Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 15

Parah-Subhanal-Lazi 15 

Surat-Bani-Israeel 17
(Sura-Bani-Israeel Makka mai Nazil hui, is mai aikso-gyara (111) Aayatain hain)

17.01 Pak hai woh Allah Taalaa jo apney bandey ko raat hi raat mein masjid-e-haram say masjid-e-aqsa tak ley gaya jiss kay aas pass hum ney barkat dey rakhi hai iss liye kay ussay apni qudrat kay baaz namoney deikhayen yaqeenan Allah Taalaa hi khoob sunnay dekhney wala hai.

17.02 Hum ney musa ko kitab di aur ussay bani israeel kay liye hidayat bana diya kay tum meray siwa kissi ko apna kaarsaaz na banana.

17.03 Aey unn logon ki aulad! Jinhen hum ney nooh kay sath sawar ker diya tha woh humara bara hi shukar guzaar banda tha.

17.04 Hum ney bano islraeel kay liye unn ki kitab mein saaf faisla ker diya tha kay tum zamin mein doobara fasad barpa kero gay aur tum bari zabardast ziyadtiyan kero gay.

17.05 Inn dono wadon mein say pehlay kay aatay hi hum ney tumharay muqabley per apney banday bhej diye jo baray hi larakay thay. Pus woh tumharay gharon kay andar tak phel gaye aur Allah ka yeh wada poora hona hi tha.

17.06 Phir hum ney unn per tumhara ghalba dey ker tumharay din pheray aur maal aur aulad say tumhari madad ki aur tumehn baray juthay wala bana diya.

17.07 Agar tum ney achay kaam kiye to khud apney hi faeeday kay liye aur agar tum ney buraiyan kin to bhi apney hi liye phir jab doosray waday ka waqt aaya (to hum ney doosray bandon ko bhej diya takay) woh tumharay chehray bigar den aur pehli dafa ki tarah phir ussi masjid mein ghuss jayen. Aur jiss jiss cheez per qaboo payen tor phor ker jarr say ukhar den.

17.08 Umeed hai kay tumhara rab tum per reham keray. Haan agar tum phir bhi wohi kerney lagay to hum bhi doobara aisa hi keren gay aur hum ney munkiron kay qaid khana jahannum ko bana rakha hai.

17.09 Yaqeenan yeh quran woh raasta dikhata hai jo boht hi seedha hai aue eman walon ko jo nek aemaal kertay hain iss baat ki khushkhabri deta hai kay unn kay liye boht bara ajar hai.

17.10 Aur yeh kay jo log aakhirat per yaqeen nahi rakhtay unn kay liye hum ney dardnaak azab tayyar ker rakha hai.
http://qurantube.blogspot.com/

17.11 Aur insan buraee ki duayen mangney lagta hai bilkul iss ki apni bhalaee ki dua ki tarah insan hai hi bara jald baaz.

17.12 Hum ney raat aur din ko apni qudrat ki nishaniyan banaee hain raat ki nishani ko to hum ney bey noor ker diya hai aur din ki nishani ko roshan banaya hai takay tum apney rab ka fazal talash ker sako aur iss liye bhi kay barson ka shumar aur hisab maloom ker sako aur her her cheez ko hum ney boht tafseel say biyan farma diya hai.

17.13 Hum ney her insan ki buraee bhalaee ko uss kay galay laga diya hai aur baroz qayamat hum uss kay samney uss ka naam-e-aemaal nikalen gay jissay woh apney upper khulla hua paa ley ga.

17.14 Ley! Khus hi apni kitab aap parh ley. Aaj to tu aap hi apna khud hisab lenay ko kafi hai.

17.15 Jo raah-e-raast hasil kerley woh khud apney hi bhalay kay liye raah yafta hota hai aur jo bhatak jaye uss ka bojh ussi kay upper hai koi bojh wala kissi aur ka bojh apney upper na laaday ga aur humari sunnat nahi kay rasool bhejney say pehlay hi azab kerney lagen.

17.16 Aur jab hum kissi basti ki halakat ka irada ker letay hain to wahan kay khushaal logon ko (kuch) hukum detay hain aur woh uss basti mein khulli na-farmani kerney lagtay hain to unn per (azab) ki baat sabit hojati hai phir hum ussay tabah-o-barbad ker detay hain.

17.17 Hum ney nooh kay baad bhi boht si qomen halak kin aur tera rab apney bandon kay gunahon say kafi khabardaar aur khoob dekhney wala hai.

17.18 Jiss ka irada sirf iss jaldi wali duniya (fori faeeda) ka hi ho ussay hum yahan jiss qadar jiss kay liye chahayen sirdast detay hain bil aakhir uss kay liye jahannum muqarrar ker detay hain jahan woh burray halon dhutkara hua dakhil hoga.

17.19 Aur jiss ka irada aakhirat ka ho aur jaisi kosish uss kay liye honi chahaye woh kerta bhi ho aur woh baa eman bhi ho pus yehi log hain jin ki kosish ki Allah kay haan poori qadar daani ki jaye gi.

17.20 Her aik ko hum ba-hum phonchaye jatay hain enhen bhi aur unhen bhi teray perwerdigar kay inamaat mein say. Teray perwerdigar ki bakhsish ruki hui nahi hai.
http://qurantube.blogspot.com/

17.21 Dekhlay kay inn mein aik ko aik per hum ney kiss tarah fazilat dey rakhi hai aur aakhirat to darjon mein aur bhi barh ker hai aur fazilat kay aetbaar say bhi boht bari hai.

17.22 Allah kay sath kissi aur ko mabood na thehra kay aakhirish tu buray halon bey kus hoker beht rahey ga.

17.23 Aur tera perwerdigar saaf saaf hukum dey chuka hai kay tum uss kay siwa kissi aur ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath ehsan kerna. Agar teri mojoodgi mein inn mein say aik ya yeh dono burhapay ko phonch jayen to unn kay aagay uff tak na kehna na unhen daant dapat kerna bulkay unn kay sath adab-o-ehtram say baat cheet kerna.

17.24 Aur aajzi aur mohabbat kay sath unn kay samney tawazo ka bazoo pust rakhay rakhna aur dua kertay rehna kay aey meray perwerdigar! Inn per waisa hi reham ker jaisa enhon ney meray bachpan mein meri perwerish ki hai.

17.25 Jo kuch tumharay dilon mein hai ussay tumhara rab bakhoobi janta hai agar tum nek ho to woh to tujoo kerney walon ko bakhshney wala hai.

17.26 Aur rishtay daaron ka aur miskeenon aur musafiron ka haq ada kertay raho aur israaf aur bey jaa kharch say bacho.

17.27 Bey jaa kharch kerney walay shetano kay bhai hain. Aur shetan apney perwerdigar ka bara hi na shukra hai.

17.28 Aur agar tujhay inn say mun pher lena paray apney rab ki iss rehmat ki justujoo mein jiss ki tu umeed rakhta hai to bhi tujhay chahiye kay umdagi aur narmi say unhen samjha dey.

17.29 Apna hath apni gardan say bandha hua na rakh aur na ussay bilkul hi khol dey kay phir malamat kiya hua dar manda beth jaye.

17.30 Yaqeenan tera rab jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai aur jiss kay liye chahaye tang. Yaqeenan woh apney bandon say baa khabar aur khoob dekhney wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/

17.31 Aur muflisi kay khof say apni aulado ko naa maar dalo unn ko aur tum ko hum rozi detay hain . yaqeenan inn ka qatal kerna kabeera gunah hai.

17.32 Khabrdaar zinna kay qareeb bhi na phatakna kiyon kay woh bari bey hayaee hai aur boht hi buri raah hai.

17.33 Aur kissi jaan ko jiss ka maarna Allah ney haram ker diya hai hergiz na haq qatal na kerna aur jo shaks mazloom honey ki soorat mein maar dala jaye hum ney uss kay waris ko taqat dey rakhi hai pus ussay chahiye kay maar dalney mein ziyadti na keray be-shak woh madad kiya gaya hai.

17.34 Aur yateem kay maal kay qareeb bhi na jao ba-juz uss tareeqay kay jo boht hi behtar ho yahan tak kay woh apni balooghat ko phonch jaye aur waday pooray kero kiyon kay qol-o-qarar ki baaz purs honey wali hai.

17.35 Aur jab naapney lago to bharpoor paymaney say naapo aur seedhi tarazoo say tola kero. Yehi behtar hai aur anjam kay lehaz say bhi boht acha hai.

17.36 Jiss baat ki tujhay khabar hi na ho uss kay peechay mat parr. Kiyon kaan aur aankh aur dil inn mein say her aik say pooch gooch ki janey wali hai.

17.37 Aur zamin mein akar ker na chal kay na to tu zamin ko phaar sakta hai aur na lambai mein paharon ko phonch sakta hai.

17.38 Inn sab kaamon ki buraee teray rab kay nazdeek (sakht) na pasand hai.

17.39 Yeh bhi munjmila uss wahee kay hai jo teri janib teray rab ney hikmat say utari hai tu Allah kay sath kissi aur ko mabood na banana kay malamat khorda aur raand-e-dargah hoker dozakh mein daal diya jaye.

17.40 Kiya beton kay liye to Allah ney tumhen chant liya aur khud apney liye farishton ko larkiyan bana lin? Be-shak tum boht bara bol bol rahey ho.
http://qurantube.blogspot.com/


17.41 Hum ney to iss quran mein her her tarah biyan farma diya kay log samajh jayen lekin iss say enhen to nafrat hi barhti hai.

17.42 Keh dijiye! Kay Allah kay siwa aur mabood bhi hotay jaisay kay yeh log kehtay hain to zaroor woh abb tak malik-e-arsh ki janib raah dhoond nikaltay.

17.43 Jo kuch yeh kehtay hain iss say woh pak aur bala tar boht door aur boht buland hai.

17.44 Saton aasman aur zamin aur jo bhi inn mein hai ussi ki tasbeeh ker rahey hain. Aisi koi cheez nahi jo ussay pakeezgi aur tareef kay sath yaad na kerti ho.haan yeh sahih hai kay tum uss ki tasbeeh samajh nahi saktay. Woh bara burbaar aur bakhshney wala hai.

17.45 Tu jab quran parhta hai hum teray aur unn logon kay darmiyan jo aakhirat per yaqeen nahi rakhtay aik posheeda hijab daal detay hain.

17.46 Aur inn kay dilon per hum ney pardey daal diye hain kay woh issay samjhen aur inn kay kano mein bojh aur jab tu sirf Allah hi ka zikar uss ki toheed kay sath iss quran mein kerta hai to woh roo gardani kertay peeth pher ker bhag kharay hotay hain.

17.47 Jiss gharz say woh log issay suntay hain unn (ki niyaton) say hum khoob aagah hain jab yeh aap ki taraf kaan lagaye huye hotay hain tab bhi aur yeh mashwara kertay hain tab bhi jab kay zalim kehtay hain kay tum uss ki tabeydaari mein lagay huye ho jin per jadoo ker diya gaya hai.

17.48 Dekhen to sahih aap kay liye kiya kiya misalen biyan kertay hain pus woh behak rahey hain. Abb to raah pana inn kay bus mein nahi raha.

17.49 Enhon ney kaha kay kiya jab hum haddiyan aur (mitti hoker) reza reza hojayen gay to kiya hum azz sir-e-no peda ker kay phir doobara utha kharay kerdiye jayen gay.

17.50 Jawab dijiye kay tum pathar bann jao ya loha.
http://qurantube.blogspot.com/

17.51 Ya koi aur aisi khulqat jo tumharay dilon mein boht hi sakht maloom ho phir woh yeh poochen kay kaun hai jo doobara humari zindagi lotaye? Aap jawab dey den kay wohi Allah jiss ney tumhen awal martaba peda kiya iss per woh apney sir hila hila ker aap say daryaft keren gay kay acha yeh hai kab? To aap jawab dey den kay kiya ajab kay woh (sa’at) qareeb hi aan lagi ho.

17.52 Jiss din woh tumhen bulaye ga tum uss ki tareef kertay huye tameel-e-irshad kero gay aur gumaan kero gay kay tumhara rehna boht hi thora hai.

17.53 Aur meray bandon say keh dijiye kay woh boht hi achi baat mun say nikala keren kiyon kay shetan aapas mein fasad dalwata hai. Be-shak shetan insan ka khulla dushman hai.

17.54 Tumhara rab tum say ba-nisbat tumharay boht ziyada jannay wala hai woh agar chahaye to tum per reham ker dey ya agar woh chahaye tumhen azab dey. Hum ney aap ko inn ka zaimay daar thehra ker nahi bheja.

17.55 Aasamno-o-zamin mein jo bhi hai aap ka rab sab ko bakhoobi janta hai. Hum ney baaz payghumbaron ko baaz per behtari aur bartari di hai aur dawood ko zaboor hum ney ata farmaee hai.

17.56 Keh dijiye kay Allah kay siwa jinhen tum mabood samajh rahey ho unhen pukaro lekin na to woh tum say kissi takleef ko door ker saktay hain aur na badal saktay hain.

17.57 Jinhen yeh log pukartay hain khud woh apney rab kay taqarrub ki justujoo mein rehtay hain kay inn mein say kaun ziyada nazdeek hojaye woh khud uss ki rehmat ki umeed rakhtay aur uss kay azab say khifzada rehtay hain (baat bhi yehi hai) kay teray rab ka azab darney ki cheez hi hai.

17.58 Jitni bhi bastiyan hain hum qayamat kay din say pehlay pehlay ya to unhen halak ker denay walay hain ya sakht tar azab denay walay hain. Yeh to kitab mein likha ja chuka hai.

17.59 Humen nishanaat (mojzaat) kay nazil kerney say rok sirf issi ki hai kay aglay log enhen jhutla chuken hain hum ney samoodiyon ko bator baseerat kay oontni di lekin unhon ney uss per zulm kiya hum to logon ko dhamkaney kay liye hi nishaniyan bhejtay hain.

17.60 Aur yaad kero jabkay hum ney aap say farma diya kay aap kay rab ney logon ko gher liya hai. Jo roya (any royat) hum ney aap ko dikhaee thi woh logon kay liye saaf aazmaeesh hi thi aur issi tarah woh darakht bhi jiss say quran mein izhar-e-nafrat kiya gaya hai. Hum unehn dara rahey hain lekin yeh unhen aur bari sirkashi mein barha raha hai.
http://qurantube.blogspot.com/

17.61 Aur jab hum ney farishton ko hukum diya kay adam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney kiya uss ney kaha kiya mein ussay sajda keroon jissay tu ney mitti say peda kiya hai.

17.62 Acha dekh ley issay tu ney mujh per buzrugi to di hai lekin agar mujhay bhi qayamat tak tu ney dheel di to mein iss ki aulad ko ba-juz boht thoray logon kay apney bus mein kerloon ga.

17.63 Irshad hua kay jaa inn mein say jo bhi tera tabeydaar hojayega to tum sab ki saza jahannum hai jo poora poora badla hai.

17.64 Inn mein say tu jissay bhi apni aawaz say behka sakay behka ley aur inn per apney sawar aur piyaday charha laa aur inn kay maal aur aulad mein say apna bhi sajha laga aur enhen jhootay waday dey ley. Inn say jitney bhi waday shetan kay hotay hain sab kay sab sirasir fareb hain.

17.65 Meray sachay bandon per tera koi qaboo aur bus nahi. Tera rab kaarsaazi kerney wala kafi hai.

17.66 Tera perwerdigar woh hai jo tumharay liye darya mein kashtiyan chalata hai takay tum uss ka fazal talash kero. Won tumharay upper boht hi meharbaan hai.

17.67 Aur samandaron mein musibat phonchtay hi jinhen tum pukartay thay sab gumm hojatay hain sirf wohi Allah baqi reh jata hai. Phir jab woh tumhen khushki ki taraf bacha laata hai to tum mun pher letay ho aur insan bara hi na shukra hai.

17.68 To kiya tum iss say bey khof hogaye ho kay tumhen khushki ki taraf (ley jaa ker zamin) mein dhansa dey ya tum per pathron ki aandhi bhej dey. Phir tum apney liye kissi nigehbaan ko na paa sako.

17.69 Kiya tum iss baat say bey khof hogaye ho kay Allah Taalaa phir tumhen doobara darya kay safar mein ley aaye aur tum per tez-o-tund hawaon kay jhonkay bhej dey aur tumharay kufur kay baees tumhen dobo dey. Phir tum apney liye hum per iss ka dawa (peecha) kerney wala kissi ko na pao.

17.70 Yaqeenan hum ney aulad-e-adam ko bari izzat di aur unhen khuski aur tari ki sawariyan din aur unhen pakeeza cheezon ki roziyan din aur apni boht si makhlooq per unhen fazilat ata farmaee.
http://qurantube.blogspot.com/


17.71 Jiss din hum her jamat ko uss kay paishwa samet bulayen gay. Phir jin ka bhi aemaal nama dayen hath mein dey diya gaya woh to shoq say apna naam-e-aemaal parheny lagen gay aur dhagay kay barabar (zarra barabar) bhi zulm na kiye jayen gay.

17.72 Aur jo koi iss jahan mein andha raha woh aakhirat mein bhi andha aur raastay say boht hi bhatka hua rahey ga.

17.73 Yeh log aap ko iss wahee say jo hum ney aap per utari hai behkana chahtay hain kay aap iss kay siwa kuch aur hi humaray naam say ghar ghara len tab to aap ko yeh log apna wali dost bana letay.

17.74 Agar hum aap ko sabit qadam na rakhtay to boht mumkin tha kay inn ki taraf qadray qaleel maeel ho hi jatay.

17.75 Phir to hum bhi aap ko dohra azab duniya ka kertay aur dohra hi maut ka phir aap to apney liye humaray muqablay mein kissi ko madadgar bhi na patay.

17.76 Yeh to aap kay qadam iss sir zamin say ukharaney hi lagay thay kay aap ko iss say nikal den. Phir yeh bhi aap kay baad boht hi kum thehar patay.

17.77 Aisa hi dastoor unn ka tha jo aap say pehlay rasool hum ney bhejay aur aap humaray dastoor mein kabhi radd-o-badal na payen gay.

17.78 Namaz ko qaeem keren aftab kay dhalney say ley ker raat ki tareeki tak aur fajar ka quran parhna bhi yaqeenan fajar kay waqt ka quran parhna hazir kiya gaya hai.

17.79 Raat kay kuch hissay mein tahajjud ki namaz mein quran ki tilawat keren yeh ziyadti aap kay liye hai un-qarib aap ka rab aap ko muqam-e-mehmood mein khara keray ga.

17.80 Aur dua kiya keren kay aey meray perwerdigar mujhay jahan ley jaa achi tarah ley jaa aur jahan say nikal achi tarah nikal aur meray liye apney pass say ghalba aur imdad muqarrar farma dey.
http://qurantube.blogspot.com/

17.81 Aur ailaan kerdey kay haq aa chuka aur na haq nabood hogaya. Yaqeenan baatil tha bhi nabood honey wala.

17.82 Yeh quran jo hum nazil ker rahey hain momino kay liye to sirasir shifa aur rehmat hai. Haan zalimon kay ba-juz nuksan kay aur koi ziyadti nahi hoti.

17.83 Aur insan per jab hum apna inam kertay hain to mun mor leta hai aur kerwat badal leta hai aur jab issay koi takleef phonchti hai to woh mayus ho jata hai.

17.84 Keh dijiye! Kay her shaks apney tareeqay per aamil hai jo poori hidayat kay raastay per hain unhen tumhara rab hi bakhoobi jannay wala hai.

17.85 Aur yeh log aap say rooh ki babat sawal kertay hain aap jawab dey dijiye kay rooh meray rab kay hukum say hai aur tumhen boht hi kum ilm diya gaya hai.

17.86 Aur agar hum chahayen to jo wahee aap ki taraf hum ney utari hai sab salb ker len phir aap ko iss kay liye humaray muqablay mein koi himayati mayassar na aa sakay.

17.87 Siwaye aap kay rab ki rehmat kay yaqeenan aap per uss ka bara hi fazal hai.

17.88 Keh dijiye kay agar tamam insan aur kul jinnat mill ker iss quran kay misil lana chahayen to inn sab say iss kay misil lana na mumkin hai qo woh (aapas mein) aik doosray kay madadgar bhi bann jayen.

17.89 Hum ney to iss quran mein logon kay samjhney kay liye her tarah say tamam misalen biyan ker di hain magar aksat log inkar say baaz nahi aatay.

17.90 Enhon ney kaha hum aap per hergiz eman laney kay nahi ta-waqt-e-kay aap humaray liye zamin say koi chashma jari na ker den.
http://qurantube.blogspot.com/

17.91 Ya khud aap kay liye hi koi baagh ho khujooron aur anguron ka aur iss kay darmiyan aap boht si nehren jari ker dikhayen.

17.92 Ya aap aasman ko hum per tukray tukray ker kay gira den jaisa kay aap ka guman hai ya aap khud Allah Taalaa ko aur farishton ko humaray samney laa khara keren.

17.93 Ya aap kay apney liye koi soney ka ghar ho jaye ya aap aasman per charh jayen aur hum to aap kay charh janey ka bhi uss waqt tak hergiz yaqeen nahi keren gay jab tak aap hum per koi kitab na utaar layen jissay hum khud parh len aap jawab dey den kay mera perwerdigar pak hai mein to sirf aik insan hi hun jo rasool banaya gaya hun.

17.94 Logon kay pass hidayat phonch chukney kay baad eman say rokney wali sirf yehi cheez rahi kay unhon ney kaha kiya Allah ney aik insan ko hi rasool bana ker bheja?

17.95 Aap keh den kay agar zamin mein farishtay chaltay phirtay aur rehtay bastay hotay to hum bhi inn kay pass kissi aasmani farishtay ho ko rasool bana ker bhejtay.

17.96 Keh dijiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah Taalaa ka gawah hona kafi hai. Woh apney bandon say khoob aagah aur bakhoobi dekhney wala hai.

17.97 Allah jiss ki rehnumaee keray woh to hidayat yafta hai aur jissay woh raah say bhatka dey na mumkin hai kay tu uss ka madadgar uss kay siwa kissi aur ko paye aisay logon ko hum baroz qayamat ondhay mun hashar keren gay daran halankay woh andhay goongay aur behray hongay unn ka thikana jahannum hoga. Jab kabhi woh bujhney lagay gi hum unn per ussay aur bharka den gay.

17.98 Yeh sab humari aayaton say kufur kerney aur uss kehney ka badla hai kay kiya jab hum hadiyan aur rezay rezay hojayen gay phir hum naee pedaeesh mein utha kharay kiye jayen gay?

17.99 Kiya enhon ney iss baat per nazar nahi ki jiss Allah ney aasman-o-zamin ko peda kiya hai woh inn jaison ki pedaeesh per poora qadir hai ussi ney inn kay liye aik aisa waqt muqarrar ker rakha hai jo shak-o-shubay say yaksar khali hai lekin zalim log inkar kiye baghair rehtay hi nahi.

17.100 Keh dijiye kay agar bil farz tum meray rab ki rehmaton kay khazanon kay malik bann jatay to tum uss waqt bhi uss kay kharch ho janey kay khof say uss ko rokay rakhtay aur insan hai hi tang dil.
http://qurantube.blogspot.com/


17.101 Hum ney musa ko no moajzzay bilkul saaf saaf ata farmaye tu khud hi bani isaeel say pooch ley kay jab woh inn kay pass phonchay to firaon bola kay aey musa! Meray khayal mein to tujh per jadoo ker diya gaya hai.

17.102 Musa ney jawab diya kay yeh to tujhay ilm ho chuka hai kay aasman-o-zamin kay perwerdigar hi ney yeh moajzzay dikhaney samjhaney ko nazil farmaye hain aey firaon! Mein to samajh raha hun kay tu yaqeenan barbad-o-halak kiya gaya hai.

17.103 Aakhri firaon ney pukhta irada ker liya kay unhen zamin say hi ukher dey to hum ney khud ussay aur uss kay tamam sathiyon ko gharq ker diya.

17.104 Iss ka baad hum ney bani isaraeel say farma diya kay iss sir zamin per tum raho saho haan jab aakhirat ka wada aaye ga hum tum sab ko samet aur lapet ker ley aayen gay.

17.105 Aur hum ney iss quran ko haq kay sath utara aur yeh bhi haq kay sath utra. Hum ney aap ko sirf khushkhabri sunaney wala aur daraney wala bana ker bheja hai.

17.106 Quran ko hum ney thora thora ker kay iss liye utara hai kay aap issay ba-mohlat logon ko sunayen aur hum ney khud bhi issay ba-tadreej nazil farmaya.

17.107 Keh dijiye! Tum iss per eman laao ya na laao jinehn iss say pehlay ilm diya gaya hai unn kay pass to jab bhi iss ki tilawat ki jati hai to woh thoriyon kay bal sajda mein gir partay hain.

17.108 Aur kehtay hain kay humara rab pak hai humaray rab ka wada bila shak-o-shuba poora ho ker rehney wala hi hai.

17.109 Woh apni thoriyon kay bal rotay huye sajday mein gir partay hain aur yeh quran unn ki aajzi aur khushoo aur khuzoo barha deta hai.

17.110 Keh dijiye kay Allah ko Allah keh ker pulkaro ya rehman keh ker jiss naam say bhi pukaro tamam achay naam ussi kay hain. Na to tu apni namaz boht buland aawaz say parh aur na bilkul posheeda balkay iss kay darmiyan ka raasta talash kerley.

17.111 Aur yeh keh dijiye kay tamam tareefen Allah hi kay liye hain jo na aulad rakhta hai na apni badshaat mein kissi ko shareek aur saajhi rakhta hai aur na woh kamzor hai kay ussay kissi himayati ki zaroorat ho aur tu uss ki poori poori baraee biyan kerta reh.

http://qurantube.blogspot.com/


Surat-Kaahaf 18
(Sura-Kaahaf Makka mai Nazil hui, is mai aikso-das (110) Aayatain hain)


18.01 Tamam tareefen ussi Allah kay liye saza waar hain jiss ney apney bandey per yeh quran utara aur iss mein koi kasar baqi na chori.

18.02 Bulkay her tarah say theek thaak rakha takay apney pass ki saza sakht saza say hoshiyar ker dey aur eman laney aur nek amal kerney walon ko khushkhabriyan suna dey kay unn kay liye behtareen badla hai.

18.03 Jiss mein woh hamesha hamesha rahen gay.

18.04 Aur unn logon ko bhi dara dey jo kehtay hain kay Allah Taalaa aulad rakhta hai.

18.05 Dar-haqeeqat na to khud unhen iss ka ilm hai na unn kay baap dadon ko. Yeh tohmat bari buri hai jo inn kay mun say nikal rahi hai woh nira jhoot bak rahey hain.

18.06 Pus agar yeh log iss baat per eman na layen to kiya aap inn kay peechay issi ranj mein apni jaan halak ker dalen gay?

18.07 Rooy-e-zamin per jo kuch hai hum ney ussay zamin ki ronaq ka baees banaya hai kay hum enhen aazma len kay inn mein say kaun nek aemaal wala hai.

18.08 Iss per jo kuch hai hum ussay aik humwaar saaf maidan ker dalney walay hain.

18.09 Kiya tu apney khayal mein ghaar aur katbay walon ko humari nishaniyon mein say koi boht ajeeb nishani samjha raha hai?

18.10 Unn chand no-jawano ney jab ghaar mein panah li to dua ki kay aey humaray perwerdigar! Humen apney pass say rehmat ata farma aur humaray kaam mein humaray liye raah yabi ko aasan ker dey.
http://qurantube.blogspot.com/

18.11 Pus hum ney unn kay kano per ginti kay kaee saal tak issi ghaar mein pardey daal diye.

18.12 Phir hum ney unehn utha khara kiya kay hum yeh maloom ker len kay dono giroh mein say uss intehaee muddat ko jo unhon ney guzari kiss ney ziyada yaad rakhi hai.

18.13 Hum unn ka sahih waqiya teray samney biyan farma rahey hain. Yeh chand no-jawan apney rab per eman laye thay aur hum ney unn ki hodayat mein taraqqi di thi.

18.14 Hum ney unn kay dil mazboot ker diye thay jabkay yeh uth kharay huye aur kehney lagay kay humara perwerdigar to wohi hai jo aasman-o-zamin ka perwerdigar hai na mumkin hai kay hum uss kay siwa kissi aur mabood ko pukaren agar aisa kiya to hum ney nihayat hi ghalat baat kahi.

18.15 Yeh hai humari qom jiss ney iss kay siwa aur mabood bana rakhen hain. Inn ki khudaee ki yeh koi saaf daleel kiyon paish nahi kertay Allah per jhoot iftra bandhney walay say ziyada zalim kaun hai?

18.16 Jabkay tum unn say aur Allah kay unn kay maboodon say kinara kash hogaye to abb tum kissi ghaar mein jaa behto tumhara rab tum per apni rehmat phela dey ga aur tumharay liye tumharay kaam mein sahoolat mohiyya ker dey ga.

18.17 Aap dekhen gay kay aftab ba-waqt tuloo unn kay ghaar say dayne janob ko jhuk jata hai aur ba-waqt-e-ghuroob unn kay bayen janib katra jata hai aur woh iss ghaar ki kushada jaga mein hain. Yeh Allah ki nishaniyon mein say hai. Allah Taalaa jiss ki raahbari farmaye woh raah-e-raast per hai aur jissay woh gumraah ker dey na mumkin hai kay aap uss ka koi kaar saaz aur rehnuma paa saken.

18.18 Aap khayal kertay hain kay woh beydaar hain halankay woh soye huye thay khud hum hi unhen dayen bayen kerwaten dilaya kertay thay unn ka kutta bhi chokhat per apney hath paon phelaye huye tha. Agar aap jhank ker unhen dekhna chahatay to zaroor ultay paon bhag kharay hotay aur unn kay rob say aap per dehshat chah jati.

18.19 Issi tarah hum ney unhen jaga ker utha diya kay aapas meinpooch gooch kerlen. Aik kehney walay ney kaha kay kiyon bhaee tum kitney dair thehray rahey? Unhon ney jawab diya kay aik din ya aik din say bhi kum. Kehney lagay kay tumharay thehray rehney ka ilm ba-khoobi Allah Taalaa hi ko hai. Abb to tum apney mein say kissi ko apni yeh chandi dey ker shehar bhejo woh khoob dekh bhaal ley kay shehar ka kaun say khana pakeeza tar hai phir ussi mein say tumharay liye khaney kay liye ley aaye aur boht ehtiyat aur narmi barttay aur kissi ko tumhari khabar na honey dey.

18.20 Agar yeh kafir tum per ghalba paa len to tumhen sangsaar ker den gay ya tumhen phir apney deen mein lota len gay aur phir tum kabhi bhi kaamyaab na hosako gay.
http://qurantube.blogspot.com/

18.21 Hum ney iss tarah logon ko unn kay haal say aagah ker diya kay woh jaan len kay Allah ka wada bilkul sacha hai aur qayamat mein koi shuba nahi. Jabkay woh apney amar mein aapas mein ikhtilaf ker rahey thay kehney lagay inn kay ghaar per aik emaarat bana lo. Unn ka rab hi unn kay haal ka ziyada aalim hai. Jin logon ney unn kay baray mein ghalba paya woh kehney lagay kay hum to inn kay aas pass masjod bana len gay.

18.22 Kuch log to kahen gay kay ashaab-e-kahaf teen thay aut chotha unn ka kuta tha. Kuch kahen gay kay panch thay aur chata unn ka kuta tha ghaib ki baton mein atkal (kay teer tukkay) chalatay hain kuch kahen gay woh saat hain aur aathwaa unn ka kuta hai. Aap keh dijiye kay mera perwerdigar unn ki tadaad ko ba-khoobi jannay wala hai unhen boht hi kum log jantay hain. Pus aap inn kay muqadmay mein sirf sirsari guftugoo hi keren aur inn mein say kissi say unn kay baray mein pooch gooch bhi na keren.

18.23 Aur hergiz hergiz kissi kaam yun na kehna kay mein issay kal keroon ga.

18.24 Magar sath hi inshaAllah keh lena. Aur jab bhi bhoolay apney perwerdigar ko yaad ker liya kerna aur kehtay rehna mujhay poosi umeed hai kay mera rab mujhay iss say bhi ziyada hidayat kay qareeb ki baat ki rehbari keray.

18.25 Woh log apney ghaar mein teen so saal tak rahey aur no saal aur ziyada guzaray.

18.26 Aap keh den Allah hi ko unn kay thehray rehney ki muddat ka ba-khoobi ilm hai aasmanon aur zaminon ka ghaib sirf ussi ko hasil hai woh kiya hi acha dekhney aur sunnay wala hai. Siwaye Allah kay unn ka koi madadgaar nahi Allah Taalaa apney hukum mein kissi ko shareeq nahi kerta.

18.27 Teri janib jo teray rab ki kitab wahee ki gaee hai ussay parhta reh uss ki baton ko koi badalney wala nahi tu uss kay siwa hergiz hergiz koi panah ki jagah na paye ga.

18.28 Aur apney aap ko unhin kay sath rakha ker jo apney perwerdigar ko subha shaam pukartay hain aur ussi kay chehray kay iraday rakhtay hain (raza mandi chahatay hain) khabardaar! Teri nigahen unn say na hatney payen kay dunyawi zindagi kay thaath kay iraday mein lag jaa. Dekh uss ka kehna na manna jiss kay dil ko hum ney apney zikar say ghafil ker diya hai aur jo apni khuwaishon kay peechay para hua hai aur jiss ka kaam hadd say guzar chuka hai.

18.29 Aur ailaan ker dey kay yeh sirasar bar-haq quran tumharay rab ki taraf say hai. Abb jo chahaye eman laye aur jo chahaye kufur keray. Zalimon kay liye hum ney woh aag tayyar ker rakhi hai jiss ki qanaten unhen gher len gi agar woh faryad rasi chahayen gay to unn ki faryad rasi uss pani say ki jayegi jo tel ki talchat jaisa hoga jo chehray bhoon dey ga bara hi bura pani hai aur bari buri aaram gaah (dozakh) hai.

18.30 Yaqeenan jo log eman layen aur nek aemaal keren to hum kissi nek amal kerney walay ka sawab zaya nahi kertay.
http://qurantube.blogspot.com/


18.31 Unn kay liye hameshgi wali jannaten hain inn kay neechay nehren jari hongi wahan yeh soney kay kangan pehnayen jayen gay aur sabz rang kay narm-o-bareek aur motay resham kay libas pehnen gay wahan takhton kay upper takiye lagaye huye hongay. Kiya khoob badla hai aur kiss qadar umdah aaram gaah hai.

18.32 Aur enhen unn do shakson ki misal bhi suna dey jin mein say aik ko hum ney do baagh angooron kay dey rakhay thay aur jinhen khujooron kay darakhton say hum ney gher rakha tha aur dono kay darmiyan kheti laga rakhi thi.

18.33 Dono baagh apna phal khoob laye aur iss mein kissi tarah ki kami na ki aur hum ney inn baaghon kay darmiyan nehar jari ker rakhi thi.

18.34 Al-gharz uss kay pass meway thay aik din uss ney baton hi baton mein apney sathi say kaha kay mein tujh say ziyada maaldaar hun aur juthay kay aitbaar say bhi ziyada mazboot hun.

18.35 Aur yeh apney baagh mein gaya aur tha apni jaan per zulm kerney wala. Kehney laga kay mein khayal nahi ker sakta kay kissi waqt bhi yeh barbaad hojaye.

18.36 Aur na mein qayamat ko qaeem honey wali khayal kerta hun aur agar (bil farz) mein apney rab ki taraf lotaya bhi gaya to yaqeenan mein (uss lotney ki jagah) iss say bhi ziyada behtar paon ga.

18.37 Uss kay sathi ney uss say baten kertay huye kaha kay kiya to uss (mabood) say kufur kerta hai jiss ney tujhay mitti say peda kiya. Phir nutfay say phir tujhay poora aadmi bana diya.

18.38 Lekin mein to aqeedah rakhta hun kay wohi Allah mera perwerdigar hai mein apney rab kay sath kissi ko shareeq na keroon ga.

18.39 Tu ney apney baagh mein jatay waqt kiyon na kaha kay Allah ka chaha honey wala hai koi taqat nahi magar Allah ki madad say agar tu mujhay maal-o-aulad mein apney say kam dekh raha hai.

18.40 Boht mumkin hai kay mera rab mujhay teray iss baagh say bhi behtar dey aur iss per aasmani azab bhej dey to yeh chatyal aur chikna maidan bann jaye.
http://qurantube.blogspot.com/


18.41 Ya iss ka pani neechay utar jaye aur teray bus mein na rahey kay tu issay dhoond laye.

18.42 Aur uss kay (saray) phal gher liye gaye pus woh apney uss kharach per jo uss ney iss mein kiya tha apney hath malney laga aur woh baagh to ondha ulta para tha aur (woh shaks) yeh keh raha tha kay kaash! Mein apney rab kay sath kissi ko bhi shareeq na kerta.

18.43 Uss ki himayat mein koi jamat na uthi kay Allah say uss ka bachao kerti aur na woh khud hi badla lenay wala bann saka.

18.44 Yahin say (sabit hai) kay ikhtiyaraat Allah bar-haq kay liye hain woh sawab denay aur anjam kay aitbaar say both hi behtar hai.

18.45 Inn kay samney duniya ki zindagi ki misal (bhi) biyan kero jaisay pani jisay hum aasman say utartay hain iss say zamin ka sabza mila jula (nikla) hai phir akhir kaar woh choora choora hojata hai jisay hawayen urayen liye phirti hain. Allah Taalaa her cheez per qadir hai.

18.46 Maal-o-aulad to duniya ki hi zeenat hai aur (haan) albatta baqi rehney wali nekiyan teray rab kay nazdeek azrooy-e-sawab aur (aaeenda ki) achi tawaqqa kay boht behtar hain.

18.47 Aur jiss din hum paharon ko chalayen gay aur zamin ko tu saaf khuli hui dekhay ga aur tamam logon ko hum ikhatta keren gay inn mein say aik ko bhi baqi na choren gay.

18.48 Aur sab kay sab teray rab kay samney saff basta hazir kiye jayen gay. Yaqeenan tum humaray pass ussi tarah aaye jiss tarah hum ney tumhen pehli martaba peda kiya tha lekin tum to issi khayal mein rahey kay hum hergiz tumharay liye koi waday ka waqt muqarrar keren gay bhi nahi.

18.49 Aur naam-e-aemaal samney rakh diye jayen gay. Pus tu dekhay ga kay gunhegar iss ki tehreer say khofzada horahey hongay aur keh rahey hongay haaye humari kharabi yeh kaisi kitab hai jiss ney koi chota bara baghair gheray kay baqi hi nahi chora aur jo kuch enhon ney kiya tha sab mojood payen gay aur tera rab kissi per zulm-o-sitam na keray ga.

18.50 Aur jab hum ney farishton ko hukum diya kay tum adam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney sajda kiya yeh jinnon mein say tha uss ney apney perwerdigar ki na-farmani ki kiya phir bhi tum ussay aur uss ki aulad ko mujhay chor ker apna dost bana rahey ho? Halankay woh tum sab ka dushman hai. Aisay zalimon ka kiya hi bura badal hai.
http://qurantube.blogspot.com/


18.51 Mein ney enhen aasmanon-o-zamin ki pedaeesh kay waqt mojood nahi rakha tha aur na khud inn ki apni pedaeesh mein aur mein gumraah kerney walon ko apna madadgaar bananey wala bhi nahi.

18.52 Aur jiss woh farmaye ga kay tumharay khayal mein jo meray shareeq thay unhen pukaro! Yeh pukaren gay lekin unn mein say koi bhi jawab na dey ga hum unn kay darmiyan halakat ka saman ker den gay.

18.53 Aur gunehgar jahannum ko dekh ker samajh len gay kay woh issi mein jhonkay janey walay hain lekin uss say bachney ki jagah na payen gay.

18.54 Hum ney iss quran mein her her tareeqay say tamam ki tamam misalen logon kay liye biyan ker di hain lekin insan sab say ziyada jhagraloo hai.

18.55 Logon kay pass hidayat aa chukney ka baad unhen eman laney aur apney rab say isataghfaar kerney say sirf issi cheez ney roka kay aglay logon ka sa moamla unhen bhi paish aaye ye unn kay samney khullam khulla azab aa mojood hojaye.

18.56 Hum to apney rasoolon ko sirf iss liye bhejtay hain kay woh khushkhabriyan suna den aur dara den. Kafir log baatil kay saharay jhagartay hain aur (chahatay hain kay) iss say haq ko larkhara den enhon ney meri aayaton ko aur jis cheez say daraya jaye ussay mazaq bana dala hai.

18.57 Uss say barh ker zalim kaun hai? Jissay uss kay rab ki aayaton say naseehat ki jaye woh phir bhi mun moray rahey aur jo kuch uss kay hathon ney aagay bhej rakha hai ussay bhool jaye be-shak hum ney unn kay dilon per parday daal diye hain kay woh issay (na) samajhen aur unn kay kanon mein girani hai go tu unhen hidayat ki taraf bulata rahey lekin yeh kabhi bhi hidayat nahi paney kay.

18.58 Tera perwerdigar boht hi baskhsish wala aur meharbani wala hai woh agar inn kay aemaal ki saza mein pakray to be-shak enhen jald hi azab ker dey bulkay inn kay liye aik waday ki ghari muqarrar hai jiss say woh sirakney ki hergiz jagah nahi payen gay.

18.59 Yeh hain woh bastiyan jinhen hum ney unn kay mazalim ki bina per ghaarat ker diya aur inn ki tabahi ki bhi hum ney aik miyaad muqarrar ker rakhi thi.

18.60 Jabkay musa ney apney no-jawan say kaha kay mein to chalta hi rahoon ga yahan tak kay do dariyaon kay sangum per phonchon khua mujhay saal-ha-saal chalne paray.
http://qurantube.blogspot.com/

18.61 Jab woh dono darya kay sangum per phonchay wahan apni machli bhool gaye jiss ney darya mein surang jaisa apna raasta bana liya.

18.62 Jab yeh dono wahan say aagay barhay to musa ney apney no-jawan say kaha laa humara khana dey humen to apney iss safar say sakht takleef uthani pari.

18.63 Uss ney jawab diya kay kiya aap ney dekha bhi? Jabkay hum pathar say take laga ker aaram ker rahey thay wahin mein machli bhool gaya tha dar-asal shetan ney hi mujhay bhula diya kay mein aap say iss ka zikar keroon. Uss machli ney aik anokhay tor per darya mein apna raasta bana liya.

18.64 Musa ney kaha yehi tha jiss ki talash mein hum thay chunacha wahin say apney qadmon kay nishan dhoondtay huye wapis lotay.

18.65 Pus humaray bandon mein say aik banday ko paya jissay hum ney apney pass ki khas rehmat ata farma rakhi thi aur ussay apney pass say khas ilm sikha rakha tha.

18.66 Iss say musa ney kaha kay mein aap ki tabeydaari keroon? Kay aap mujhay iss nek ilm ko sikha den jo aap ko sikhaya gaya hai.

18.67 Uss ney kaha aap meray sath hergiz sabar nahi ker saktay.

18.68 Aur jiss cheez ko aap ney apney ilm mein na liya ho uss per sabar ker bhi kaisay saktay hain?

18.69 Musa ney jawab diya kay inshaAllah aap mujhay sabar kerney wala payen gay aur kissi baat mein , mein aap ki na-farmani na keroon ga.
http://qurantube.blogspot.com/

18.70 Uss ney kaha acha agar aap meray sath hi chalney per israr kertay hain to yaad rahey kissi cheez ki nisbat mujh say kuch na poochna jabtak kay mein khud uss ki nisbat koi tazkara na keroon.

18.71 Phir woh dono chalay yahan tak kay aik kashti mein sawar huye to uss ney kashti kay takhtay tor diye musa ney kaha kiya aap issay tor rahey hain takay kashti walon ko dobo den yeh to aap ney bari (khatarnaak) baat ker di.

18.72 Uss ney jawab diya kay mein ney to pehlay hi tujh say keh diya tha kay tu meray sath hergiz sabar na ker sakay ga.

18.73 Musa ney jawab diya kay meri bhool per mujhay na pakriye aur mujhay apney kaam mein tangi na daliye.

18.74 Phir dono chalay yahan tak kay aik larkay ko paya iss ney ussay maar dala musa ney kaha kay kiya aap ney aik pak jaan ko baghair kissi jaan kay ewaz maar dala? Be-shak aap ney to bari na pasandeedah harkat ki.

No comments:

Post a Comment

Adbox