Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 16

Parah-Qaala-Alam 16

Surat-Kaahaf 18
(Sura-Kaahaf Makka mai Nazil hui, is mai aikso-das (110) Aayatain hain)


18.75 Woh kehney lagay kay mein ney tum say nahi kaha tha kay tum meray humraah reh ker hergiz sabar nahi ker saktay.

18.76 Musa (alh-e-salam) ney jawab diya agar abb iss kay baad mein aap say kissi cheez kay baray mein sawal keroon to be-shak aap mujhay apney sath na rakhna yaqeena aap meri taraf say (hadd) uzur ko phonch chukay.

18.77 Phir dono chalay aik gaaon walon kay pass aaker unn say khana talab kiya to unhon ney unn ki mehmandaari say saaf inkar ker diya dono ney wahan aik deewar paee jo gira hi chahati thi uss ney ussay theek aur durust ker diya musa (alh-e-salam) kehney lagay agar aap chahatay to iss per ujrat ley letay.

18.78 Uss ney kaha bus yeh judaee hai meray aur teray darmiyan abb mein tujhay inn baton ki asliyat bhi bata doon ga jiss per tujh say sabar na ho saka.

18.79 Kashti to chand miskeeno ki thi jo daya mein kaam kaaj kertay thay. Mein ney uss mein kuch tor phor kerney ka irada ker liya kiyon kay unn kay aagay aik badshah tha jo her aik (sahih saalim) kashti ko jabran zabt ler leta tha.

18.80 Aur uss larkay kay maa baap eman walay thay. Humen khof hua kay kahin yeh unhen apni sirkashi aur kufur say aajiz-o-pareshan na kerdey.
http://qurantube.blogspot.com/

18.81 Iss liye hum ney chaha kay unhen unn ka perwerdigar iss kay badlay iss say behtar pakeezgi wala aur iss say ziyada mohabbat aur piyar wala bacha inayat farmaye.

18.82 Deewar ka qissa yeh hai kay iss shehar mein do yateem bachay hain jin ka khazana inn ki iss deewar kay neechay dafan hai inn ka baap bara nek shaks tha to teray rab ki chahat thi kay yeh dono yateem apni jawani ki umar mein aaker apna yeh khazana teray rab ki meharbani aur rehmat say nikal len mein ney apni raye say koi kaam nahi kiya yeh thi asal haqeeqat unn waqiyaat ki jin per aap say sabar na hosaka.

18.83 Aap say zulqarnain ka waqiya yeh log daryaft ker rahey hain aap keh dijiye kay mein unn ka thora sa haal tumhen parh ker sunata hun.

18.84 Hum ney ussay zamin mein qooat ata farmaee thi aur ussay her cheez kay saman bhi inayat ker diye thay.

18.85 Woh aik raah kay peechay laga.

18.86 Yahan tak kay sooraj doobney ki jagah phonch gaya aur ussay aik daldal kay chashmay mein ghuroob hota hua paya aur iss chashmay kay pass aik qom ko bhi paya hum ney farma diya kay aey zulqarnain! Ya to tu enhen takleef phonchaye ya inn kay baray mein tu koi behtareen ravish ikhtiyar keray.

18.87 Uss ney kaha jo zulm keray ga ussay to hum bhi abb saza den gay phir woh apney perwerdigar ki taraf lotaya jayega aur woh ussay sakht tar azab dey ga.

18.88 Haan jo eman laye aur nek aemaal keray uss kay liye to badlay mein bhalaee hai aur hum ussay apney kaam mein bhi aasani hi ka hukum den gay.

18.89 Phir woh aur raah kay peechay laga.

18.90 Yahan tak kay jab sooraj nikalney ki jagah tak phoncha to ussay aik aisi qom per nikalta hua paya kay unn kay liye hum ney uss say aur koi oat nahi banaee.
http://qurantube.blogspot.com/

18.91 Waqiya aisa hi hai aur hum ney uss kay pass ki kul khabron ka ehaata ker rakha hai.

18.92 Woh phir aik safar kay saman mein laga.

18.93 Yahan tak kay jab do deewaron kay darmiyan phoncha unn dono kay paray uss ney aik aisi qom paee jo baat samjhney ka qareeb bhi na thi.

18.94 Unhon ney kaha aey zulqarnain! Yajoob majooj iss mulk mein (baray bhari) fasadi hain to kiya hum aap kay liye kuch kharch ka intizam ker den? (iss shart per kay) aap humaray aur unn kay darmiyan aik deewat bana den.

18.95 Uss ney jawab diya kay meray ikhtiyar mein meray perwerdigar ney jo dey rakha hai wohi behtar hai tum sirf qooat taqat say meri madad kero.

18.96 Mein tum mein aur inn mein mazboot hijab bana deta hun. Mujhay lohay ki chadaren laa do. Yahan tak kay jab inn dono paharon kay darmiyan deewar barabar kerdi to hukum diya kay aag tez jalao ta-waqt-e-kay lohay ki inn chadaron ko bilkul aag ker diyato farmaya meray pass laao iss per pighla hua tanbaa daal doon.

18.97 Pus to inn mein iss deewar kay upper charhney ki taqat thi aur na iss mein koi soorakh ker saktay thay.

18.98 Kaha yeh sab meray rab ki meharbani hai haan jab meray rab ka wada aayega to issay zamin boss ker dey ga be-shak meray rab ka wada sacha aur haq hai.

18.99 Uss din hum enhen aapas mein aik doosray mein gudd madd hotay huye chor den gay aur soor phoonk diya jayega pus sab ko ikhatha ker kay hum jama ker len gay.

18.100 Uss din hum jahannum ko (bhi) kafiron kay samney laa khara keren gay.
http://qurantube.blogspot.com/


18.101 Jin ki aankhen meri yaad say pardey mein thi aur (amar haq) sunn bhi nahi saktay thay.

18.102 Kiya kafir yeh khayal kiye bethay hain? Kay meray siwa woh meray bandon ko apna himayati bana len gay? (Suno) hum ney to inn kuffaar ki mehmani kay liye jahannum ko tayyar ker rakha hai.

18.103 Keh dijiye kay agar (tum kaho to) mein tumhen bata doon kay ba-aetbaar aemaal sab say ziyada khasaray mein kaun hain?

18.104 Woh hain kay jinki dunyawi zindagi ki tamam tar kosishen bekar hogaeen aur woh issi gumaan mein rahey kay woh boht achay kaam ker rahey hain.

18.105 Yehi woh log hain jinhon ney apney perwerdigar ki aayaton aur uss ki mulaqat say kufur kiya iss liye unn kay aemaal ghaarat hogaye pus qayamat kay din hum unn ka koi wazan qaeem na keren gay.

18.106 Haal yeh hai kay inn ka badla jahannum hai kiyon kay enhon nay kufur kiya aur meri aayaton aur meray rasoolon ko mazaq mein uaraya.

18.107 Jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi achay kiye yaqeenan unn kay liye al-firdous kay baaghaat ki mehmani hai.

18.108 Jahan woh humesha raha keren gay jiss jagah ko badalney ka kabhi bhi unn ka irada hi na hoga.

18.109 Keh dijiye kay agar meray perwerdigar ki baton kay likhney kay liye samandar sihaee bann jayen to woh bhi meray rab ki baton kay khatam honey say pehlay hi khatam hojaye ga go hum issi jaisa aur bhi iss ki madad ko ley aayen.

18.110 Aap keh dijiye kay mein to tum jaisa hi aik insan hun. (haan) meri janib wahee ki jati hai kay sab ka mabood aik hi mabood hai to jisay bhi apney perwerdigar say milney ki aarzoo ho ussay chahaye kay nek aemaal keray aur apney perwerdigar ki ibadat mein kissi ko bhi shareeq na keray.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Marium 19
(Sura-Marium Makka mai Nazil hui, is mai atthanway (98) Aayatain hain)


19.01 Kaaf haa yaa ain suaad.

19.02 Yeh hai teray perwerdigar ki uss meharbani ka zikar jo uss ney apney banday zakriya per ki thi.

19.03 Jabkay uss ney apney rab say chupkay chupkay dua ki thi.

19.04 Kay aey meray perwerdigar! Meri hadiyan kamzor hogaee hain aur sir burhapay ki waja say bharak utha hai lekin mein tujh say dua kerkay kabhi bhi mehroom nahi raha.

19.05 Mujhay apney marney kay baad apney qarabat daron ka darr hai meri biwi bhi baanjh hai pus tu mujhay apney pass say waris ata farma.

19.06 Jo mera bhi waris ho aur yaqoob (alh-e-salam) kay khandan ka bhi ja-nasheen aur meray rab! Tu ussay maqbool banda bana ley.

19.07 Aey zakriya! Hum tujhay aik bachay ki khushkhabri detay hain jiss kay naam yahya hai hum ney iss say pehlay iss ka hum naam bhi kissi ko nahi kiya.

19.08 Zakriya (alh-e-salam) kehney lagay aey meray rab! Meray haan larka kaisay hoga jabkay meri biwi baanjh aur mein khud burhapay kay intehaee zoaf ko phonch chuka hun.

19.09 Irshad hua kay wada issi tarah ho chuka teray rab ney farma diya hai kay mujh per to yeh bilkul aasan hai aur tu khud jabkay kuch na tha mein tujhay peda ker chuka hun.

19.10 Kehney lagay meray perwerdigar meray liye koi alamat muqarrar farma dey irshad hua kay teray liye alamat yeh hai kay bawajood bhala changa honey kay tu teen raaton tak kissi shaks say bol na sakay ga.
http://qurantube.blogspot.com/

19.11 Abb zakriya (alh-e-salam) apney hujray say nikal ker apni qom kay pass aaker unhen ishara kertay hain kay tum subha-o-shaam Allah Taalaa ki tasbeeh biyan kero.

19.12 “Aey yahya! Meri kitab ko mazbooti say thaam ley” aur hum ney ussay larakpan hi say danaee ata farma di.

19.13 Aur apney pass say shafqat aur pakeezgi bhi woh perhezgar shaks tha.

19.14 Aur apney maa baap say nek salook kerney wala tha woh sirkash aur gunehgar na tha.

19.15 Uss per salam hai jiss din woh peda hua aur jiss din woh maray aur jiss din woh zinda kerkay uthaya jaye.

19.16 Iss kitab mein marium ka bhi waqiya biyan ker. Jabkay woh apney ghar kay logon say alehda hoker mashriqi janib aaeen.

19.17 Aur unn logon ki taraf say parda ker liya phir hum ney uss kay pass apni rooh (jibraeel alh-e-salam) ko bheja pus woh uss kay samney poora aadmi bann ker zahir hua.

19.18 Yeh kehney lagin mein tujh say rehman ki panah maangti hun agar tu kuch bhi Allah say darney wala hai.

19.19 Uss ney jawab diya kay mein to Allah ka bheja hua qasid hun tujhay aik pakeeza larka denay aaya hun.

19.20 Kehney lagin bhala meray haan bacha kaisay ho sakta hai? Mujhay to kissi insan ka hath tak nahi laga aur na mein badkaar hun.
http://qurantube.blogspot.com/

19.21 Uss ney kaha baat to yehi hai lekin teray perwerdigar ka irshad hai kay woh mujh per boht hi aasan hai hum to ussay logon kay liye aik nishani bana den gay aur apni khaas rehmat yeh to aik tey shuda baat hai.

19.22 Pus woh hamal say hogaeen aur issi waja say woh yaksoo hoker aik door ki jaga chali gaeen.

19.23 Phir dard-e-zeh ussay aik khajoor kay tanay kay neechay ley aaya boli kaash! Mein iss say pehlay hi marr gaee hoti aur logon ki yaad say bhi bhooli bisri hojati.

19.24 Itney mein ussay neechay say hi awaz di kay aazardah khatir na ho teray rab ney teray paon talay aik chashma jari ker diya hai.

19.25 Aur iss khajoor kay tanay ko apni taraf hila yeh teray samney tar-o-taza pakki khajooren gira dey ga.

19.26 Abb chain say kha pi aur aankhen thandi rakh agar tujhay koi insan nazar parr jaye to keh dena kay mein ney Allah rehman kay naam ka roza maan rakha hai. Mein aaj kissi shaks say baat na keroon gi.

19.27 Abb hazrat essa (alh-e-salam) ko liye huye woh apni qom kay pass aaeen. Sab kehney lagay marium tu ney bari buri harkat ki.

19.28 Aey haroon ki behan! Na to tera baap bura aadmi tha aur na teri maa badkaar thi.

19.29 Marium ney apney bachay ki taraf ishara kiya. Sab kehnay lagay kay lo bhala hum goad kay bachay say baat kaisay keren?

19.30 Bcha bol utha kay mein Allah Taalaa ka banda hun. Uss ney mujhay kitab ata farmaee aur mujhay apna payghumber banaya hai.
http://qurantube.blogspot.com/

19.31 Aur uss ney mujhay ba-barkat kiya hai jahan bhi mein hun uss ney mujhay namaz aur zakat ka hukum diya hai jab tak bhi mein zinda rahoon.

19.32 Aur uss ney mujhay apni walida ka khidmat guzaar banaya hai aur mujhay sirkash aur bad-bakht nahi kiya.

19.33 Aur mujh per meri pedaeesh kay din aur meri maut kay din aur jiss din kay mein doobara zinda khara kiya jaon ga salam hi salam hai.

19.34 Yeh hai sahih waiya essa bin marium (alh-e-salam) ka yehi hai woh haq baat jiss mein log shak-o-shuba mein mubtila hain.

19.35 Allah Taalaa kay liye aulad ka hona laeeq nahi woh to bilkul pak zaat hai woh to jab kissi kaam kay sir anjam denay ka irada kerta hai to ussay keh deta hai kay hoja woh ussi waqt ho jata hai.

19.36 Mera aur tum sab ka perwerdigar Allah Taalaa hi hai. Tum sab ussi ki ibadat kero yehi seedhi raah hai.

19.37 Phir yeh firqay aapas mein ikhtilaf kerney lagay pus kafiron kay liye “wail” hai aik baray (sakht) din ki hazri hai.

19.38 Kiya khoob dekhney sunnay walay hongay uss din jabkay humaray samney hazir hongay lekin aaj to yeh zalim log sareeh gumrahi mein paray huye hain.

19.39 To unhen uss ranj-o-afsos kay din ka darr suna dey jabkay kaam anjam ko phoncha diya jayega aur yeh log ghaflat aur bey emani mein hi reh jayengay.

19.40 Khud zamin kay aur tamam zamin walon kay waris hum hi hongay aur sab log humari hi taraf lota ker layen jayen gay.
http://qurantube.blogspot.com/

19.41 Iss kitab mein ibrahim (alh-e-salam) ka qissa biyan ker be-shak woh baray sachaee walay payghumber thay.

19.42 Jabkay unhon ney apney baap say kaha kay abba jaan! Aap inn ki pooja paat kiyon ker rahey hain jo na sunen na dekhen? Na aap ko kuch bhi faeeda phoncha saken.

19.43 Meray meharban maa baap! Aap dekhiye meray pass woh ilm aaya hai jo aap kay pass aaya hi nahi to aap meri hi manen mein bilkul seedhi raah ki taraf aap ki rehbari keroon ga.

19.44 Meray abba jaan aap shetan ki parastish say baaz aajayen shetan to reham-o-karam walay Allah Taalaa ka bara hi na-farman hai.

19.45 Abba jaan! Mujhay khof laga hua hai kay kahin aap per koi azab-e-elahee na aa paray kay aap shetan kay sathi bann jayen.

19.46 Uss ney jawab diya kay aey ibrahim! Kiya tu humaray maboodon say roo gardani ker raha hai. Sunn agar tu baaz na aaya to mein tujhay pathron say maar dalon ga jaa aik muddat daraz tak mujh say alag reh.

19.47 Kaha acha tum per salam ho mein to apney perwerdigar say tumhari bakhsish ki dua kerta rahon ga woh mujh per hadd darja meharban hai.

19.48 Mein to tumhen bhi aur jin jin ko tum Allah Taalaa kay siwa pukartay ho unhen bhi sab ko chor raha hun. Sirf apney perwerdigar ko pukarta rahoon ga mujhay yaqeen hai kay mein apney perwerdigar say dua maang ker mehroom na rahoon ga.

19.49 Jab ibrahim (alh-e-salam) unn sab ko aur Allah kay siwa unn kay sab maboodon ko chor chukay to hum ney unhen ishaq (alh-e-salam) -o- yaqoob (alh-e-salam) ata farmaye aur dono ko nabi bana diya.

19.50 Aur inn sab ko hum ney apni boht si rehmaten ata farmaeen aur hum ney inn kay zikar-e-jamil ko buland darjay ka ker diya.
http://qurantube.blogspot.com/


19.51 Iss quran mein musa (alh-e-salam) ka zikar bhi ker jo chuna hua rasool aur nabi tha.

19.52 Hum ney ussay toor kay dayen janib say nida ki aur raaz goee kertay huye ussay qareeb ker liya.

19.53 Aur apni khas meharbani say uss kay bhai ko nabi bana ker ata farmaya.

19.54 Iss kitab mein ismail (alh-e-salam) ka waqiya bhi biyan ker woh bara hi waday ka sacha tha aur tha bhi rasool aur nabi.

19.55 Woh apney ghar walon ko barabar namaz aur zakat ka hukum deta tha aur tha bhi apney perwerdigar ki baargaah mein pasandeedah aur maqbool.

19.56 Aur iss kitab mein idris (alh-e-salam) ka bhi zikar ker woh bhi nek kirdaar payghumber tha.

19.57 Hum ney ussay buland muqam per utha liya.

19.58 Yehi woh anbiya hain jin per Allah Taalaa ney fazal-o-karam kiya jo aulad-e-adam mein say hain aur unn logon ki nasal say hain jinhen hum ney nooh (alh-e-salam) kay sath kashti mein charha liya tha aur aulad ibrahim-o-yaqoob say aur humari taraf say raaha yafta aur humaray pasandeedah logon mein say. Inn kay samney jab Allah rehman ki aayaton ki tilawat ki jati thi yeh sajda kertay aur rotay girgiratay gir partay thay.

19.59 Phir inn kay baad aisay na khalaf peda huye kay unhon ney namaz zaya ker di aur nafsani khuwishon kay peechay parr gaye so unn ka nuksan unn kay aagay aayega.

19.60 Ba-juz unn kay jo toba ker len aur eman layen aur nek amal keren. Aisay log jannat mein jayen gay aur unn ki zara si bhi haq talfi na ki jayegi.
http://qurantube.blogspot.com/


19.61 Humeshgi wali jannaton mein jin ka ghaeebana wada Allah meharban ney apney bandon say kiya hai. Be-shak uss ka wada poora honey wala hi hai.

19.62 Woh log wahan koi laghaw baat na sunen gay sirf salam hi salam sunen gay unn kay liye wahan subha shaam unn ka rizq hoga.

19.63 Yeh hai woh jannat jiss ka waris hum apney bandon mein say unhen banatay hain jo muttaqi hon.

19.64 Hum baghair teray rab kay hukum kay utar nahi saktay humaray aagay peechay aur inn kay darmiyan ki kul cheezen ussi ki milkiyat mein hain tera perwerdigar bhoolney wala nahi.

19.65 Aasmano ka zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai sab ka rab wohi hai tu ussi ki bandagi ker aur uss ki ibadat per jamm ja. Kiya teray ilm mein uss ka hum naam hum palla koi aur bhi hai?

19.66 Insan kehta hai kay jab mein marr jaonga to kiya phir zinda ker kay nikala jaonga?

19.67 Kiya yeh insan itna bhi yaad nahi rakhta kay hum ney ussay iss say pehlay peda kiya halankay woh kuch bhi na tha.

19.68 Teray perwerdigar ki qasam! Hum unhen aur shetano ko jama ker kay zaroor zaroor jahannum kay ird gird ghutno kay bal giray huye hazir ker den gay.

19.69 Hum phir her her giroh say unhen alag nikal khara keren gay jo Allah rehman say boht akray akray phirtay thay.

19.70 Phir hum unhen bhi khoob jantay hain jo jahannum kay dakhlay kay ziyada sazawaar hain.
http://qurantube.blogspot.com/

19.71 Tum say her aik wahan zaroor warid honey wala hai yeh teray perwerdigar kay zimmay qataee faisal shuda amar hai.

19.72 Phir hum perhezgaron ko to bacha len gay aur na-farmano ko ussi mein ghutno kay bal gira hua chor den gay.

19.73 Jab inn kay samney humari roshan aayaten tilwat ki jati hain to kafir musalamano say kehtay hain batao hum tum dono jamaton mein say kiss ka martaba ziyada hai? Aur kiss ki majlis shandaar hai?

19.74 Hum to inn say pehlay boht si jamaton ko ghaarat ker chukay hain jo saaz-o-saman aur naam-o-numood mein inn say barh charh ker thin.

19.75 Keh dijiye! Jo gumrahi mein hota Allah rehman uss ko khoob lambi mohlat deta hai yehan tak kay woh unn cheezon kay dekh len jin ka wada kiye jatay hain yaani azab ya qayamat ko uss waqt unn ko sahih tor per maloom ho jayega kay kaun buray martabay wala aur kiss ka jutha kamzor hai.

19.76 Aur hidayat yafta logon ko Allah Taalaa hidayat mein barhata hai aur baqi rehney wali nekiyan teray rab kay nazdeek sawab kay lehaz say aur anjam kay lehaz say boht hi behtar hain.

19.77 Kiya tu ney ussay bhi dekha jiss ney humari aayaton say kufur kiya aur kaha kay mujhay to maal-o-aulad zaroor hi di jaye gi.

19.78 Kiya woh ghaib per mutla hai ya Allah ka koi wada ley chuka hai?

19.79 Hergiz nahi yeh jo bhi keh raha hai hum ussay zaroor likh len gay aur uss kay liye azab barhaye chalay jayen gay.

19.80 Yeh jin cheezon ko keh raha hai ussay hum iss kay baad ley len gay. Aur yeh to bilkul akela hi humaray samney hazir hoga.
http://qurantube.blogspot.com/

19.81 Enhon ney Allah kay siwa doosray mabood bana rakhay hain kay woh inn kay liye baees-e-izzat hon.

19.82 Lekin aisa hergiz hona nahi. Woh to inn ki pooja say munkir honjayen gay aur ultay inn kay dushman bann jayen gay.

19.83 Kiya tu ney nahi dekha kay hum kafiron kay pass shetano ko bhejtay hain jo enhen khoob uksatay hain.

19.84 Tu inn kay baray mein jaldi na ker hum to khud hi inn kay liye muddat shumari ker rahey hain.

19.85 Jiss din hum perhezgaron ko Allah rehman ki taraf bator mehman kay jama keren gay.

19.86 Aur gunehgaron ko sakht piyas ki halat mein jahannum ki taraf haank ley jayen gay.

19.87 Kissi ko shifaat ka ikhtiyar na hoga siwaye unn kay jinhon ney Allah Taalaa ki taraf say koi qol-o-qarar ley liya hai.

19.88 Inn ka qol to yeh hai kay Allah rehman ney bhi aulad ikhtiyar ki hai.

19.89 Yaqeenan tum boht buri aur bhari cheez laye ho.

19.90 Qareeb hai kay iss qol ki waja say aasman phat jayen aur zamin shaq hojaye aur pahar rezay rezay hojayen.
http://qurantube.blogspot.com/

19.91 Key woh rehman ki aulad sabit kerney bethay.

19.92 Shaan-e-rehman kay laeeq nahi kay woh aulad rakhay.

19.93 Aasman-o-zamin mein jo bhi hain sab kay sab Allah kay ghulam bann ker hi aaney walay hain.

19.94 Inn sab ko uss ney gher rakha hai aur sab ko poori tarah ginn bhi rakha hai.

19.95 Yeh saray kay saray qayamat kay din akelay uss kay pass hazir honey walay hain.

19.96 Be-shak jo eman laye hain aur jinhon ney shaeesta aemaal kiye hain unn kay liye Allah rehman mohabbat peda ker dey ga.

19.97 Hum ney iss quran ko teri zaban mein boht hi aasan ker diya hai kay tu iss kay zariye say perhezgaron ko khushkhabri dey aur jhagraloo logon ko dara dey.

19.98 Hum ney inn say pehlay boht si jamaten tabah ker di hain kiya inn mein say aik bhi aahat tu pata hai ya unn ki awaz ki bhanak bhi teray kaan mein parti hai?

http://qurantube.blogspot.com/


Surat-Tahaa 20
(Sura-Tahaa Makka mai Nazil hui, is mai aikso-paintees (135) Aayatain hain)


20.01 Taahaa

20.02 Hum ney yeh quran tujh per iss liye nahi utara kay tu mushaqqat mein parr jaye.

20.03 Bulkay uss ki naseehat kay liye jo Allah say darta hai.

20.04 Iss ka utarna uss ki taraf say hai jiss ney zamin ko aur buland aasmano ko peda kiya hai.

20.05 Jo rehman hai arsh per qaeem hai.

20.06 Jiss ki milkiyat aasmano aur zamin aur inn dono kay darmiyan aur (kurra-e-khak) kay neechay ki her aik cheez per hai.

20.07 Agar tu unchi baat kahey to woh to her aik posheeda bulkay posheeda say posheeda tar cheez ko bhi ba-khoobi janta hai.

20.08 Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi behtareen naam ussi kay hain.

20.09 Tujhay musa (alh-e-salam) ka qissa bhi maloom hai?

20.10 Jabkay uss ney aag dekh ker apney ghar walon say kaha kay tum zara si dare thehar jao mujhay aag dikhaee di hai. Boht mumkin hai kay mein iss ka koi angara tumharay pass laon yaa aag kay pass say rastay ki itlaa paon.
http://qurantube.blogspot.com/

20.11 Jab woh wahan phonchay to awaz di gaee aey musa!

20.12 Yaqeenan mein hi tera perwerdigar hun to tu apni jootiyan utar dey kiyon kay tu pak maidan-e-toowa mein hai.

20.13 Aur mein ney tujhay muntakhib ker liya hai abb jo wahee ki jaye ussay kaan laga ker sunn.

20.14 Be-shak mein hi Allah hun meray siwa ibadat kay laeeq aur koi nahi pus tu meri hi ibadat ker aur meri yaad kay liye namaz qaeem rakh.

20.15 Qayamat yaqeenan aaney wali hai jissay mein posheeda rakhna chahata hun takay her shaks ko woh badla diya jaye jo uss ney kosish ki ho.

20.16 Pus abb iss kay yaqeen say tujhay koi aisa shaks rok na dey jo iss per emaan na rakhta ho aur apni khuawish kay peechay para ho werna tu halak ho jaye ga.

20.17 Aey musa terau iss dayen hath mein kiya hai?

20.18 Jawab diya kay yeh meri lathi hai jiss per mein take lagata hun aur jiss say mein apni bakriyon kay liye pattay jhaar liya kerta hun aur bhi iss mein mujhay boht faeeday hain.

20.19 Farmaya aey musa! Issay hath say neechay daal dey.

20.20 Daltay hi woh saanp bann ker dorney lagi.
http://qurantube.blogspot.com/


20.21 Farmaya bey khof ho ker issay pakar ley hum issay ussi pehli si surat mein doobara laa den gay.

20.22 Aur apna hath apni baghal mein daal ley to woh safaid chamakta hua ho ker niklay ga lekin baghair kisi aib (aur rog) kay yeh doosra moajzza hai.

20.23 Yeh iss liye kay hum tujhay apni bari bari nishaniyan dikhana chahatay hain.

20.24 Abb tu firaon ki taraf jaa uss ney barri sirkashi macha rakhi hai.

20.25 Musa (alh-e-salam) ney kaha aey meray perwerdigar! Mera seena meray liye khol dey.

20.26 Aur meray kaam ko mujh per aasan ker dey.

20.27 Aur meri zaban ki girah bhi khol dey.

20.28 Takay log meri baat achi tarah samajh saken.

20.29 Aur mera wazir meray kunbay mein say ker dey.

20.30 Yani mera bhai haroon (alh-e-salam) ko.
http://qurantube.blogspot.com/

20.31 Tu iss say meri kamar kuss dey.

20.32 Aur ussay mera shareek kaar ker dey.

20.33 Takay hum dono ba-kasrat teri tasbeeh biyan keren.

20.34 Aur ba-kasrat teri yaad keren.

20.35 Be-shak tu humen khoob dekhney bhalney wala hai.

20.36 Janab baari taalaa ney farmaya musa teray tamam sawalaat poora ker diye gaye.

20.37 Hum ney tujh per aik baar aur bhi bara ehsan kiya hai.

20.38 Jabkay hum ney teri maa ko woh elhaam kiya jiss ka zikar abb kiya jaa raha hai.

20.39 Kay tu ussay sandooq mein band ker kay darya mein chor dey pus darya ussay kinaray laa dalay ga aur mera aur khud uss ka dushman ussay ley ley ga aur mein ney apni taraf ki khaas mohabbat-o-maqbooliyat tujh per daal di. Takay teri perwerish meri aankhon kay samney ki jaye.

20.40 (yaad ker) jabkay teri behan chal rahi thi aur keh rahi thi kay agar tum kaho to mein ussay bata doon jo uss ki nigehbani keray iss tadbeer say hum ney tujhay phir teri maa kay pass phonchaya kay uss ki aankhen thandi rahen aur woh ghumgeen na ho. Aur tu ney aik shaks ko maar dala tha iss per hum ney tujhay ghum say bacha liya gharz hum ney tujhay achi tarah aazma liya. Phir tu kaee saal tak madiyan kay logon mein thehra raha phir taqdeer-e-elahee kay mutabiq aey musa! Tu aaya.
http://qurantube.blogspot.com/


20.41 Aur mein ney tujhay khas apni zaat kay liye pasand farma liya.

20.42 Abb tu apney bhai samet meri nishaniyan humrah liye huye jaa aur khabdaar meray zikar mein susti na kerna.

20.43 Tum dono firaon kay pass jao uss ney bari sirkashi ki hai.

20.44 Ussay narmi say samjhao kay shayad woh samajh ley ya darr jaye.

20.45 Dono ney kaha aey humaray rab! Humen khof hai kay kahin firaon hum per koi ziyadti na keray ya apni sirkashi mein barh na jaye.

20.46 Jawab mila kay tum mutlaqan khof na kero mein tumharay sath hun aur sunta dekhta rahoon ga.

20.47 Tum iss kay pass jaa ker kaho kay hum teray perwerdigar kay payghumber hain tu humaray sath bani israeel ko bhej dey inn ki sazayen moqoof ker. Hum to teray pass teray rab ki taraf say nishani ley ker aaye hain aur salamti ussi kay liye hai jo hidayat ka paband ho jaye.

20.48 Humari taraf wahee ki gaee hai kay jo jhutlaye aur roo gardani keray uss kay liye azab hai.

20.49 Firaon ney poocha kay aey musa! Tum dono ka rab kaun hai?

20.50 Jawab diya kay humara rab woh hai jiss ney her aik ko uss ki khas surat shakal inayat farmaee phir raah sujha di.
http://qurantube.blogspot.com/

20.51 Uss ney kaha acha yeh to batao aglay zamaney walon ka haal kiya hona hai.

20.52 Jawab diya kay inn ka ilm meray rab kay haan kitab mein mojood hai na to mera rab ghalati kerta hai na bhoolta hai.

20.53 Ussi ney tumharay liye zamin ko farash banaya hai aur iss mein tumharay chalney kay raastay banaye hain aur aasman say paani bhi wohi barsata hai phir iss barasaat ki waja say mukhtalif qisam ki paidawaar bhi hum hi peda kertay hain.

20.54 Tum khud khao aur apney chopayon ko bhi charao. Kuch shak nahi kay iss mein aqalmandon kay liye boht si nishaniyan hain.

20.55 Issi zamin mein hum ney tumhen peda kiya aur issi mein phir wapis lotayen gay aur iss say phir doobara tum sab ko nikal khara keren gay.

20.56 Hum ney ussay apni sab nishaniyan dikha den lekin phir bhi uss ney jhutalaya aur inkaar ker diya.

20.57 Kehney laga aey musa! Kiya tu iss liye aaya hai kay humen apnay jadoo kay zor say humaray mulk say bahir nikal dey.

20.58 Acha hum bhi teray muqablay mein issi jaisa jadoo zaroor layen gay pus humaray aur apnay darmiyan aik waday ka waqt muqarrar ker ley kay na hum iss ka khof keren aur na tu saaf maidan mein muqabla ho.

20.59 Musa (alh-e-salam) ney jawab diya kay zeenat aur jashan kay din ka wada hai aur yeh kay log din charhay hi jama ho jayen.

20.60 Pus firaon lot gaya aur uss ney apnay hath kanday jama kiye phir aagaya.
http://qurantube.blogspot.com/

20.61 Musa (alh-e-salam) ney unn say kaha tumhari shamat aa chuki Allah Taalaa per jhoot aur iftra na bandho kay woh tumhen azabon say maliya mait ker dey yaad rakho woh kabhi kaamyaab na hoga jiss ney jhooti baat ghari.

20.62 Pus yeh log aapas kay mashwaron mein mukhtalif raye ho gaye aur chup ker chupkay chupkay mashwara kerney lagay.

20.63 Kehney lagay yeh dono mehaz jadoogar hain aur inn ka pukhta irada hai kay apney jadoo kay zor say tumhen tumharay mulk say nikal bahir keren aur tumharay behtareen mazhab ko barbaad ker den.

20.64 To tum bhi apna koi dao utha na rakho phir saff bandi ker kay aao. Jo ghalib aagaya wohi bazi ley gaya.

20.65 Kehney lagay aey musa! Ya to tu pehlay daal ya hum pehlay dalney walay bann jayen.

20.66 Jawab diya kay nahi tum hi pehlay dalo. Abb to musa (alh-e-salam) ko yeh khayal guzrney laga kay unn ki rasiyan aur lakriyan unn kay jadoo kay zor say dor bhag rahi hain.

20.67 Pus musa (alh-e-salam) ney apney dil hi dil mein darr mehsoos kiya.

20.68 Hum ney farmay kuch khof na ker yaqeena tu hi ghalib aur bartar rahey ga.

20.69 Aur teray dayen hath mein jo hai ussay daal dey kay unn ki tamam karigari ko woh nigal jaye enhon ney jo kuch banaya hai yeh sirf jadoogaron kay kartab hain aur jadoogar kahin say bhi aaye kaamyab nahi hota.

20.70 Abb to tamam jadoogar sajday mein girr paray aur pukar uthay kay hum to haroon (alh-e-salam) aur musa (alh-e-salam) kay rab per emaan laye.
http://qurantube.blogspot.com/


20.71 Firaon kehnay laga kiya meri ijazat say pehlay hi tum iss per emaan ley aaye? Yaqeenan yehi tumhara woh bara buzrug hai jiss ney tum sab ko jadoo sikhaya hai (sunn lo) mein tumharay hath paon ultay seedhay katwa ker tum sab ko khajoor kay tano mein sooli per latakwa doon ga aur tumhen poori tarah maloom hojaye ga kay hum mein say kiss ki maar ziyada sakht aur dairpaa hai.

20.72 Unhon ney jawab diya kay na-mumkin hai kay hum tujhay tarjeeh den inn daleelon per jo humaray samney aa chukin aur uss Allah per jiss ney humen peda kiya hai abb to jo kuch tu kerney wala hai ker guzar tu jo kuch bhi hukum chala sakta hai wo issi duniyawi zindagi mein hi hai.

20.73 Hum (iss umeed say) apney perwerdigar per emaan laye kay woh humari khatayen moaf farma dey aur (khaas ker) kadoogari (ka gunah) jiss per tum ney humen majboor kiya hai Allah hi behtar aur hamesha baqi rehney wala hai.

20.74 Baat yehi hai kay jo bhi gunehagaar bann ker Allah Taalaa kay haan hazir hoga uss kay liye dozakh hai jahan na maut hogi na zindagi.

20.75 Aur jo bhi uss kay pass emaan ki halat mein hazir hoga aur uss ney aemaal bhi nek kiye hongay uss kay liye buland-o-bala darjay hain.

20.76 Hameshgi wali jannaten jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha (hamesha) rahen gay. Yehi inaam hai her uss shaks ka jo pak hai.

20.77 Hum ney musa (alh-e-salam) ki taraf wahee nazil faramee kay tu raton raat meray bandon ko ley chal aur inn kay liye darya mein khushk raasta bana ley phir na tujhay kissi kay aa pakarney ka khatra hoga na darr.

20.78 Firaon ney apney lashkaron samet inn ka taaqqub kiya phir to darya inn sab ko jesa kuch chipa lena chahiye tha chipa liya.

20.79 Firaon ney apni qom ko gumrahi mein daal diya aur seedha raasta na dikhaya.

20.80 Aey bani israeel! Dekho hum ney tumhen tumharay dushman say nijat di aur tum say koh-e-toor ki dayen taraf ka wada kiya aur tum per mann-o-salwa utara.
http://qurantube.blogspot.com/

20.81 Tum humari di hui pakeeza rozi khao aur iss mein hadd say aagay na barho werna tum per mera ghazab nazil hoga aur jiss per mera ghazab nazil hojaye woh yaqeenan tabah hua.

20.82 Haan be-shak mein unhen bakhsh denay wala hun jo tauba keren emaan layen nek amal keren aur raah-e-raast per bhi rahen.

20.83 Aey musa! Tujhay apni qom say (ghafil kerkay) kaun si cheez jaldi ley aaee?

20.84 Kaha kay woh log bhi meray peechay hi peechay hain aur mein ney aey rab! Teri taraf jaldi iss liye ki kay tu khush hojaye.

20.85 Farmaya! Hum ney teri qom ko teray peechay aazmaeesh mein daal diya aur unhen samri ney behka diya.

20.86 Pus musa (alh-e-salam) sakht ghazab naak hoker ranj kay sath wapis lotay aur kehnay lagay kay aey meri qom walo! Kiya tum say tumharay perwerdigar ney nek wada nahi kiya tha? Kiya iss ki muddat tumhen lambi maloom hui? Bulkay tumhara irada hi yeh hai kay tum per tumharay perwerdigar ka ghazab nazil ho? Kay tum ney meray waday ka khilaf kiya.

20.87 Unhon ney jawab diya kay hum ney apney ikhtiyar say aap kay sath waday ka khilaf nahi kiya. Bulkay hum per zewraat qom kay bojh laad diye gaye thay unhen hum ney daal diya aur issi tarah samri ney bhi daal diye.

20.88 Phir uss ney logon kay liye aik bachra nikal khara kiya yaani bachray ka butt jiss ki gaye ki si awaz bhi thi phir kehney lagay kay yehi tumhara bhi mabood hai aur musa ka bhi lekin musa bhool gaya hai.

20.89 Kiya yeh gumrah log yeh bhi nahi dekhtay kay woh to inn ki baat ka jawab bhi nahi dey sakta aur na inn kay kissi buray bhalay ka ikhtiyar rakhta hai.

20.90 Aur haroon (alh-e-salam) ney iss say pehlay hi inn say keh diya tha aey meri qom walo! Iss bachray say to sirf tumhari aazmaeesh ki gaee hai tumahra haqeeqi perwerdigar to Allah rehman hi hai pus tum sab meri tabey daari kero. Aur meri baat mantay chalay jao.
http://qurantube.blogspot.com/

20.91 Enhon ney jawab diya kay musa (alh-e-salam) ki wapsi tak to hum issi kay mujawar banay bethay rahen gay.

20.92 Musa (alh-e-salam) kehnay lagay aey haroon! Enhen gumrah hotay hua dekhtay huye tujhay kis cheez ney roka tha.

20.93 Kay tu meray peechay na aaya. Kiya tu bhi meray farmaan ka na-farmaan bann betha.

20.94 Haroon (alh-e-salam) ney kaha aey meray maa jaye bhai! Meri darhi na pakar aur sir kay baal na kheench mujhay to sirf yeh khayal daaman geer hua kay kahin aap yeh (na) farmayen kay tu ney bani israeel mein tafarqa daal diya aur meri baar ka intezar na kiya.

20.95 Musa (alh-e-salam) ney poocha samri tera kiya moamla hai.

20.96 Uss ney jawab diya kay mujhay woh cheez dikhaee di jo enhen dikhaee na di to mein ney farstada-e-elahee kay naqsh-e-qadam say aik muthi bhar li ussay iss mein daal diya issi tarah meray dil ney yeh baat meray liye bhali bana di.

20.97 Kaha acha jaa duniya ki zindagi mein teri saza yehi hai kay tu kehta rehey kay mujhay na choona aur aik aur bhi wada teray sath hai jo tujh say hergiz na talay ga aur abb tu apney iss mabood ko bhi dekh lena jiss kay aetikaaf kiye huye tha kay hum issay jala ker darya mein raiza raiza ura den gay.

20.98 Asal baat yehi hai kay tum sab ka mabood-e-bar haq sirf Allah hi hai uss kay siwa koi parastish kay qabil nahi. Uss ka ilm tamam cheezon per hawi hai.

20.99 Issi tarah hum teray samney pehlay ki guzri hui waardaaten biyan farma rahen hain aur yaqeena hum tujhay apney pass say naseehat ata farma chukay hain.

20.100 Iss say jo mun pher ley ga woh yaqeenan qayamat kay din apna bhari bojh laday huye hoga.
http://qurantube.blogspot.com/

20.101 Jiss mein hamesha hi rahey ga aur inn kay liye qayamat kay din (bara) bojh hai.

20.102 Jiss din soor phonka jayega aur gunehgaron ko hum uss din (dehshat ki waja say) neeli peeli aankhon kay sath gher layen gay.

20.103 Woh aapas mein chupkay chupkay keh rahey hongay kay hum to (duniya mein) sirf dus din hi rahey.

20.104 Jo kuch woh keh rahey hain uss ki haqeeqat say hum ba-khabar hain inn mein say sab say ziyada acha raah wala keh raha hoga kay tum to sirf aik hi din rahey.

20.105 Woh aap say paharon ki nisbat sawal kertay hain to aap keh den kay enhen mera rab raiza raiza ker kay ura dey ga.

20.106 Aur zamin ko bilkul humwaar saaf maidan kerkay chor dey ga.

20.107 Jiss mein to na kahin mor tor dekhay ga na oonch neech.

20.108 Jiss din log pukarney walay kay peechay chalen gay jiss mein koi kuji na hogi aur Allah rehman kay samney tamam aawazen pust hojayen gi siwaye khusur phusur kay tujhay kuch bhi sunaee na dey ga.

20.109 Uss din sifarish kuch kaam na aaye gi magar jisay rehman hukum dey aur uss ki baat ko pasand farmaye.

20.110 Jo kuch inn kay aagay peechay hai ussay Allah hi janta hai makhlooq ka ilm uss per hawi nahi hosakta.
http://qurantube.blogspot.com/

20.111 Tamam chehray uss zinda aur qaeem daeem mudabbir Allah kay samney kamal aajzi say jhukay huye hongay yaqeenan woh barbaad hua jiss ney zulm laad liya.

20.112 Aur jo nek aemal keray aur emaan wala bhi ho to na ussay bey insafi ka khutka hoga na haq talfi ka.

20.113 Issi tarah hum ney tujh per arabi quran nazil farmaya hai aur tarah tarah say iss mein darr ka biyan sunaya hai takay log perhezgaar bann jayen ya inn kay dil mein soch samajh to peda keray.

20.114 Pus Allah aali shaan wala sacha aur haqeeqi badshah hai. Tu quran parhney mein jaldi na ker uss say pehlay kay teri taraf jo wajee ki jati hai woh poori ki jaye haan yeh dua ker kay perwerdigar! Mera ilm barha.

20.115 Hum ney adam ko pehlay hi takeedy hukum dey diya tha lekin woh bhool gaya aur hum ney uss mein koi azum nahi paya.

20.116 Aur jab hum ney farishton say kaha kay adam (alh-e-salam) ko sajjda kero to iblees kay siwa sab ney kiya uss ney saaf inkar ker diya.

20.117 To hum ney kaha aey adam! Yeh tera aur teri biwi ka dushman hai (khayal rakhna) aisa na ho kay woh tum dono ko jannat say nikalwa dey key tu musibat mein par jaye.

20.118 Yahan to tujhay yeh aaram hai kay na tu bhooka hota hai na nanga.

20.119 Aur na tu yahan piayasa hota hai na dhoop say takleef uthata hai.

20.120 Lekin shetan ney ussay waswasa dala kehney laga kay kiya mein tujhay daeemi zindagi ka darakht aur badshaat batlaon kay jo kabhi purani na ho.
http://qurantube.blogspot.com/


20.121 Chunacha inn dono ney uss darakht say kuch kha liya pus unn kay satar khul gaye aur bahisht kay pattay apney upper taankney lagay. Adam (alh-e-salam) ney apney rab ki na-farmani ki pus behak gaya.

20.122 Phir uss kay rab ney nawaza uss ki toba qabool ki aur uss ki rehnumaee ki.

20.123 Farmaya tum dono yahan say utar jao tum aapas mein aik doosray kay dushman ho abb tumharay pass jab kabhi meri taraf say hidayat phonchay to jo meri hidayat ki pairwee keray na to woh behkay ga na takleef mein paray ga.

20.124 Aur (haan) jo meri yaad say roo gardani keray ga uss ki zindagi tangi mein rahey gi aur hum ussay baroz qayamat andha ker kay uthayen gay.

20.125 Woh kahey ga kay elahee! Mujhay tu ney andha bana ker kiyon uthaya? Halankay mein to dekhta bhalta tha.

20.126 (jawab milay ga kay) issi tarah hona chahye tha tu meri aaee hui aayaton ko bhool gaya to aaj tu bhi bhula diya jata hai.

20.127 Hum aisa hi badla her uss shaks ko diya kertay hain jo hadd say guzar jaye aur apney rab ki aayaton per emaan na laye aur be-shak aakhirat ka azab nihayat hi sakht aur baqi rehney wala hai.

20.128 Kiya inn ki rehbari iss baat ney bhi nahi ki kay hum ney inn say pehlay boht si bastiyan halak ker di hain jin kay rehney sehney ki jaga yeh chal phir rahey hain. Yaqeenan iss mein aqal mandon kay liye boht si nishaniyan hain.

20.129 Agar teray rab ki baat pehlay hi say muqarrar shuda aur waqt moyyen kerda na hota to issi waqt azab aa chimatta.
http://qurantube.blogspot.com/


20.130 Pus inn ki baton per sabar ker aur apney perwerdigar ki tasbeeh aur tareef biyan kerta reh sooraj nikalney say pehlay aur uss kay dobney say pehlay raat kay mukhtalif waqton mein bhi aur din kay hisson mein bhi tasbeeh kerta reh boht mumkin hai kay tu razi ho jaye.

20.131 Aur apni nighayen hergiz unn cheezon ki taraf na dorana jo hum ney inn mein say mukhtalif logon ko aaraeesh-e-duniya ki dey rakhi hain takay unhen iss mein aazma ley teray rab ka diya hua hi (boht) behtar aur boht baqi rehney wala hai.

20.132 Apney gharaney kay logon per namaz ki takeed rakh aur khud bhi iss per jama reh hum tujh say rozi nahi maangtay bulkay hum khud tujhay rozi detay hain aakhir mein bol bala perhezgari hi ka hai.

20.133 Enhon ney kaha kay yeh nabi humaray pass apney perwerdigar ki taraf say koi nishani kiyon nahi laya? Kiya inn kay pass agli kitabon ki wazeh daleel nahi phonchi?

20.134 Aur agar hum iss say pehlay hi enehn azab say halak ker detay to yaqeenan yeh keh uthtay kay aey humaray perwerdigar tu ney humaray pass apna rasool kiyon na bheja? Kay hum teri aayaton ki tabeydari kertay iss say pehlay kay hum zaleel-o-ruswa hotay.

20.135 Keh dijiye kay her aik anjam ka muntazir hai pus tum bhi intezar mein raho. Abhi abhi qata’an jaan lo gay kay raah-e-raast walay kaun hain aur kaun raah yafta hain.

No comments:

Post a Comment

Adbox