Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Wednesday, June 22, 2011

Para 05

Parah-Wal-Mohsinaat 05


Surat-Nissa 04
(Sura-Nissa Madina mai Nazil hui, is mai aikso-cheyattar (176) Aayatain hain)

04.24 Aur (haram ki gaeen) shoher wali aurten magar woh jo tumhari milkiyat mein aajayen Allah Taalaa ney yeh ehkaam tum per farz ker diye hain aur inn aurton kay siwa aur aurten tumharay liye halal ki gaeen kay apney maal kay mehar say tum inn say nikkah kerna chahao buray kaam say bachne kay liye na kay shewat rani kay liye iss liye jin say tum faeeda uthao unhen unn ka muqarrar kiya hua mehar dey do aur mehar muqarrar ho janey kay baad tum aapas ki raza mandi say jo tey ker lo uss mein tum per koi gunah nahi be-shak Allah Taalaa ilm wala hikmat wala hai.

04.25 Aur tum mein say jiss kissi ko aazad musalman aurton say nikkah kerney ki poori wus’at-o-taqat na ho to woh musalman londiyon say jin kay tum maalik ho (apna nikkah ker ley) Allah tumharay aemaal ko ba khoobi janney wala hai tum sab aapas mein aik hi to ho iss liye unn kay maalikon ki ijazat say unn say nikkah kerlo aur qaeeday kay mutabiq unn kay mehar unn ko do woh pak daaman hon na kay aelaaniya bad kaari kerney waliyan na khufia aashnaee kerney waliyan pus jab yeh londiyan nikkah mein aajayen phir agar woh bey hayaee ka kaam keren to unhen aadhi saza hai uss saza say jo aazad aurton ki hai. Kaneezon say nikkah ka yeh hukum tum mein say unn logon kay liye hai jinhen gunah aur takleef ka andesha ho aur tumhara zabt kerna boht behtar hai aur Allah Taalaa bara bakshney wala aur bari rehmat wala hai.

04.26 Allah Taalaa chahata hai kay tumharay wastay khoob khol ker biyan keray aur tumhen tum say pehlay kay (nek) logon ki raah per chalaye aur tumhari tauba qabool keray aur Allah Taalaa janney wala hikmat wala hai.

04.27 Aur Allah chahata hai kay tumhari tauba qabool keray aur jo log khuwaishaat kay pairoo hain woh chahtay hain kay tum iss say boht door hatt jao.

04.28 Allah chahta hai kay tum say takhfeef ker dey kiyon kay insan kamzor peda kiya gaya hai.

04.29 Aey eman walo! Apney aapas kay maal na jaeez tareeqay say mat khao magar yeh kay tumhari aapas ki raza mandi say ho khareed-o-farokht aur apney aap ko qatal na kero yaqeenan Allah Taalaa tum per nihayat meharban hai.

04.30 Aur jo shaks yeh (na farmaniyan) sirkashi aur zulm say keray ga to un qarib hum uss ko aaga mein dakhil keren gay. Aur yeh Allah per aasan hai.


http://qurantube.blogspot.com/

04.31 Agar tum unn baray gunahon say bachtay raho gay jin say tum ko mana kiya jata hai to hum tumharay chotay gunah door ker den gay aur izzat aur buzrugi ki jagah dakhil keren gay.

04.32 Aur uss cheez ki aarzoo na kero jiss kay baees Allah Taalaa ney tum mein say baaz ko baaz per buzrugi di hai. Mardon kay uss mein say hissa hai jo unhon ney kamaya aur aurton kay liye uss mein say hain jo unhon ney kamaya aur Allah Taalaa say uss ka fazal maango yaqeenan Allah her cheez ka janney wala hai.

04.33 Maa baap ya qarabat daar jo chor maren uss kay waris hum ney her shaks kay muqarrar ker diye hain aur jin say tum ney apney haathon mohaeeda kiya hai unhen unn ka hissa do haqeeqatan Allah Taalaa her cheez per hazir hai.

04.34 Mard aurton per haakim hain iss waja say kay Allah Taalaa ney aik ko doosray per fazilat di hai aur iss waja say kay mardon ney apney maal kharach kiye hain pus nek farman bardaar aurten khawind ki adam mojoodgi mein ba hifazat-e-elahee nigehdasht rakhen waliyan hain aur jin aurton ki na farmani aur bad dimaghi ka tumhen khof ho unhen naseehat kero aur unhen alag biostaron per chor do aur unhen maar ki saza do phir agar woh tabey daari keren to unn per koi raasta talash na kero be-shak Allah Taalaa bari bulandi aur baraee wala hai.

04.35 Agar tumhen miyan biwi kay darmiyan aapas ki ann bann ka khof ho to aik munsif mard walon mein say aur aik aurat kay ghar walon mein say muqarrar kero agar yeh dono sulah kerana chahayen gay to Allah dono mein milaap kera dey ga yaqeenan Allah Taalaa pooray ilm wala poori khabar wala hai.

04.36 Aur Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss kay sath kissi ko shareek na kero aur maa baap kay sath salook-o-ehsan kero aur rishtay daron say aur yateemon say aur miskeenon say aur qarabat daar humsaya say aur ajnabi humsaya say aur pehloo kay sathi say aur raah kay musafir say aur unn say jin kay maalik tumharay haath hain (ghulam kaneez) yaqeenan Allah Taalaa takabbur kerney walon aur shekhi khoron ko pasand nahi farmata.

04.37 Jo log khud bakheeli kertay hain aur doosron ko bhi bakheeli kerney ko kehtay hain aur Allah Taalaa ney jo apna fazal unhen dey rakha hai ussay chupa letay hain hum ney unn kafiron kay liye zillat ki maar tayyar ker rakhi hai.

04.38 Aur jo log apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach kertay hain aur Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman nahi rakhtay aur jiss ka humnasheen aur sathi shetan ho woh bad tareen sathi hai.

04.39 Bhala unn ka kiya nuksan tha agar yeh Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman latay aur Allah Taalaa ney jo unhen dey rakha hai uss mein say kharach kertay Allah Taalaa unhen khoob janney wala hai.

04.40 Be-shak Allah Taalaa aik zarra barabar zulm nahi kerta aur agar neki ho to ussay doogni ker deta hai aur khaas apney pass say boht bara sawab deta hai.




http://qurantube.blogspot.com/
04.41 Pus kiya haal hoga jiss waqt kay her ummat mein say aik gawah hum layen gay aur aap ko inn logon per gawah bana ker layen gay.

04.42 Jiss roz kafir aur rasool kay na farman aarzoo keren gay kay kaash! Enhen zamin kay sath humwaar ker diya jata aur Allah Taalaa say koi baat na chupa saken gay.

04.43 Aey eman walo! Jab tum nashay mein mast ho namaz kay qarib bhi na jao jab tak kay apni baat ko samajhney na lago aur janabat ki halat mein jab tak kay ghusul na kerlo haan agar raah chaltay guzar janey walay ho to aur baat hai aur agar tum beemar ho ya safar mein ho ya tum mein say koi qazay-e-haajat say aaya ho ya tum ney aurton say mubashirat ki ho aur tumhen pani na milay to pak mitti ka qasad kero aur apney mun aur apney haath mall lo. Be-shak Allah Taalaa moaf kerney wala bakshney wala hai.

04.44 Kiya tum ney unhen nahi dekha? Jinhen kitab ka kuch hissa diya gaya hai woh gumrahi khareedtay hain aur chahtay hain kay tum bhi raah say bhatak jao.

04.45 Allah Taalaa tumharay dushmanon ko khoob jannay wala hai aur Allah Taalaa ka dost hona kafi hai aur Allah Taalaa ka madadgar hona bus hai.

04.46 Baaz yahud kalmaat ko unn ki theek jagah say hair pher ker detay hain aur kehtay hain kay hum ney suna aur na farmani ki aur sunn iss kay baghair kay tu suna jaye aur humari riyayat ker! (lekin iss kay kehney mein) apni zaban ko paich detay hain aur deen mein taana detay hain aur agar yeh log kehtay kay hum ney suna aur hum ney farmanbardari ki aur aap suniye aur humen dekhiye to yeh inn kay liye boht behtar aur nihayat hi munasib tha lekin Allah Taalaa ney inn kay kufur ki waja say enhen laanat ki hai. Pus yeh boht hi kum eman latay hain.

04.47 Aey ehal-e-kitab! Jo kuch hum ney nazil farmaya hai jo uss ki bhi tasdeeq kerney wala hai jo tumharay pass hai iss per eman lao iss say pehlay hum chehray bigaar den aur enhen lota ker peeth ki taraf ker den ya inn per laanat bhejen jaisay hum ney haftay kay din walon per laanat ki aur hai Allah Taalaa ka kaam kiya gaya.

04.48 Yaqeenan Allah Taalaa apney sath sahreek kiye janey ko nahi bakshta aur iss kay siwa jissay chahaye baksh deta hai aur jo Allah Taalaa kay sath shareek muqarrar keray uss ney boht bara gunah aur bohtan bandha.

04.49 Kiya aap ney unhen nahi dekha jo apni pakeezgi aur sataeesh khud kertay hain? Bulkay Allah Taalaa jissay chahaye pakeeza kerta hai kissi per aik dhagay kay barabar zulm na kiya jaye ga.

04.50 Dekho yeh log Allah Taalaa per kiss tarah jhoot bandhtay hain aur yeh (harkat) sareeh gunah honey kay liye kafi hai.


http://qurantube.blogspot.com/
04.51 Kiya aap ney unhen nahi dekha jinhen kitab ka kuch hissa mila hai? Jo butt ka aur baatil mabood ka aetiqaad rakhtay hain aur kafiron kay haq mein kehtay hain kay yeh log eman walon say ziyada raah-e-raast per hain.

04.52 Yehi woh log hain jinhen Allah Taalaa ney laanat ki hai aur jissay Allah Taalaa laanat kerdey tu uss ka koi madadgar na paye ga.

04.53 Kiya inn ka koi hissa saltanat mein hai? Agar aisa ho to phir yeh kissi ko aik khujoor ki guthli kay shigaaf kay barabar bhi kuch na den gay.

04.54 Ya yeh logon say hasad kertay hain iss per jo Allah Taalaa ney apney fazal say unhen diya hai pus hum ney to aal-e-ibrahim ko kitab aur hikmat bhi di hai aur bari saltanat bhi ata farmaee hai.

04.55 Phir inn mein say baaz ney to iss kitab ko maana aur baaz iss say ruk gaye aur jahannum ka jalana kafi hai.

04.56 Jin logon ney humari aayaton say kufur kiya unhen hum yaqeenan aag mein daal den gay jab unn ki khaalen pakk jayen gi to hum inn kay siwa aur khaalen badal den gay takay woh azab chakhtay rahen yaqeenan Allah Taalaa ghalib hikmat wala hai.

04.57 Aur jo log eman laye aur shaista aemaal kiye hum un qarib unhen unn jannaton mein ley jayen gay jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha rahen gay unn kay liye wahan saaf suthri biwiyan hongi aur hum unhen ghani chahaon (aur poori rahat) mein ley jayen gay.

04.58 Allah Taalaa tumhen takeedi hukum deta hai kay amanat walon ki amanaten unhen phonchao! Aur jab logon ka faisla kero to adal-o-insaf say faisla kero! Yaqeenan woh behtar cheez hai jiss ki naseehat tumhen Allah Taalaa ker raha hai. Be-shak Allah Taalaa sunta hai dekhta hai.

04.59 Aey eman walo! Farmanbardari kero Allah Taalaa ki aur farmanbardari kero rasool (PBUH) ki aur tum mein say ikhtiyar walon ki. Phir agar kissi cheez mein ikhtilaf kero to ussay lotao Allah Taalaa ki taraf aur rasool ki taraf agar tumhen Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman hai. Yeh boht behtar hai aur ba aetbaar anjam kay boht acha hai.

04.60 Kiya aap ney unhen nahi dekha? Jin ka daawa to yeh hai kay jo kuch aap per aur jo kuch aap say pehlay utara gaya hai uss per unn ka eman hai lekin woh apney faislay ghair ullah ki taraf ley jana chahtay hain halankay unhen hukum diya gaya hai kay shetan ka inkar keren shetan to yeh chahata hai unhen behka ker door daal dey.


http://qurantube.blogspot.com/
04.61 Inn say jab kabhi kaha jaye kay Allah Taalaa kay nazil kerda kalaam ki aur rasoll lullah (PBUH) ki taraf aao to aap dekh len gay kay yeh munafiq aap say mun pher kay rukay jatay hain.

04.62 Phir kiya baat hai kay jab inn per inn kay kertoot kay baees koi musibat aa parti hai to phir yeh aap kay pass aa ker Allah Taalaa ki qasmen khatay hain kay humara irada to sirf bhalaee aur mail milaap hi ka tha.

04.63 Yeh woh log hain kay inn kay dilon ka bhed Allah Taalaa per bakhoobi roshan hai aap inn say chasham poshi kijiye enehn naseehat kertay rahiye aur enhen woh baat kahiye! Jo inn kay dilon mein ghar kerney wali ho.

04.64 Hum ney her her rasool ko sirf iss liye bheja kay Allah Taalaa kay hukum say uss ki farmanbardari ki jaye aur agar yeh log jab enhon ney apni janon per zulm kiya tha teray pass aajatay aur Allah Taalaa say istaghfaar kertay aur rasool bhi inn kay liye istaghfaar kertay to yaqeenan yeh log Allah Taalaa ko moaf kerney wala meharban patay.

04.65 So qasam hai teray perwerdigar ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap ko haakim na maan len phir jo faisla aap inn mein ker den inn say apney dil mein kissi tarah ki tangi aur na khushi na payen aur farmanbardari kay sath qabool kerlen.

04.66 Aur agar hum inn per yeh farz ker detay kay apni janon ko qatal ker daalo! Ya apney gharon say nikal jao! To issay inn mein say boht hi kum log baja latay aur agar yeh wohi kerne jiss ki enhen naseehat ki jati hai to yaqeenan yehi inn kay liye behtar aur boht ziyada mazbooti wala ho.

04.67 Aur tab to enhen hum apney pass say bara sawab den.

04.68 Aur yaqeenan enhen raah-e-raast dikha den.

04.69 Aur jo bhi Allah Taalaa ki aur rasool (PBUH) ki farmanbardari keray woh unn logon kay sath hoga jin per Allah Taalaa ney inam kiya hai jaisay nabi aur siddique aur shaheed aur nek log yeh behtareen rafiq hain.

04.70 Yeh fazal Allah Taalaa ki taraf say hai aur kafi hai Allah Taalaa janney wala.


http://qurantube.blogspot.com/
04.71 Aey musalmano! Apney bachao ka saman ley lo phir giroh giroh bann ker kooch kero ya sab kay sab ikhttay ho ker nikal kharay ho!.

04.72 Aur yaqeenan tum mein baaz woh bhi hain jo pus-o-paish kertay hain phir agar tumhen koi nuksan hota hai wo woh kehtay hain kay Allah Taalaa ney mujh per bara fazal kiya kay mein inn kay sath mojood na tha.

04.73 Aur agar tumhen Allah Taalaa ka koi fazal mill jaye to iss tarah kay goya tum mein inn mein dost thi hi nahi kehtay hain kaash! Mein bhi inn kay humrah hota to bari kaamyaabi ko phonchta.

04.74 Pus jo log duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay baich chukay hain unhen Allah Taalaa ki raah mein jihad kerna chahaiye aur jo shaks Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay huye shahdat paa ley ya ghalib aajaye yaqeenan hum ussay bara sawab inayat farmayen gay.

04.75 Bhala kiya waja hai kay tum Allah ki raah mein aur inn na tawan mardon aurton aur nannhay nannhay bachon kay chutkaray kay liye jihad na kero? Jo yun duayen maang rahey hain kay aey humaray perwerdigar! Inn zalimon ki basti say humen nijat dey aur humaray pass khud apney pass say himayati muqarrar ker dey aur humaray liye khaas apney pass say madadgar bana.

04.76 Jo log eman laye hain woh to Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay hain aur jin logon ney kufur kiya hai woh Allah Taalaa kay siwa auron ki raah mein lartay hain. Pus tum shetan kay doston say jang kero! Yaqeen maano kay shetani heela (bilkul boda aur) sakht kamzor hai.

04.77 Kiya tum ney unhen nahi dekha jinhen hukum kiya gaya tha kay apney haathon ko rokay rakho aur namazen parhtay raho aur zakat ada kertay raho. Phir jab unhen jihad ka hukum diya gaya to ussi waqt unn ki aik jamat logon say iss qadar darney lagi jaisay Allah Taalaa ka darr ho bulkay iss say bhi ziyada aur kehney lagay aey humaray rab! Tu ney hum per jihad kiyon farz ker diya? Kiyon humen thori si zindagi aur na jeenay di? Aap keh dijiye kay duniya ki sood mandi to boht hi kum hai aur perhezgaron kay liye aakhirat hi behtar hai aur tum per aik dhagay kay barabar bhi sitam rawa na rakha jaye ga.

04.78 Tum jahan kahin bhi ho maut tumhen aa pakray gi go tum mazboor qilon mein ho aur gar enhen koi bhalaee milti hai to kehtay hain kay yeh Allah Taalaa ki taraf say hai aur agar koi buraee phonchti hai to to keh uthtay hain kay yeh teri taraf say hai. Enhen keh do kay yeh kuch Allah Taalaa ki taraf say hai. Enhen kiya hogaya hai kay koi baat samajhney kay bhi qarib nahi.

04.79 Tujhay jo bhalaee milti hai Allah Taalaa ki taraf say hai aur jo buraee phonchti hai woh teray apney nafss ki taraf say hai hum ney tujhay tamam logon ko payghaam phonchaney wala bana ker bheja hai aur Allah Taalaa gawah kafi hai.

04.80 Iss rasool (PBUH) ko jo ita’at keray ussi ney Allah Taalaa ki farmanbardari ki aur jo mun pher ley to hum ney aap ko kuch inn per nigehbaan bana ker nahi bheja.

http://qurantube.blogspot.com/
04.81 Yeh kehtay to hain kay ita’at hai phir jab aap kay pass say uth ker bahir nikaltay hain to inn mein ki aik jamat jo baat aap ney ya uss ney kahi hai uss kay khilaf raaton ko mashwaray kerti hai inn ki raaton ki baat cheet Allah Taalaa likh raha hai to aap inn say mun pher len aur Allah per bharosa rakhen Allah Taalaa kafi kaar saaz hai.

04.82 Kiya yeh log quran mein ghor nahi kertay? Agar yeh Allah Taalaa kay siwa kissi aur ki taraf say hota to yaqeenan iss mein boht kuch ikhtilaf patay.

04.83 Jahan enhen koi khabar aman ya khof ki mili enhon ney ussay mashoor kerna shuroo ker diya halankay agar yeh log issay rasool (PBUH) kay aur apney mein say aisi baaton ki teh tak phonchney walon kay hawalay ker detay to iss ki haqeeqat woh log maloom ker letay jo nateeja akhaz kertay hain aur agar Allah Taalaa ka fazal aur uss ki rehmat tum per na hoti to maddoday chand kay ilawa tum sab shetan kay pairo kaar bann jatay.

04.84 Tu Allah Taalaa ki raah mein jihad kerta reh tujhay sirf teri zaat ki nisbat hukum diya jata hai haan eman walon ko raghbat dilata reh boht mumkin hai kay Allah Taalaa kafiron ki jang ko rok dey aur Allah Taalaa sakht qooat wala hai aur saza denay mein bhi sakht hai.

04.85 Jo shaks kissi neki ya bhalay kaam ki sifarish keray ussay bhi uss ka kuch hissa milay ga aur jo buraee aur badi ki sifarish keray uss kay liye uss mein say aik hissa hai aur Allah Taalaa her cheez per qudrat rakhney wala hai.

04.86 Aur jab tumhen salam kiya jaye to tum uss say acha jawab do ya unhi alfaaz ko lota do be-shak Allah Taalaa her cheez ka hisab lenay wala hai.

04.87 Allah woh hai jiss kay siwa koi mabood (bar haq) nahi woh tum sab ko yaqeenan qayamat kay din jama keray ga jiss kay (aaney) mein koi shak nahi Allah Taalaa say ziyada sachi baat wala aur kaun hoga.

04.88 Tumhen kiya hogaya hai? Kay munafiqon kay baray mein do giroh ho rahey ho? Unhen to unn kay aemaal ki waja say Allah Taalaa ney ondha ker diya hai. Abb kiya tum yeh mansoobay bandh rahey ho kay Allah Taalaa kay gumrah kiye huwon ko tum raah-e-raast per laa khara kero jissay Allah Taalaa raah bhula dey tu hergiz uss kay liye koi raah na paye ga.

04.89 Inn ki chahat to yeh kay jiss tarah kay kafir woh hain tum bhi unn ki tarah kufur kerney lago aur phir sab yaksan ho jao pus jab tak yeh islam ki khatir watan na choren inn mein say kissi ko haqeeqi dost na banao phir agar yeh mun pher len to enhen pakro aur qatal kero jahan bhi yeh haath lag jayen khabardaar! Inn mein say kissi ko apna rafiq aur madadgar na samajh bethna.

04.90 Siwaye unn kay jo uss qom say talluq rakhtay hon jin say tumhara mohaeeda ho chuka hai ya jo tumharay pass iss halat mein aayen kay tum say jang kerney say bhi tang dil hain aur apni qom say bhi jang kerney say tang dil hain aur agar Allah Taalaa chahata to enhen tum per musallat ker deta aur woh yaqeenan tum say jang kertay pus agar yeh log tum say kinara kashi ikhtiyar ker len aur tum say laraee na keren aur tumhari janib sulah ka payghaam dalen to Allah Taalaa ney tumharay liye inn per koi raah laraee ki nahi ki.


http://qurantube.blogspot.com/
04.91 Tum kuch aur logon ko aisa bhi pao gay jin ki (ba zahir) chahat hai kay tum say bhi aman mein rahen. Aur apni qom say bhi aman mein rahen (lekin) jab kabhi fitna angezi ki taraf lotaye jatay hain to ondhay mun iss mein daal diye jatay hain pus agar yeh log tum say kinara kashi na keren aur tum say sulah ka silsila jannbaee na keren aur apney haath na rok len to unhen pakro aur maar dalo jahan kahin bhi paa lo! Yehi woh hain jin per hum ney tumhen zahir hujjat inayat farmaee hai.

04.92 Kissi momin ko doosray momin ka qatal ker dena zaiba nahi magar ghalati say hojaye (to aur baat hai) jo shaks kissi musalman ko bila qasad maar dalay uss per aik musalman ghulam ki gardan aazad kerna aur maqtool kay azizon ko khoon baha phonchana hai haan yeh aur baat hai kay woh log bator sadqa moaf ker denaur maqtool agar tumhari dushman qom ka ho aur ho woh musalman to sirf aik momin ghulam ki gardan aazad kerni lazmi hai. Aur agar maqtool uss qom say ho kay tum mein aur unn mein ehad-o-paymaan hai to khoon baha lazim hai jo uss kay kunbay walon ko phonchaya jaye aur aik musalman ghulam ka aazad kerna bhi (zaroori hai) pus jo na paye uss kay zimmay do maheeney kay lagataar raozay hain Allah Taalaa say bakshwaney kay liye aur Allah Taalaa bakhoobi janney wala aur hikmat wala hai.

04.93 Aur jo koi kiss momin ko qasadan qatal ker dalay uss ki saza dozakh hai jiss mein woh hamesha rahey ga iss per Allah Taalaa ka ghazab hai issay Allah Taalaa ney laanat ki hai aur iss ka liye bara azab tayyar rakha hai.

04.94 Aey eman walo! Jab tum Allah ki raah mein jaa rahey ho to tehqeeq ker liya kero aur jo tum say salam-alaik keray tum ussay yeh na kehdo kay tu eman wala nahi. Tum dunyawi zindagi kay asbaab ki talash mein ho to Allah Taalaa kay pass boht si ghanimaten hain. Pehlay tum bhi aisay hi thay phir Allah Taalaa ney tum per ehsan kiya lehaza tum zaroor tehqeeq-o-tafteesh ker liya kero be-shak Allah Taalaa tumahray aemaal say ba khabar hai.

04.95 Apni janon aur maalon say Allah ki raah mein jihad kerney walay momin aur baghair uzur kay beth rehney walay momin barabar nahi apney maalon aur apni janon say jihad kerney walon ko beth rehney walon per Allah Taalaa ney darjon mein boht fazeelat dey rakhi ahi aur yun to Allah Taalaa ney her aik ko khoobi aur achai kay wada diya hai lekin mujahideen ko beth rehney walon per boht baray ajar ki fazeelat dey rakhi hai.

04.96 Apni taraf say martabay ki bhi aur baksish ki bhi aur rehmat ki bhi aur Allah Taalaa bakshish kerney wala aur reham kerney wala hai.

04.97 Jo log apni janon per zulm kerney walay hain jab farishtay unn ki rooh qabz kertay hain to poochtay hain tum kiss haal mein thay? Yeh jawab detay hain kay hum apni jagah kamzor aur maghloob thay. Farishtay kehtay hain kiya Allah Taalaa ki zamin kushada na thi kay tum hijrat ker jatay? Yehi log hain jin ka thikana dozakh hai aur woh phonchney ki buri jagah hai.

04.98 Magar jo mard aurten aur bachay bey bus hain jinhen na to kissi charaa-e-kaar ki taqat aur na kiss raastay ka ilm hai.

04.99 Boht mumkin hai kay Allah Taalaa unn say dar guzar keray Allah Taalaa dar guzar kerney wala aur moaf farmaney wala hai.

04.100 Jo koi Allah ki raah mein watan ko choray ga woh zamin mein boht si qayam ki jagahen bhi paye ga aur kushaadgi bhi aur jo koi apney ghar say Allah Taalaa aur uss kay rasool (PBUH) ki taraf nikal khara hua phir ussay maut ney aa pakra to bhi yaqeenan uss ka ajar Allah Taalaa kay zimmay sabit hogaya aur Allah Taalaa bara bakshney wala meharban hai.





http://qurantube.blogspot.com/
04.101 Jab tum safar mein jaa rahey ho to tum per namazon kay qasar kerney mein koi gunah nahi agar tumhen darr ho kay kafir tumhen satayen gay yaqeenan kafir tumharay khulay dushman hain.

04.102 Jab tum inn mein ho aur inn kay liye namaz khari kero to chahaiye kay inn ki aik jamat tumharay sath apney hathyaar liye khari ho phir jab yeh sajda ker chuken to yeh hatt ker tumharay peechay aajayen aur woh doosti jamat jiss ney namaz nahi parhi woh aajaye aur teray sath namaz ada keray aur apna bachao aur apney hathyaar liye rahey kafir chahtay hain kay kissi tarah tum apney hathyaaron aur apney saman say bey khabar ho jao to woh tum per achanak dhaawa bol den haan apney hathyaar utaar rakhney mein uss waqt tum per koi gunah nahi jab kay tumhen takleef ho ya ba waja barish kay ya ba sabab beemar hojaney kay aur apney bachao ki cheezen sath liye raho. Yaqeenan Allah Taalaa ney munkiron kay liye zillat ki maar tayyar ker rakhi hai.

04.103 Phir jab tum namaz ada ker chuko to uthtay bethtay aur letay Allah Taalaa ka ziker kertay raho aur jab itminan pao to namaz qaeem kero! Yaqeenan namaz mominon per muqarrara waqton per farz hai.

04.104 Inn logon ka peecha kerney say haaray dil ho ker beth na raho! Agar tumhen bey aarami hoti hai to unhen bhi tumhari tarah bey aarami hoti hai aur tum Allah Taalaa say woh umeeden rakhtay ho jo umeeden unhen nahi aur Allah Taalaa daana aur hakim hai.

04.105 Yaqeenan hum ney tumhari taraf haq kay sath apni kitab nazil farmaee hai takay tum logon mein iss cheez kay mutabiq faisla kero jiss say Allah ney tum ko shanasa kiya hai aur khayanat kerney walon kay himayati na bano.

04.106 Aur Allah Taalaa say bakshish maango! Be-shak Allah Taalaa baksish kerney wala meharbani kerney wala hai.

04.107 Aur inn ki taraf say jhagra na kero jo khud apni hi khayanat kertay hain yaqeenan dagha baaz gunehgar Allah Taalaa ko acha nahi lagta.

04.108 Woh logon say to chup jatay hain (lekin) Allah Taalaa say nahi chup saktay woh raaton kay waqt jabkay Allah ki na pasndeedah baaton kay khufia mashwaray kertay hain uss waqt bhi Allah unn kay pass hota hai unn kay tamam aemaal ko woh gheray huye hai.

04.109 Haan to yeh ho tum log kay duniya mein tum ney inn ki himayat ki lekin Allah Taalaa kay samney qayamat kay din inn ki himayat kaun keray ga? Aur woh kaun hai jo inn ka wakeel bann ker khara ho sakay ga?

04.110 Jo shaks koi buraee keray ya apni jaan per zulm keray phir Allah Taalaa say istaghfaar keray to woh Allah ko bakshney wala meharbani kerney wala payega.


http://qurantube.blogspot.com/
04.111 Aur jo gunah kerta hai uss ka bojh ussi per hai aur Allah bakhoobi janney wala aur poori hikmat wala hai.

04.112 Aur jo shaks koi gunah ya khata ker kay kissi bey gunah kay zimmay thop dey uss ney boht bara bohtaan uthaya aur khula gunah kiya.

04.113 Agar Allah Taalaa ka fazal-o-reham tujh per na hota to inn kay aik jamat to tujhay behkaney ka qasad ker hi liya tha magar dar asal yeh apney aap ko hi gumrah kertay hain yeh tera kuch nahi bigar saktay Allah Taalaa ney tujh per kitab-o-hikmat utari hai aur tujhay woh sikhaya hai jisay tu nahi janta tha aur Allah Taalaa ka tujh per bara bhari fazal hai.

04.114 Inn kay aksay khufia mashwaron mein koi khair nahi haan! Bhalaee uss kay mashwaray mein hai jo kheyraat kay ya nek baat ka ya logon mein sulah keraney ka hukum keray aur jo shaks sirf Allah Taalaa ki raza mandi hasil kerney kay iraday say yeh kaam keray ussay hum yaqeenan boht bara sawab den gay.

04.115 Jo shaks ba wajood raah-e-hidayat kay wazeh ho janey kay bhi rasool (PBUH) ka khilaf keray aur tamam mominon ki raah chor ker chalay hum ussay udhar hi mutawajja ker den gay jidhar woh khud mutawajja ho aur dozakh mein daal den gay woh phonchney ki boht hi buri jagah hai.

04.116 Ussay Allah Taalaa qatan na bakshay ga kay uss kay sath shareek muqarrar kiya jaye haan shirk kay ilawa gunah jiss kay chahaye moaf farma deta hai aur Allah kay sath sharik kerney wala boht door ki gumrahi mein jaa para.

04.117 Yeh to Allah Taalaa ko chor ker sirf aurton ko pukartay hain aur dar asal yeh sirf sirkash shetan ko poojtay hain.

04.118 Jissay Allah ney laanat ki hai aur uss ney baira utahaya hai kay teray bandon mein say mein muqarrar shuda hissa ley ker rahon ga.

04.119 Aur enhen raah say behkata rahon ga aur baatil umeeden dilata rahon ga aur enhen sikhaon ga kay janweron kay kaan cheer den aur inn say kahon ga kay Allah Taalaa ki banaee hui soorat ko bigar den suno! Jo shaks Allah ko chor ker shetan ko apna rafiq banaye ga woh sareeh nuksan mein doobay ga.

04.120 Woh inn say zabani waday kerta rahey ga aur sabz baagh dikhata rahey ga (magar yad rakho!) shetan kay jo waday inn say hain woh sirasir fareb kaariyan hain.





http://qurantube.blogspot.com/
04.121 Yeh woh log hain jin ki jagah jahannum hai jahan say enhen chutkara na milay ga.

04.122 Aur jo eman laye aur bhalay kaam keren humen unhen unn jannaton mein ley jayen gay jin kay neechay chashmay jari hain jahan yeh abad-al-abad rahen gay yeh hai Allah ka wada jo siasir sacha hai aur kaun hai jo apni baat mein Allah say ziyada sacha ho?

04.123 Haqeeqat-e-haal na to tumhari aarzoo kay mutabiq hai aur na ehal-e-kitab ki umeedon per moqoof hai jo bura keray ga uss ki saza paye ga aur kissi ko na paye ga jo uss ki himayat-o-madad Allah kay pass ker sakay.

04.124 Jo eman wala ho mard ho ya aurat aur woh nek aemaal keray yaqeenan aisay log jannat mein jayen gay aur khujoor ki guthli kay shigaf kay barabar bhi unn ka haq na maara jaye ga.

04.125 Ba-aetbaar deen kay uss say acha kaun hai? Jo apney ko Allah kay tabey ker dey aur ho bhi neko kaar sath hi yaksui walay ibrahim kay deen ki pairwee ker raha ho aur ibrahim (alh-e-salam) ko Allah ney apna dost bana liya hai.

04.126 Aasamanon aur zamin mein jo kuch hai sab Allah hi ka hai aur Allah Taalaa her cheez ko gherney wala hai.

04.127 Aap say aurton kay baray mein hukum daryaft kertay hain aap keh dijiye! Kay khud Allah unn kay baray mein hukum dey raha hai aur quran ki woh aayaten jo tum per inn yateem larkiyon kay baray mein parhi jati hain jinhen inn ka muqarrar haq tum nahi detay aur enhen apney nikkah mein laaney ki raghbat rakhtay ho aur kamzor bachon kay baray mein aur iss baray mein kay yateemon ki kaar guzari insaf kay sath kero. Tum jo nek kaam kero bey shuba Allah ussay poori tarah janney wala hai.

04.128 Agar kissi aurat ko apney shohar ki bad dimaghi aur bey perwahi ka khof ho to dono aapas mein jo sulah ker len uss mein kissi per koi gunah nahi. Sulah boht behtar cheez hai tama her her cheez mein shamil ker di gaee hai. Agar tum acha sulook kero aur perhezgari kero to tum jo ker rahey ho uss per Allah Taalaa poori tarah khabardaar hai.

04.129 Tum say yeh to kabhi na ho sakay ga kay apni tamam biwiyon mein her tarah adal kero go tum iss ki kitni hi khuwaish-o-kosish ker lo iss liye bilkul hi aik ki taraf maeel ho ker doosri ko udhar latakti hui na choro aur agar tum islaah kero aur taqwa ikhtiyar kero to be-shak Allah Taalaa bari maghfirat aur rehmat wala hai.

04.130 Aur agar miyan biwi huda hojayen to Allah Taalaa apni wusat say her aik ko bey niaz ker dey ga Allah Taalaa wusat wala hikmat wala hai.


http://qurantube.blogspot.com/
04.131 Zamain-o-aasamanon ki her her cheez Allah Taalaa hi ki milkiyat mein hai aur waqaee hum ney unn logon ko jo tum say pehlay kitab diye gaye thay aur tum ko bhi yehi hukum kiya hai kay Allah say dartay raho aur agar tum kufur kero to yaad rakho kay Allah kay liye hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zamin mein hai aur Allah boht bey niaz aur tareef kiya gaya hai.

04.132 Allah kay ikthiyar mein hain aasmanon ki sab cheezen aur zamin ki bhi aur Allah kaar saaz kafi hai.

04.133 Agar ussay manzoor ho to aey logo! Woh tum sab ko ley jaye aur doosron ko ley aaye Allah Taalaa iss per poori qudrat rakhney wala hai.

04.134 Jo shaks duniya ka sawab chahta ho to (yaad rakho kay) Allah Taalaa kay pass to duniya aur aakhirat (dono) ka sawab mojood hai aur Allah Taalaa boht sunney wala aur khoob dekhney wala hai.

04.135 Aey eman walo! Adal-o-insaf per mazbooti say jamm janey walay aur khushnoodi-e-maula kay liye sachi gawahi denay walay bann jao go woh khud tumharay apney khilaf ho ya apney maa baap kay ya rishtay daar azizon kay woh shaks agar amir ho to aur faqir ho to dono kay sath Allah ko ziyada talluq hai iss liye tum khuwaish-e-nafss kay peechay parr ker insaf na chor dena aur gar tum ney kajj biyani ya pehloo tahi ki to jaan lo kay jo kuch tum kero gay Allah Taalaa poori tarah uss say ba khabar hai.

04.136 Aey eman walo! Allah Taalaa per uss kay rasool (PBUH) per aur uss kitab per jo uss ney apney rasool (PBUH) per utari hai aur unn kitabon per jo iss say pehlay uss ney nazil farmaee hain eman lao! Jo shaks Allah Taalaa say aur uss kay farishton say aur uss ki kitabon say aur uss kay rasoolon say aur qayamat kay din say kufur keray woh to boht baray door ki gumrahi mein jaa para.

04.137 Jin logon ney eman qabool ker kay phir kufur kiya phir eman laa ker phir kufur kiya phir apney kufur mein barh gaye Allah Taalaa yaqeenan unhen na bakshay ga aur na unhen raah-e-hidayat sujhaye ga.

04.138 Munafiqon ko iss amar ki khabar phonca do kay unn kay liye dard naak azab yaqeeni hai.

04.139 Jin ki yeh halat hai kay musalmanon ko chor ker kafiron ko dost banatay phirtay hain kiya unn kay pass izzat ki talash mein jatay hain? (to yaad rakhen kay) izzat to sari ki sari Allah Taalaa kay qabzay mein hai.

04.140 Aur Allah Taalaa tumharay pass apni kitab mein yeh hukum utaar chuka hai kay tum jab kissi majlis walon ko Allah Taalaa ki aayaton kay sath kufur kertay aur mazaq uratay huye suno to uss majmay mein unn kay sath na betho! Jab tak kay woh iss kay ilawa aur baaten na kerney lagen (werna) tum bhi uss waqt unhi jaisay ho yaqeenan Allah Taalaa tamam kafiron aur sab munafiqon ko jahannum mein jama kerney wala hai.


http://qurantube.blogspot.com/

04.141 Yeh log tumharay anjam kaar ka intizar kertay rehtay hain phir agar tumhen Allah fatah dey to yeh kehtay hain kay kiya hum tumharay sathi nahi aur kafiron ko thora sa ghlba mill jaye to (unn say) kehtay hain kay hum tum per ghalib na aaney lagay thay aur kiya hum ney tumhen musalmanon kay haathon say na bachaya tha? Pus qayamat mein khud Allah Taalaa tumharay darmiyan faisla keray ga aur Allah Taalaa kafiron ko eman walon per hergiz raah na dey ga.

04.142 Be-shak munafiq Allah say chaal baziyan ker rahey hain aur woh enhen iss chaal bazi ka badla denay wala hai aur jab namaz ko kharay hotay hain to bari kaahili ki halat mein kharay hotay hain sirf logon ko dikhatay hain aur yaad-e-elahee to yun hi si baraye naam kertay hain.

04.143 Woh darmiyan mein hi moalliq dagmaga rahey hain na pooray unn ki taraf aur na sahih tor per unn ki taraf aur jisay Allah Taalaa gumrahi mein daal dey to tu uss kay liye koi raah na paye ga.

04.144 Aey eman walo! Mominon ko chor ker kafiron ko dost na banao kiya tum yeh chahtay ho kay apney upper Allah Taalaa ki saaf hujjat qaeem kerlo.

04.145 Munafiq to yaqeenan jahannum kay sab say neechay kay tabqay mein jayen gay na mumkin hai kay tu inn ka koi madadgar paa ley.

04.146 Haan jo tauba ker len aur islaah ker len aur Allah Taalaa per kaamil yaqeen rakhen aur khalid Allah hi kay liye deen daari keren to yeh log mominon kay sath hain Allah Taalaa mominon ko boht bara ajar dey ga.

04.147 Allah Taalaa tumhen saza dey ker kiya keray ga? Agar tum shukar guzari kertay raho aur ba eman raho Allah Taalaa boht qadar kerney wala aur poora ilm rakhney wala hai.

No comments:

Post a Comment

Adbox