Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 14

Parah-Rubama 14

Surat-Hijir 15
(Sura-Hijir Makka mai Nazil hui, is mai ninanway (99) Aayatain hain)


15.01 Alif -laam-raa yeh kitab-e-elahi ki aayaten hain aur khullay aur roshan quran ki.

15.02 Woh bhi waqt hoga kay kafir apney musalman honey ki aarzoo keren gay.

15.03 Aap unhen khata nafa uthata aur (jhooti) umeedon mein masghool hota chor dijiye yeh khud abhi jaan len gay.

15.04 Kissi basti ko hum ney halak nahi kiya magar yeh kay uss kay liye muqarrar navishta tha.

15.05 Koi giroh apni maut say na aagay barhta hai na peechay rehta hai.

15.06 Enhon ney kaha aey woh shaks jiss per quran utara gaya hai yaqeenan tu to koi deewana hai.

15.07 Agar tu sacha hi hai to humaray pass farishton ko kiyon nahi laata.

15.08 Hum farishton ko haq kay sath hi utartay hain aur uss waqt woh mohlat diye gaye nahi hotay.

15.09 Hum ney iss quran ko nazil farmaya hai aur hum hi uss kay mohafiz hain.

15.10 Hum ney aap say pehlay agli ummaton mein bhi apney rasool (barabar) bhejay.
http://qurantube.blogspot.com/

15.11 Aur (lekin) jo bhi rasool aata woh uss ka mazaq uratay.

15.12 Gunehgaron kay dilon mein hum issi tarah yehi racha diya kertay hain.

15.13 Woh iss per eman nahi latay aur yaqeenan aglon ka tareeqa guzra hua hai.

15.14 Aur agar hum inn per aasman ka darwaza khol bhi den aur yeh wahan charhney bhi lag jayen.

15.15 Tab bhi yehi kahen gay humari nazar bandi ker di gaee hai bulkay hum logon per jadoo ker diya gaya hai.

15.16 Yaqeenan hum ney aasman mein burj banaye hain aur dekhney walon kay liye ussay saja diya gaya hai.

15.17 Aur issay her mardood shetan say mehfooz rakha hai.

15.18 Haan magar jo chori chuppay sunnay ki kosish keray uss kay peechay dehakta hua (khulla shola) lagta hai.

15.19 Aur zamin ko hum ney phela diya hai aur iss per (atal) pahar bana diye hain aur iss mein hum ney her cheez aik moyyan miqdar say uga di hai.

15.20 Aur issi mein hum ney tumhari roziyan bana di hain aur jinhen tum rozi denay walay nahi ho.
http://qurantube.blogspot.com/

15.21 Aur jitni bhi cheezen hain unn sab kay khazaney humaray pass hain aur hum her cheez ko uss kay muqarrar andaz say utartay hain.

15.22 Aur hum bhejtay hain bojhal hawayen phir aasman say pani barsa ker woh tumhen pilatay hain aur tum iss ka zakheera kerney walay nahi ho.

15.23 Hum hi jilatay aur maartay hain aur hum hi (bil-aakhir) waris hain.

15.24 Aur tum mein say aagay barhney walay aur peechay hatney walay bhi humaray ilm mein hain.

15.25 Aap ka rab sab logon ko jama keray ga yaqeenan woh bari hikmaton wala baray ilm wala hai.

15.26 Yaqeenan hum ney insan ko kali aur sarhi hui khankhanati mitti say peda farmaya hai.

15.27 Aur iss say pehlay jinnat ko hum ney low wali aag say peda kiya.

15.28 Aur jab teray perwerdigar ney farishton say farmaya kay mein aik insan ko kali aur sarhi hui khankhanati mitti say peda kerney wala hun.

15.29 To jab mein ussay poora bana chukon aur iss mein apni rooh phoonk doon to tum sab iss kay liye sajday mein girr parna.

15.30 Chunacha tamamam farishton ney sab kay sab ney sajda ker liya.
http://qurantube.blogspot.com/


15.31 Magar iblees kay. Kay uss ney sajda kerney walon mein shamooliyat kerney say (saaf) inkar kerdiya.

15.32 (Allah Taalaa ) ney farmaya aey iblees tujhay kiya hua kay tu sajda kerney walon mein shamil na hua?

15.33 Woh bola kay mein aisa nahi kay iss insan ko sajda keroon jissay tu ney kali aur sarhi hui khankhanati mitti say peda kiya hai.

15.34 Farmaya abb tu bahisht say bikal jaa kiyon kay tu raand-e-dargah hai.

15.35 Aur tujh per meri phitkaar hai qayamat kay din tak.

15.36 Kehney laga aey meray rab! Mujhay uss din tak dheel dey kay log doobara utha kharay kiye jayen.

15.37 Farmaya acha tu unn mein say hai jinhen mohlat milli hai.

15.38 Roz-e-muqarrara kay waqt tak ki.

15.39 (shetan ney) kaha aey meray rab! Chun kay tu ney mujhay gumraah kiya hai mujhay bhi qasam hai kay mein bhi zamin mein inn kay liye ma’asi ko muzayyan keroon ga aur inn sab ko behkaon ga.

15.40 Siwaye teray unn bandon kay jo muntakhib ker liye gaye hain.
http://qurantube.blogspot.com/

15.41 Irshad hua kay haan yehi mujh tak phonchney ki seedhi raah hai.

15.42 Meray bandon per tujhay koi ghalba nahi lekin haan jo gumrah log teri pairwi keren.

15.43 Yaqeenan inn sab kay waday ki jagah jahannum hai.

15.44 Jiss kay saat darwazay hain, her darwazay kay liye inn ka bara hissa bata hua hai.

15.45 Perhezgaar jannati log baghon aur chashmon mein hongay.

15.46 (unn say kaha jayega) salamti aur aman kay sath iss mein dakhil hojao.

15.47 Unn kay dilon mein jo kuch ranjish-o-keena tha hum sab kuch nikal den gay woh bhai bhai banay huye aik doosray kay aamney samney takhton per behtay hongay.

15.48 Na to unhen wahan koi rakleef chu sakti hai aur na wahan say kabhi nikalen jayegay.

15.49 Meray bandon ko khabar dey do kay mein boht hi bakhshney wala aur bara hi meharban hun.

15.50 Aur sath hi meray azab bhi nihayat dard naak hain.
http://qurantube.blogspot.com/


15.51 Enhen ibrahim kay mehmanon ka (bhi) haal suna do.

15.52 Kay jab unhon ney unn kay pass aaker salam kiya to unhon ney kaha kay hum ko tum say darr lagta hai.

15.53 Unhon ney kaha daro nahi hum tujhay aik saahib-e-ilm farzand ki bisharat detay hain.

15.54 Kaha kiya iss burhapay kay aajaney kay baad tum mujhay khushkhabri detay ho! Yeh khushkhabri tum kaisay dey rahey ho?

15.55 Unhon ney kaha hum aap ko bilkul sachi khushkhabri sunatay hain aap mayus logon mein shamil na hon.

15.56 Kiya apney rab taalaa ki rehmat say na umeed to sirf gumrah aur behkay huye log hi hotay hain.

15.57 Poocha kay Allah kay bhejay huye (farishto!) tumhara aisa kiya eham kaam hai?

15.58 Unhon ney jawab diya kay hum mujrim qom ki taraf bhejay gaye hain.

15.59 Magar khaandan-e-loot kay hum unn sab ko to zaroor bacha len gay.

15.60 Siwaye uss (loot) ki biwi kay kay hum ney ussay rukney aur baqi reh janey walon mein muqarrar ker diya hai.
http://qurantube.blogspot.com/

15.61 Jab bhejay huye farishtay aal-e-loot kay pass phonchay.

15.62 To unhon (loot alh-e-salam) ney kaha tum log to kuch anjan say maloon horahey ho.

15.63 Unhon ney kaha nahi bulkay hum teray pass woh cheez laye hain jiss mein yeh log shak-o-shuba ker rahey thay.

15.64 Hum to teray pass (sareeh) haq laye hain aur hain bhi bilkul sachay.

15.65 Abb tu apney khaandan samet iss raat kay kissi hissay mein chal dey aur aap inn kay peechay rehna aur (khabardaar) tum mein say koi (peechay) murr ker bhi na dekhay aur jahan ka tumhen hukum kiya jaraha hai wahan chalay jana.

15.66 Aur hum ney uss ki taraf iss baat ka faisla ker diya kay subha hotay hotay inn logon ki jaren kaat di jayen gi.

15.67 Aur shehar walay khushiyan manatay huye aaye.

15.68 (loot alh-e-salam ney) kaha yeh log meray mehaman hain tum mujhay ruswa na kerna.

15.69 Allah Taalaa say daro aur mujhay ruswa na kero.

15.70 Woh bolay kiya hum ney tujhay duniya bhar (ki thekaydaari) say mana nahi ker rakha?
http://qurantube.blogspot.com/

15.71 (loot alh-e-salam ney) kaha agar tumhen kerne hi hai to yeh meri bachiyan mojood hain.

15.72 Teri umar ki qasam ! woh to apni bad-masti mein sir gardan thay.

15.73 Pus sooraj nikaltay nikaltay unhen aik baray zor ki aawaz ney pakar liya.

15.74 Bil aakhir hum ney iss shehar ko upper talay kerdiya aur inn logon per kankar walay pathar barsaye.

15.75 Bila shuba basirat walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.

15.76 Yeh basti aisi raah per hai jo barabar chalti rehti (aam guzargaah) hai.

15.77 Aur iss mein eman walon kay liye bari nishani hai.

15.78 Aeeka basti key rehney walay bhi baray zalim thay.

15.79 Jin say (aakhir) hum ney intiqam ley hi liya. Yeh dono shehar khullay (aam) raastay per hain.

15.80 Aur hijr walon ney bhi rasoolon ko jhutalaya.
http://qurantube.blogspot.com/


15.81 Aur hum ney unn ko apni nishaniyan bhi ata farmaeen (lekin) tahum woh inn say roo gardani hi kertay rahey.

15.82 Yeh log paharon ko tarash tarash ker ghar banatay thay bey khof hoker.

15.83 Aakhir enhen bhi subha hotay hotay chinghaar ney aa dabocha.

15.84 Pus inn ki kissi tadbeer-o-amal ney unhen koi faeeda na diya.

15.85 Hum ney aasmanon aur zamin ko aur inn kay darmiyan ki sabb cheezon ko haq kay sath peda farmaya hai aur qayamat zaroor zaroor aaney wali hai. Pus tu husn-o-khoobi (aur achai) say dar guzar kerley.

15.86 Yaqeenan tera perwerdigar hi peda kerney wala aur jannay wala hai.

15.87 Yaqeenan hum ney aap ko saat aayaten dey rakhi hain kay dohraee jati hain aur azeem quran bhi dey rakha hai.

15.88 Aap hergiz apni nazren uss cheez ki taraf na dorayen jiss say hum ney inn mein say kaee qisam kay logon ko behra mand ker rakha hai na inn per aap afsos keren aur momino kay liye apney bazoo jhukaye rahen.

15.89 Aur keh dijiye kay mein to khullam khulla daraney wala hun.

15.90 Jaisay kay hum ney unn taqseem kerney walon per utara.
http://qurantube.blogspot.com/


15.91 Jinhon ney iss kitab-e-elahi kay tukray tukray ker diye.

15.92 Qasam hai teray paalney walay ki! Hum unn sab say zaroor baaz purs keren gay.

15.93 Her uss cheez ki jo woh kertay thay.

15.94 Pus aap iss hukum ko jo aap ko kiya jaa raha hai khol ker suna dijiye! Aur mushrikon say mun pher lijiye.

15.95 Aap say jo log maskhra pann kertay hain unn ki saza kay liye hum kafi hain.

15.96 Jo Allah kay sath doosray mabood muqarrar kertay hain unhen un-qarib maloom hojayega.

15.97 Humen khoob ilm hai inn baaton say aap ka dil tang hota hai.

15.98 Aap apney perwerdigar ki tasbeeh aur hamd biyan kertay rahen aur sajda kerney walon mein shamil hojayen.

15.99 Aur apney rab ki ibadat kertay rahen yahan tak kay aap ko maut aajaye.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Nahal 16
(Sura-Nahal Makka mai Nazil hui, is mai aikso-ahaees (128) Aayatain hain)


16.01 Allah Taalaa ka hukum aa phoncha abb iss ki jaldi na machao. Tamam paki uss kay liye hai woh bartar hai unn sab say jinhen yeh Allah kay nazdik shareek batlatay hain.

16.02 Wohi farishton ko apni wahee dey ker apney hukum say apney bandon mein say jiss per chahata hai utarta hai kay tum logon ko aagah kerdo kay meray siwa aur koi mabood nahi pus tum mujh say daro.

16.03 Ussi ney aasmanon aur zamin ko haq kay sath peda kiya hai woh iss say bari hai jo mushrik kertay hain.

16.04 Uss ney insan ko nutfay say peda kiya phir woh sareeh jhagraloo bann betha.

16.05 Ussi ney chopaye peda kiye jin mein tumharay liye garmi kay libas hain aur bhi boht say nafay hain aur baaz tumharay khaney kay kaam aatay hain.

16.06 Aur inn mein tumhari ronaq bhi hai jab chara ker laao tab bhi aur jab charaney ley jao tab bhi.

16.07 Aur woh tumharay bojh unn shehron tak utha ley jatay hain jahan tum baghair aadhi jaan kiye phonch hi nahi saktay thay. Yaqeenan tumhara rab bara hi shafiq aur nihayat meharbaan hai.

16.08 Ghoron ko khacharon ko gadhon ko uss ney peda kiya kay tum unn ki sawari lo aur baees-e-zeenat bhi hain. Aur bhi woh aisi boht cheezen peda kerta hai jin ka tumhen ilm bhi nahi.

16.09 Aur Allah per seedhi raah ka bata dena hai aur baaz tairhi raahen hain aur agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast per laga deta.

16.10 Wohi tumharay faeeday kay liye aasman say pani barsata hai jissay tum peetay bhi ho aur ussi say ugay huye darakhton ko tum apney janwaron ko charatay ho.
http://qurantube.blogspot.com/

16.11 Issi say woh tumharay liye kheti aur zaitoon aur khujoor aur angoor aur her qisam kay phal ugata hai be-shak unn logon kay liye iss mein bari nishani hai jo ghor-o-fikar kertay hain.

16.12 Ussi ney raat din aur sooraj chand ko tumharay liye tabey ker diya hai aur sitaray bhi ussi kay hukum kay matehat hain. Yaqeenan iss mein aqal mand logon kay liye kaee aik nishaniyan mojood hain.

16.13 Aur bhi boht si cheezen tarah tarah kay rang roop ki uss ney tumharay liye zamin per phela rakhi hain. Be-shak naseehat qabool kerney walon kay liye iss mein bari bhari nishani hai.

16.14 Aur darya bhi ussi ney tumharay bus mein ker diye hain kay tum iss mein say (nikla hua) taza gosht khao aur iss mein say apney pehanney kay zaiwraat nikal sako aur tum dekhtay ho kay kashtiyan iss mein pani cheerti hui (chalti) hain aur iss liye bhi kay tum uss ka fazal talash kero aur hosakta hai kay tum shukar guzari bhi kero.

16.15 Aur uss ney zamin mein pahar gaar diye hain takay tumhen ley ker hilay na aur nehren aur raahen bana den takay tum manzil-e-maqsood ko phoncho.

16.16 Aur bhi boht si nishaniyan muqarrar farmaeen. Aur sitaron say bhi log raah hasil kertay hain.

16.17 To kiya woh jo peda kerta hai uss jaisa hai jo peda nahi ker sakta? Kiya tum bilkul nahi sochtay?

16.18 Aur agar tum Allah ki nematon ka shumar kerna chahao to tum ussay nahi ker saktay. Be-shak Allah bara bakhshney wala meharban hai.

16.19 Aur jo kuch tum chupao aur zahir kero Allah Taalaa sab kuch janta hai.

16.20 Aur jin jin ko yeh log Allah Taalaa kay siwa pukartay hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay bulkay woh khud peda kiye huye hain.
http://qurantube.blogspot.com/


16.21 Murdey hain zinda nahi unhen to yeh bhi shaoor nahi kay kab uthayen jayen gay.

16.22 Tum sab ka mabood sirf Allah Taalaa akela hai aur aakhirat per eman na rakhney walon kay dil munkir hain aur woh khud takabbur say bharay huye hain.

16.23 Bey shak-o-shuba Allah Taalaa her uss cheez ko jissay woh log chupatay hain aur jissay zahir kertay hain bakhoobi janta hai. Woh ghuroor kerney walon ko pasand nahi farmata.

16.24 Inn say jab daryaft kiya jata hai kay tumharay perwerdigar ney kiya nazil farmaya hai? To jawab detay hain kay aglon ki kahaniyan hain.

16.25 Issi ka natija hoga kay qayamat kay din yeh log apney pooray bojh kay sath hi unn kay bojh kay bhi hissay daar hongay jinhen bey ilmi say gumraah kertay rahey. Dekho to kaisa bura bojh utha rahey hain.

16.26 Inn say pehlay kay logon ney bhi makar kiya tha (aakhir) Allah ney (unn kay mansoobon) ki emarton ko jaron say ukher diya aur unn (kay saron) per (unn ki) chaten upper say gir paren aur unn kay pass azab wahan say aagaya jahan ka unn ko weham-o-guman bhi na tha.

16.27 Phir qayamat walay din bhi Allah unn ko ruswa keray ga aur farmaye gay kay meray woh shareek kahan hain jin kay baray mein tum lartay jhagartay thay jinhen ilm diya gaya tha woh pukar uthen gay kay aaj to kafiron ko ruswaee aur buraee chimat gaee.

16.28 Woh jo apni jano per zulm kertay hain farishtay jab unn ki jaan qabz kerney lagatay hain uss waqt woh jhuk jatay hain kay hum buraee nahi kertay thay. Kiyon nahi? Allah Taalaa khoob jannay wala hai jo kuch tum kertay thay.

16.29 Pus abb to hameshgi kay tor per tum jahannum kay darwazon mein dakhil hojao pus kiya hi bura thikana hai ghuroor kerney walon ka.

16.30 Aur perhezgaron say poocha jata hai kay tumharya perwerdigar ney kiya nazil farmaya hai? Wo woh jawab detay hain kay achay say acha. Jin logon ney bhalee ki unn kay liye iss duniya mein bhalee hai aur yaqeenan aakhirat ka ghar to boht hi behtar hai aur kiya hi khoob perhezgaron ka ghar hai.
http://qurantube.blogspot.com/


16.31 Hameshgi walay baghaat jahan woh jayen gay jin kay neechay nehren beh rahi hain jo kuch yeh talab keren gay wahan unn kay liye mojood hoga. Perhezgaron ko Allah Taalaa issi tarah badlay ata farmata hai.

16.32 Aur jin ki janen farishtay iss haal mein qabz kertay hain kay woh pak saaf hon kehtay hain kay tumharay liye salamti hi salamti hai jao jannat mein apney unn aemaal kay badlay jo tum kertay thay.

16.33 Kiya yeh issi baat ka intizar ke rahey hain kay inn kay pass farishtay aajayen ya teray rab ka hukum aajaye? Aisa hi unn logon ney bhi kiya tha jo inn say pehlay thay. Unn per Allah Taalaa ney koi zulm nahi kiya bulkay woh khud apni janon per zulm kertay rahey.

16.34 Pus unn kay buray aemaal kay natijay unhen mill gaye aur jiss ki hansi uratay thay uss ney unn ko gher liya.

16.35 Mushrik logon ney kaha kay agar Allah Taalaa chahata to hum aur humaray baap daday uss kay siwa kissi aur ki ibadat hi na kertay na uss kay farman kay baghair kissi cheez ko haram kertay. Yehi fail inn say pehlay kay logon ka raha. To rasoolon per to sirf khullam khulla paygham phoncha dena hai.

16.36 Hum ney her ummat mein rasool bheja kay (logo!) sirf Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tamam maboodon say bacho. Pus baaz logon ko to Allah Taalaa ney hidayat di aur baaz per gumrahi sabit hogaee pus tum khud zamin mein chal phir ker dekh lo kay jhutlaney walon ka anjam kaisa kuch hua?

16.37 Go aap inn ki hidayat kay khuwaish mand rahey hain lekin Allah Taalaa ussa hidayat nahi deta jissay gumrah kerdey aur na unn ka koi madadgar hota hai.

16.38 Woh log bari sakht sakht qasmen kha kha ker kehtay hain kay murdon ko Allah Taalaa zinda nahi keray ga. Kiyon nahi zaroor zinda keray ga yeh to uss ka bar haq lazmi wada hai leki aksar log jantay nahi.

16.39 Iss liye bhi kay yeh log jiss cheez mein ikhtilaf kertay thay ussay Allah Taalaa saaf biyan kerdey aur iss liye bhi kay khud kafir apna jhoota hona jaan len.

16.40 Hum jab kissi cheez ka irada kertay hain to sirf humara yeh keh dena hota hai kay ho jaa pus woh hojati hai.
http://qurantube.blogspot.com/

16.41 Jin logon ney zulm bardasht kerney kay baad Allah ki raah mein tark-e-watan kiya hai hum unhen behtar say behtar thikana duniya mein ata farmyen gay aur aakhirat ka sawab to boht hi bara hai kaash kay log iss say waqif hotay.

16.42 Woh jinhon ney daman-e-sabar na chora aur apney palney walay hi per bharosa kertay rahey.

16.43 Aap say pehlay bhi hum mardon ko hi bhejtay rahey jin ki janib wahee utara kertay thay pus agar tum nahi jantay to ehl-e-ilm say daryaft kerlo.

16.44 Daleelon aur kitabon kay sath yeh zikar (kitab) hum ney aap ki taraf utara hai kay logon ki janib jo nazil farmaya gaya hai aap ussay khol khol ker biyan ker den shayad kay woh ghoro-o-fikar keren.

16.45 Bad tareen dao paich kerney walay kiya iss baat say bey khof hogaye hain kay Allah Taalaa unhen zamin mein dhansa dey ya unn kay pass aisi jagah say azab aajaye jahan ka unhen weham-o-guman bhi na ho.

16.46 Ya unhen chaltay phirtay pakar ley. Yeh kissi soorat mein Allah Taalaa ko aajiz nahi ker saktay.

16.47 Ya unhen dara dhamka ker pakar ley pus yaqeenan tumhara perwerdigar aala shafqat aur intehaee reham wala hai.

16.48 Kiya enhon ney Allah ki makhlooq mein kissi ko bhi nahi dekha? Kay uss kay saye dayen bayen jhuk jhuk ker Allah Taalaa kay samney sir ba sujood hotay aur aajzi ka izhar kertay hain.

16.49 Yaqeenan aasman-o-zamin kay kul jandar aur tamam farishtay Allah Taalaa kay samney sajday kertay hain aur zara bhi takabbur nahi kertay.

16.50 Aur apney rab sau jo unn kay upper hai kapkapatay rehtay hain aur jo hukum mill jaye uss ki tameel kertay hain.
http://qurantube.blogspot.com/


16.51 Allah Taalaa irshad farma chuka hai kay do mabood na banao. Mabood to sirf wohi akela hai pus tum sab mera hi darr khof rakho.

16.52 Aasmanon mein aur zamin mein jo kuch hai sab ussi ka hai aur ussi ki ibadat lazim hai kiya phir tum uss kay siwa auron say dartay ho?

16.53 Tumharay pass jitni bhi nematen hain sab ussi ki di hui hain abb bhi jab tumhen koi museebat paish aajaye to ussi ki taraf nala-o-faryad kertay ho.

16.54 Aur jahan uss ney woh museebat tum say dafa ker di tum mein say kuch log apney rab kay sath shirk kerney lag jatay hain.

16.55 Kay humari di hui nematon ki na shukri keren. Acha kuch faeeda utha lo aakhir kaar tumhen maloom ho hi jaye ga.

16.56 Aur jisay jantay boojhtay bhi nahi uss ka hissa humari di hui rozi mein say muqarrar kertay hain wallah tumharay iss bohtan ka sawal tum say zaroor hi kiya jayega.

16.57 Aur woh Allah subhana hu wa-Taalaa kay liye larkiyan muqarrar kertay hain aur apney liye woh jo apni khuwaish kay mutabiq ho.

16.58 Inn mein say jab kissi ko larki honey ki khabar di jaye to uss ka chehra seeha hojata hai aur dil hi dil mein ghutney lagta hai.

16.59 Iss buri khabar say logon say chupa chupa phirta hai. Sochta hai kay kiya iss zillat ko sath liye huye hi rahey ya issay mitti mein daba dey aah! Kiya hi buray faislay kertay hain?

16.60 Aakhirat per eman na rakhney walon ki hi buri misal hai Allah kay liye to boht hi buland sift hai woh bara hi ghalib aur ba hikmat hai.
http://qurantube.blogspot.com/


16.61 Agar logon kay gunah per Allah Taalaa unn ki girift kerta to roy-e-zamin per aik jandar baqi na rehta lekin woh to enhen aik waqt muqarrara tal dheel deta hai jab inn ka woh waqt aajata hai to woh aik sa’at na peechay reh saktay hain aur na aagay barh saktay hain.

16.62 Aur woh apney liye jo jo na pasand rakhtay hain Allah kay liye sabit kertay hain aur inn ki zabanen jhooti baten biyan kerti hain kay inn kay liye khoobi hai. Nahi nahi dar-asal inn kay liye aag hai aur yeh dozakhiyon kay paish ro hain.

16.63 Wallah! hum ney tumjh say pehlay ki ummaton ki taraf bhi apney rasool bhejay lekin shetan ney unn kay aemaal-e-bad unn ki nighaon mein aaraasta ker diye woh shetan aaj bhi unn ka rafiq bana hua hai aur unn kay liye dard naak azab hai.

16.64 Iss kitab ko hum ney aap per iss liye utara hai kay aap inn kay liye her uss cheez ko wazeh kerden jiss mein woh ikhtilaf ker rahey hain aur yeh eman daron kay liye rehnumaee aur rehmat hai.

16.65 Aur Allah aasman say pani barsa ker iss say zamin ko uss ki maut kay bad zinda ker deta hai. Yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishani hai jo sunen.

16.66 Tumharay liye to chopayon mein bhi bari ibrat hai kay hum tumhen uss kay pait mein jo kuch hai ussi mein say gobar aur lahoo kay darmiyan say khalis doodh pilatay hain jo peenay walon kay liye sehta pachta hai.

16.67 Aur khujoor aur angoor kay darakhton kay phalon say tum sharab bana letay ho aur umdah rozi bhi. Jo log aqal rakhtay hain unn kay liye to iss mein boht bari nishani hai.

16.68 Aap kay rab ney shehad ki makhi kay dil mein yeh baat daal di kay paharon mein darakhton logon ki banaee hui unchi unchi tatiyon mein apney ghar (chattay) bana.

16.69 Aur her tarah kay meway kha aur apney rab ki aasan raahon mein chalti phirti reh inn kay pait say rang barang ka mashroob nikalta hai jiss kay rang mukhtalif hain aur jiss mein logon kay liye shifa hai ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht bari nishani hai.

16.70 Allah Taalaa ney hi tum sab ko peda kiya hai wohi phir tumhen fot keray ga tum mein aisay bhi hain jo bad tareen umar ki taraf lotaye jatay hain kay boht kuhc jannay boojhney kay baad bhi na janen. Be-shak Allah dana aur tawana hai.
http://qurantube.blogspot.com/


16.71 Allah Taalaa hi ney tum mein say aik ko doosray per rozi mein ziyadti dey rakhi hai pus jinhen ziyadti di gaee hai woh apni rozi apney matehat ghulamon ko nahi detay kay woh aur yeh iss mein barabar hojayen to kiya yeh log Allah ki nematon kay munkir ho rahey hain?

16.72 Allah Taalaa ney tumharay liye tum mein say hi tumhari biwiyan peda kin aur tumhari biwiyon say tumharay liye tumharay betay aur potay peda kiye aur tumhen achi achi cheezen khaney ko den. Kiya phir bhi log baatil per eman layen ga? Aur Allah Taalaa ki nematon ki na shukri keren gay?

16.73 Aur woh Allah Taalaa kay siwa unn ki ibadat kertay hain jo aasmanon aur zamin say unhen kuch bhi to rozi nahi dey saktay aur na kuch qudrat rakhtay hain.

16.74 Pus Allah Taalaa kay liye misalen mat banao Allah Taalaa khoob janta hai aur tum nahi jantay.

16.75 Allah Taalaa aik misal biyan farmata hai kay aik ghulam hai doosray ki milkiyat ka jo kissi baat ka ikhtiyar nahi rakhta aur aik aur shaks hai jissay hum ney apney pass say maqool rozi dey rakhi hai. Kiya yeh sab barabar ho saktay hain? Allah Taalaa hi kay liye sab tareef hai bulkay inn mein say aksar nahi jantay.

16.76 Allah Taalaa aik aur misal biyan farmata hai do shakson ki jin mein say aik to goonga hai aur kissi cheez per ikhtiyar nahi rakhta bulkay woh apney malik per bojh hai kahin bhi ussay bhejay woh koi bhalaee nahi lata kiya yeh aur woh jo adal ka hukum deta hai aur hai bhi seedhi raah per barabar ho saktay hain?

16.77 Aasmanon aur zamin ka ghaib sirf Allah Taalaa hi ko maloom hai aur qayamat ka amar to aisa hi hai jaisay aankh ka jhapakna bulkay iss say bhi ziyada qarib. Be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai.

16.78 Allah Taalaa ney tumhen tumhari maaon kay peton say nikala hai kay uss waqt tum kuch bhi nahi jantay thay ussi ney tumharay kaan aur aankhen aur dil banaye kay tum shukar guzari kero.

16.79 Kiya inn logon ney parindon ko nahi dekha jo tabey farman ho ker fiza mein hain jinhen ba-juz Allah Taalaa kay koi aur thamay huye nahi be-shak iss mein eman laney walay logon kay liye bari nishaniyan hain.

16.80 Aur Allah Taalaa ney tumharay liye tumharay gharon mein sakoonat ki jagah bana di hai aur ussi ney tumharay liye chopayon ki khalon kay ghar bana diye hain jinhen tum halka phulka patay ho apney kooch kay din aur apney theharney kay din bhi aur unn ki oon aur roo’on aur baalon say bhi uss ney boht say saman aur aik waqt muqarrara tak kay liye faeeday ki cheezen banaeen.
http://qurantube.blogspot.com/


16.81 Allah hi ney tumharay liye apni peda kerda cheezon mein say saye banaye hain aur ussi ney tumharay liye paharon mein ghaar banaye hain aur ussi ney tumharay liye kurtay banaye hain jo tumhen garmi say bachayen aur aisay kuraty bhi jo tumhen laraee kay waqt kaam aayen. Woh issi tarah apni poori poori nematen dey raha hai kay tum hukum bardaar bann jao.

16.82 Phir bhi agar yeh mun moray rahen to aap per sirf khol ker tableegh ker dena hi hai.

16.83 Yeh Allah ki nematen jantay pehchantay huye bhi unn kay munkie horahey hain bulkay inn mein say aksar na shukray hain.

16.84 Aur jiss din hum her ummat mein say gawah khara keren gay phir kafiron ko na ijazat di jaye gi aur na unn say toba kerney ko kaha jayega.

16.85 Aur jab yeh zalim azab dekh len gay phir na to unn say halka kiya jayega aur na woh dheel diye jayen gay.

16.86 Aur jab mushrikeen apney sharikon ko dekh len gay to kahen gay aey humaray perwerdigar! Yehi humaray woh shareek hain jinhen hum tujhay chor ker pukara kertay thay pus woh unhen jawab den gay kay tum bilkul hi jhootay ho.

16.87 Uss din woh sab (aajiz ho ker) Allah kay samney ita’at ka iqrar paish keren gay aur jo bohtan bazi kiya kertay thay woh sab unn say gumm hojayega.

16.88 Jinhon ney kufur kiya aur Allah ki raah say roka hum unhen azab per azab barhatay jayen gay yeh badla hoga unn ki fitna pardaziyon ka.

16.89 Aur jiss din hum her ummat mein unhi mein say unn kay muqablay mein gawah khara keren gay aur tujhay inn sab per gawah bana ker layen gay aur hum ney tujh per yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri say musalmanon kay liye.

16.90 Allah Taalaa adal ka bhalaee ka aur qarabat daron kay sath salook kerney ka hukum deta hai aur bey hayaee kay kaamon na-shaista herkaton aur zulm-o-ziyadti say rokta hai woh khud tumhen naseehaten ker raha hai kay tum naseehat hasil kero.
http://qurantube.blogspot.com/

16.91 Aur Allah kay ehad ko poora kero jabkay tum aapas mein qol-o-qarar aur qasmon ko unn ki pukhtagi kay baad mat toro halankay tum Allah Taalaa ko apna zaamin thehra chukay ho tum jo kuch kertay ho Allah uss ko bakhoobi jaan raha hai.

16.92 Aur uss aurat ki tarah na hojao jiss ney apna soot mazboot kaatney kay baad tukray tukray ker kay tor dala kay tum apni qasmon ko aapas kay makar ka baees thehrao iss liye kay aik giroh doosray giroh say barha charha jaye. Baat sirf yehi hai kay iss ehad say Allah tumhen aazma raha hai. Yaqeenan Allah Taalaa tumharay liye qayamt kay din her uss cheez ko khol ker biyan ker dey ga jiss mein tum ikhtilaf ker rahey thay.

16.93 Agar Allah chahata to tum sab ko aik hi giroh bana deta lekin woh jisay chahaye gumrah kerta hai aur jisay chahaye hidayat deta hai yaqeenan tum jo kuch ker rahey ho uss kay baray mein baaz purs ki janey wali hai.

16.94 Aur tum apni qasmon ko aapas ki dagha baazi ka bahana na banao. Phir to tumharay qadam apni mazbooti kay baad dagmaga jayen gay aur tumhen sakht saza bardasht kerna paray gi kiyon kay tum ney Allah ki raah say rok diya aur tumhen bara sakht azab hoga.

16.95 Tum Allah kay ehad ko thoray mol kay badley na bech diya kero. Yaad rakho Allah kay pass ki cheez hi tumharay liye behtar hai ba-shart-e-kay tum mein ilm ho.

16.96 Tumharay pass jo kuch hai sab faani hai aur Allah Taalaa kay pass jo kuch hai baqi hai. Aur sabar kerney walon ko hum bhalay aemaal ka behtareen badla zaroor ata faramayen gay.

16.97 Jo shaks nek amal keray mard ho ya aurat lekin ba-eman ho to hum ussay yaqeenan nihayat behtar zindagi ata farmyen gay. Aur unn kay nek aemaal ka behtareen badla bhi unhen zaroor zaroor den gay.

16.98 Quran parhney kay waqt randay huye shetan say Allah ki panah talab kero.

16.99 Eman walon aur apney perwerdigar per bharosa rakhney walon per uss ka zor mutlaqan nahi chalta.

16.100 Haan iss ka ghalba unn per to yaqeenan hai jo issi say rafaqat keren aur issay Allah ka shareek thehrayen.
http://qurantube.blogspot.com/


16.101 Aur jab hum kissi aayat ki jagah doosri aayat badal detay hain aur jo kuch Allah Taalaa nazil farmata hai ussay woh khoob janta hai to yeh kehtay hain kay tu to bohtan baaz hai. Baat yeh hai kay inn mein say aksar jantay hi nahi.

16.102 Keh dijiye kay issay aap kay rab ki taraf say jibraeel haq kay sath ley ker aaye hain takay eman walon ko Allah Taalaa istaqamat ata farmaye aur musalmanon ki rehnumaee aur bisharat ho jaye.

16.103 Humen bakhoobi ilm hai kay yeh kafir kehtay hain kay issay to aik aadmi sikhata hai uss ki zaban jiss ki taraf yeh nisbat ker rahey hain ajami hai aur yeh quran to saaf arabi mein hai.

16.104 Jo log Allah Taalaa ki aayaton per eman nahi rakhtay unhen Allah ki taraf say bhi rehnumaee nahi hoti aur unn kay liye alam naak azab hain.

16.105 Jhoot iftra to wohi bandhtay hain jinhen Allah Taalaa ki aayaton per eman nahi hota. Yehi log jhootay hain.

16.106 Jo shaks apney eman kay baad Allah say kufur keray ba-juz uss kay jiss per jabar kiya jaye aur uss ka dil eman per bar qarar ho magar jo log khullay dil say kufur keren to unn per Allah ka ghazab hai aur unhi kay liye boht bara azab hai.

16.107 Yeh iss liye kay enhon ney duniya ki zindagi ko aakhirat per ziyada mehboob rakgha. Yaqeenan Allah Taalaa kafir logon ko raah-e-raast nahi dikhata.

16.108 Yeh woh log hain jin kay dilon per aur jin kay kanon per aur jin ki aankhon per Allah ney mohar laga di hai aur yehi log ghafil hain.

16.109 Kuch shak nahi kay yehi log aakhirat mein sakht nuksan uthaney walay hain.

16.110 Jin logon ney fitnon mein dalay janey kay baad hijrat ki phir jihad kiya aur sabar ka saboot diya be-shak tera perwerdigar inn baton kay baad unhen bakhshney wala aur meharbaniyan kerney wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/

16.111 Jis din her shaks apni zaat kay liye larta jhagarta aaye aur her shaks ko uss kay kiye huye aemaal ka poora badla diya jaye ga aur logon per (mutlaqan) zulm na kiya jaye ga.

16.112 Allah Taalaa uss basti ki misal biyan farmata hai jo pooray aman-o-itminan say thi uss ki rozi uss kay pass ba faraghat her jagah say chali aarahi thi. Phir uss ney Allah Taalaa ki nematon ka kufur kiya to Allah Taalaa ney ussay bhook aur darr ka maza chakhaya jo badla tha unn kay kartooton ka.

16.113 Unn kay pass unhin mein say rasool phoncha phir bhi unhon ney ussay jhutlaya pus unhen azab ney aa dabocha aur woh thay hi zalim.

16.114 Jo kuch halal aur pakeeza rozi Allah ney tumhen dey rakhi hai ussay khao aur Allah ki nemat ka shukar kero agar tum ussi ki ibadat kertay ho.

16.115 Tum per sirf murdaar aur khoon aur sooar ka gosht aur jiss cheez per Allah kay siwa doosray ka naam pukara jaye haram hain phir agar koi shaks bey bus ker diya jaye na woh khuwaish mand ho aur na hadd say guzrney wala ho to yaqeenan Allah bakhshney wala reham kerney wala hai.

16.116 Kissi cheez ko apni zaban say jhoot moot na keh diya kero kay yeh halal hai aue yeh haram hai kay Allah per jhoot bohtan bandh lo samjh lo kay Allah Taalaa per bohtan baazi kerney walay kaamyabi say mehroom hi rehtay hain.

16.117 Enhen boht mamooli faeeda milta hai aur inn kay liye dard naak azab hai.

16.118 Aur yahudiyon per hum ney jo kuch haram kiya tha ussay hum pehlay hi say aap ko suna chukay hain hum ney unn per zulm nahi kiya bulkay woh khud apni janon per zulm kertay rahey.

16.119 Jo koi jahalat say buray amal keray phir toba kerley aur islaah bhi kerley to phir aap ka rab bila shak-o-shuba bari bakhsish kerney wala aur nihayat hi meharban hai.

16.120 Be-shak ibrahim paishwa aur Allah Taalaa kay farmanbardaar aur yak tarfa muslim thay. Woh mushriko mein say na thay.
http://qurantube.blogspot.com/

16.121 Allah Taalaa ki nematon kay shukar guzaar thay Allah ney unhen apna bar gazeedah ker liya tha aur uhen raah-e-raast sujha di thi.

16.122 Hum ney ussay duniya mein bhi behtri di thi aur be-shak woh aakhirat mein neko kaaron mein say hain.

16.123 Phir hum ney aap ki janib wahee bheji kay aap millat-e-ibrahim-e-hanif ki perwi keren jo mushrikon mein say na thay.

16.124 Haftay kay din ki azmat to sirf unn logon kay zimmay hi zaroori ki gaee thi jinhon ney uss mein ikhtilaf kiya tha baat yeh hai kay aap ka perwerdigar khud hi unn mein unn kay ikhtilaf ka faisla qayamat kay din keray ga.

16.125 Apney rab ki raah ki taraf logon ko hikmat aur behtareen naseehat kay sath bulaiye aur unn say behtareen teriqay say guftugoo kijiye yaqeenan aap ka rab apni raah say behakney walon ko bhi bakhoobi janta hai aur woh raah yafta logon say bhi poora waqif hai.

16.126 Aur agar badla lo bhi to bilkul utna hi jitna sadma tumhen phonchaya gaya ho aur agar sabar kerlo to be-shak sabiron kay liye yehi behtar hai.

16.127 Aap sabar keren baghair tofiq-e-elahi kay aap sabar ker hi nahi saktay aur inn kay haal per ranjeeda na hon aur jo makar-o-faraib yeh kertay rahey hain unn say tang dil na hon.

16.128 Yaqeen mano kay Allah Taalaa perhezgaron aur nek kaaron kay sath hai.

No comments:

Post a Comment

Adbox