Parah-Qad-Aflahaa 18
Surat-Mominoon 23
(Sura-Mominoon Makka mai Nazil hui, is mai aikso-atthara (118) Aayatain hain)
23.01 Yaqeenan emaan walon ney falah hasil kerli.
23.02 Jo aoni namaz mein khusoo kertay hain.
23.03 Jo laghwiyaat say mun mor letay hain.
23.04 Jo zakat ada kerney walay hain.
23.05 Jo apni sharamghaon ki hifazat kerney walay hain.
23.06 Ba-juz apni biwiyon aur milkiyat ki londiyon kay yaqeenan yeh mala matiyon mein say nahi hain.
23.07 Jo iss kay siwa kuch aur chahayen wohi hadd say tajawuz ker janey walay hain.
23.08 Jo apni amanaton aur waday ki hifazat kerney walay hain.
23.09 Jo apni namazon ki nigehbani kertay hain.
23.10 Yehi waris hain.
http://qurantube.blogspot.com/
23.11 Jo firdous kay waris hongay jahan woh hamesha rahen gay.
23.12 Yaqeenan hum ney insan ko mitti kay johar say peda kiya.
23.13 Phir ussay nutfa bana ker mehfooz jagah mein qarar dey diya.
23.14 Phir nutfay ko hum ney jama hua khoon bana diya phir uss khoon kay lothray ko gosht ka tukra ker diya. Phir gosht kay tukray ko haddiyan bana den phir haddiyon ko hum ney gosht pehna diya phir doosri banawat mein uss ko peda ker diya. Barkaton wala hai woh Allah jo sab say behtareen peda kerney wala hai.
23.15 Iss kay baad phir tum sab yaqeenan marr janey walay ho.
23.16 Phir qayamat kay din bila shuba tum sab uthaye jaogay.
23.17 Hum ney tumharay upper saat aasman banaye hain aur hum makhlooqaat say ghafil nahi hain.
23.18 Hum aik sahih andaz say aasman say paani barsatay hain phir ussay zamin mein thehra detay hain aur hum uss kay ley janey per yaqeena qadir hain.
23.19 Issi pani kay zariyey say hum tumharay liye khajooron aur angooron kay baghaat peda ker detay hain kay tumharay liye inn mein boht say meway hotay hain enhi mein say tum khatay bhi ho.
23.20 Aru woh darakht jo toor-e-seena pahar say nikalta hai jo tel nikalta hai aur khaney walay kay liye salan hai.
http://qurantube.blogspot.com/
23.21 Tumhray liye chopayon mein bhi boht bari bhari ibrat hai. inn kay peton mein say hum doodh pilatay hain aur bhi boht say nafay tumharay liye inn mein hain inn mein say baaz baaz ko tum khatay bhi ho.
23.22 Aur inn per aur kashtiyon per tum sawar keraye jatay ho.
23.23 Yaqeenan hum ney nooh (alh-e-salam) ko uss ki qom ki taraf rasool bana ker bheja uss ney kaha aey meri qom kay logo! Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi kiya tum (uss say) nahi dartay.
23.24 Uss ki qom kay kafir sardaron ney saaf keh diya kay yeh to tum jesa hi insan hai yeh tum per fazeelat aur baraee hasil kerna chahata hai. Agar Allah hi ko manzoor hota to kissi farishtay ko utarta hum ney to issay apnay aglay baap dadon kay zamaney mein suna hi nahi.
23.25 Yaqeenan iss shaks ko junoon hai pus tum issay aik waqt-e-muqarrara tak dheel do.
23.26 Nooh (alh-e-salam) ney dua ki aey meray rab! Inn kay jhutlaney per tu meri madad farma.
23.27 To hum ney unn ki taraf wahee bheji kay tu humari aankhon kay samney humari wahee kay mutabiq aik kashti bana. Jab humara hukum aajaye aur tanoor ubal paray to tu her qisam ka aik aik jora iss mein rakh ley aur apnay ehal ko bhi magar inn mein say jin ki babat humari baat pehaly guzar chuki hai. Khabardar jin logon ney zulm kiya hai unn kay baray mein mujh say kuch kalaam na kerna woh to sab doboye jayen gay.
23.28 Jab tu aur teray sathi kashti per ba-itminaan betha jao to kehna sab tareef Allah kay liye hi hai jiss ney humen zalim logon say nijat ata farmaee.
23.29 Aur kehna kay aey meray rab! Mujhay ba-barkat utarna utaar aur tu hi behtar hai utarney walon mein.
23.30 Yaqeenan iss mein bari bari nishaniyan hain aur hum be-shak aazmaeesh kerney walay hain.
http://qurantube.blogspot.com/
23.31 Inn kay baad hum ney aur bhi ummat peda ki.
23.32 Phir unn mein khud unn mein say (hi) rasool bhi bheja kay tum sab Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi tum kiyon nahi dartay?
23.33 Aur sardaraan-e-qom ney jawab diya jo kufur kertay thay aur aakhirat ki mulaqat ko jhutlatay thay aur hum ney unhen dunyawi zindagi mein khushal ker rakha tha kay yeh to tum jesa hi insan hai tumhari hi khooraq yeh bhi khata hai aur tumharay peenay ka pani hi yeh bhi peeta hai.
23.34 Agar tum ney apnay jesay hi insan ki tabeydari kerli to be-shak tum sakht khasaray walay ho.
23.35 Kiya yeh tumhen iss baat ka wada kerta hai kay jab tum marr ker sirf khak aur haddi reh jaogay to tum phir zinda kiye jaogay.
23.36 Nahi nahi door aur boht door hai woh jiss ka tum wada diye jatay ho.
23.37 (zindagi) to sirf duniya ki zindagi hai hum martay jeetay rehtay hain aur yeh nahi kay hum phir uthaye jayen gay.
23.38 Yeh to bus aisa shaks hai jiss ney Allah per jhoot (bohtaan) bandh liya hai hum to iss per emaan laney walay nahi hain.
23.39 Nabi ney dua ki kay perwerdigar! Inn kay jhutlaney per tu meri madad ker.
23.40 Jawab mila kay yeh to boht hi jald apnay kiye per pachtaney lagen gay.
http://qurantube.blogspot.com/
23.41 Bil-aakhir adal kay taqazay kay mutabiq cheekh ney pakar liya aur hum ney unhen koora karkat ker dala pus zalimon kay liye doori ho.
23.42 Inn kay baad hum ney aur bhi boht si ummaten peda kin.
23.43 Na to koi ummat apnay waqt-e-muqarrara say aagey barhi aur na peechay rahi.
23.44 Phir hum ney lagataar rasool bhejay jab jab jiss ummat kay pass uss ka rasool aaya uss ney jhutlaya pus hum ney aik ko doosray kay peechay laga diya aur unhen afsana bana diya. Unn logon ko doori ho jo emaan qabool nahi kertay.
23.45 Phir hum ney musa (alh-e-salam) ko aur uss kay bhai haroon (alh-e-salam) ko apni aayaton aur khulli daleel kay sath bheja.
23.46 Firaon aur uss kay lashkaron ki taraf pus unhon ney takabbur kiya aur thay hi woh sirkash log.
23.47 Kehney lagay kay kiya hum apnay jesay do shakhson per emaan aayen? Halankay khud unn ki qom (bhi) humaray ma-tehat hai.
23.48 Pus unhon ney unn dono ko jhutlaya aakhir woh bhi halak shuda logon mein mill gaye.
23.49 Hum ney to musa (alh-e-salam) ko kitab (bhi) di kay log raah-e-raast per aajyen.
23.50 Hum ney ibn-e-marium aur uss ki walida ko aik nishani banaya aur unn dono ko buland saaf qarar wali aur jari pani wali jagah mein panah di.
http://qurantube.blogspot.com/
23.51 Aey payghumbaron! Halal cheez khao aur nek amal kero tum jo kuch ker rahey ho uss say mein ba-khoobi waqif hun.
23.52 Yaqeenan tumhara yeh deen aik hi deen hai aur mein hi tum sab ka rab hun pus tum mujh say dartay raho.
23.53 Phir unhon ney khud (hi) apnay amar (deen) kay aapas mein tukray tukray ker liye her giroh jo kuch uss kay pass hai ussi per itra raha hai.
23.54 Pus aap (bhi) enhen unn ki ghaflat mein hi kuch muddat para rehney den.
23.55 Kiya yeh (yun) samajh bethay hain? Kay hum jo bhi inn kay maal-o-aulad barha rahey hain.
23.56 Woh inn kay liye bhalayion mein jaldi ker rahey hain (nahi nahi) bulkay yeh samajhtay hi nahi.
23.57 Yaqeenan jo log apnay rab ki haibat say dartay hain.
23.58 Aur jo apnay rab ki aayaton per emaan rakhtay hain.
23.59 Aur jo apnay rab kay sath kissi ko shareek nahi kertay.
23.60 Aur jo log detay hain jo kuch detay hain aur unn kay dil kapkapatay hain kay woh apnay rab ki taraf lotney walay hain.
http://qurantube.blogspot.com/
23.61 Yehi hain jo jaldi jaldi bhalaiyan hasil ker rahey hain aur yehi hain jo inn ki taraf dor janey walay hain.
23.62 Hum kissi nafs ko uss ki taqat say ziyada takleef nahi detay aur humaray pass aisi kitab hai jo haq kay sath bolti hai inn kay upper kuch bhi zulm na kiya jayega.
23.63 Bulkay inn kay dil iss taraf say ghaflat mein hain aur inn kay liye iss kay siwa bhi boht say aemaal hain jinehn woh kerney walay hain.
23.64 Yahan tak kay jab hum ney inn kay asooda haal logon ko azab mein pakar liya to woh bilbilaney lagay.
23.65 Aaj mat bilbilao yaqeenan tum humaray muqabley per madad na kiye jao gay.
23.66 Meri aayaten tumharay samney parhi jati thin phir tum apni airhiyon kay bal ultay bhagtay thay.
23.67 Akartay eenthtay afsana goi kertay issay chor detay thay.
23.68 Kiya enhon ney iss baat mein ghor-o-fiker hi nahi kiya? Bulkay inn kay pass woh aaya jo inn kay aglay baap dadon kay pass nahi aaya tha?
23.69 Ya enhon ney apnay payghubar ko pehchana nahi kay iss kay munkir ho rahey hain?
23.70 Ya yeh kehtay hain issay junoon hai? Bulkey woh to inn kay pass haq laya hai. Haan inn mein aksar haq say chirney walay hain.
http://qurantube.blogspot.com/
23.71 Agar haq hi inn ki khuwaishon ka pairo ho jaye to zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan ki her cheez darhum barhum hojaye. Haq to yeh hai kay hum ney enhen unn ki naseehat phoncha di hai lekin woh apni naseehat say mun morney walay hain.
23.72 Kiya aap inn say koi ujrat chahatay hain? Yaad rakhiye kay aap kay rab ki ujrat boht hi behtar hai aur woh sab say behtar rozi rasan hai.
23.73 Yaqeenan aap to enhen raah-e-raast ki taraf bula rahey hain.
23.74 Be-shak jo log aakhirat per yaqeena nahi rakhtay woh seedhay rastay say murr janey walay hain.
23.75 Aur agar hum inn per raham farmayen aur inn ki takleef door ker den to yeh to apni apni sirkashi mein jamm ker aur behakney lagen.
23.76 Aur hum ney enhen azab mein bhi pakra ta-hum yeh log na to apnay perwerdigar kay samney jhukay aur na hi aajzi ikhtiyar ki.
23.77 Yahan tak kay jab hum ney inn per sakht azab ka darwaza khol diya to ussi waqt foran mayyus hogaye.
23.78 Woh Allah hai jiss ney tumharay liye kaan aur aankhen aur dil pehda kiye magar tum boht (hi) kum shukar kertay ho.
23.79 Aur wohi hai jiss ney tumhen peda ker kay zamin mein phela diya aur ussi ki taraf tum jama kiye jaogay.
23.80 Aur wohi hai jo jilata aur maarta hai aur raat din kay rad-o-badal ka mukhtar bhi wohi hai. Kiya tum ko samajh boojh nahi?
http://qurantube.blogspot.com/
23.81 Bulkay inn logon ney bhi wesi hi baat kahi jo aglay kehtay chalay aaye.
23.82 Kay kiya jab hum marr ker mitti aur haddi hojayen gay kiya phir bhi hum zaroor uthaye jayen gay?
23.83 Hum say aur humaray baap dadon say pehlay hi say yeh wada hota chala aaya hai kuch nahi yeh to sirf aglay logon kay afsaney hain.
23.84 Poochiye to sahih kay zamin aur iss ki kul cheezen kiss ki hain? Batlao agar tum jantay ho?
23.85 Foran jawab den gay kay Allah ki keh dijiye kay phir tum naseehat kiyon nahi hasil kertay.
23.86 Daryaft kijiye kay saaton aasmano ka aur boht ba-azmat arsh ka rab kaun hai?
23.87 Woh log jawab den gay kay Allah hi hai. Keh dijiye! kay phir tum kiyon nahi dartay?
23.88 Poochiye kay tamam cheezon ka ikhtiyar kiss kay hath mein hai? Jo panah deta hai aur jiss kay muqablay mein koi panah nahi diya jata agar tum jantay ho to batla do?
23.89 Yehi jawab den gay kay Allah hi hai. Keh dijiye phir tum kidhar say jadoo ker diye jatay ho?
23.90 Haq yeh hai kay hum ney unhen haq phoncha diya hai aur yeh be-shak jhootay hain.
http://qurantube.blogspot.com/
23.91 Na to Allah ney kissi ko beta banaya aur na uss kay sath aur koi mabood hai werna her mabood apni makhlooq ko liye liye phirta aur her aik doosray per charh dorta. Jo osaaf yeh batlatay hain unn say Allah pak (aur bey-niaz) hai.
23.92 Woh ghaeeb hazir ka jannay wala hai aur jo shirk yeh kertay hain uss say bala tar hai.
23.93 Aap dua keren kay aey meray perwerdigar! Agar tu mujhay woh dikhaye jiss ka wada enhen diya jaraha hai.
23.94 To aey rab! Tu mujhay inn zlimon kay giroh mein na kerna.
23.95 Hum jo kuch waday enhen dey rahey hain sab aap ko dikha denay per yaqeenan qadir hain.
23.96 Buraee ko iss tareeqay say door keren jo sirasir bhalaee wala ho jo kuch yeh biyan kertay hain hum ba-khoobi waqif hain.
23.97 Aur dua keren kay aey meray perwerdigar! Mein shetano kay waswason say teri panah chahata hun.
23.98 Aur aey rab! Mein teri panah chahata hun kay woh meray pass aajayen.
23.99 Yahan tak kay jab inn mein say kissi ko maut aaney lagti hai to kehta hai aey meray perwerdigar! Mujhay wapis lota dey.
23.100 Kay apni chori hui duniya mein jaa ker nek aemaal ker loon hergiz aisa nahi hoga yeh to sirf aik qol hai jiss ka yeh qaeel hai inn kay pas-e-pusht to aik hijab hai inn kay doobara ji uthney kay din tak.
http://qurantube.blogspot.com/
23.101 Pus jab kay soor phoonk diya jayega uss din na to aapas kay rishtay hi rahen gay na aapas ki pooch gooch.
23.102 Jin ki tarazoo ka palla bhari hogaya woh to nijat walay hogaye.
23.103 Aur jin kay tarazoo ka palla halka hogaya yeh hain woh jinhon ney apna nuksan aap ker liya jo hamesha kay liye jahannum wasil huye.
23.104 Unn kay chehron ko aag jhulasti rahey gi aur woh wahan bad-shakal banay huye hongay.
23.105 Kiya meri aayaten tumharay samney tilawat nahi ki jati thin? Phir bhi tum enhen jhutlatay thay.
23.106 Kahen gay kay aey perwerdigar! Humari bad-bakhti hum per ghalib aagaee (waqaee) hum thay hi gumrah.
23.107 Aey humaray perwerdigar! Humen yahan say nijat dey agar abb hi hum aisa hi keren to be-shak hum zalim hain.
23.108 Allah Taalaa farmaye ga phitkaray huye yahin paray raho aur mujh say kalaam na kero.
23.109 Meray bando ki aik jamat thi jo barbar yehi kehti rahi kay aey humaray perwerdigar! Hum emaan laa chukay hain tum humen bakhsh aur hum per reham farma to sab meharbano say ziyada meharbaan hai.
http://qurantube.blogspot.com/
23.110 (lekin) tum enhen mazaq mein hi uratay rahey yahan tak kay (iss mashghalay ney) tum ko meri yaad (bhi) bhula di aur tum inn say mazaq hi kertay rahey.
23.111 Mein ney aaj enhen inn kay uss sabar ka badla dey diya hai kay woh khatir khua apni murad ko phonch chukay hain.
23.112 Allah Taalaa daryaft farmaye ga kay tum zamin mein ba-aitbar barson ki ginti kiss qadar rahey?
23.113 Woh kahen gay aik din ya aik din say bhi kum ginti ginnay walon say bhi pooch lijiye.
23.114 Allah Taalaa farmaye ga fil-waqey tum wahan boht hi kum rahey ho aey kaash! Tum issay pehaly hi say jaan letay?
23.115 Kiya tum yeh gumaan kiye huye ho kay hum ney tumhen yunhi beykaar peda kiya hai aur yeh kay tum humari taraf lotaye hi na jao gay.
23.116 Allah Taalaa sacha badshah hai woh bari bulandi wala hai uss ka siwa koi mabood nahi wohi buzurg arsh ka malik hai.
23.117 Jo shaks Allah kay sath kissi doosray mabood ko pukaray jiss ki koi daleel uss kay pass nahi pus uss ka hisab to uss kay rab kay upper hi hai. Be-shak kafir log nijat say mehroom hain.
23.118 Aur kaho kay aey meray rab! Tu bakhsh aur reham ker aur tu sab meharbano say behtar meharbani kerney wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/
Surat-Noor 24
(Sura-Noor Madani mai Nazil hui, is mai chonsath (64) Aayatain hain)
24.01 Yeh hai woh surat jo hum ney nazil farmaee hai aur muqarrar ker di hai aur jiss mein hum ney khulli aayaten (ehkaam) utaray hain takay tum yaad rakho.
24.02 Zina kaar aurat-o-mard mein say her aik ko so koray lagao. Inn per Allah ki shareeat ki hadd jari kertay huye tumhen hergiz tars na khana chahaye agar tumhen Allah per aur qayamat kay din per emaan ho. Inn ki saza kay waqt musalmano ki aik jamatmojood honi chahaye.
24.03 Zaani mard ba-juz zaaniya ya mushrika aurat kay aur say nikah nahi kerta aur zina kaar aurat bhi bajuz zaani ya mushrik mard kay aur nikah nahi kerti aur emaan walon per yeh haram ker diya gaya.
24.04 Jo log pak daman aurton per zina ki tohmat lagayen phir char gawah na paish ker saken to unhen assi koray lagao aur kabhi bhi unn ki gawahee qabool na kero. Yeh fasiq log hain.
24.05 Haan jo log iss kay baad toba aur islah ker len to Allah Taalaa bakshney wala aur meharbani kerney wala hai.
24.06 Jo log apni biwiyon per bad-kaari ki tohmat lagayen aur unn ka koi gawah ba-juz khud unn ki zaat kay na ho to aisay logon mein say her aik ka saboot yeh hai kay char martaba Allah ki qasam kha ker kahen kay woh sachon mein say hain.
24.07 Aur paanchwen martaba kahey kay uss per Allah ki lanat ho agar woh jhooton mein say ho.
24.08 Aur uss aurat say saza iss tarah door hosakti hai kay woh char martaba Allah ki qasam kha ker kahey kay yaqeenan iss ka mard jhoot bolney walon mein say hai.
24.09 Aur paanchwen dafa kahey kay uss per Allah Taalaa ka azab ho agar uss ka khawind sachon mein say ho.
24.10 Agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per na hota (to tum per mushaqqat utarti) aur Allah Taalaa toba qabool kerney wala ba-hikmat hai.
http://qurantube.blogspot.com/
24.11 Jo log yeh boht bara bohtan bandh laye hain yeh bhi tum mein say hi aik giroh hai. Tum issay apnay liye bura na samjho bulkay yeh to tumharay haq mein behtar hai. Haan inn mein say her aik shaks per itna gunah hai jitna uss ney kamaya hai aur inn mein say jiss ney iss kay boht baray hissay ko sir anjam diya hai uss kay liye azab bhi boht hi bara hai.
24.12 Issay suntay hi momin mard-o-aurton ney apnay haq mein nek gumani kiyon na ki aur kiyon na keh diya kay yeh to khullam khulla sareeh bohtan hai.
24.13 Woh iss per char gawah kiyon na laye? Aur jab gawah nahi laye to yeh bohtan baaz log yaqeenan Allah kay nazdeek mehaz jhootay hain.
24.14 Agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per duniya aur aakhirat mein na hota to yaqeenan tum ney jiss baat kay charchay shuroo ker rakhay thay iss baray mein tumhen boht bara azab phonchta.
24.15 Jabkay tum issay apni zabano say naqal dar naqal kerney lagay aur apnay mun say woh baat nikalney lagay jiss ki tumhen mutlaq khabar na thi go tum issay halki baat samajhtay rahey lekin Allah Taalaa kay nazdeek woh boht bari baat thi.
24.16 Tum ney aisi baat ko suntay hi kiyon na keh diya kay humen aisi baat mun say nikalni bhi laeeq nahi. Ya-Allah! Tu pak hai yeh to boht bara bohtan hai aur tohmat hai.
24.17 Allah Taalaa tumhen naseehat kerta hai kay phir kabhi bhi aisa kaam na kerna agar tum sachay momin ho.
24.18 Allah Taalaa tumharay samney apni aayaten biyan farma raha hai aur Allah Taalaa ilm-o-hikmat wala hai.
24.19 Jo log musalmano mein bay hayaee phelaney kay aarzoo mand rehtay hain unn kay liye duniya aur aakhirat mein dard-naak azab hain Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantay.
24.20 Agar tum per Allah Taalaa ka fazal aur uss ki rehmat na hoti aur yeh bhi kay Allah Taalaa bari shafqat rakhney wala meharban hai. (to tum per azab utar jata).
http://qurantube.blogspot.com/
24.21 Emaan walo! Shetan kay qadam-ba-qadam na chalo. Jo shaks shetani qadmon ki pairwee keray to woh to bey hayaee aur buray kaamon ka hi hukum keray ga. Aur agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per na hota to tum mein say koi bhi kabhi bhi pak saaf na hota. Lekin Allah Taalaa jissay pak kerna chahaye ker deta hai aur Allah sab sunnay wala sab jannay wala hai.
24.22 Tum mein say jo buzurgi aur kushadgi walay hain unhen apnay qarabat daron aur miskeeno aur mohajiron ko fi sabeelillah denay say qasam na kha leni chahaye bulkay moaf ker dena aur dar-guzar ker lena chahaye. Kiya tum nahi chahtay kay Allah Taalaa tumharay qasoor moaf farma dey? Allah qasooron ko moaf farmaney wala meharban hai.
24.23 Jo log pak daman bholi bhali ba-emaan aurton per tohmat lagatay hain woh duniya-o-aakhirat mein malaoon hain aur unn kay liye bara bhari azab hai.
24.24 Jabkay unn kay muqablay mein unn ki zabaney aur unn kay hath paon unn kay aemaal ki gawahee den gay.
24.25 Uss din Allah Taalaa unhen poora poora badla haq-o-insaf kay sath dey ga aur woh jaan len gay kay Allah Taalaa hi haq hai (aur wohi) zahir kerney wala hai.
24.26 Khabees aurten khabees mardon kay laeeq hain aur khabees mard khabees aurton kay laeeq hain aur pak aurten pak mardon kay laqeeq hain aur pak mard pak aurton kay laeeq hain. Aisay pak logon kay mutalliq jo kuch bakwas (bohtan baaz) ker rahey hain woh inn say bilkul bari hain inn kay liye bakhsish hai aur izzat wali rozi.
24.27 Aey emaan walo! Apnay gharon kay siwa aur gharon mein na jao jab tak kay ijazat na ley lo aur wahan kay rehney walon ko salam na kerlo yehi tumharay liye sara sir behtar hai takay tum naseehat hasil kero.
24.28 Agar wahan tumhen koi bhi na mill sakay to phir ijazat milay baghair andar na jao. Aur agar tum say lot janey ko kaha jaye to tum lot hi jao yehi baat tumharay liye pakeeza hai jo kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa khoob janta hai.
24.29 Haan ghair abad gharon mein jahan tumhara koi faeeda ya asbaab ho janey mein tum per koi gunah nahi. Tum jo kuch bhi zahir kertay ho aur jo chupatay ho Allah Taalaa sab kuch janta hai.
24.30 Musalman mardon say kaho apni nigahen neechi rakhen aur apni sharam gahon ki hifazat rakhen. Yeh hi unn kay liye pakeezgi hai log jo kuch keren Allah Taalaa sab say khabra daar hai.
http://qurantube.blogspot.com/
24.31 Musalman aurton say kaho kay woh bhi apni nigahen neechi rakhen aur apni ismat mein farq na aaney den aur apni zeenat ko zahir na keren siwaye uss kay hi zahir hai aur apnay girbano per apni orhniyan dalay rahen aur apni aaraeesh ko kissi kay samney zahir na kerensiwaye apnay khawindo kay ya apnay walid kay ya apnay khusar kay ya apnay larkon kay ya apnay khawind kay larkon kay ya apnay bhaiyon kay ya apnay bhatijon kay ya apnay bhanjon kay ya apnay mail jol ki aurton kay ya ghulamon kay ya aisay naukar chaakar mardon kay jo shewat walay na hon ya aisay bachon kay jo aurton kay parday ki baaton kay baray mein mutlaa nahi.aur iss tarah zor zor say paon maar ker na chalen kay unn ki posheeda zeenat maloom ho jaye aey musalmano! Tum sab kay sab Allah ki janab mein toba kero takay tum nijat pao.
24.32 Tum mein say jo mard-o-aurat bey nikah kay hon unn ka nikah ker do aur apnay nek bakht ghulamon aur londiyon ka bhi agar woh muflis bhi hongay to Allah Taalaa unhen apnay fazal say ghani ker bana dey ga. Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai.
24.33 Aur unn logon ko pak daman rehna chahaye jo apna nikah kerney ka maqdoor nahi rakhtay yahan tak kay Allah Taalaa unhen apnay fazal say maal daar bana dey tumharay ghulamon mein say jo koi kuch tumhen dey ker azadi ki tehreer kerani chahaye to tum aisi tehreer unhen ker diya kero agar tum ko inn mein koi bhalaee nazar aati ho aur Allah ney jo maal tumhen dey rakha hai uss mein sya unhen bhi do tumhari jo londiyan pak daman rehna chahati hain unhen duniya ki zindagi kay faeeday ki gharaz say bad-kaari per majboor na kero aur jo unhen majboor ker dey to Allah Taalaa unn per jabar kay baad bakhsish denay wala aur meharbaani kerney wala hai.
24.34 Hum ney tumhari taraf khulli aur roshan aayaten utar di hain aur unn logon ki kahwaten jo tum say pehlay guzar chukay hain aur perhezgaron kay liye naseehat.
24.35 Allah noor hai aasmanon ka aur zamin ka uss kay noor ki misal misil aik taaq kay hai jiss mein chiragh ho aur chiragh seeshay ki qandeel mein ho aur seesha misil chamaktay huye roshan sitaray kay ho woh chiragh aik ba-barkat darakht zaitoon kay tel say jalaya jata ho jo darakht na mashriqi hai na maghribi khud woh tel qareeb hai kay aap hi roshni denay lagay agarcheh ussay aag na bhi chuye noor per noor hai Allah Taalaa apnay noor ki taraf rehnumaee kerta hai jissay chahaye logon (kay samjhaney) ko yeh misalen Allah Taalaa biyan farma raha hai aur Allah Taalaa her cheez kay haal say bakhoobi waqif hai.
24.36 Unn gharon mein jin kay buland kerney aur jin mein apnay naam ki yaad ka Allah Taalaa ney hukum diya hai wahan subha-o-shaam Allah Taalaa ki tasbeeh biyan kertay hain.
24.37 Aisay log jinhen tijarat aur khareed-o-farokht Allah kay zikar say aur namaz kay qaeem kerney aur zakat ada kerney say ghafil nahi kerti uss din say dartay hain jiss din boht say dil aur boht si aankhen ulat pulat hojyen gi.
24.38 Iss iraday say kay Allah unhen unn kay aemaal ka behtareen badla dey bulkay apnay fazal say aur kuch ziyadti ata faramye. Allah Taalaa jissay chahaye bey shumaar roziyan deta hai.
24.39 Aur kafiron kay aemaal misil uss chamakti hui rait kay hain jo chatyal maidan mein ho jissay piyasa shaks door say pani samjhta hai lekin jab uss kay pass phonchta hai to ussay kuch bhi nahi pata haan Allah ko apnay pass pata hai jo uss ka hisab poora poora chuka deta hai. Allah boht jald hisab ker denay wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/
24.40 Ya misil unn andheron kay hai jo nihayat gehray samandar ki teh mein hon jissay upper talay ki mojon ney dhaanp rakha ho phir upper say badal chaye huye hon. Al-gharz andheriyan hain jo upper talay pay dar pay hain. Jab apna hath nikalay to ussay bhi qareeb hai kay na dekh sakay aur (baat yeh hai kay) jissay Allah Taalaa hi noor na dey uss kay pass koi roshni nahi hoti.
24.41 Kiya aap ney nahi dekha kay aasmano aur zamin ki kul makhlooq aur par phelaye urney walay kul parind Allah ki tasbeeh mein masghool hain. Her aik ki namaz aur tasbeeh ussay maloom hai log jo kuch keren uss say Allah bakhoobi waqif hai.
24.42 Zamin-o-aasman ki badshaat Allah hi ki hai aur Allah Taalaa hi ki taraf lotna hai.
24.43 Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa badlon ko chalata hai phir unhen milata hai phir unhen teh ba teh ker deta hai phir aap dekhtay hain kay unn kay darmiyan mein say meenh barasta hai. Wohi aasman ki janib say olon kay pahar mein say olay barsata hai phir jinhen chahaye unn kay pass unhen barsaye aur jin say chahaye unn say enhen hata dey.Badal hi say nikalney wali bijli ki chamak aisi hoti hai kay goya abb aankhon ki roshni ley chali.
24.44 Allah Taalaa hi din aur raat ko rad-o-badal kerta rehta hai aankhon walon kay liye to iss mein yaqeenan bari bari ibraten hain.
24.45 Tamam kay tamam chalney phirney walay jaandaaron ko Allah Taalaa hi ney pani say peda kiya hai inn mein say baaz to apnay pet kay bal chaltay hain baaz do paon per chaltay hain. Baaz char paon per chaltay hain Allah Taalaa jo chahata hai peda kerta hai. Be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
24.46 Bila shak-o-shuba hum ney roshan aur wazeh aayaten utar di hain Allah Taalaa jissay chahaye seedhi raah dikha deta hai.
24.47 Aur kehtay hain kay hum Allah Taalaa aur rasool per emaan laye aur faman bardaar huye phir unn mein say aik firqa iss kay baad bhi phir jata hai. Yeh emaan walay hain (hi) nahi.
24.48 Jab yeh iss baat ki taraf bulaye jatay hain kay Allah aur iss ka rasool unn kay jharay chuka dey to bhi inn ki aik jamat mun morney wali bann jati hai.
http://qurantube.blogspot.com/
24.49 Haan agar inhi ko haq phonchta ho to mutee-o-farma bardaar ho ker iss ki taraf chalay aatay hain.
24.50 Kiya inn kay dilon mein beemari hai? Ya yeh shak-o-shuba mein paray huye hain? Ya enhen iss baat ka darr hai kay Allah Taalaa aur uss ka rasool inn ki haq talfi na keren? Baat yeh hai kay yeh log khud hi baray zalim hain.
24.51 Emaan walon ka qol to yeh hai kay jab unhen iss liye bulaya jata hai kay Allah aur iss ka rasool inn mein faisal ker dey to woh kehtay hain kay hum ney suna aur maan liya. Yehi log kaamyaab honey walay hain.
24.52 Jo bhi Allah Taalaa ki uss kay rasool ki farman bardaari keren khof-e-elahee rakhen aur uss kay azabon say dartay rahen wohi nijat paney walay hain.
24.53 Bari pukhtagi kay sath Allah Taalaa ki qasmen kha kha ker kehtay hain kay aap ka hukum hotay hi nikal kharay hongay. Keh dijiy kay bus qasmen na khao (tumhari) ita’at ki haqeeqat maloom hai. Jo kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa uss say ba-khabar hai.
24.54 Keh dijiye kay Allah Taalaa ka hukum mano rasoolullah ki ita’at kero phir bhi agar tum ney roo gardani ki to rasool kay zimmay to sirf wohi hai jo iss per lazim ker diya gaya hai aur tum per iss ki jawab dahee hai jo tum per rakha gaya hai hidayat to tumhen ussi waqt milay gi jab rasool ki ma-tehati kero. Suno rasool kay zimmay to sirf saaf tor per phoncha dena hai.
24.55 Tum mein say unn logon say jo emaan laye hain aur nek aemaal kiye hain Allah Taalaa wada farma chuka hai kay unhen zaroor zamin mein khalifa banaye ga jaisay kay unn logon ko khalifa banaya tha jo inn say pehlay thay aur yaqeenan inn kay liye inn kay iss deen ko mazbooti kay sath mohkum ker kay jama dey ga jissay unn kay liye woh pasand farma chuka hai aur inn kay iss khof-o-khatar ko woh aman-o-amaan mein badal dey ga woh meri ibadat keren gay meray sath kissi ko bhi shareek na therayen gay. Iss kay baad bhi jo log na-shukri aur kufur keren yaqeenan fasiq hain.
24.56 Namaz ki pabandi kero zakat ada kero aur Allah Taalaa kay rasool ki farman bardaari mein lagay raho takay tum per reham kiya jaye.
24.57 Yeh khayal kabhi bhi na kerna kay munkir log zamin mein (idhar udhar bhaag ker) humen hara denay walay hain inn ka asli thikana to jahannum hai jo yaqeenan boht hi bura thikana hai.
http://qurantube.blogspot.com/
24.58 Emaan walo! Tum say tumhari milkiyat kay ghulamon ko aur unhen bhi jo tum mein say balooghat ko na phonchay hon (apnay aaney ki) teen waqton mein ijazat hasil kerni zaroori hai. Namaz-e-fajar say pehlay aur zohar kay waqt jab kay tum apnay kapray utar rakhtay ho aur isha ki namaz kay baad yeh teeno waqt tumhari (khilwat) aur parday kay hain. Inn waqton kay ma-siwa na to tum per koi gunah hai na unn per. Tum sab aapas mein aik doosray kay pass ba-kasrat aaney janey walay ho (hi) Allah iss tarah khol khol ker apnay ehkaam tum say biyan farma raha hai. Allah Taalaa pooray ilm aur kamil hikmat wala hai.
24.59 Aur tumharay bachay (bhi) jab balooghat ko phonch jayen to jiss tarah unn kay aglay log ijazat mangtay hain unhen bhi ijazat maang ker aana chahaye Allah Taalaa tum say issi tarah apni aayaten biyan farmata hai. Allah Taalaa hi ilm-o-hikmat wala hai.
24.60 Bari boorhi aurten jinhen nikah ki umeed (aur khuwaish hi) na rahi ho woh apnay agar apnay kapray utar rakhen to unn per koi gunah nahi ba-shart-e-kay woh apna banao singhaar zahir kerney waliyan na hon tahum inn say bhi ehtiyaat rakhen to inn kay liye boht afzal hai aur Allah Taalaa sunta janta hai.
24.61 Andhay per langray per beemar per aur khud tum per (mutlaqan) koi harj nahi kay tum apnay gharon say khalo ya apnay bapon kay gharon say ya apni maaon kay gharon say ya apnay bhiyon kay gharon say ya apni behno kay gharon say ya apnay chachaon kay gharon say ya apni phoophiyon kay gharon say ya apnay mamoo’on kay gharon say ya apni khalaon kay gharon say ya unn kay gharon say jin ki kunjiyon kay tum malik ho ya apnay doston kay gharon say. Tum per iss mein bhi koi gunah nahi kay tum sab sath beht ker khana khao ya alag alag. Pus jab tum gharon mein janey lago to apnay ghar walon ko salam ker liya kero duya-e-khair hai jo ba-barkat aur pakeeza hai Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda yun hi Allah Taalaa khol khol ker tum say apnay ehkaam biyan farma raha hai takay tum samajh lo.
24.62 Ba-emaan log to wohi hain jo Allah Taalaa per aur uss kay rasool per yaqeen rakhtay hain aur jab aisay moamlay mein jiss mein logon kay jama honey ki zaroorat hoti hai nabi kay sath hotay hain to jab tak aap say ijazt na len kahin nahi jatay. Jo log aisay moqay per aap say ijazat ley letay hain haqeeqat mein yehi hain jo Allah Taalaa per aur uss kay rasool per emaan laa chukay hain.pus jab aisay log aap say apnay kissi kaam kay liye ijazat talab keren to aap inn mein say jissay chahayen ijazat dey den aur inn kay liye Allah Taalaa say baksish ki dua mangen be-shak Allah bakshney wala meharbaan hai.
24.63 Tum Allah Taalaa kay nabi kay bulney ko aisa bulawa na kerlo jaisa kay aapas mein aik doosray ko hota hai. Tum mein say unhen Allah khoob janta hai jo nazar bacha ker chupkay say sirak jatay hain suno jo log hukum-e-rasool ki mukhlifat kertay hain unhen dartay rehna chahaye kay kahin unn per koi zabardast aafat na aa paray ya unhen dard-naak azab na phonchay.
24.64 Aagah hojao kay aasma-o-zamin mein jo kuch hai sab Allah Taalaa hi ka hai. Jiss ravish per tum ho woh issay bakhoobi janta hai aur jiss din yeh sab uss ki taraf lotaye jayen gay uss din inn ko inn kay kiye say woh khabardaar ker dey ga. Allah Taalaa sab kuch jannay wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/
Surat-Furqaan 25
(Sura-Furqaan Makka mai Nazil hui, is mai satattar (77) Aayatain hain)
25.01 Bohat ba-barkat hai woh Allah Taalaa jiss ney apnay banday per furqan utara takay woh tamam logon kay liye aagah kerney wala bann jaye.
25.02 Ussi Allah ki saltanat hai aasmano aur zamin ki aur woh koi aulad nahi rakhta na uss ki saltanat mein koi uss ka sajhi hai aur her cheez ko uss ney peda ker kay aik munasib andaza thera diya hai.
25.03 Inn logon ney Allah kay siwa jinhen apnay mabood thera rakhay hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay bulkay woh khud peda kiye jatay hain yeh to apni jaan kay nuksan nafay ka bhi ikhtiyar nahi rakhtay aur na maut-o-hayat kay aur na doobara ji uthney kay woh malik hain.
25.04 Aur kafiron ney kaha yeh to bus khud issi ka ghara gharaya jhoot hai jiss per aur logon ney bhi iss ki madad ki hai dar-asal yeh kafir baray hi zulm aur sir-ta-sir jhoot kay murtakib huye hain.
25.05 Aur yeh bhi kaha kay yeh to aglon kay afsaney hain jo iss ney likha rakhay hain bus wohi subha-o-shaam iss kay samney parhay jatay hain.
25.06 Keh dijiye kay issay to uss Allah ney utara hai jo aasman-o-zamin ki tamam posheeda baaton ko janta hai. Be-shak woh bara hi bakhshney wala meharbaan hai.
25.07 Aur enhon ney kaha yeh kaisa rasool hai kay khana khata hai aur bazaron mein chlta phirta hai iss kay pass koi farishta kiyon nahi bheja jata? Kay woh bhi iss kay sath ho ker daraney wala bann jata.
25.08 Ya iss kay pass koi khazana hi daal diya jata ya iss ka koi baagh hi hota jiss mein say yeh khata. Aur inn zalimon ney kaha kay tum aisay aadmi kay peechay ho liye ho jiss per jadoo ker diya gaya hai.
25.09 Khayal to kijiye! Kay yeh log aap ki nisbat kaisi kaisi baaten banatay hain. Pus jiss say khud hi behak rahey hain aur kissi tarah raah per nahi aa saktay.
25.10 Allah Taalaa to aisa ba-barkat hai kay agar chahaye to aap ko boht say aisay baghaat inayat farma dey jo inn kay kahey huye bagh say boht hi behar hon jin kay neechay nehren lehren ley rahi hon aur aap ko boht (pukhta) mehal bhi dey dey.
http://qurantube.blogspot.com/
25.11 Baat yeh hai kay yeh log qayamat ko jhoot samajhtay hain aur qayamat kay jhutlaney walon kay liye hum ney bharakti hui aag tayyar ker rakhi hai.
25.12 Jab woh enhen door say dekhay gi to yeh uss ka gussay say bipharna aur dharna sunen gay.
25.13 Aur jab yeh jahannum ki kissi tang jagah mein mashken kus ker phenk diye jayengay to wahan apnay liye maut hi maut pukaren gay.
25.14 (inn say kaha jayega) aaj aik hi maut ko na pukaro bulkay boht si ammwaat ko pukaro.
25.15 Aap keh dijiye kay kiya yeh behtar hai ya woh hameshgi wali jannat jiss ka wada perhezgaron say kiya gaya hai jo inn ka badla hai aur inn kay lotney ki asli jagah hai.
25.16 Woh jo chahayen gay unn kay liye wahan mojood hoga hamesha rehney walay. Yeh to aap kay rab kay zimmay wada hai jo qabil-e-talab hai.
25.17 Aur jiss din Allah Taalaa enhen aur siwaye Allah kay jinhen yeh poojtay rahey unhen jama keray ga kay kiya meray inn bandon ko tum ney gumrah kiya ya yeh khud hi raah say gumm hogaye.
25.18 Woh jawab den gay kay tu pak zaat hai khud humen hi yeh zaiba na tha kay teray siwa auron ko apna kaar saaz banatay baat yeh hai kay tu ney enhen aur inn kay baap dadon ko aasoodgiyan ata farmaeen yahan tak kay woh naseehat bhula bethay yeh log thay hi halak honey walay.
25.19 To enhon ney to tumhen tumhari tamam baton mein jhutlaya abb na to tum mein azabon kay pherney ki taqat hai na madad kerney ki tum say jiss jiss ney zulm kiya hai hum ussay bara azab chakhayen gay.
25.20 Hum ney aap say pehlay jitnay rasool bhejay sab kay sab khana bhi khatay thay aur bazaron mein bhi chaltay phirtay thay aur hum ney tum say her aik ko doosray ki aazmaeesh ka zariya bana diya. Kiya tum sabar kero gay? Tera rab sab kuch dekhney wala hai.

No comments:
Post a Comment