Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 10

Parah-Waalamoo 10

Surat-Anfaal 08
(Sura-Anfaal Madina mai Nazil hui, is mai pichettar (75) Aayatain hain)


08.41 Jaan lo kay tum jiss qisam ki aur jo kuch ghanimat hasil kero uss mein say panchwa hissa Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat daron ka aur yateemon ka aur miskeenon ka aur musafiron ka agar tum Allah per eman laye ho aur uss cheez per jo hum ney apney banday per uss din utara hai jo din haq-o-baatil ki judaee ka tha jiss din do fojen bhirr gaee thin. Allah her cheez per qadir hai.

08.42 Jabkay tumharay pass walay kinaray per thay aur woh door walay kinaray per thay aur qafila tum say neechay tha. Agar tum aapas mein waday kertay to yaqeenan tum waqt moyyen per phonchney mein mukhtalif hojatay. Lekin Allah ko to aik kaam ker hi daalna tha jo muqarrar ho chuka tha takay jo halak ho zaleel per (yani yaqeen jaan ker) halak ho aur zinda rahey woh bhi daleel per (haq pehchan ker) zinda rahey. Be-shak Allah boht sunnay wala khoob jannay wala hai.

08.43 Jabkay Allah Taalaa ney tujhay teray khuwab mein unn ki taadaad kum dikhaee agar inn ki ziyadti dikhata to tum buzdil hojatay aur iss kaam kay baray mein aapas mein ikhtilaaf kertay lekin Allah Taalaa ney bacha liya woh dilon kay bhedon say khoob aagah hai.

08.44 Jabkay uss ney ba-waqt-e-mulaqat unhen tumhari nighaon mein boht kum dikhaye aur tumhen unn ki nighaon mein kum dikhaye takay Allah Taalaa iss kaam ko anajm tak phoncha dey jo kerna hi tha aur sab kaam Allah hi ki taraf pheray jatay hain.

08.45 Aey eman walo! Jab tum kissi mukhalif foj say bhirr jao to sabit qadam raho aur ba kasrat Allah ko yaad kero takay tumhen kaamyabi hasil ho.

08.46 Aur Allah ki aur uss kay rasool ki farman bardari kertay raho aapas mein ikhtilaf na kero werna buzdil hojao gay aur tumhari hawa ukhar jaye gi aur sabar-o-sahaar rakho yaqeenan Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath hai.

08.47 Unn logon jaisay na bano jo itratay huye aur logon mein khud numaee kertay huye apney gharon say chalay aur Allah ki raah say roktay thay jo kuch woh ker rahey hain Allah ussay gher lenay wala hai.

08.48 Jabkay unn kay aemaal ko shetan zeenat daar dikha raha tha aur keh raha tha kay logon mein say koi bhi aaj tum per ghalib nahi aa sakta mein khud bhi tumhara himayati hun lekin jab donon jamaten namoo daar huen to apni aeriyon kay ball peechay hatt gaya aur kehnay laga mein tum say bari hun. Mein woh dekh raha hun jo tum nahi dekh rahey. Mein Allah say darta hun aur Allah Taalaa sakhta azab wala hai.

08.49 Jabkay munafiq keh rahey thay aur woh bhi jin kay dilon mein rog tha kay enhen to inn kay deen ney dhokay mein daal diya hai jo bhi Allah per bharosa keray Allah Taalaa bila shak-o-shuba ghalbay wala aur hikmat wala hai.

08.50 Kaash kay tu dekhta jabkay farishtay kafiron ki rooh qabz kertay hain unn kay mun aur sareenon per maar maartay hain (aur kehtay hain) tum jalney ka maza chakho.
http://qurantube.blogspot.com/

08.51 Yeh ba-sabab unn kaamon kay jo tumharay haathon ney pehlay hi bhej rakha hai be-shak Allah apney bandon per zulm kerney wala nahi.

08.52 Misil friaoniyon kay haal kay aur unn say aglon kay, kay unhon ney Allah ki aayaton kay sath kufur kiya pus Allah ney unn kay gunahon kay baees unehn pakar liya. Allah Taalaa yaqeenan qooat wala aur sakht azab wala hai.

08.53 Yeh iss liye kay Allah aisa nahi kay kissi qom per koi nemat inam farma ker phir badal dey jab tak kay woh khud apni uss halat ko na badal den jo kay unn ki apni thi aur yeh kay Allah sunnay wala hai.

08.54 Misil halat firaoniyon kay aur unn say pehlay kay logon kay, kay unhon ney apney rab ki baaten jhutlaeen. Pus unn kay gunahon kay baees hum ney unhen barbaad kiya aur firaoniyon ko dobo diya. Yeh saray zalim thay.

08.55 Tamam jaandaron say badtar Allah kay nazdik woh hain jo kufur keren phir woh eman na layen.

08.56 Jin say aap ney ehad-o-paymaan ker liya phir bhi woh apney ehad-o-paymaan ko her martaba tor detay hain aur bilkul perhez nahi kertay.

08.57 Pus jab kabhi tu laraee mein inn per ghalib aajaye enhen aisi maar maar kay inn kay pichlay bhi bhaag kharay hon ho sakta hai kay woh ibrat keren.

08.58 Aur agar tujhay kissi qom ki khayanat ka darr ho to barabari ki haalat mein unn ka ehad naama tor dey Allah Taalaa khayanat kerney walon ko pasand nahi farmata.

08.59 Kafir yeh khayal na keren kay woh bhaag niklay. Yaqeenan woh aajiz nahi ker saktay.

08.60 Tum inn kay muqablay kay liye apni taqat bhar qooat ki tayyari kero aur ghoron ko tayyar rakhney ki kay iss say tum Allah kay dushmanon ko khof zada rakh sako aur inn kay siwa auron ko bhi jinhen tum nahi jantay Allah enhen khoob jaan raha hai jo kuch bhi Allah ki raah mein sarf kero gay woh tumhen poora poora diya jayega aur tumhara haq na maara jayega.
http://qurantube.blogspot.com/


08.61 Agar woh sulah ki taraf jhuken to tu bhi sulah ki taraf jhuk jaa aur Allah per bharosa rakh yaqeenan woh boht sunnay jannay wala hai.

08.62 Agar woh tujh say dagha baazi kerna chahayen gay to Allah tujhay kafi hai ussi ney apni madad say aur mominon say teri taaeed ki hai.

08.63 Inn kay dilon mein bahumi ulfat bhi ussi ney dali hai. Zamin mein jo kuch hai agar sara ka sara bhi kharch ker dalta to bhi inn kay dil aapas mein na mila sakta. Yeh to Allah hi ney inn mein ulfat daal di hai woh ghalib hikmaton wala hai.

08.64 Aey nabi! Tujhay Allah kafi hai aur inn mominon ko jo teri pairwee ker rahey hain.

08.65 Aey nabi! Eman walon ko jihad ka shoq dilao agar tum mein bees (20) bhi sabar kerney walay hongay to do so per ghalib rahey gay. Aur agar tum mein aik so hongay to aik hazar kafiron per ghalib rahen gay iss wastay kay woh bey samajh log hain.

08.66 Acha abb Allah tumhara bojh halka kerta hai woh khoob janta hai kay tum mein na tawani hai pus agar tum mein say aik so sabar kerney walay hongay to woh do so per ghalib rahen gay aur agar tum mein aik hazar hongay to woh Allah kay hukum say do hazar per ghalib rahen gay Allah sabar kerney walon kay sath hai.

08.67 Nabi kay haath mein qaidi nahi chahaiye jabtak kay mulk mein achi khoonrezi ki jang na hojaye. Tum to duniya kay maal chahatay ho aur Allah ka irada aakhirat ka hai aur Allah zor aawar ba hikmat hai.

08.68 Agar pehlay hi say Allah ki taraf say baat likhi hui na hoti to jo kuch tum ney liya hai iss baray mein tumhen koi bari saza hoti.

08.69 Pus jo kuch halal aur pakeezah ghanimat tum ney hasil ki hai khoob khao piyo aur Allah say dartay raho yaqeenan Allah ghafoor-o-rahim hai.

08.70 Aey nabi apney haath talay kay qaidiyon say keh do kay agar Allah Taalaa tumharay dilon mein nek niyati dekhay ga to jo kuch tum say liya gaya hai uss say behtar tumhen dey ga aur phir gunah bhi moaf farmaye ga aur Allah bakhshney wala meharban hai hi.

08.71 Aur agar woh tujh say khayanat ka khayal keren to yeh to iss say pehlay khud Allah ki khayanat ker chukay hain aakhir iss ney enhen giriftar kera diya aur Allah ilm-o-hikmat wala hai.

08.72 Jo log eman laye aur hijrat ki aur apney maalon aur janon say Allah ki raah mein jihad kiya aur jin logon ney inn ko panah di aur madad ki yeh sab aapas mein aik doosray kay rafiq hain aur jo eman to layen hain lekin hijrat nahi ki tumharay liye inn ki kuch bhi rafaqat nahi jabtak kay woh hijrat na keren. Haan agar woh tum say deen kay baray mein madad talab keren to tum per madad kerna zaroori hai siwaye inn logon kay kay tum mein aur inn mein ehad-o-payman hai tum jo kuch ker rahey ho Allah khoob dekhta hai.

08.73 Kafir aapas mein aik doosray kay rafiq hain agar tum ney aisa na kiya to mulk mein fitna hoga aur zabardast fasaad hojayega.

08.74 Jo log eman laye aur hijrat ki aur Allah ki raah mein jihad kiya aur jinhon ney panah di aur madad phonchaee. Yehi log sachay momin hain inn kay liye bakhsish hai aur izzat ki rozi.

08.75 Aur jo log iss kay baad eman laye aur hijrat ki aur tumharay sath hoker jihad kiya. Pus yeh log bhi tum mein say hi hain aur rishtay naatay walay inn mein say baaz baaz ziyada nazdeek hain Allah kay hukum mein be-shak Allah Taalaa her cheez ka jannay wala hai.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Tauba 09
(Sura-Tauba Madina mai Nazil hui, is mai aikso-unattees (129) Aayatain hain)


09.01 Allah aur uss kay rasool ki janib say beyzaari ka ailaan hai unn mushrikon kay baray mein jinn say tum ne yehad-o-paymaan kiya tha.

09.02 Pus (aey mushriko!) tum mulk mein char maheenay tak to chal phir lo jaan lo kay tum Allah ko aajiz kerney walay nahi ho aur yeh (bhi yaad rahey) kay Allah kafiron ko ruswa kerney wala hai.

09.03 Allah aur uss kay rasool ki taraf say logon ko baray hajj kay din saaf itlaa hai kay Allah mushrikon say beyzaar hai aur uss ka rasool bhi agar abb bhi tum tauba kerlo to tumharay haq mein behtar hai aur agar tum roo gardaani kero to jaan lo kay tum Allah ko hara nahi saktay. Aur kafiron ko dukh ki maar ki khabar phonca dijiye.

09.04 Ba-juz unn mushrikon kay jin say tumhara mohaeeda ho chuka hai aur unhon ney tumhen zara sa bhi nuksan nahi phonchaya na kissi ki tumharay khilaf madad ki hai to tum bhi unn kay mohaeeday ki muddat unn kay sath poori kero Allah Taalaa perhezgaron ko dost rakhta hai.

09.05 Phir hurmat walay maheenon kay guzartay hi mushrikon ko jahan pao qatal kero unhen giriftar kero unn ka mahasra kerlo aur unn ki taaq mein her ghaati mein ja betho haan agar woh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen aur zakar ada kerney lagen to tum unn ki rahen chor do. Yaqeenan Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai.

09.06 Agar mushrikon mein say koi tujh say panah talab keray to tu ussay panah dey dey yahan tak kay woh kalam Allah sunn ley phir ussay apni jaye amaan tak phoncha dey. Yeh iss liye kay yeh log bey ilm hain.

09.07 Mushrikon kay liye ehad Allah aur uss kay rasool kay nazdeek kaisay reh sakta hai siwaye unn kay jin say tum ney ehad-o-paymaan masjid-e-haram kay pass kiya hai jab tak woh log tum say wada nibhayen tum bhi unn say wafa daari kero Allah Taalaa muttaqiyon say mohabbat rakhta hai.

09.08 Unn kay wadon ka kiya aitbaar unn ka agar tum per ghalba hojaye to na yeh qarabat daari ka khayal keren na ehad-o-paymaan ka apni zabanon say to tumhen parcha rahey hain lekin unn kay dil nahi mantay inn mein say aksar to fasiq hain.

09.09 Enhon ney Allah ki aayaton ko boht kam qeematon mein baich diya aur uss ki raah say roka. Boht bura hai jo yeh ker rahey hain.

09.10 Yeh to kissi musalman kay haq main kissi rishtay daari ka ya ehad ka mutlaq lehaz nahi kertay yeh hain hi hadd say guzarney walay.
http://qurantube.blogspot.com/

09.11 Abb bhi agar yeh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen aur zakat detay rahen to tumharay deeni bhai hain. Hum to jannay walon kay liye aayaten khol khol ker biyan ker rahey hain.

09.12 Agar yeh log ehad-o-paymaan kay baad bhi apni qasmon ko tor den aur tumharay deen mein taana zani keren to tum bhi unn sardaraan-e-kufur say bhir jao. Unn ki qasmen koi cheez nahi mumkin hai kay iss tarah woh baaz aajayen.

09.13 Tum inn logon ki sirkoobi kay liye kiyon tayyar nahi hotay jinhon ney apni qasmon ko tor diya aur payghumbar ko jila watan kerney ki fikar mein hain aur khud hi awwal baat unhon ney tum say cher ki hai. Kiya tum inn say dartay ho? Allah hi ziyada mustahiq hai kay tum uss ka darr rakho ba-shart-e-kay tum eman walay ho.

09.14 Inn say tum jang kero Allah Taalaa enhen tumharay hathon azab dey ga enhen zaleel-o-ruswa keray ga tumehn inn per madad dey ga aur musalmanon kay kalejay thanday keray ga.

09.15 Aur unn kay dil ka ghum-o-gussa door keray ga aur woh jiss ki taraf chahata hai rehmat say tawajja farmata hai. Allah khoob janta boojhta hikmat wala hai.

09.16 Kiya tum yeh samajh bethay ho kay tum chor diye jao gay halankay kay abb tak Allah ney tum mein unhen mumtaz nahi kiya jo mujahid hain aur jinhon ney Allah kay aur uss kay rasool kay aur mominon kay siwa kissi ko wali dost nahi banaya Allah khoob khabar daar hai jo tum ker rahey ho.

09.17 Laeeq nahi kay mushrik Allah Taalaa ki masjidon ko abad keren. Daran halanakay woh khud apney kufur kay aap hi gawah hain inn kay aemaal gharat-o-ikarat hain aur woh daeemi tor per jahannumi hain.

09.18 Allah ki masjidon ki ronaq-o-abadi to unn kay hissay mein hai jo Allah per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain namazon kay paband hon zakat detay hon Allah key siwa kissi say na dartay hon tawaqqa hai kay yehi log yaqeenan hidayat yafta hain.

09.19 Kiya tum ney hajiyon ko pani pila dena aur masjis-e-haram ki khidmat kerna iss kay barabar ker diya hai jo Allah per aur aakhirat kay din per eman laye aur Allah ki raah mein jihad kiya yeh Allah kay nazdik barabar kay nahi aur Allah Taalaa zalimon ko hidayat nahi deta.

09.20 Jo log eman laye hijrat ki Allah ki raah mein apney maal aur apni jaan say jihad kiya woh Allah kay haan boht baray martabay walay hain aur yehi log murab paney walay hain.
http://qurantube.blogspot.com/

09.21 Enhen unn ka rab khushkhabri deta hai apni rehmat ki aur raza mandi ki aur jannaton ki inn kay liye wahan dawami nemat hai.

09.22 Wahan yeh hamesha rehney walay hain Allah kay pass yaqeenan boht baray sawab hain.

09.23 Aey eman walo! Apney baapon ko aur apney bhaiyon ko dost na banao agar woh kufur ko eman say ziyada aziz rakhen. Tum mein say jo bhi inn say mohabbat rakhay ga woh poora gunehgar zalim hai.

09.24 Aap keh dijiye kay agar tumharay baap aur tumharay larkay aur tumharay bhai aur tumhari biwiyan aur tumharay kunbay qabeelay aur tumharay kamaye huye maal aur woh tijarat jiss ki kami say tum dartay ho aur woh hawayliyan jinehn tum pasand kertay ho agar yeh tumhen Allah say aur uss kay rasool say aur uss ki raah mein jihad say bhi ziyada aziz hain to tum intizar kero Allah Taalaa apna azab ley aaye. Allah Taalaa fasiqon ko hidayat nahi deta.

09.25 Yaqeenan Allah Taalaa ney boht say maidanon mein tumhen fatah di hai aur hunain ki laraee walay din bhi jabkay tumhen apni kasrat per naaz hogaya tha lekin uss ney tumhen koi faeeda na diya bulkay zamin bawajood apni kushadgi kay tum per tang hogaee phir tum peeth pher ker murr gaye.

09.26 Phir Allah ney apni taraf ki taskeen apney nabi per aur mominon per utari aur apney woh lashkar bhejay jinhen tum dekh nahi rahey thay aur kafiron ko poori saza di. Inn kuffaar kay yehi badla tha.

09.27 Phir iss kay baad bhi jiss per chahaye Allah Taalaa apni rehmat ki tawajja farmaye ga Allah hi bakhsish-o-meharbani kerney wala hai.

09.28 Aey eman walo! Be-shak mushrik bilkul hi na pak hain woh iss saal kay baad masjid-e-haram kay pass bhi na phatakney payen agar tumhen muflisi ka khof hai to Allah tumhen dolat mand ker dey ga apney fazal say agar chahaye Allah ilm-o-hikmat wala hai.

09.29 Unn logon say laro jo Allah per aur qayamat kay din per emaan nahi latay jo Allah aur uss kay rasool ki haram kerda shey ko haram nahi jantay na deen-e-haq ko qabool kertay hain unn logon mein say jinhen kitab di gaee hai yahan tak kay woh zaleel-o-khuwar hoker apney hath say jizya ada keren.

09.30 Yahood kehtay hain kay uzair Allah ka beta hai aur nasrani kehtay hain kay maseeh Allah ka beta hai yeh qol sirf unn kay mun ki baat hai. Aglay munkiron ki baat ki yeh bhi naqal kerney lagay Allah enehn ghaarat keray woh kaisay paltaye jatay hain.
http://qurantube.blogspot.com/


09.31 Inn logon ney Allah ko chor ker apney aalimon aur darwishon ko apna rab banaya hai aur marium kay betay maseeh ko halankay unhen sirf aik akelay Allah hi ki ibadat ka hukum diya gaya tha jiss kay siwa koi mabood nahi woh pak hai unn kay shareek muqarrar kerney say.

09.32 Woh chahatay hain kay Allah kay noor ko apne mun say bujha den aur Allah Taalaa inkari hai magar issi baat ka kay apna noor poora keray go kafir na khush hon.

09.33 Ussi ney apney rasool ko hidayat aur sachay deen kay sath bheja hai kay issay aur tamam mazhabon per ghalib ker dey agar cheh mushrik bura manen.

09.34 Aey eman walo! Aksar ulama aur abid logon ka maal na haq kha jatay hain aur Allah ki raah say rok detay hain aur jo log soney chandi ka khazana rakhtay hain aur Allah ki raah mein kharach nahi kertay unhen dard naak azab ki khabar phoncha dijiye.

09.35 Jiss din iss khazaney ko aatish-e-dozakh mein tapaya jaye ga phir iss say unn ki payshaniyan aur pehloo aur peethen daaghi jayengi (unn say kaha jayega) yeh hai jisay tum ney apney liye khazana bana rakha tha. Pus apney khazanon ka maza chakho.

09.36 Maheenon ki ginti Allah kay nazdeek kitab Allah mein baara ki hai ussi din say jab say aasman-o-zamin ko uss ney peda kiya hai inn mein say char hurmat-o-adab kay hain. Yehi durust deen hai tum inn maheenon mein apni janon per zulm na kero aur tum tamam mushrikon say jihad kero jaisay kay woh tum sab say lartay hain aur jaan rakho kay Allah Taalaa muttaqiyon kay sath hai.

09.37 Meheenon ka aagey peechay ker dena kufur ki ziyadti hai iss say woh log gumrahi mein dalay jatay hain jo kafir hain. Aik saal to issay halal ker letay hain aur aik saal issi ko hurmat wala ker letay hain kay Allah ney jo hurmat rakhi hai uss kay shumar mein to moafiqat ker len phir ussay halal bana len jissay Allah ney haram kiya hai enhen inn kay buray kaam bhalay dikha diye gaye hain aur qom-e-kuffaar ki Allah rehnumaee nahi farmata.

09.38 Aey emaan walon tumhen kiya hogaya hai kay jab tum say kaha jata hai kay chalo Allah kay raastay mein kooch kero to tum zamin say lagay jatay ho. Kiya tum aakhirat kay ewaz duniya ki zindagani per hi reejh gaye ho. Suno! Duniya ki zindagi to aakhirat kay muqablay mein kuch yun hi si hai.

09.39 Agar tum ney kooch na kiya to tumhen Allah Taalaa dard naak saza dey ga aur tumharay siwa aur logon ko badal laye ga tum Allah Taalaa ko koi nuksan nahi phoncha saktay aur Allah her cheez per qadir hai.

09.40 Agar tum inn (nabi PBUH) ki madad na kero yo Allah hi ney inn ki madad ki uss waqt jabkay enhen kafiron ney (dess say) nikal diya tha do mein say doosra jabkay woh dono ghaar mein thay jab yeh apney sathi say keh rahey thay kay ghum na ker Allah humaray sath hai pus janab-e-baari ney apni taraf say taskeen uss per nazil farma ker unn lashkaron say unn ki madad ki jinhen tum ney dekha hi nahi uss ney kafiron ki baat pust ker di aur buland-o-aziz to Allah ka kalma hi hai Allah ghalib hai hikmat wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/


09.41 Nikal kharay hojao hulkay phulkay ho to bhi aur bhari bharkum ho to bhi aur raah-e-rab mein apni maal-o-jaan say jihad kero yehi tumharay liye behtar hai agar tum mein ilm ho.

09.42 Agar jald wasool honey wala maal-o-asbaab hota aur halka sa safar hota to yeh zaroor aap kay peechay ho letay lekin unn per doori aur daraz ki mushkil parr gaee. Abb ato yeh Allah ki qasmen khayen gay kay agar hum mein qooat-o-taqat hoti to hum yaqeenan aap kay sath nikaltay yeh apni janon ko khud hi halakat mein daal rahey hain inn kay jhootay honey ka sacha ilm Allah ko hai.

09.43 Allah tujhay moaf farma dey tu ney enhen kiyon ijazat dey di? Baghair iss kay, kay teray samney sachay log khul jayen aur tu jhootay logon ko bhi jaan ley.

09.44 Allah kay din per aur qayamat kay din per eman-o-yaqeen rakhney walay to maali aur jaani jihad say ruk rehney ki kabhi bhi tujh say ijazat talab nahi keren gay aur Allah Taalaa perhezgaron ko khoob janta hai.

09.45 Yeh ijazat to tujh say wohi talab kertay hain jinhen na Allah per eman hai na aakhirat kay din ka yaqeen hai jin kay dil shak mein paray huye hain aur woh apney shak mein hi sir-gardan hain.

09.46 Agar inn ka irada jihad kay liye nikalney ka hota to woh iss safar kay liye saman ki tayyari ker rakhtay lekin Allah ko inn ka uthna pasand hi na tha iss liye enhen harkat say hi rok diya aur keh diya gaya kay tum bethney walon kay sath bethay hi raho.

09.47 Agar yeh tum mein mill ker nikaltay bhi to tumharay liye siwaye fasad kay aur koi cheez na barhatay bulkay tumharay darmiyan khoob ghoray dora detay aur tum mein fitney dalney ki talash mein rehtay inn kay mannay walay khud tum mein mojood hain aur Allah inn zalimon ko khoob janta hai.

09.48 Yeh to iss say pehlay bhi fitnay ki talash kertay rahey hain aur teray liye kaamon ko ulat pulat kertay rahey hain yahan tak kay haq aa phoncha aur Allah ka hukum ghalib aagaya bawajood yeh kay woh na khushi mein hi rahey.

09.49 Inn mein say koi to kehta hai mujhay ijazat dijiye mujhay fitnay mein na daliye aagah raho woh to fitnay mein parr chukay hain aur yaqeenan dozakh kafiron ko gher leney wali hai.

09.50 Aap ko agar koi bhalaee mill jaye to unhen bura lagata hai aur koi buraee phonch jaye to yeh kehtay hain hum ney to apna moamla pehlay say hi durust ker liya tha phir to baray hi itratay huye lottay hain.
http://qurantube.blogspot.com/


09.51 Aap keh dijiye kay humen siwaye Allah kay humaray haq mein likhay huye kay koi cheez phonch hi nahi sakti woh humara kaar saaz aur mola hai. Mominon ko to Allah ki zaat pak per hi bharosa kerna chahaiye.

09.52 Keh dijiye kay tum humaray baray mein jiss cheez ka intizar ker rahey ho woh do bhalaeeyon mein say aik hai aur hum tumharay haq mein iss ka intizar kertay hain kay ya to Allah Taalaa apney pass say koi saza tumhen dey ya humaray hathon say pus aik taraf tum muntazir raho doosri janib tumharay sath hum bhi muntazir hain.

09.53 Keh dijiye kay tum khushi ya na khushi kissi tarah bhi kharach kero qabool to hergiz na kiya jayega yaqeenan tum fasiq log ho.

09.54 Koi sabab unn kay kharach ki qabooliyat kay na honey ka iss kay siwa nahi kay yeh Allah aur uss kay rasool kay munkir hain aur bari kaahili say hi namaz ko aatay hain aur buray dil say hi kharach kertay hain.

09.55 Pus aap ko inn kay maal-o-aulad tajjub mein na daal den. Allah ki chahat yehi hai kay iss say enhen duniya ki zindagi mein hi saza dey aur inn kay kufur hi ki halat mein inn ki janen nikal jayen.

09.56 Yeh Allah ki qasam kha kha ker kehtay hain yeh tumhari jamat kay log hain halankay woh dar-asal tumharay nahi baat sirf itni hai kay yeh darpok log hain.

09.57 Agar yeh koi bachao ki jagah ya koi ghaar ya koi bhi sir ghusaney ki jagah paa len to abhi uss taraf lagam tor ker ultay bhaag chooten.

09.58 Inn mein woh bhi hain jo kheyraati maal ki taqseem kay baray mein aap per aib rakhtay hain agar enhen iss mein say mill jaye to khush hain aur agar iss mein say na mila to foran hi bigar kharen huye.

09.59 Agar yeh log Allah aur uss kay rasool kay diye huye per khush rehtay aut keh detay kay Allah humen kafi hai Allah humen apney fazal say dey ga aur uss ka rasool bhi hum to Allah ki zaat say hi tawaqqa rakheny walay hain.

09.60 Sadqay sirf faqeeron kay liye hain aur miskeenon kay liye aur inn kay wasool kerney walon kay liye aur unn kay liye jin kay dil parchaye jatay hon aur gardan churaney mein aur qaraz daron kay liye aur Allah ki raah mein aur raah ro musafiron kay liye farz hai Allah ki taraf say aur Allah ilm-o-hikmat wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/

09.61 Inn mein say woh bhi hain jo payghumbar ko ezza detay hain kehtay hain kay kaan ka kacha hai aap keh dijiye kay woh kaan tumharay bhalay kay liye hai woh Allah per eman rakha hai aur musalamanon ki baaton ka yaqeen kerta hai aur tum mein say jo ehal-e-eman hain yeh unn kay liye rehmat hai rasool Allah (PBUH) ko jo log ezze detay hain unn kay liye dukh ki maar hai.

09.62 Mehaz tumhen khush kerney kay liye tumharay samney Allah ki qasmen kha jatay hain halankey agar yeh eman daar hotay to Allah aur uss ka rasool raza mand kerney ka ziyada mustahiq thay.

09.63 Kiya yeh nahi jantay kay jo bhi Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat keray ga yaqeenan uss kay liye dozakh ki aag hai jiss mein woh hamesha rehney wala hai yeh zabardast ruswaee hai.

09.64 Mufiqon ko her waqt iss baat ka khutka laga rehta hai kay kahin musalmanon per koi surat na utray jo inn kay dilon ki baaten unhen batla dey. Keh dijiye kay tum mazaq uratay raho yaqeenan Allah Taalaa ussay zahir kerney wala hai jiss say tum darr dubak rahey ho.

09.65 Agar aap inn say poochen to saaf keh den gay kay hum to yun hi aapas mein hans bol rahey thay. Keh dijiye kay Allah ussi ki aayaten aur uss ka rasool hi tumharay hansi mazaq kay liye reh gaye hain?

09.66 Tum bahaney na banao yaqeenan tum apney eman kay baad bey eman hogaye agar hum tum mein say kuch logon say dar guzar bhi kerlen to kuch logon ko unn kay jurm ki sangeen saza bhi den gay.

09.67 Tamam munafiq mard-o-aurat aapas mein aik hi hain yeh buri baaton ka hukum detay hain aur bhali baaton say roktay hain aur apni muthi band rakhtay hain yeh Allah ko bhool gaye enhen bhula diya be-shak munafiq hi fasiq-o-ba-dkirdar hain.

09.68 Allah Taalaa inn munafiq mardon aurton aur kafiron say jahannum ki aag ka wada ker chuka hai jahan yeh hamesha rehney walay hain wohi enhen kafi hai inn per Allah ki phitkar hai aur inn hi kay liye daeemi azab hai.

09.69 Misil unn logon kay jo tum say pehlay thay tum mein say woh ziyada qooat walay thay aur ziyada maal-o-aulad walay thay pus woh apna deeni hissa barat gaye phir tum ney bhi apna hissa barat liya jaisay tum say pehlay kay log apney hissay say faeeda mand huye thay aur tum ney bhi issi tarah mazaqan behas ki jaisay kay unhon ney ki thi. Unn kay aemaal duniya aur aakhirat mein ghaarat hogaye yehi log nuksan paney walay hain.

09.70 Kiya enhen apney say pehlay logon ki khabren nahi phonchin qom-e-nooh aur aad aur samood aur qom-e-ibrajhim aur ehal-e-madiyen aur ehal-e-motafiqaat (ulti hui bastiyon kay rehney walay) ki unn kau pass unn kay payghumbar daleel ley ker phonchay Allah aisa na tha kay unn per zulm keray bulkay unhon ney khud hi apney upper zulm kiya.
http://qurantube.blogspot.com/

09.71 Momin mard-o-aurat aapas mein aik doosray kay (madadgar-o-maavin aur) dost hain woh bhalaiyon ka hukum detay hain aur buraiyon say roktay hain namazon ko pabandi say baja latay hain zakat ada kertay hain Allah ki aur uss kay rasool ki baat maantay hain yehi log hain jin per Allah Taalaa both jald reham faramaye ga be-shak Allah ghalbay wala hikmat wala hai.

09.72 Inn eman daar mardon aur aurton say Allah ney unn jannaton ka wada farmaya hai jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha hamesh rehney walay hain aur inn saaf suthray pakeezah mehallaat ka jo unn hameshgi wali jannaton mein hain aur Allah ki raza mandi sab say bari cheez hai yehi zabardast kaamyabi hai.

09.73 Aey nabi! Kafiron aur munafiqon say jihad jari rakho aur inn per sakht hojao inn ki asli jagah dozakh hai jo nihayat bad tareen jagah hai.

09.74 Yeh Allah ki qasmen kha ker kehtay hain kay enhon ney nahi kaha halankay yaqeenan kufur ka kalma inn ki zaban say nikal chuka aur yeh apney islam kay baad kafir hogaye hain aur enhon ney iss kaam ka qasad bhi kiya jo poora na ker sakay. Yeh sirf issi baat ka intiqam ley rahey hain kay enhen Allah ney apney fazal say aur uss kay rasool ney dolat mand ker diya agar yeh abb bhi toba ker len to yeh inn kay haq mein behtar hai aur agar mun moray rahen to Allah Taalaa enhen duniya-o-aakhirat mein dard naak azab dey ga aur zamin bhar mein inn ka koi himayati aur madadgar na khara hoga.

09.75 Inn mein woh bhi hain jinhon ney Allah say ehad kiya tha kay agar woh humen apney fazal say maal dey ga to hum zaroor sadqa-o-kheyraat keren gay aur neko kaaron mein hojayen gay.

09.76 Lekin jab Allah ney apney fazal say enhen diya to yeh iss mein bakheeli kerney lagay aur taal matol ker kay mun mor liya.

09.77 Pus iss ki saza mein Allah ney inn kay dilon mein nafaq daal diya Allah say milney kay dinon tak kiyon kay enhon ney Allah say kiye huye waday ka khilaf kiya aur kiyon kay jhoot boltay rahey.

09.78 Kiya woh nahi jantay kay Allah Taalaa ko unn kay dil ka bhed aur unn ki sirgoshi sab maloom hai aur Allah Taalaa ghaib ki tamam baaton say khabardaar hai.

09.79 Jo log inn musalmanon per taanaa zani kertay hain jo dil khol ker kheyraat kertay hain aur unn logon per jinhen siwaye apni mehnat mazdoori kay aur kuch mayyasar hi nahi pus yeh unn ka mazaq uratay hain Allah bhi inn say tamaskhur kerta hai enhi kay liye dard naak azab hai.

09.80 Inn kay liye istaghfaar ker ya na ker. Agar tu satter martaba bhi inn kay liye istaghfaar keray to bhi Allah enhen hergiz na bakhshay ga yeh iss liye kay enhon ney Allah say aur uss kay rasool say kufur kiya hai aisay fasiq logon ko rab karim hidayat nahi deta.
http://qurantube.blogspot.com/


09.81 Peefchay reh janey walay log rasool Allah (PBUH) kay janey kay baad apney bethay rehney per khush hain enhon ney Allah ki raah mein apney maal aur apni janon say jihad kerna na pasand rakha aur enhon ney keh diya kay iss garmi mein mat niklo. Keh dijiye kay dozakh ki aag boht hi sakht garam hai kaash kay woh samajhtay hotay.

09.82 Pus enhen chahaiye kay boht kum hansen aur boht ziyada royen badlay mein uss kay jo yeh kertay hain.

09.83 Pus agar Allah Taalaa aap ko inn ki kissi jamat ki taraf lota ker wapis ley aaye phir yeh aap say maidan-e-jang mein nikalney ki ijazat talab keren to aap keh dijiye kay tum meray hergiz chal nahi saktay aur na meray sath tum dushmanon say laraee ker saktay ho. Tum ney pehli martaba hi beth rehney ko pasand kiya tha pus tum peechay reh janey walon mein hi bethay raho.

09.84 Inn mein say koi marr jaye to aap uss kay janazay ki hergiz namaz na parhen aur na uss ki qabar per kharay hon. Yeh Allah aur uss kay rasool kay munkir hain aur martay dum tak bad kaar bey ita’at rahen hain.

09.85 Aap ko inn kay maal-o-aulad kuch bhi bhalay na lagen! Allah ki chahat yehi hai kay enhen inn cheezon say dunyawi saza dey aur yeh apni janen nikalney tak kafir hi rahen.

09.86 Jab koi surat utari jati hai kay Allah per eman lao aur uss kay rasool kay sath mill ker jihad kero to inn mein say dolat mandon kay aik tabqa aap kay pass aaker yeh keh ker rukhsat ley leta hai kay humen to bethay rehney walon mein hi chor chor dijiye.

09.87 Yeh to khana nasheen aurton ka sath denay per reejh gaye aur inn kay dilon per mohar laga di gaee abb woh kuch samajh aqal nahi rakhtay.

09.88 Lekin khud rasool Allah (PBUH) aur iss kay sath kay eman walay apney maalon aur janon say jihad kertay hain yehi log bhalaiyon walay hain aur yehi log kaamyabi hasil kerney walay hain.

09.89 Enhi kay liye Allah ney woh jannaten tayyar ki hain jin kay neechay nehren jaari hain jin mein yeh hamesha rehney walay hain yehi boht bari kaamyabi hai.

09.90 Badiya nasheenon mein say uzur walay log hazir huye kay enhen rukhsat dey di jaye aur woh beth rahey jinhon ney Allah say aur uss kay rasool say jhooti baaten banaee thin, abb to inn mein jitney kuffaar hain enhen dukh denay wali maar phonch ker rahey gi.

09.91 Zaeefon aur beemaron per aur unn per jin kay pass kharach kerney ko kuch bhi nahi koi haraj nahi ba-shart-e-kay woh Allah aur uss kay rasool ki khair khuwaee kertay rahen aisay nek kaaron per ilzam ki koi raah nahi Allah Taalaa bari maghfirat-o-rehmat wala hai.

09.92 Haan unn per bhi koi haraj nahi jo aap kay pass aatay hain kay aap unhen sawari mohiyya ker den to aap jawab detay hain kay mein to tumahri sawari kay liye kuch bhi nahi pata to woh ranj-o-ghum say apni aakhon say aansoo bahatay huye lot jatay hain kay enhen kharach kerney kay liye kuch bhi mayyasar nahi.

09.93 Be-shak unhin logon per raah-e-ilzam hai jo bawajood dolat mand honey kay aap say ijazat talab kertay hain. Yeh khana nasheen aurton ka sath denay per khush hain aur inn kay dilon per mohar-e-khudawandi lagg chuki hai jiss say woh mehaz bey ilm hogaye hain.

No comments:

Post a Comment

Adbox