain pooray yaqeen aur aetmaad kay sath. Aur Allah pak hai aur mein mushrikon mein nahi.

12.109 Aap say pehlay basti walon mein hum ney jitney rasool bhejay hain sab mard hi thay jinki taraf hum wahee nazil farmatay gaye. Kiya zamin mein chal phir ker enhon ney dekha nahi kay inn say pehlay kay logon ka kaisa kuch anjam hua? Yaqeenan aakhirat ka ghar perhezgaron kay liye boht hi behtar hai kiya phir bhi tum nahi samajhtay.

12.110 Yahan tak kay jab rasool na umeed honey lagay aur woh (qom kay log) khayal kerney lagay kay unhen jhoot kaha gaya foran hi humari madad unn kay pass aa phonchi jissay hum ney chaha ussay nijat di gaee. Baat yeh hai kay humara azab gunehgaron say wapis nahi kiya jata.

12.111 Unn kay biyan mein aqal walon kay liye yaqeenan naseehat aur ibrat hai yeh quran jhoot banaee hui baat nahi bulkay yeh tasdeeq hai unn kitabon ki jo iss say pehlay ki hain khol khol ker biyan kerney wala hai her cheez ko aur hidayat ko aur rehmat hai eman daar logon kay liye.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Raad 13
(Sura-Raad Madina mai Nazil hui, is mai taintalees (43) Aayatain hain)


13.01 Alif -laam-meem-raa yeh quran ki aayaten hain aur jo kuch aap ki taraf aap kay rab ki janib say utara jata hai sab haq hai lekin aksar log eman nahi latay.

13.02 Allah woh hai jiss ney aasmanon ko baghair sutonon kay buland ker rakha hai kay tum ussay dekh rahey ho. Phir woh arsh per qarar pakray huye hai ussi ney sooraj aur chand ko ma-tehati mein laga rakha hai. Her aik miyad-e-moyyen per gasht ker raha hai wohi kaam ki tadbeer kerta hai woh apney nishanaat khol khol ker biyan ker raha hai kay tum apney rab ki mulaqat ka yaqeen kerlo.

13.03 Ussi ney zamin phela ker bicha di hai aur iss mein pahar aur nehren peda ker di hain. Aur iss mein her qisam kay phalon kay joray dohra dohray peda ker diye hain woh raat ko din say chupa deta hai. Yaqeenan ghor-o-fikar kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.

13.04 Aur zamin mein mukhtalif tukray aik doosray say lagtay lagatay hain aur angooron kay baghaat hain aur khet hain aur khujooron kay darakht hain shaakh daar aur baaz aisay hain jo bey shaakh hain sab aik hi pani pilaye jatay hain. Phir bhi hum aik ko aik per phalon mein bartari detay hain iss mein aql madon kay liye boht si nishaniyan hain.

13.05 Agar tujhay tajjub ho to waqaee unn ka yeh kehna ajeeb hai kay kiya jab hum mitti hojayen gay to kiya hum naee pedaeesh mein hongay? Yehi woh log hain jnhon ney apney perwerdigar say kufur kiya. Yehi hain jin ki gardano mein toq hongay. Aur yehi hain jo jahannum kay rehney walay hain jo iss mein hamesha hamesh rahen gay.

13.06 Aur jo tujh say (saza ki talbi mein) jaldi ker rahey hain rahat say pehlay hi yaqeenan inn say pehlay sazayen (bator misal) guzar chuki hain aur be-shak tera rab albata bakhshney wala hai logon kay bey jaa zulm per bhi. Aur yeh bhi yaqeeni baat hai kay tera rab bari sakht saza deney wala bhi hai.

13.07 Aur kafir kehtay hain kay iss per iss kay rab ki taraf say koi nishani (moajzza) kiyon nahi utari gaee. Baat yeh hai kay aap to sirf aagah ker denay walay hain aur her qom kay liye hadi hai.

13.08 Mada apney shikam mein jo kuch rakhti hai ussay Allah bakhoobi janta hai aur pet ka ghatna barhna bhi her cheez uss kay pass andazay say hai.

13.09 Zahir-o-posheeda ka woh aalim hai (sab say) bara aur (sab say) buland-o-bala.

13.10 Tum mein say kissi ka pani baat ko chupa ker kehna aur ba-aawaz-e-buland ussay kehna aur jo raat ko chupa ho aur jo din mein chal raha ho sab Allah per barabar-o-yaksan hain.
http://qurantube.blogspot.com/

13.11 Uss kay pehray daar insan kay aagay peechay muqarrar hain jo Allah kay hukum say iss ki nigehbani kertay hain. Kissi qom ki halat Allah Taalaa nahi badalta jabtak kay woh khud ussay na badlen jo unn kay dilon mein hai. Allah Taalaa jab kissi qom ki saza ka irada ker leta hai to woh badla nahi kerta aur siwaye uss kay koi bhi unn ka kaar saaz nahi.

13.12 Woh Allah hi hai jo tumhen bijli ki chamak daraney aur umeed dilaney kay liye dikhata hai aur bhari baadlon ko peda kerta hai.

13.13 Garj iss ki tasbeeh-o-tareef kerti hai aur farishtay bhi iss kay khof say. Wohi aasman say bijliyan girata hai aur jiss per chahata hai uss per dalta hai kuffaar Allah ki babat larr jhagar rahey hain aur Allah sakht qooat wala hai.

13.14 Ussi ko pukarna haq hai. Jo log auron ko iss kay siwa pukartay hain woh unn (ki pukar) ka kuch bhi jawab nahi detay magar jaisay koi shaks apney dono hath pani ki taraf phelaye huye ho kay uss kay mun mein parr jaye halankay woh pani uss kay mun mein phonchney wala nahi inn munkiron ki jitni pukar hai sab gumrahi mein hai.

13.15 Allah hi kay liye zamin aur aasmanon ki sab makhlooq khushi aur na aur na khushi say sajda kerti hai aur unn kay saye bhi subha-o-shaam.

13.16 Aap poochiye kay asmanon aur zamin ka perwerdigar kaun hai? Keh dijiye! Allah. Keh dijiye! Kiya tum phir bhi iss kay siwa auron ko himayati bana rahey ho jo khud apni jaan kay bhi bhalay buray ka ikhtiyar nahi rakhtay. Keh dijiye kay kiya andha aur beena barabar hosakta hai? Ya kiya andheriyan aur roshni barabar hosakti hai. Kiya jinhen yeh Allah kay shareek thehra rahey hain unhon ney bhi Allah ki tarah makhlooq peda ki hai kay inn ki nazar mein pedaeesh mushtaba hogaee ho keh dijiye kay sirf Allah hi tamam cheezon ka khaliq hai woh akela hai aur zabardast ghalib hai.

13.17 Ussi ney aasman say pani barsaya phir apni apni wusat kay mutabiq nalay beh niklay. Phir pani kay railay ney upper charhay jhaag ko utha liya aur uss cheez mein bhi jiss ko aag mein daal ker tapatay hain zewar ya saaz-o-saman kay liye issi tarah jay jhaag hain issi tarah Allah Taalaa haq-o-batil ki misal biyan farmata hai abb jhaag to nakara hoker chala jata hai lekin jo logon ko nafa denay wali cheez hai woh zamin mein thehri rehti hai Allah Taalaa issi tarah misalen biyan farmata hai.

13.18 Jin logon ney apney rab kay hukum ki baja aawri ki unn kay liye bhalee hai aur jin logon ney uss ki hukum bardari na ki agar unn kay liye zamin mein jo kuch hai sab kuch ho aur issi kay sath wisa hi aur bhi ho to woh sab kuch apney badlay mein dey den. Yehi hain jin kay liye bura hisab hai aur jin ka thikana jahannum hai jo boht buri jagah hai.

13.19 Kiya woh aik shaks jo yeh ilm rakhta ho kay aap ki taraf aap kay rab ki janib say jo utara gaya hai woh haq hai uss shaks jaisa ho sakta hai jo andha ho naseehat to woh qabool kertay hain jo aqal mand hon.

13.20 Jo Allah kay ehad (o-paymaan) ko poora kertay hain aur qol-o-qarar ko tortay nahi.
http://qurantube.blogspot.com/

13.21 Aur Allah ney jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai woh ussay jortay hain aur woh apney perwerdigar say dartay hain aur hisab ki sakhti ka andesha rakhtay hain.

13.22 Aur woh apney rab ki raza mandi ki talab kay liye sabar kertay hain aur namazon ko barabar qaeem rakhtay hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai ussay chuppay khulay kharach kertay hain aur buraee ko bhi bhalee say taaltay hain inn hi kay liye aaqibat ka ghar hai.

13.23 Hamesha rehnay kay baghaat jahan yeh khud jayen gay aur inn kay baap dadon aur biwiyon aur auladon mein say bhi jo neko kaar hongay inn kay pass farishtay her her darwazay say aayen gay.

13.24 Kahen gay tum per salamti ho sabar kay badlay kiya hi acha (badla) hai iss daar-e-aakhirat ka.

13.25 Aur jo Allah kay ehad ko uss ki mazbooti kay baad tor detay hain aur jin cheezon kay jorney ka Allah ney hukum diya hai unhen tortay hain aur zamin mein fasad phelatay hain unn ki liye laanaten hain aur unn kay liye bura ghar hai.

13.26 Allah Taalaa jiss ki rozi chahata hai barhata hai aur ghatata hai yeh to duniya ki zindagi mein mast hogaye halankay duniya aakhirat kay muqablay mein nihayat (haqeer) poonji hai.

13.27 Kafir kehtay hain kay iss per koi nishani (moajzza) kiyon nahi nazil nahi kiya gaya? Jawab dey dijiye kay jisay Allah gumrah kerna chahaye ker deta hai aur jo uss ki taraf jhukay ussay raasta dikha deta hai.

13.28 Jo log emaan laye unn kay dil Allah kay zikar say itminan hasil kertay hain. Yaad rakho Allah kay zikar say hi dilon ko tasalli hasil hoti hai.

13.29 Jo log eman laye aur jinhon ney nek kaam bhi kiye unn kay liye khushali hai aur behtareen thikana.

13.30 Issi tarah hum ney aap ko iss ummat mein bheja hai jiss say pehlay boht si ummaten guzar chuki hain kay aap enhen humari taraf say jo wahee aap per utri hai parh ker sunaiye yeh Allah rehman kay munkir hain aap keh dijiye kay mera paalney wala to wohi hai uss kay siwa dar-haqeeqat koi bhi laeeq-e-ibadat nahi ussi kay upper mera bharosa hai aur ussi ki janib mera rujoo hai.
http://qurantube.blogspot.com/


13.31 Agar (bil farz) kissi quran (aasmani kitab) kay zariye pahar chala diye jatay ya zamin tukray tukray ker di jati ya murdon say baaten kerwa di jatin (phir bhi woh eman na latay) baat yeh hai kay sab kaam Allah kay hath mein hai to kiya eman walon ko iss baat per dil jamaee nahi kay agar Allah Taalaa chahaye to tamam logon ko hidayat dey dey. Kuffaar ko to inn kay kufur kay badlay hamesha hi koi na koi sakht saza phonchti rahey gi ya inn kay makano kay qarib nazil hoti rahey gi ta-waqt-e-kay wada-e-elahi aa phonchay. Yaqeenan Allah Taalaa wada khilafi nahi kerta.

13.32 Yaqeenan aap say pehlay kay payghumber ka mazaq uraya gaya tha aur mein ney bhi kafiron ko dheel di thi phir unhen pakar liya tha pur mera azab kaisa raha?

13.33 Aaya woh Allah jo nigehbani kerney wala hai her shaks ki uss kay kiye huye aemaal per inn logon ney Allah kay shareek thehraye hain keh dijiye zara unn kay naam to lo kiya tum Allah ko woh baten batatay ho jo woh zamin mein janta hi nahi ya sirf oopri oopri baaten bata rahey ho baat asal yeh hai kay kufur kerney walon kay liye unn kay makar saja diye gaye hain aur woh sahih raah say rok diye gaye hain aur jiss ko Allah gumrah ker dey uss ko raha dikhaney wala koi nahi.

13.34 Inn kay liye duniya ki zindagi mein bhi azab hai aur aakhirat ka azab to boht hi ziyada sakht hai enhen Allah kay ghazab say bachaney wala koi bhi nahi.

13.35 Uss jannat ki sift jiss ka wada perhezgaron ko diya gaya hai yeh hai kay uss key neechay nehren beh rahi hain. Uss ka mewa hameshgi wala hai aur uss ka saya bhi. Yeh hai anjam perhezgaron ka aur kafiron ka anjam kaar dozakh hai.

13.36 Jinhen hum ney kitab di hai woh to jo kuch aap per utara jata hai uss say khush hotay hain aur doosray fiqay iss ki baaz baaton say munkir hain. Aap ailaan ker dijiye kay mujhay to sirf yehi hukum diya gaya hai kay mein Allah ki ibadat keroon aur uss kay sath shareek na keroon mein ussi ki taraf bula raha hun aur ussi ki janib mera lotna hai.

13.37 Issi tarah hum ney iss quran ko arabi zaban ka farman utara hai. Agar app ney inn ki khuwaishon ki pairwi kerli iss kay baad kay aap kay pass ilm aa chuka hai to Allah (kay azabon) say aap ko koi himayati milay ga aur na bachaney wala.

13.38 Hum aap say pehlay bhi boht say rasool bhej chukay hain aur hum ney unn sab ko biwi bachon wala banaya tha kissi rasool say nahi hosakta kay koi nishani baghair Allah ki ijazat kay ley aaye her muqarrara waday ki aik likhat hai.

13.39 Allah jo chahaye mita dey aur jo chahaye sabit rakhay loh-e-mehfooz ussi kay pass hai.

13.40 Inn say kiye huye wadon mein say koi agar hum aap ko dikha den ya aap ko hum fot ker len to aap per to sirf phoncha dena hi hai. Hisab to humaray zimmay hi hai.

13.41 Kiya woh nahi dekhtay? Kay hum zamin ko iss kay kinaron say ghatatay chalay aarahey hain Allah hukum kerta hai koi uss kay ehkaam peechay dalney wala nahi woh jald hisab leney wala hai.

13.42 Inn say pehlay logon ney bhi apni makkari mein kami na ki thi lekin tamam tadbeeren Allah hi ki hain jo shaks jo kuch ker raha hai Allah kay ilm mein hai. Kafiron ko abhi maloom hojaye ga kay (uss) jahaan ki saza kiss kay liye hai?

13.43 Yeh kafir kehtay hain kay aap Allah kay rasool nahi. Aap jawab dijiye kay mujh mein aur tum mein Allah gawahi denay wala kafi hai aur woh jiss kay pass kitab ka ilm hai.
http://qurantube.blogspot.com/


Surat-Ibrahim 14
(Sura-Ibrahim Makka mai Nazil hui, is mai bawan (52) Aayatain hain)


14.01 Alif-laam-raa! Yeh aali shaan kitab hum ney aap ki taraf utari hai kay aap logon ko andheron say ujalay ki taraf layen inn kay perwerdigar kay hukum say zabardast aur tareefon walay Allah ki taraf.

14.02 Jiss Allah ka hai jo kuch aamano aur zamin mein hai.aur kafiron kay liye to sakht azab ki kharabi hai.

14.03 Jo aakhirat kay muqablay mein dunyawi zindagi ko pasand rakhtay hain aur Allah ki raah say roktay hain aur iss mein terh pann peda kerna chahatay hain. Yehi log parli darjay ki gumrahi mein hain.

14.04 Hum ney her her nabi ko uss ki qomi zaban mein hi bheja hai takay unn kay samney wazahat say biyan ker dey. Abb Allah Taalaa jisay chahaye gumrah ker dey aur jisay chahaye raah dikha dey woh ghalba aur hikmat wala hai.

14.05 (yaad rakho jabkay) hum ney musa ko apni nishaniyan dey ker bheja kay tu apni qom ko andheron say roshni mein nikal aur enhen Allah kay ehsanaat yaad dila. Iss mein nishaniyan hain her aik sabar shukar kerney wlay kay liye.

14.06 Jiss waqt musa ney apni qom say kaha kay Allah kay woh ehsanaat yaad kero jo uss ney tum per kiye hain jabkay uss ney tumhen firaoniyon say nijat di jo tumhen baray dukh phonchatay thay. Tumharay larkon ko qatal kertay thay aut tumhari larkiyon ko zinda chortay thay iss mein tumharay rab ki taraf say tum per boht bari aamaeesh thi.

14.07 Aur jab tumharay perwerdigar ney tumhen aagah kerdiya kay agar tum shukar guzari kero gay to be-shak mein tumhen ziyada doon ga aur agar tum na shukri kero gay to yaqeenan mera azab boht sakht hai.

14.08 Musa (alh-e-salam) ney kaha kay agar tum sab aur ruy-e-zamin kay tamam insan Allah ki na shukri keren to bhi Allah bey niyaz aur tareefon wala hai.

14.09 Kiya tumharay pass tum say pehlay kay logon ki khabren nahi aaen? Yani qom-e-nooh ki aur aad-o-samood ki aur unn kay baad walon ki jinhen siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi janta unn kay pass unn kay rasool moajzzay laye lekin unhon ney apney hath apney mun mein daba liye aur saaf keh diya kay jo kuch tumhen dey ker bheja gaya hai hum uss kay munkir hain aur jiss cheez ki taraf tum humen bula rahey ho humen to iss mein bara bhari shuba hai.

14.10 Unn kay rasoolon ney unhen kaha kay kiya haq taalaa kay baray mein tumhen shak hai jo aasmano aur zamin ka bananey wala hai woh to tumhen iss liye bula raha hai kay tumharay tamam gunah moaf farma dey aur aik muqarrara waqt tak tumhen mohlat ata farmaye unhon ney kaha kay tum to hum jaisay hi insan ho tum chahatay ho kay humen unn khudaon ki ibadat say rok do jin ki ibadat humaray baap dada kertay rahey acha to humaray samney koi khulli daleel paish kero.
http://qurantube.blogspot.com/

14.11 Unn kay payghumbaron ney unn say kaha yeh to sach hai kay hum tum jaisay hi insan hain lekin Allah Taalaa apney bandon mein say jiss per chahata hai apna fazal kerta hai. Allah kay hukum kay baghair humari majal nahi kay hum koi moajzza tumhen laa dikhayen aur emaan walon ko sirf Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahiye.

14.12 Aakhir kiya waja hai kay hum Allah Taalaa per bharosa na rakhen jabkay ussi ney humen humari rahen sujhaee hain. Wallah jo ezayen tum humen do gay hum unn per sabar hi keren gay. Tawakkal kerney walon ko yehi laeeq hai kay Allah hi per tawakkal keren.

14.13 Kafiron ney apney rasoolon say kaha kay hum tumhen mulk badar ker den gay ya tum phir say humaray mazhab mein lot aao. To unn kay perwerdigar ney unn ki taraf waahee bheji kay hum inn zalimon ko hi ghaarat ker den gay.

14.14 Aur inn kay baad hum khud tumhen iss zamin mein basayen gay. Yeh hai unn kay liye jo meray samney kharay honey ka darr rakhen aur meri waeed say khofzada rahen.

14.15 Aur unhon ney faisla talab kiya aur tamam sirkash ziddi log na murad hogaye.

14.16 Uss kay samney dozakh hai jahan woh peep ka pani pilaya jaye ga.

14.17 Jisay ba mushkil ghoont ghoont piye ga. Phir bhi ussay galay say utaar na sakay ga aur ussay her jagah say maut aati dikhaee dey gi lekin woh marney wala nahi. Phir uss kay peechay bhi sakhta azab hai.

14.18 Unn logon ki misal jihon ney apney paalney walay say kufur kiya unn kay aemaal misil uss raakh kay hain jiss per tez hawa aandhi walay din chalay. Jo bhi unhon ney kiya uss mein say kissi cheez per qadir na hongay yehi door ki gumrahi hai.

14.19 Kiya tu ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney aasmano ko aur zamin ko behtareen tedbeer kay sath peda kiya hai. Agar woh chahaye to tum sab ko fana ker dey aur naee makhlooq laye.

14.20 Allah per yeh kaam kuch bhi mushkil nahi.
Top Top


14.21 Sab kay sab Allah kay samney roo-baroo kharay hongay uss waqt kamzor log baraee walon say kahen gay hum to tumharay tabeydaar thay to kiys tum Allah kay azabon mein say kuch azab hum say door ker sakney walay ho? Woh jawab den gay kay agar Allah humen hidayat deta to hum bhi zaroor tumhari rehnumaee kertay abb to hum per bey qarari kerna aur sabar kerna dono hi barabar hai humaray liye koi chutkara nahi.

14.22 Jab aur kaam ka faisla ker diya hayega to shetan kahey ga kay Allah ney to tumhen sacha wada diya tha aur mein ney tum say jo waday kiye thay unn ka khilaf kiya mera tum per koi dabao to tha hi nahi haan mein ney tumhen pukara aur tum ney meri maan li pus tum mujhay ilzam na lagao bulkay khud apney aap ko malamat kero na mein tumhara faryad rus aur na tum meri faryad ko phonchney walay mein to siray say manta hi nahi kay tum mujhay iss say pehlay Allah ka shareek mantay rahey yaqeenan zalimon kay liye dard naak azab hai.

14.23 Jo log eman laye aur nek amal kiye woh inn jannaton mein dakhil kiye jayen gay jin kay neechay chashmay jari hain jahan unhen hameshgi hogi apney rab kay hukum say. Jahan unn ka khair maqdam salam say hoga.

14.24 Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney pakeeza baat ki misal kiss tarah biyan farmaee misil aik pakeeza darakht kay jiss ki jarr mazboot hai aur jiss ki tehniyan aasman mein hain.

14.25 Jo apney perwerdigar kay hukum say her waqt apney phal laata hai aur Allah Taalaa logon kay samney misalen biyan farmata hai takay woh nasheehat hasil keren.

14.26 Aur na pak baat ki misal ganday darakht jaisi hai jo zamin kay kuch hi upper say ukhaar liya gaya. Issay kuch sabaat to hai hi nahi.

14.27 Eman walon ko Allah Taalaa pakki baat kay sath mazboot rakhta hai duniya ki zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi haan na insaf logon ko Allah behka deta hai aur Allah jo chahaye ker guzray.

14.28 Kiya aap ney unn ki taraf nazar nahi daali jinhon ney Allah ki nemat kay badley na shukri ki aur apni qom ko halakat kay ghar mein laa utara.

14.29 Yani dozakh mein jiss mien yeh sab jayen gay jo bad tareen thikana hai.

14.30 Enhon ney Allah kay humsar bana liye kay logon ko Allah ki raah say behkayen. Aap keh dijiye kay khair mazay kerlo tumhari baaz gasht to aakhir jahannum hi hai.
http://qurantube.blogspot.com/

14.31 Meray eman walay bandon say keh dijiye kay namazon ko qaeem rakhen aur jo kuch hum ney dey rakha hai uss mein say kuch na kuch posheeda aur zahir kharach kertay rahen iss say pehlay kay woh din aajaye jiss mein na kharid-o-farokht hogi na dosti aur mohabbat.

14.32 Allah woh hai jiss ney aasmanon aur zamin ko peda kiya hai aur aasmanon say barish barsa ker iss kay zariye say tumhari rozi kay liye phal nikaley hain aur kashtiyon ko tumharay bus mein ker diya hai kay daryaon mein uss kay hukum say chalen phiren. Ussi ney nadiyan aur nehren tumharay ikhtiyar mein ker di hain.

14.33 Ussi ney tumharay liye sooraj chand ko musakhar kerdiya hai kay barabar hi chal rahey hain aur raat din ko bhi tumharay kaam mein laga rakha hai.

14.34 Ussi ney tumhen tumhari mun mangi kul cheezon mein say dey rakha hai. Agar tum Allah kay ehsan ginna chahao to unhen pooray ginn bhi nahi saktay. Yaqeenan insan bara hi bey insaf aur na shukra hai.

14.35 (Ibrahim ki yeh dua bhi yaad kero) jab unhon ney kaha kay aey meray perwerdigar! Iss shehar ko aman wala bana dey aur mujhay aur meri aulad ko butt parasti say panah dey.

14.36 Aey meray paalney walay mabood! Enhon ney boht say logon ko raah say bhatka diya hai. Pus meri tabeydaari kerney wala mera hai aur jo meri na farmani keray to tu boht hi moaf aur karam kerney wala hai.

14.37 Aey humaray perwerdigar! Mein ney apni kuch aulad iss bey kheti ki wadi mein teray hurmat walay ghar kay pass basaee hai. Aey humaray perwerdigar! Yeh iss liye kay woh namaz qaeem rakhen pus to kuch logon kay dilon ko inn ki taraf maeel ker dey. Aur enhen phalon ki roiziyan inayat farma takay yeh shukar guzari keren.

14.38 Aey humaray perwerdigar! Tu khoob janta hai jo hum chupayen aur jo zahir keren. Zamin-o-aasman ki koi cheez Allah per posheeda nahi.

14.39 Allah ka shukar hai jiss ney mujhay iss burhapay mein ismail (alh-e-salam) aur ishaq (alh-e-salam) ata farmaye. Kuch shak nahi kay mera palanhaar Allah duaon ka sunnay wala hai.

14.40 Aey meray paalney walay! Mujhay namaz ka paband rakh aur meri aulad say bhi aey humaray rab meri dua qabool farma.
http://qurantube.blogspot.com/


14.41 Aey humaray perwerdigar! Mujhay bakhsh dey aur meray maa baap ko bhi bakhsh aur digar momino ko bhi bakhsh jiss din hisab honey lagay.

14.42 Na insafon kay aemaal say Allah ko ghafil na samajh woh to enhen uss din tak mohlat diye huye hai jiss din aankhen phati ki phati reh jayen gi.

14.43 Woh apney sir upper uthaye dor bhaag ker rahey hongay khud apni taraf bhi inn ki nighayen na loten gi aur inn kay dil khali aur array huye hongay.

14.44 Logon ko uss din say hoshiyaar ker dey jab kay unn kay pass azab aajaye ga aur zalim kahen gay aey humaray rab humen boht thoray qarib kay waqt tak ki hi mohlat dey kay hum teri tableegh maan len aur teray payghumbaron ki tabeydaari mein lagg jayen. Kiya tum iss say pehlay bhi qasmen nahi kha rahey thay? Kay tumharay liye duniya say talna hi nahi.

14.45 Aur kiya tum inn logon kay gharon mein rehtay sehtay na thay jinhon ney apni jano per zulm kiya aur kiya tum per woh moamla khula nahi kay hum ney unn kay sath kaisa kuch kiya. Hum ney (to tumharay samjhaney ko) boht si misalen biyan ker di thin.

14.46 Yeh apni apni chalen chal rahey hain aur Allah ko inn ki tamam chalon ka ilm hai aur inn ki chalen aisi na thin kay unn say pahar apni jagah say tal jayen.

14.47 Aap hergiz yeh khayal na keren kay Allah apney nabiyon say wada khilafi keray ga Allah bara hi ghalib aur badla lenay wala hai.

14.48 Jiss din zamin iss zamin kay siwa aur hi badal dijayegi aur aasman bhi aur sab kay sab Allah wahid ghalbay walay kay roo-baroo hongay.

14.49 Aap uss din gunehgaron ko dekhen gay kay zanjeeron mein milay julay aik jagah jakray huye hongay.

14.50 Unn kay libad gandhak kay hongay aur aag unn kay chehron per bhi charhi hui hogi.
http://qurantube.blogspot.com/


14.51 Yeh iss liye kay Allah Taalaa her shaks ko uss kay kiye huye aemaal ka badla dey be-shak Allah Taalaa ko hisab letay kuch dair nahi lagney ki.

14.52 Yeh quran tamam logon kay liye itlaa naama hai kay iss kay zariye say woh hoshiyaar ker diye jayen aur bakhoobhi maloom kerlen kay Allah aik hi mabood hai aur takay aqal mand log soch samajh len.

No comments:

Post a Comment

Adbox