Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 08

Parah-Walao-Annana 08




Surat-Aanam 06
(Sura-Aanam Makka mai Nazil hui, is mai aikso-pansath (165) Aayatain hain)



06.111 Aur agar hum inn kay pass farishton ko bhej detay aur inn say murday baaten kerney lagtay aur hum tamam mojodaat inn kay pass inn ki aankhon kay roo baroo laa ker jama ker detay hain tab bhi yeh log hergiz eman na latay haan agar Allah hi chahaye to aur baat hai lekin inn mein ziyada logo jahalat ki baaten kertay hain.

06.112 Aur issi tarah say hum ney her nabi kay dushman boht say shetan peda kiya thay kuch aadmi aur kuch jinn, jin mein say baaz baazon ko chikni chupri baaton ka waswasa daaltay rehtay thay takay unn ko dhokay mein daal den aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aisay kaam na ker saktay so inn logon ko aur jo kuch yeh iftra perdaazi ker rahey hain uss ko aap rehney dijiye.

06.113 Aur takay uss ki taraf unn logon kay quloob maeel hojayen jo aakhirat per yaqeen nahi rakhtay aur takay uss ko pasand kerlen aur takay murtakib hojayen unn umoor kay jin kay woh murtakib hotay thay.

06.114 To kiya Allah kay siwa kissi aur faisla kerney walay ko talash keroon halankay woh aisa hai kay uss ney aik kitab-e-kaamil tumharay pass bhej di hai iss kay mazmeen khoob saaf saaf biyan kiye gaye hain aur jin logon ko hum ney kitab di hai woh iss baat ko yaqeen kay sath jantay hain kay yeh aap kay rab ki taraf say haq kay sath bheji gaee hai so aap shuba kerney walon mein say na hon.

06.115 Aap kay rab ka kalaam sachaee aur insaf kay aetabaar say kaamil hai iss kay kalaam ko koi badalney wala nahi aur woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai.

06.116 Aur duniya mein ziyada log aisay hain kay agar aap unn ka kehna mannay lagen to woh aap ko Allah ki raah say bey raah ker den woh mehaz bey asal khayalaat per chaltay hain aur bilkul qayassi baaten kertay hain.

06.117 Bil yaqeen aap ka rab unn ko khoob janta hai jo iss ki raah say bey raah ho jata hai. Aur woh unn ko bhi khoob janta hai jo uss ki raah per chaltay hain.

06.118 So jiss janwar per Allah ka naam liya jaye uss mein say khao! Agar tum uss kay ehkaam per eman rakhtay ho.

06.119 Aakhir kiya waja hai kay tum aisay janwar mein say na khao jiss per Allah ka naam liya gaya ho halankay Allah ney unn sab janwaron ki tafseel bata di hai jin ko tum per haram kiya hai magar woh bhi jab tum ko sakht zaroorat parr jaye to halal hai aur yeh yaqeeni baat hai kay boht say aadmi apney khayalaat per bila kissi sanad kay gumrah kertay hain. Iss mein koi shuba nahi kay Allah Taalaa hadd say nikal janey walon ko khoob janta hai.

06.120 Aur tum zahiri gunah ko bhi chor do aur baatini gunah ko chor do. Bila shuba jo log gunah ker rahey hain unn ko unn kay kiye ki un-qarib saza milay gi.
http://qurantube.blogspot.com/

06.121 Aur aisay janwaron mein say mat khao jin per Allah ka naam na liya gaya ho aur yeh kaam na farmani ka hai aur yaqeenan shayateen apney doston kay dilon mein daaltay hain takay yeh tum say jidal keren aur agar tum inn logon ki ita’at kerney lago to yaqeenan tum mushrik hojao.

06.122 Aisa shaks jo pehlay murda tha phir hum ney uss ko zinda ker diya aur hum ney uss ko aik aisa noor dey diya kay woh iss ko liye huye aadmiyon mein chalta phirta hai. Kiya aisa shaks uss shaks ki tarah ho sakta hai? Jo tareekiyon say nikal hi nahi pata. Issi tarah kafiron ko unn kay aemaal khushnuma maloom hua kertay hain.

06.123 Aur issi tarah hum ney her basti mein wahan kay raeeson hi ko jaraeem ka murtakib banaya takay woh log wahan fareb keren. Aure woh log apney hi sath fareb ker rahey hian aur inn ko zara khabar nahi.

06.124 Aur jab inn ko koi aayat phonchti hai to yun kehtay hain kay hum hergiz eman na layen gay jab tak kay hum ko bhi aisi hi cheez na di jaye jo Allah kay rasoolon ko di jati hai iss moqay ko to Allah hi khoob janta hai kay kahan woh apni payghumbari rakhay? Un-qarib inn logon ko jinhon ney jurm kiya hai Allah kay pass phonch ker zillat phonchay gi aur inn ki shararaton kay muqablay mein sazay-e-sakht.

06.125 So jiss shaks ko Allah Taalaa raastay per daalna chahaye uss key seenay ko islam kay liye kushada ker deta hai aur jiss ko bey raah rakhna chahaye uss kay seenay ko boht tang ker deta hai jaisay koi aasman mein charhta hai issi tarah Allah Taalaa eman na laney walo per na paki musallat ker deta hai.

06.126 Aur yehi teray rab kay seedha raasta hai. Hum ney naseehat hasil kerney walon kay wastay inn aayaton ko saaf saaf biyan ker diya.

06.127 Inn logon kay wastay inn kay rab kay pass salamti ka ghar hai aur Allah Taalaa inn say mohabbat rakhta hai inn kay aemaal kay waja say.

06.128 Aur jiss roz Allah Taalaa tamam khalaeeq ko jama keray ga (kahey ga) aey jamat jinnaat ki! Tum ney insanon mein say boht say apna liye jo insan inn kay sath talluq rakhney walay thay woh kahen gay aey humaray perwerdigar hum mein aik ney doosray say faeeda hasil kiya tha aur hum apni iss moyyen muddat tak aa phonchay jo tu ney humaray liye moyyen farmaee Allah farmaye ga kay tum sab ka thikana dozakh hai jiss mein hamesha raho gay haan agar Allah hi ko manzoor hoto doosri baat hai. Be-shak aap ka rab bari hikmat wala bara ilm wala hai.

06.129 Aur issi tarah hum baaz kuffaar ko baaz kay qarib rakhen gay unn kay aemaal kay sabab.

06.130 Aey jinnaat aur insanon ki jamat! Kiya tumharay pass tum mein say hi payghumbar nahi aaye thay jo tum say meray ehkaam biyan kertay aur tum ko iss aaj kay din ki khabar detay? Woh sab arz keren gay kay hum apney upper iqrar kertay hain aur inn ko dunyawi zindagi ney bhool mein dalay rakha aur yeh log iqrar kerney walay hongay kay woh kafir thay.
http://qurantube.blogspot.com/

06.131 Yeh iss waja say hai kay aap ka rab kissi basti walon ko kufur kay sabab aisi halat mein halak nahi kerta kay uss basti kay rehney walay bey khabar hon.

06.132 Aur her aik kay liye unn kay aemaal kay sabab darjay milen gay aur aap ka rab inn kay aemaal say bey khabar nahi hai.

06.133 Aur aap ka rab bilkul ghani hai rehmat wala hai agar woh chahaye to tum sab ko utha ley aur tumharay baad jiss ko chahaye tumhari jagah aabad keray jaisa kay tum ko aik doosri qom ki nasal say peda kiya hai.

06.134 Jiss cheez ka tum say wada kiya jata hai woh be-shak aaney wali cheez hai aur tum aajiz nahi ker saktay.

06.135 Aap yeh farma dijiye kay aey meri qom ! Tum apni halat per amal kertay raho mein bhi amal ker raha hun so abb jald hi tum ko maloom hua jata hai kay iss aalam ka anjam kaar kiss kay liye naafay hoga. Yeh yaqeeni baat hai kay haq talfi kerney walon ko kabhi falah na hogi.

06.136 Aur Allah Taalaa ney jo kheti aur mawashi peda kiye hain inn logon ney inn mein say kuch hissa Allah ka muqarrar kiya aur ba-zom khud kehtay hain kay yeh to Allah ka hai aur yeh humaray maboodon ka hai phir jo cheez inn kay maboodon ki hoti hai woh to Allah ki taraf nahi phonchti aur jo cheez Allah ki hoti hai woh inn kay maboodon ki taraf phonch jati hai kiya bura faisla woh kertay hain.

06.137 Aur issi tarah boht say mushrikeen kay khayal mein unn kay maboodon ney unn ki aulad kay qatal kerney ko mustehsan bana rakha hai takay woh inn ko barbad keren aur takay inn kay deen ko inn per mushtaba ker den aur agar Allah ko manzoor hota to yeh aisa kaam na kertay to aap inn ko aur jo kuch ghalat baaten yeh bana rahey hain yun hi rehney dijiye.

06.138 Aur woh apney khayal per yeh bhi kehtay hain kay yeh kuch mawashi hain aue khet hain jin ka isteymaal her shaks ko jaeez nahi inn ko koi nahi kha sakta siwaye unn kay jin ko hum chahayen aur mawashi hain jin per sawari ya baar bardari haram ker di gaee aue kuch mawashi hain jin per yeh log Allah Taalaa ka naam nahi letay mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Abhi Allah Taalaa inn ko inn kay iftra ki saza diye deta hai.

06.139 Aur woh kehtay hain kay jo cheez inn mawashi kay pet mein hai woh khalis humaray mardon kay liye hai aur humari aurton per haram hai. Aur agar woh murda hai to iss mein sab barabar hain abhi Allah inn ko inn ki ghalat biyani ki saza diye deta hai bila shuba woh hikmat wala hai aur woh bara ilm wala hai.

06.140 Waqaee kharabi mein parr gaye woh log jinhon ney apni aulad ko mehaz barah-e-himaqat bila kiss sanad kay qatal ker dala aur jo cheez inn ko Allah ney khaney peeney ko di thin unn ko haram ker liya mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Be-shak yeh log gumrahi mein parr gaye aur kabhi raah-e-raast per chalney walay nahi huye.
http://qurantube.blogspot.com/

06.141 Aur wohi hai jiss ney baghaat peda kiye woh bhi jo tattiyon per charhaye jatay hain aur woh bhi jo tattiyon per nahi charhaye jatay aur khujoor kay adrakht aur kheti jin mein khaney ki cheezen mukhatalif tor ki hoti hain aur zaitoon aur anaar jo bahum aik doosray kay mushabay bhi hotay hain aur aik doosray kay mushabay nahi bhi hotay inn sab kay phalon mein say khao jab woh nikal aaye aue iss mein jo haq wajib hai woh iss kay kaatney kay din diya kero aur hadd say mat guzro yaqeenan woh hadd say guzarney walon ko na pasand kerta hai.

06.142 Aur mawashi mein oonchay qad kay aur chotay qad kay (peda kiye) jo kuch Allah ney tum ko diya hai khao aur shetan kay qadam ba qadam mat chalo bila shak woh tumhara sareeh dushman hai.

06.143 (peda kiye) aath narr-o-maada yani bhair mein do qisam aur bakri mein do qisam aap kahiye kay kiya Allah ney inn dono narron ko haram kiya hai ya dono maada ko? Ya uss ko jiss ko dono maada pet mein liye huye hon? Tum mujh ko kissi daleel say to batao agar sachay ho.

06.144 Aur oont mein do qisam aur gaye mein do qisam aap kahiye kay kiya Allah Taalaa ney inn dono narron ko haram kiya hai ya dono maada ko? Ya uss ko jiss ko dono maada pet mein liye huye hon? Kiya tum hazir thay jiss waqt Allah Taalaa ney tum ko iss ka hukum diya? To uss say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per bila daleel jhooti tohmat lagaye takay logon ko gumrah keray yaqeenan Allah Taalaa zalim logon ko raasta nahi dikhlata.

06.145 Aap keh dijiye kay jo kuch ehkaam ba-zariya wahee meray pass aaye hain unn mein to mein koi haram nahi pata kissi khaney walay kay liye jo uss ko khaye magar yeh kay woh murdaar ho ya khinzeer ka gosht ho kiyon kay woh bilkul na pak hai ya jo shirk ka zariya ho kay ghair Allah kay liye naamzad ker diya gaya ho. Phir jo shaks majboor hojaye ba-shart-e-kay na to taalib-e-lazzat ho aur na tajawuz kerney wala ho to waqaee aap ka rab ghafoor-ur-raheem hai.

06.146 Aur yahun per hum ney tamam nakhun walay janwar haram ker diye thay aur gaye aur bakri mein say inn dono ki charbiyan unn per hum ney haram ker di thin magar woh jo unn ki pusht per ya antriyon mein lagi ho ya jo haddi say milli ho. Unn ki shararat kay sabab hum ney unn ko yeh saza di aur hum yaqeenan sachay hain.

06.147 Phir agar yeh aap ko kaazib kahen to aap farma dijiye kay tumhara rab bara wasee rehmat wala hai aur iss ka azab mujrim logon say na talay ga.

06.148 Yeh mushrikeen (yun) kahen gay kay agar Allah Taalaa ko manzoor hota to na hum shirk kertay aur na humaray baap dada aur na hum kissi cheez ko haram keh saktay. Issi tarah jo log inn say pehlay ho chukay hain unhon ney bhi takzeeb ki thi yahan tak kay unhon ney humaray azab ka maza chakha. Aap kahiye kay kiya tumharay pass koi daleel hai to iss ko humaray roo baroo zahir kero. Tum log mehaz khayali baaton per chaltay ho aur tum bilkul atkal say baaten banatay ho.

06.149 Aap kahiye kay bus poori hujjat Allah hi ki rahi. Phir agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast per ley aata.

06.150 Aap kahiye kay apney gawahon ko lao jo iss baat per shahadat den kay Allah ney inn cheezon ko haram ker diya hai phir agar woh gawahi dey den to aap iss ki shahadat na dijiye aur aisay logon kay baatil khayalaat ka ittabaa mat kijiye! Jo humari aayaton ki takzeeb kertay hain aur woh jo aakhirat per eman nahi rakhtay aur woh apney rab kay barabar doosron ko thehratay hain.
http://qurantube.blogspot.com/

06.151 Aap kahiye kay aao mein tum ko woh cheezen parh ker sunaon jin (yani jin ki mukhalifat) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kissi cheez ko shareek mat thehrao aur maa baap kay sath ehsan kero aur apni aulad ko aflaas kay sabab qatal mat kero. Hum tum ko aur unn ko rizk detay hain aur bey hayaee kay jitney tareeqay hain unn kay pass bhi mat jao khuwa woh aelaaniya hon khuwa posheeda aur jiss ka khoon kerna Allah Taalaa ney haram ker diya hai uss ko qatal mat kero haan magar haq kay sath inn ka tum ko takeedi hukum diya hai takay tum samjho.

06.152 Aur yateem kay maal kay pass na jao magar aisay tareeqay say jo kay mustehsan hai yahan tak kay woh apney sann rashd ko phonch jaye aur naap tol poori poori kero insaf kay sath hum kissi shaks ko uss ki taqat say ziyada takleef nahi detay. Aur jab tum baat kero to insaf kero go woh shaks qarabat daar hi ho aur Allah Taalaa say jo ehad kiya uss ko poora kero inn ka Allah Taalaa ney tum ko takeedi hukum diya hai takay tum yaad rakho.

06.153 Aur yeh kay yeh deen mera raasta hai jo mustaqeem hai so iss raah per chalo aur doosri raahon per mat chalo kay woh raahen tum ko Allah ki raah say juda ker den gi. Iss ka tum ko Allah ney takeedi hukum diya hai takay tum perhezgari ikhtiyar kero.

06.154 Phir hum ney musa (alh-e-salam) ko kitab di thi jiss say achi tarah amal kerney walon per nemat poori ho aur sab ehkaam ki tafseel hojaye aur rehnumaee ho aur rehmat ho takay woh log apney rab kay milney per yaqeen layen.

06.155 Aue yeh kay aik kitab hai jiss ko hum ney bheja bari khair-o-barkat wali so iss ka ittabaa kero aur daro takay tum per rahmat ho.

06.156 Kahin tum log yeh na kaho kay kitab to sirf hum say pehlay jo do firqay thay unn per nazil hui thi aur hum unn kay parheny parhaney say bey khabar thay.

06.157 Ya yun na kaho kay agar hum per koi kitab nazil hoti to hum inn say bhi ziyada raah-e-raast per hotay. So abb tumharay pass tumhara rab kay pass say aik kitab wazeh aur rehnumaee ka zariya aur rehmat aa chuki hai. Abb iss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo humari inn aayaton ko jhoota bataye aur iss say rokay. Hum jald hi inn logon ko jo kay humari aayaton say roktay hain inn kay iss rokney kay sabab sakht saza den gay.

06.158 Kiya yeh log sirf iss amar kay muntazir hain kay inn kay pass farishtay aayen ya inn kay pass aap ka rab aaye ya aap kay rab ki koi (bari) nishani aaye? Jiss roz aap kay rab ki koi bari nishani aa phoncya gi kissi aisay shaks ka eman uss kay kaam na aaye ga jo pehlay say eman nahi rakhta. Ya uss ney apney eman mein koi nek amal na kiya ho. Aap farma dijiye kay tum muntazir raho hum bhi muntazir hain.

06.159 Be-shak jin logon ney apney deen ko juda juda ker diya aur giroh giroh bann gaye aap ka unn say koi talluq nahi bus unn ka moamla Allah Taalaa kay hawalay hai. Phir inn ko inn ka kiya hua jatla den gay.

06.160 Jo shaks nek kaam keray ga uss ko uss kay das gunah milen gay aur jo shaks bura kaam keray ga uss ko iss kay barabar hi saza milay gi aur inn logon per zulm nahi hoga.

06.161 Aap keh dijiye kay mujh ko meray rab ney aik seedha raasta bata diya hai kay woh aik deen mustehkum hai jo tareeqa hai ibrahim (alh-e-salam) ka jo Allah ki taraf raksoo thay. Aur woh shirk kerney walon mein say na thay.

06.162 Aap farma dijiye kay bil yaqeen meri namaz aur meri sari ibadat aur mera jeena aur mera marna yeh sab khalis Allah hi ka hai jo saray jahaan ka maalik hai.

06.163 Uss ka koi shareek nahi aur mujh ko issi ka hukum hua hai aur mein sab mannay walon mein say pehla hun.

06.164 Aap farma dijiya kay kiya mein Allah kay siwa kissi aur ko rab bananey kay liye talash keroon halankay woh maalik hai her cheez ka aur jo shaks bhi koi amal kerta hai woh ussi per rehta hai aur koi kissi doosray ka bojh na uthaye ga. Phir tum sab ko apney rab kay pass jana hoga. Phir woh tum ko jatlaye ga jiss jiss cheez mein tum ikhtilaf kertay thay.

06.165 Aur woh aisa hai jiss ney tum ko zamin mein khalifa banaya aur aik ka doosray per rutba barhaya takay tum ko aazmaye unn cheezon mein jo tum ko di hain. Bil yaqeen aap ka rab jald saza denay wala hai aur bil yaqeen woh waqaee bari maghfirat kerney wala meharbani kerney wala hai.


http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Aeyraaf 07
(Sura-Aeyraaf Makka mai Nazil hui, is mai doso-chay (206) Aayatain hain)


07.01 Alif-laam-meem-suaad.

07.02 Yeh aik kitab hai jo aap kay pass iss liye bheji gaee hai kay aap iss kay zariye say darayen so aap kay dil mein iss say bilkul tangi na ho aur naseehat hai eman walon kay liye.

07.03 Tum log uss ki ittabaa kero jo tumharay rab ki taraf say aaee hai aur Allah Taalaa ko chor ker mann gharat sir paraston ki ittabaa mat kero tum log boht hi kum naseehat pakartay ho.

07.04 Aur boht bastiyon ko hum ney tabah ker diya aur unn per humara azab raat kay waqt phonchaya aisi halat mein kay woh dophare kay waqt aaram mein thay.

07.05 So jiss waqt unn per humara azab aaya uss waqt unn kay mun say ba-juz iss kay aur koi baat na nikli kay waqaee hum zalim thay.

07.06 Phir hum unn logon say zaroor poochen gay jin kay pass payghumbar bhejay gaye thay aur hum payghumbaron say zaroor poochen gay.

07.07 Phir hum chunkay poori khabar rakhtay hain unn kay roo baroo biyan ker den gay. Aur hum kuch bey khabar na thay.

07.08 Aur uss roz wazan bhi bar haq hai phir jiss shaks ka palla bhari hoga so aisay log kaamyab hongay.

07.09 Aur jiss shaks ka palla halka hoga so yeh woh log hongay jinhon ney apna nuksan ker liya ba-sabab iss kay kay humari aayaton kay sath zulm kertay thay.

07.10 Aur be-shak hum ney tum ko zamin per rehney ki jagah di aur hum ney tumaharay liye iss mein samaan-e-rizq peda kiya tum log boht hi kum shukar kertay ho.
http://qurantube.blogspot.com/

07.11 Aur hum ney tum ko peda kiya phri hum hi ney tumhari soorat banaee phir hum ney farishton say kaha aadam ko sajda kero so sab ney sajda kiya ba-juz iblees kay woh sajda kerney walon mein shamil na hua.

07.12 Haq Taalaa ney farmayato jo sajda nahi kerta to tujh ko iss say kaun amr-e-maaney hai jabkay mein tujh ko hukum dey chuka kehney laga mein iss say behtar hun aap ney mujh ko aag say peda kiya hai aur iss ko aap ney khaak say peda kiya hai.

07.13 Haq Taalaa ney farmaya tu aasman say utar tujh ko koi haq hasil nahi kay tu aasman mein reh ker takabbur keray so nikal bey shak to zaleelon mein say hai.

07.14 Uss ney kaha mujh ko mohlat dijiye qayamat kay din tak.

07.15 Allah Taalaa ney farmaya tujh ko mohlat di gaee.

07.16 Uss ney kaha ba-sabab iss kay, kay aap ney mujhay gumrah kiya hai mein qasam khata hun kay mein inn kay liye aap ki seedhi raah per bethon ga.

07.17 Phir inn per hamla keroon ga aur inn kay aagay say bhi aur inn kay peechay say bhi aur inn ki dhaani janib say bhi aur inn ki bayen janib say bhi aur aap inn mein say aksar ko shukar guzar na payiye ga.

07.18 Allah Taalaa ney farmaya kay yahan say zaleel-o-khuwar hoker nikal jaa jo shaks inn say mein tera kehna maney ga mein zaroor tum sab say jahannum ko bhar doon ga.

07.19 Aur hum ney hukum diya kay aey aadam! Tum aur tumhari biwi jannat mein raho. Phir jiss jagah say chahao dono khao aur uss darakht kay pass mat jao werna tum dono zalimon mein say hojao gay.

07.20 Phir shetan ney inn dono kay dilon mein waswasa dala takay inn ki sharamgahen jo aik doosray say posheeda thi dono kay roo baroo parda kerdey aur kehney laga kay tumharay rab ney tum dono ko iss darakht say aur kissi sabab say mana nahi farmaya magar mehaz iss waja say kay tum dono kahin farishtay hojao ya kahin hamesha zinda rehney walon mein say na hojao.
http://qurantube.blogspot.com/

07.21 Aur inn dono kay roo baroo qasam kha li kay yaqeen janiye mein tum dono ka khair khuwa hun.

07.22 So inn dono ko fareb say neechay le aaya pus inn dono ney jab darakht ko chakha dono ki sharamgahen aik doosray kay roo baroo bey parda hogayen aur dono apney upper jannat kay pattay jor jor ker rakhne lagay aur inn kay rab ney inn ko pukara mein tum dono ko iss darakht say mana nahi ker chuka tha aur yeh na keh chuka kay shetan tumhara sareeh dushman hai?

07.23 Dono ney kaha aey humaray rab! Hum ney apna bara nuksan kiya aur agar tu humari maghfirat na keray ga aur hum per reham na keray ga wo waqaee hum nuksan paney walon mein say hojayen gay.

07.24 Haq Taalaa ney farmaya kay neechay aisi halat mein aajao kay tum bahum aik doosray kay dushman hogay aur tumharay wastay zamin mein rehney ki jagah hai aur nafa hasil kerna hai aik waqt tak.

07.25 Farmaya tum ko wahan hi zindagi basar kerna hai aur wahan hi marna hai aur issi mein phir nikalay jao gay.

07.26 Aey aadam (alh-e-salam) ki aulad hum ney tumharay liye libas peda kiya jo tumhari sharamgahon ko bhi chupata hai aur mojib-e-zeenat bhi hai aur taqway ka libas yeh iss say barh ker hai. Yeh Allah Taalaa ki nishaniyon mein say hai takay yeh log yaad rakhen.

07.27 Aey aulad-e-aadam! Shetan tum ko kissi kharabi mein na daal dey jaisa kay uss ney tumharay maa baap ko jannat say bahir kera diya aisi halat mein unn ka libas bhi utarwa diya takay woh inn ko inn ki sharamgahen dikhaye. Woh aur uss ka lashkar tum ko aisay tor per dekhta hai kay tum unn ko nahi dekhta ho. Hum ney shetanon ko unn hi logon ka dost banaya hai jo eman nahi latay.

07.28 Aur woh log koi fahash kaam kertay hain to kehtay hain hum ney apney baap dada ko issi tareeq per paya hai aur Allah ney bhi hum ko yehi bataya hai. Aap keh dijiye kay Allah fahash baat ki taleem nahi deta kiya Allah kay zimmay aisi baat lagatay ho jiss ko tum sanad nahi rakhtay?

07.29 Aap keh dijiye kay meray rab ney hukum diya hai insaf ka aur yeh kay tum her sajda kay waqt apna rukh seedha rakha kero aur Allah Taalaa ki ibadat iss tor per kero kay iss ibadat ko khalis Allah hi kay wastay rakho. Tum ko Allah ney jiss tarah shuroo mein peda kiya tha issi tarah tum doobara peda hogay.

07.30 Baaz logon ko Allah ney hidayat di hai aur baaz per gumrahi sabit hogaee hai. Inn logon ney Allah Taalaa ko chor ker shetanon ko dost bana liya hai aur khayal rakhtay hain kay woh raast per hain.
http://qurantube.blogspot.com/

07.31 Aey aulad-e-aadam! Tum masjid ki her hazri kay waqt apna libas pehan liya kero. Aur khoob khao aur piyo aur hadd say mat niklo. Be-shak Allah hadd say nikal janey walon ko pasand nahi kerta.

07.32 Aap farmaiye kay Allah Taalaa kay peda kiye huye asbaab-e-zeenat ko jin ko uss ney apney bandon kay wastay banaya hai aur khaney peenay ki halal cheezon ko kiss shaks ney haram kiya hai? Aap keh dijiye kay yeh ashiya iss tor per kay qayamat kay roz khalis hongi ehal-e-eman kay liye dunyawi zindagi mein mominon kay liye bhi hain. Hum issi tarah tamam aayaat ko samajh daron kay wastay saaf saaf biyan kertay hain.

07.33 Aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain aur her gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm kerney ko aur iss baat ko kay tum Allah kay sath kissi aisi cheez ko shareek thehrao jiss ki Allah ney koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko kay tum log Allah kay zimmay aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi.

07.34 Aur her giroh kay liye aik miyaad-e-moyyen hai so jiss waqt inn ki miyaad-e-moyyen aajayegi uss waqt aik sa’at na peechay hatt saken gay aur na aagay barh saken gay.

07.35 Aey aulad-e-aadam! Agar tumharay pass payghumbar aayen jo tum hi mein say hon jo meray ehkaam tum say biyan keren to jo shaks taqwa ikhtiyar keray aur durusti keray so inn logon per na kuch andesha hai aur na woh ghumgeen hongay.

07.36 Aur jo log humaray inn ehkaam ko jhutlayen aur inn say takabbur keren woh log dozakh walay hongay woh iss mein hamesha hamesha rahen gay.

07.37 So uss shaks say ziyada zalim kaun hoga jo Allah Taalaa per jhoot banadhay ya uss ki aayaton ko jhoota bataye inn logon kay naseeb ka jo kuch kitab say hai woh inn ko mill jayega yahan tak kay jab inn kay pass humaray bhejay huye farishtay inn ki jaan qabz kerney aayen gay to kahen gay woh kahan gaye jin ki tum Allah ko chor ker ibadat kertay thay woh kahen gay kay hum say sab ghaeeb hogaye aur apney kafir honey ka iqrar keren gay.

07.38 Allah Taalaa farmaye ga jo firqay tum say pehlay guzar chukay hain jinnaat mein say bhi aur aadmiyon mein say bhi unn kay sath tum bhi dozakh mein jao. Jiss waqt bhi koi jamat dakhil hogi apni doosti jamat ko laanat keray gi yahan tak kay jab iss mein sab jama hojayen gay to pichlay log pehlay logon ki nisbat kahen gay kay humaray perwerdigar hum ko inn logon ney gumrah kiya tha so inn ko dozakh ka azab dugna dey. Allah Taala farmaye ga sab hi ka dugna hai lekin tum ko khabar nahi.

07.39 Aur pehlay log pichlay logon say kahen gay kay phir tum ko hum per koi foqiyat nahi so tum bhi apni kamaee kay badlay mein azab ka maza chakho.

07.40 Jin logon ney humari aayaton ko jhutlaya aur inn say takbbur kiya unn kay liye aasman kay darwazay na kholay jayen gay aur woh log kabhi jannat mein na jayengay jab tak oont sui kay nakay kay andar say na chala jaye aur hum mujrim logon ko aisi hi saza detay hain.
http://qurantube.blogspot.com/

07.41 Unn kay liye aatish-e-dozakh ka bichona hoga aur unn kay upper (issi) ka ordhna hoga aur hum aisay zalimon ko aisi hi saza detay hain.

07.42 Aur jo log eman laye aur nek kaam kiye hum kissi shaks ko uss ki qudrat say ziyada kissi ka mukallaf nahi banatay wohi log jannat walay hain aur woh iss mein hamesha hamesha rahen gay.

07.43 Aur jo kuch inn kay dilon mein (keena) tha hum uss ko door ker den gay. Inn kay neechay nehren jari hongi. Aur woh log kahen gay kay Allah ka (lakh lakh) shukar hai jiss ney hum ko iss moqam tak phonchaya aur humari kabhi rasaee na hoti agar Allah Taalaa hum ko na pehchanta. Waqaee humaray rab kay payghumbar sachi baaten ley ker aaye thay. Aur inn say pukar ker kaha jayega iss jannata kay tum waris banaye gaye ho apney aemaal kay badlay.

07.44 Aue ehal-e-jannat ehal-e-dozakh ko pukaren gay kay hum say jo humaray rab ney wada farmaya tha hum ney to uss ko waqiyey kay mutabiq paya so tum say jo tumharay rab ney wada kiya tha tum ney bhi uss ko waqiyey kay mutabiq paya? Woh kahen gay haan phir aik pukarney wala dono kay darmiyan mein pukaray ga kay Allah ki maar ho inn zalimon per.

07.45 Jo Allah ki raah say aeyraaz kertay thay aur iss mein kuji talash kertay thay aur woh log aakhirat kay bhi munkir thay.

07.46 Aur inn dono kay darmiyan aik aarr hogi aur aeyraaf kay upper boht say aadmi hongay woh log her aik ko unn kay qayafa say pehchaney gay aue ehal-e-jannat ko pukar ker kahen gay asslam-o-alaikum! Abhi yeh ehal-e-aeyraaf jannat mein dakhil nahi huye hongay aur iss kay umeed waar hongay.

07.47 Aur jab inn ki nigahen ehal-e-dozakh ki taraf phiren gi to kahen gay aey humaray rab! Hum ko inn zalim logon kay sath shamil na ker.

07.48 Aur ehal-e-aeyraaf boht say aadmiyon ko jin ko unn kay qayafa say pehchanen gay pukaren gay kahen gay kay tumhari jamat aur tumhara apney ko bara samajhna tumharay kuch kaam na aaya.

07.49 Kiye yeh wohi hai jin ki nisbat tum qasmen kha kha ker kaha kertay thay kay Allah Taalaa inn per rehmat na keray ga inn ko yun hukum hoga kay jao jannat mein tum per na kuch khof hai aur na tum maghmoom hogay.

07.50 Aur dozakh walay jannat walon ko pukaren gay kay humaray upper thora pani hi daal do ya aur hi kuch dey do jo Allah ney tum ko dey rakha hai. Jannat walay kahen gay kay Allah Taalaa ney dono cheezon ki kafiron kay liye bandish ker di hai.
http://qurantube.blogspot.com/

07.51 Jinhon ney apney deen ko khel tamasha bana rakha tha aur jin ko dunyawi zindagi dhokay mein daal rakha tha. So hum (bhi) aaj kay roz unn ka naam bhool jayengay jaisa kay woh iss din ko bhool gaye aur jaisa yeh humari aayaton ka inkar kertay thay.

07.52 Aur hum ney inn logon kay pass aik aisi kitab phoncha di hai jiss ko hum ney apney ilm-e-kaamil say boht wazeh ker kay biyan ker diya hai woh zariya-e-hidayat aur rehmat unn logon kay liye hai jo eman laye hain.

07.53 Inn logon ko aur kissi baat ka intizar nahi sirf iss kay akheet nateejay ka intizar hai jiss roz iss ka akheet nateeja paish aaye ga aur uss roz jo log iss ko pehlay say bhoolay huye thay yun kahen gay kay waqaee humaray rab kay payghumbar sachi sachi baaten laye thay so abb kiya koi humara sifarshi hai kay woh humari sifarish ker dey ya kiya hum phir wapis bhejay jaa saktay hain takay hum log unn aemaal kay jo hum kiya kertay thay bar khilaf doosray aemaal keren. Be-shak inn logon ney apney aap ko khasaray mein daal diya aur yeh jo jo baaten tarashtay thay sab gum hogaeen.

07.54 Be-shak tumhara rab Allah hi hai jiss ney sab aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda kiya hai phir arsh per qaeem hua. Woh shab say din ko aisay tor per chupa deta hai kay woh shab uss din ko jaldi aa leti hai aur sooraj aur chand aur doosray sitaron ko peda kiya aisay tor per kay sab uss kay hukum kay tabey hain. Yaad rakho Allah hi kay liye khas hai khaliq hona aur haakim hona bari khoobiyon say bhara hua hai Allah jo tamam aalam ka perwerdigar hai.

07.55 Tum log apney perwerdigar say dua kiya kero girr gira kerkay bhi aur chupkay chupkay bhi. Waqaee Allah Taalaa unn logon ko na pasand kerta hai jo hadd say nikal jayen.

07.56 Aur duniya mein iss kay iss ki durusti kerdi gaee hai fasaad mat phelao aur tum Allah ki ibadat kero uss say dartay huye aur umeed waar rehtay huye. Be-shak Allah Taalaa ki rehmat nek kaam kerney walon kay nazdik hai.

07.57 Aur woh aisa hai kay apni baaraan-e-rehmat say pehlay hawaon ko bhejta hai kay woh khush ker deti hain yahan tak kay woh hawayen jab badlon ko utha leti hain to hum iss badal ko kissi khushk sir zamin ki taraf haank ley jatay hain phir iss badal say pani barsatay hain phir iss pani say her qisam kay phal nikaltay hain. Yun hi hum murdon ko nikal khara keren gay takay tum samjho.

07.58 Aur jo suthri sir zamin hoti hai uss ki peda waar to Allah kay hukum say khoob nikalti hai aur jo kaharab hai ussi ki peda waar boht kum nikalti hai issi tarah hum dalaeel ko tarah tarah say biyan kertay hain unn logon kay liye jo shukar kertay hain.

07.59 Hum ney nooh (alh-e-salam) ko unn ki qom ki taraf bheja to unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa koi mabood honey kay qabil nahi mujh ko tumharay liye aik baray din kay azab ka andesha hai.

07.60 Unn ki qom kay baray logon ney kaha hum tum ko sareeh ghalati mein dekhtay hain.
http://qurantube.blogspot.com/

07.61 Unhon ney farmaya kay aey meri qom! Mujh mein to zara bhi gumrahi nahi lekin mein perwerdigar-e-aalam ka rasool hun.

07.62 Tum ko apney perwerdigar ka payghaam phonchata hun aur tumhari khair khuwaee kerta hun aur mein Allah ki taraf say unn umoor ki khabar rakhta hun jin ki tum ko khabar nahi.

07.63 Aur kiya tum iss baat say tajjub kertay ho kay tumharay perwerdigar ki taraf say tumharay pass aik aisay shaks ki maarfat jo tumhari hi jinss ka hai koi naseehat ki baat aagaee takay woh shaks tum ko daraye aur takay tum darr jao aur takay tum per reham kiya jaye.

07.64 So woh log unn ki takzeeb hi kertay rahey to hum ney nooh (alh-e-salam) ko aur unn ko jo unn kay sath kashti mein thay bacha liya aur jin logon ney humari aayaton ko jhutlaya tha unn ko hum ney gharq ker diya. Be-shal woh log andhay horahey thay.

07.65 Aur hum ney qom-e-aad ki taraf unn kay bhai hood (alh-e-salam) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa tumhara koi mabood nahi so kiya tum nahi dartay.

07.66 Unn ki qom mein jo baray log kafir thay unhon ney kaha hum tum ko kum aqali mein dekhtay hain. Aur hum be-shak tum ko jhootay logon mein samajhtay hain.

07.67 Unhon ney farmaya aey meri qom! Mujh mein zara bhi kum aqali nahi lekin mein perwerdigar-e-aalam ka bheja hua payghumbar hun.

07.68 Tum ko apney perwerdigar kay paygham phonchata hun aur mein tumhara amanatdaar aur khair khuwa hun.

07.69 Aur kiya tum iss baat say tajjub kertay ho kay tumharay perwerdigar ki taraf say tumharay pass aik aisay shaks ki maarfat jo tumhari hi jinss ka hai koi naseehat ki baat aagaee takay woh shaks tum ko daraye aur tum yeh halat yaad kero kay Allah ney tum ko qom-e-nooh kay baad ja nasheen banaya aur deel dol mein tum ko phelao ziyada diya so Allah ki nematon ko yaad kero takay tum ko falah ho.

07.70 Unhon ney kaha kiya aap humaray pass iss wastay aaye hain kay hum sirf Allah hi ki ibadat keren aur jin ko humaray baap dada poojtay thay unn ko chor den pus hum ko jiss azab ki dhamki detay ho uss ko humaray pass mangwa do agar tum sachay ho.
http://qurantube.blogspot.com/

07.71 Unhon ney farmaya kay bus abb tum per Allah ki taraf say azab aur ghazab aaya hi chahata hai kiya tum mujh say aisay naamon kay baab mein jhagartay ho jin ko tum ney aur tumharay baap dadon ney thehra liya hai? Unn kay mabood honey ko Allah ney koi daleel nahi bheji. So tum muntazir raho mein bhi tumharay sath intizar ker raha hun.

07.72 Gharz hum ney unn ko aur unn kay sathiyon ko apni rehmat say bacha liya aur unn logon ki jarr kaat di jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya tha aur woh eman laney walay na thay.

07.73 Aur hum ney samood ki taraf unn kay bhai saleh (alh-e-salam) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa koi tumhara mabood nahi. Tumharay pass tumharay perwerdigar ki taraf say aik wazeh daleel aa chuki hai. Yeh oontni hai Allah ki jo tumharay liye daleel hai so iss ko chor do kay Allah Taalaa ki zamin mein khati phiray aur issko buraee kay sath haath bhi na lagana kay kahin tum ko dard naak azab aa pakray.

07.74 Aur tum yeh halat yaad kero kay Allah Taalaa ney tum ko aad kay baad janasheen banaya aur tum ko zamin per rehney ka thikana diya kay naram zamin per mehal banatay ho aur paharon ko taraash taraash ker unn mein ghar banatay ho so Allah Taalaa ki nematon ko yaad kero aur zamin mein fasaad mat phelao.

07.75 Unn ki qom mein jo mutakabbir sardar thay unhon ney gharib logon say jo kay inn mein say eman ley aaye thay poocha kiya tum ko iss baat ka yaqeen hai kay saleh (alh-e-salam) apney rab ki taraf say bhejay huye hain? Unhon ney kaha kay be-shak hum to iss per poora yaqeen rakhtay hain jo inn ko dey ker bheja gaya hai.

07.76 Woh mutakabbir log kehney lagay kay tum jiss baat per yaqeen laye ho hum to iss kay munkir hain.

07.77 Pus unhon ney uss oontni ko maar dala aur apney perwerdigar kay hukum say sirkashi ki aur kehney lagay kay aey saleh! Jiss ki aap hum ko dhamki detay thay uss ko mangwaiye agar aap payghumbar hain.

07.78 Pus unn ko zalzalay ney aa pakra aur woh apney gharon mein ondhay kay ondhay paray reh gaye.

07.79 Uss waqt (saleh alh-e-salam) unn say mun mor ker chalay aur farmaney lagay aey meri qom! Mein to tum ko apney perwerdigar ka hukum phoncha diya tha aur mein ney tumhari khair khuwahi ki lekin tum log khair khuwahon ko pasand nahi kertay.

07.80 Aur hum ney loot (alh-e-salam) ko bheja jabkay unhon ney apni qom say farmaya tum aisa fahash kaam kertay ho jiss ko tum say pehlay kissi ney duniya jahaan walon mein say nahi kiya.
http://qurantube.blogspot.com/

07.81 Tum mardon kay sath shewat rani kertay ho aurton ko chor ker bulkay tum to hadd hi say guzar gaye ho.
07.82 Aur unn ki qom say koi jawab na bann para ba-juz iss kay, kay aapas mein kehney lagay kay inn logon ko apni basti say nikal do. Yeh log baray pak saaf bantay hain.

07.83 So hum ney loot (alh-e-salam) ko aur unn kay ghar walon ko bacha liya ba-juz unn ki biwi kay, kay woh unn hi logon mein rahi jo azab mein reh gaye thay.

07.84 Aur hum ney unn per khaas tarah ka meenh barsaya pus dekho to sahi inn mujrimon ka anjam kaisa hua?

07.85 Aur hum ney madiyan ki taraf unn kay bhai shoaib (alh-e-salam) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero iss kay siwa koi tumhara mabood nahi tumharay pass tumharay perwerdigar ki taraf say wazeh daleel aa chuki hai. Pus tum naap aur tol poora poora kiya kero aur logon ko unn ki cheezen kum kerkay mat do aur ruy-e-zamin mein iss kay baad kay iss ki durusti ker di gaee fasaad mat phelao yeh tumharay liye naafay hai agar tum tasdeeq kero.

07.86 Aur tum sarkaon per iss gharz say nahi betha kero kay Allah per eman laney walay ko dhamkiyan do aur Allah ki raah say roko aur iss mein kuji ki talash mein lagay raho. Aur uss halat ko yaad kero jabkay tum kum thay phir Allah ney tum ko ziyada ker diya aur dekho kay kaisa anjam hua fasaad kerney walon ka.

07.87 Aur agar tum say kuch log iss hukum per jiss ko dey ker mujh ko bheja gaya eman ley aaye hain aur kuch eman nahi laye hain to zara thehar jao! Yahan tak kay humaray darmiyan Allah faisla kiye deta hai aur woh sab faisla kerney walon say behtar hai.

No comments:

Post a Comment

Adbox