Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 19

Parah-Wa-Qaala-Iazina 19

Surat-Furqaan 25
(Sura-Furqaan Makka mai Nazil hui, is mai satattar (77) Aayatain hain)


25.21 Aur jinhen humari mulaqat ki tawaqqa nahi unhon ney kaha kay hum per farishtay kiyon nahi utaray jatay? Ya hum apni aankhon say apnay rab ko dekh letay? Inn logon ney apnay aap ko ho boht bara samajh rakha hai aur sakht sirkashi ker li hai.

25.22 Jiss din yeh farishton ko dekh len gay uss din inn gunehgaron ko koi khushi na hogi aur kahen gay yeh mehroom hi mehroom kiye gaye.

25.23 Aur enhon ney jo amal kiye thay hum ney unn ki taraf barh ker enhen paraganda zarron ki tarah ker diya.

25.24 Albatta uss din jannatiyon ka thikana behtar hoga aur khuwab gaah bhi umdah hogi.

25.25 Aur jiss din aasman badal samet phat jayega aur farishtay laga taar utaray jayengay.

25.26 Uss din sahih tor per mulk sirf rehman ka hi hoga aur yeh din kafiron per bara bhari hoga.

25.27 Aur uss din zalim shaks apnay hathon ko chaba chaba ker kahey ga haye kaash kaye mein ney rasool (PBUH) ki raah ikhtiyar ki hoti.

25.28 Haye afsos kaash kay mein ney falan ko dost na banaya hota.

25.29 Iss ney to mujhay iss kay baad gumrah ker diya kay naseehat meray pass aa phonci thi aur shetan to insan ko (waqt per) dagha denay wala hai.

25.30 Aur rasool kahey ga kay aey meray perwerdigar! Be-shak meri ummat ney iss quran ko chor rakha tha.
http://qurantube.blogspot.com/

25.31 Aur iss tarah hum ney her nabi kay dushman baaz gunehgaron ko bana diya hai. Aur tera rab hi hidayat kerney wala aur madad kerney wala kafi hai.

25.32 Aur kafiron ney kaha kay iss per quran sara ka sara aik sath hi kiyon na utara gaya issi tarah hum ney (thora thora ker kay) utara takay iss say hum aap ka dil qavi rakhen hum ney issay thehar thehar ker hi parh sunaya hai.

25.33 Yeh aap kay pass jo koi misal layen gay hum uss ka sacha jawab aur umdah tojeeh aap ko bata den gay.

25.34 Jo log apnay mun kay bal jahannum ki taraf jama kiye jayengay. Wohi bad-tar makaan walay aur gumrah tar raastay walay hain.

25.35 Aur bila shuba hum ney musa ko kitab di aur unn kay humrah unn kay bhai haroon ko unn ka wazir bana diya.

25.36 Aur keh diya kay tum dono unn logon ki taraf jao jo humari aayaton ko jhutla rahey hain. Phir hum ney unhen bilkul hi paamaal ker diya.

25.37 Aur qom-e-nooh ney bhi jab rasoolon ko jhoota kaha to hum ney unhen gharaq ker diya aur logon kay liye unhen nishan-e-ibrat bana diya. Aur hum ney zalimon kay liye dard-naak azab mohiyya ker rakha hai.

25.38 Aur aadiyon aur samoodiyon aur koonwen walon ko aur unn kay darmiyan ki boht si ummaton ko (halak ker diya).

25.39 Aur hum ney unn kay samney misalen biyan ken phir her aik bilkul tabah-o-barbaad ker diya.

25.40 Yeh log uss basti kay pass say bhi aatay jatay hain jin per buri tarah ki barish barsaee gaee kiya yeh phir bhi issay dekhtay nahi? Haqeeqat yeh hai kay enhen marr ker ji uthney ki umeed hi nahi.
http://qurantube.blogspot.com/

25.41 Aur tumhen jab kabhi dekhtay hain to tum say maskhara pann kerney lagtay hain. Kay kiya yehi woh shaks hain jinehn Allah Taalaa ney rasool bana ker bheja hai.

25.42 (woh to kahiye) kay hum iss per jama rahey werna enhon ney to humen humaray maboodon say behka denay mein koi kasar nahi chori thi. Aur yeh jab azabon ko dekhen gay to enhen saaf maloom hojaye ga kay poori tarah raah say bhatka hua kaun tha?

25.43 Kiya aap ney ussay bhi dekha jo apni khwais-e-nafs ko apna mabood banaye huye hai kiya aap uss kay zimay daar ho saktay hain?

25.44 Kiya aap issi khayal mein hain kay inn mein say aksar suntay ya samajhtay hain. Woh to niray chopayon jaisay hain bulkay inn say bhi ziyada bhatkay huye.

25.45 Kiya aap ney nahi dekha kay aap kay rab ney saye ko kiss tarah phela diya hai? Agar chahata to issay thehra hua hi ker deta. Phir hum ney aftab ko issi per daleel banaya.

25.46 Phir hum ney ussay aahista aahista apni taraf khench liya.

25.47 Aur wohi hai jiss ney raat ko tumharay liye parda banaya aur neend ko rahat banaee aur din ko uth kharay honey ka waqt.

25.48 Aur wohi hai jo baaraan-e-rehmat say pehlay khush khabri denay wali hawaon ko bhejta hai aur hum aasman say pak pani barsatay hain.

25.49 Takay iss kay zariye say murda shehar ko zinda ker den aur issay hum apni makhlooqaat mein say boht say chopayon aur insano ko pilatay hain.

25.50 Aur be-shak hum ney issay unn kay darmiyan tarah tarah say biyan kiya takay woh naseehat hasil keren magar phir bhi aksar logon ney siwaye na-shukri kay mana nahi.
http://qurantube.blogspot.com/

25.51 Agar hum chahatay to her her basti mein darney wala bhej detay.

25.52 Pus aap kafiron ka kehna na manen aur quran kay zariye inn say poori taqat say bara jihad keren.

25.53 Aur wohi hai jiss ney do samandar aapas mein mila rakhay hain yeh hai meetha aur mazedaar aur yeh hai khaari kerwa aur inn dono kay darmiyan aik hijab aur mazboot oot kerdi.

25.54 Woh hai jiss ney pani say insan ko peda kiya phir issay nasab wala aur susrali rishton wala ker diya. Bila shuba aap ka perwerdigar (her cheez per) qadir hai.

25.55 Yeh Allah ko chor ker unn ki ibadat kertay hain jo na to enhen koi nafa dey saken na koi nuksan phonca saken aur kafir to hay hi apna rab kay khilaf (shetan ki) madad kerney wala.

25.56 Hum ney to aap ko khush khabri aur darr sunaney wala (nabi) bana ker bheja hai.

25.57 Keh dijiye kay mein quran kay phonchaney per tum say koi badla nahi chahata magar jo shaks apnay rab ki taraf raah pakarna chahye.

25.58 Uss hamesha zinda rehnay walay Allah Taalaa per tawakkal keren jissay kabhi maut nahi aur uss ki tareef kay sath pakeezgi biyan kertay rahen woh apnay gunahon say kafi khabardaar hai.

25.59 Wohi hai jiss aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan ki sab cheezon ko cheh din mein peda ker diya hai phir arsh per mustawi hua woh rehman hai aap iss ka baray mein kissi khabar daar say pooch len.

25.60 Inn say jabb bhi kaha jata hai kay rehman ko sajda kero to jawab detay hain rehman hai kiya? Kiya hum ussay sajda keren jiss ka tu humen hukum dey raha hai aur iss (tableegh) ney unn ki nafrat mein mazeed izafa ker diya.
http://qurantube.blogspot.com/

25.61 Ba-barkat hai woh jiss ney aasman mein burj banaye aur iss mein aftab banaya aur munawar mahtab bhi.

25.62 Aur ussi ney raat aur din ko aik doosray kay peechay aaney janey wala banaya uss shaks ki naseehat kay liye jo naseehat hasil kerney ya shukar guzari kerney ka irada rakhta ho.

25.63 Rehman kay (sachay) banday woh hain jo zamin per farotni kay sath chaltay hain aur jab bey ilm log inn say baten kerney lagtay hain to woh keh detay hain kay salam hai.

25.64 Aur jo apnay rab kay samney sajday aur qayam kertay huye raten guzar detay hain.

25.65 Aur jo yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar! Hum say dozakh ka azab paray hi paray rakh kiyon kay iss ka azab chimat janey wala hai.

25.66 Be-shak woh therney aur rehney kay lehaz say bad-tareen jagah hai.

25.67 Aur jo kharach kertay waqt bhi na to israaf kertay hain na bakheeli bulkay inn dono kay darmiyan motadil tareeqay per kharach kertay hain.

25.68 Aur Allah kay sath kissi doosray ko mabood nahi pukartay aur kissi aisay shaks ko jissay qatal kerna Allah Taalaa ney mana ker diya ho woh ba-juz haq kay qatal nahi kertay na woh zinah kay muratkib hotay hain aur jo koi yeh kaam keray woh apnay upper sakht wabaal laye ga.

25.69 Issay qayamat kay din dogra azab kiya jayega aur woh zillat-o-khuwari kay sath hamesha ussi mein rahey ga.
http://qurantube.blogspot.com/

25.70 Siwaye unn logon kay jo tuaba keren aur emaan layen aur nek kaam keren aisay logon kay gunahon ko Allah Taalaa nekiyon say badal deta hai Allah bakhshney wala meharbaani kernay wala hai.

25.71 Aur jo shaks toba keray aur nek amal keray woh to (haqeeqatan) Allah Taalaa ki taraf sacha rujoo kerta hai.

25.72 Aur jo log jhooti gawahee nahi detay aur jab kissi laghaw cheez per unn ka guzar hota hai to sharafat say guzar jatay hain.

25.73 Aur jab enhen unn kay rab kay kalam ki aayaten sunaee jati hain to woh andhay behray ho ker inn per nahi girtay.

25.74 Aur yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar! Tu humen humari biwiyon aur aulad say aankhon ki thandak ata farma aur humen perhezgaron ka paishwa bana.

25.75 Yehi woh log hain jinhen unn kay sabar kay badlay jannat kay buland-o-bala khaney diye jayen gay jahan unhen dua salam phonchaya jayega.

25.76 Uss mein yeh hamesha rahen gay woh boht hi achi jagah aur umdah moqam hai.

25.77 Keh dijiye! agar tumhari dua iltija (pukarna) na hoti to mera rab tumhari mutlaq perwa na kerta tum to jhutla chukay abb un-qareeb iss ki saza tumhen chimat janey wali hogi.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Shooaraa 26
(Sura-Shooaraa Makka mai Nazil hui, is mai doso-sataees (227) Aayatain hain)


26.01 Tuaa-seen-meem

26.02 Yeh aayaten roshan kitab ki hain.

26.03 Inn kay emaan na laaney per shayad aap to apni jaan kho den gay.

26.04 Agar hum chahatay to inn per aasman say koi aisi nishani utartay kay jiss kay samney inn ki gardaney khum ho jatin.

26.05 Aur inn kay pass rehman ki taraf say jo bhi naee naseehat aaee yeh uss say roo-gardani kerney walay bann gaye.

26.06 Inn logon ney jhutlaya hai abb inn kay pass jaldi say iss ki khabren aajyen gi jiss kay sath woh maskhara pann ker rahey hain.

26.07 Kiya enhon ney zamin per nazaren nahi daalen? Kay hum ney iss mein her tarah kay nafees joray kiss qadar ugaye hain?

26.08 Be-shak iss mein yaqeenan nishani hai aur inn mein kay aksar log momin nahi hain.

26.09 Aur tera rab yaqeenan wohi ghalib aur meharbaan hai.

26.10 Aur jabb aap kay rab ney musa (alh-e-salam) ko aawaz di kay tu zalim qom kay pass jaa.
http://qurantube.blogspot.com/

26.11 Qom-e-firaon kay pass kiya woh perhezgari na keren gay.

26.12 Musa (alh-e-salam) ney kaha meray perwerdigar! Mujhay to khof hai kay kahin woh mujhay jhutla (na) den.

26.13 Aur mera seena tang horaha hai meri zaban chal nahi rahi pus tu haroon ki taraf bhi (wahee) bhej.

26.14 Aur unn ka meray aik qasoor ka (dawa) bhi hai mujhay darr hai kay kahin woh mujhay maar na dalen.

26.15 Janab-e-baari ney farmaya! Hergiz aisa na hoga tum dono humari nishaniyan ley ker jao hum khud sunnay walay tumharay sath hain.

26.16 Tum dono firaon kay pass ja ker kaho kay bila shuba hum rab-ul-aalamaeen kay bhejay huye hain.

26.17 Kay tu humaray sath bani israeel ko rawana ker dey.

26.18 Fairaon ney kaha kiya hum ney tujhay teray bachpan kay zamaney mein apnay haan nahi pala tha? Aur tu ney apni umar kay boht say saal hum mein nahi guzaray?

26.19 Phir tu apna woh kaam ker gaya jo ker gaya aur tu na shukro mein hai.

26.20 (hazrat) musa (alh-e-salam) ney jawab diya kay mein ney uss kaam ko uss waqt kiya tha jabkay mein raah bhoolay huye logon mein say tha.
http://qurantube.blogspot.com/

26.21 Phir tum say khof kha ker mein tum mein say bhaag gaya phir mujhay meray rab ney hukum-o-ilm ata farmaya aur mujhay apnay payghumbaron mein say ker diya.

26.22 Mujh per tera kiya yehi woh ehsan hai? Jissay tu jata raha hai kay tu ney bani israeel ko ghulam bana rakha hai.

26.23 Firaon ney kaha rab-ul-aalameen kiya cheez hai?

26.24 (hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya woh aasamano aur zamin aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon ka rab hai agar tum yaqeen rakhney walay ho.

26.25 Firaon ney apney ird-gird walon say kaha kay kiya tum sunn nahi rahey?

26.26 (hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya woh tumhara aur tumharay aglay baap dadon ka perwerdigar hai.

26.27 Firaon ney kaha (logo!) tumhara yeh rasool jo tumhari taraf bheja gaya hai yeh to yaqeenan deewana hai.

26.28 (hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya! Wohi mashriq-o-maghrib ka aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon ka rab hai agar tum aqal rakhtay ho.

26.29 Firaon kehney laga sunn ley! Agar tu ney meray siwa kissi aur ko mabood banaya tu mein tujhay qaidiyon mein daal doon ga.

26.30 Musa (alh-e-salam) ney kaha agar cheh mein teray pass koi khulli cheez ley aaon?
http://qurantube.blogspot.com/

26.31 Firaon ney kaha agar tum sachon mein say hai to issay paish ker.

26.32 Aap ney (ussi waqt) apni laathi daal di jo achanak khullam khulla (zabardast) azdaha bann gaee.

26.33 Aur apna hath khench nikala to woh bhi ussi waqt her dekhney walay ko safaid chamkeela nazar aaney laga.

26.34 Firaon apnay aas pass kay sardaron say kehney laga bhaee yeh to koi bara dana jadoogar hai.

26.35 Yeh to chahata hai kay apnay jadoo kay zor say tumhen tumhari sirzameen say nikal dey batao abb tum kiya hukum detay ho.

26.36 Unn sab ney kaha aap issay aur iss kay bhai ko mohlat dijiye aur tamam shehron mein harkaaray bhej dijiye.

26.37 Jo aap kay pass zee ilm jadoogaron ko ley aayen.

26.38 Phir aik muqarrara din kay waday per tamam jadoogar jama kiye gaye.

26.39 Aur aam logon say bhi keh diya gaya kay tum bhi majmay mein hazir hojao gay?

26.40 Takay agar jadoogar ghalib aajayen to hum unhi ki pairwee keren.
http://qurantube.blogspot.com/

26.41 Jadoogar agar firaon say kehney lagay kay agar hum jeet gaye to humen kuch inam bhi milay ga?

26.42 Firaon ney kaha haan! (bari khushi say) bulkay aisi soorat mein tum meray khas darbari bann jao gay.

26.43 (hazrat) musa (alh-e-salam) ney jadoogaron say farmaya jo kuch tumhen dalna hai daal do.

26.44 Unhon ney apni rassiyan aur laathiyan daal den aur kehney lagay izzat firaon ki qasam! Hum yaqeenan ghalib hi rahen gay.

26.45 Abb (hazrat) musa (alh-e-salam) ney bhi apni laathi maidan mein daal di jiss ney ussi waqt unn kay jhoot moot kay kartab ko nigalna shuroo ker diya.

26.46 Yeh dekhtay hi jadoogar bay ikhtiyar sajday mein gir gaye.

26.47 Aur unhon ney saaf keh diya kay hum to Allah rab-ul-aalameen per emaan laye.

26.48 Yani musa (alh-e-salam) aur haroon kay rab per.

26.49 Firaon ney kaha kay meri ijazat say pehlay tum iss per emaan ley aaye? Yaqeenan yehi tumhara woh bara (sardar) hai jiss ney tum sab ko jadoo sikhaya hai so tumhen abhi abhi maloom ho jaye ga qasam hai mein abhi tumharay haath paon ultay tor per kaat doon ga aur tum sab ko sooli per latka doon ga.

26.50 Unhon ney kaha koi haraj nahi hum to apnay rab ki taraf lotney walay hain hi.
http://qurantube.blogspot.com/

26.51 Iss bina per kay hum sab say pehlay emaan walay banay hain humen umeed parti hai kay humara rab humari sab khatayen moaaf farma dey ga.

26.52 Aur hum ney musa ko wahee ki kay raaton raat meray bandon ko nikal ley chal tum sab peecha kiye jao gay.

26.53 Firaon ney shehron mein harkaaron ko bhej diya.

26.54 Kay yaqeenan yeh giroh boht hi kum tadaad mein hai.

26.55 Aur iss per yeh humen sakht gazab-naak ker rahey hain.

26.56 Aur yaqeenan hum bari jamaat hain inn say chokanna rehnay walay.

26.57 Bil-aakhir hum ney enhen baghaat say aur chashmon say.

26.58 Aur khazano say. Aur achay achay muqamaat say nikal bahir kiya.

26.59 Issi tarah hua aur hum ney unn (tamam) cheezon ka waris bani israeel ko bana diya.

26.60 Pus fiaroni sooraj nikaltay hi unn kay taaqqub mein niklay.
http://qurantube.blogspot.com/

26.61 Pus jab dono ney aik doosray ko dekh liya to musa kay saathiyon ney kaha hum to yaqeenan pakar liye gaye.

26.62 Musa ney kaha hergiz nahi. Yaqeen mano mera rab meray sath hai jo zaroor mujhay raah dikhaye ga.

26.63 Hum ney musa ki taraf wahee bheji kay darya per apni laathi maar pus ussi waqt darya phat gaya aur her aik hissa paani ka misil baray pahar kay hogaya.

26.64 Aur hum ney ussi jagah doosron ko nazdeek laa khara ker diya.

26.65 Aur musa (alh-e-salam) ko aur uss kay tamam saathiyon ko nijat dey di.

26.66 Phir aur sab doosron ko dobo diya.

26.67 Yaqeenan iss mein bari ibrat hai aur inn mein kay aksar log emaan walay nahi.

26.68 Aur be-shak aap ka rab bara hi ghalib aur meharbaan hai.

26.69 Enhen ibrahim (alh-e-salam) ka waqiya bhi suna do.

26.70 Jabkay unhon ney apnay baap aur pani qom say farmaya kay tum kiss ki ibadat kertay ho?
http://qurantube.blogspot.com/


26.71 Unhon ney jawab diya kay ibadat kertay hain buton ki hum to barbar inn kay mujawar bann bethay hain.

26.72 Aap ney farmaya jab tum enhen pukartay ho to kiya woh suntay bhi hain?

26.73 Ya tumhen nafa nuksan bhi phoncha saktay hain.

26.74 Unhon ney kaha yeh (hum kuch nahi jantay) hum ney to apnay baap dadon ko issi tarah kertay paya.

26.75 Aap ney farmaya kuch khabar bhi hai jinhen tum pooj rahey ho?

26.76 Tum aur tumharay aglay baap dada woh sab meray dushman hain.

26.77 Ba-juz sachay Allah Taalaa kay jo tamam jahaan ka palanhaar hai.

26.78 Jiss ney mujhay peda kiya hai aur wohi meri rehbari farmata hai.

26.79 Wohi hai jo mujhay khilata pilata hai.

26.80 Aur jab mein beemar par jaon to mujhay shifa ata farmata hai.
http://qurantube.blogspot.com/

26.81 Aur wohi mujhay maar dalay ga phir zinda ker dey ga.

26.82 Aur jiss say umeed bandhi hui hai kay woh roz-e-jaza mein meray gunahon ko bakhsh dey ga.

26.83 Aey meray rab! Mujhay qooat-e-faisla ata farma aur mujhay nek logon mein mila dey.

26.84 Aur mera ziker-e-khair pichlay logon mein bhi baqi rakh.

26.85 Mujhay nematon wali jannat kay warison mein say bana dey.

26.86 Aur meray baap ko bakhsh dey yaqeenan woh gumrahon mein say tha.

26.87 Aur jiss sin kay log doobara jilaye jayen mujhay ruswa na ker.

26.88 Jiss din kay maal aur aulad kuch kaam na aaye gi.

26.89 Lekin faeeday wala wohi hoga jo Allah Taalaa kay samney bay aib dil ley ker jaye.

26.90 Aur perhezgaron kay liye jannat bilkul nazdeek laa di jaye gi.
http://qurantube.blogspot.com/

26.91 Aur gumrah logon kay liye jahannum zahir ker di jaye gi.

26.92 Aur unn say poocha jayega kay jin ki tum pooja kertay rahey woh kahan hain?

26.93 Jo Allah Taalaa kay siwa thay kiya woh tumhari madad kertay hain? Ya koi badla ley saktay hain.

26.94 Pus woh sab aur kul gumrah log jahannum mein ondhay mun daal diye jayen gay.

26.95 Aur iblees kay tamam kay tamam lashkar bhi wahan.

26.96 Aapas mein lartay jhagartay huye kahen gay.

26.97 Kay qasam Allah ki! Yaqeenan hum to khulli ghalati per thay.

26.98 Jabkay tumhen rab-ul-aalameen kay barabar samajh bethay thay.

26.99 Aur humen to siwa inn badkaaron kay kissi aur ney gumrah nahi kiya tha.

26.100 Abb to humara koi sifarshi bhi nahi.
http://qurantube.blogspot.com/

26.101 Aur na koi (sacha) ghum khuwar dost.

26.102 Agar kaash kay humen aik martaba phir jana milta to hum pakkay sachay momin bann jatay.

26.103 Yeh majra yaqeena aik bari zabardast nishani hai inn mein say aksar log emaan laney walay nahi.

26.104 Yaqeenan aap ka perwerdigar hi ghalib meharbaan hai.

26.105 Qom-e-nooh ney bhi nabiyon ko jhutlaya.

26.106 Jabkay unn kay bhai nooh (alh-e-salam) ney kaha kay kiya tumhen Allah ka khof nahi!.

26.107 Suno! Mein tumhari taraf Allah ka amanat daar rasool hun.

26.108 Pus tumhen Allah say darna chahaye aur meri baat manni chahaye.

26.109 Mein tum say iss per koi ajar nahi chahata mera badla to sirf rab-ul-aalameen kay haan hai.

26.110 Pus tum Allah ka khof rakho aur meri farmanbardari kero.
http://qurantube.blogspot.com/

26.111 Qom ney jawab diya kay kiya hum tujh per emaan layen! Teri tabey daari to razeel logon ney ki hai.

26.112 Aap ney farmaya! Mujhay kiya khabar kay woh pehlay kiya kertay rahey?

26.113 Unn ka hisab to meray rab kay zimmay hai agar tumhen shaoor ho to.

26.114 Mein emaan walon ko dhakkay denay wala nahi.

26.115 Mein to saaf tor per dara denay wala hun.

26.116 Unhon ney kaha aey nooh! Agar tu baaz na aaya to yaqeenan tujhay sangsaar ker diya jaye ga.

26.117 Aap ney kaha aey meray perwerdigar! Meri qom ney mujhay jhutla diya.

26.118 Pus tu mujh mein aur inn mein koi qataee faisla ker dey aur mujha aur meray ba-emaan saathiyon ko nijat dey.

26.119 Chunacha hum ney ussay aur uss kay saathiyon ko bhari hui kashti mein (sawar kera ker) nijat dey di.

26.120 Bad-e-azan baqi kay tamam logon ko hum ney dobo diya.
http://qurantube.blogspot.com/

26.121 Yaqeenan iss mein boht bari ibrat hai. Unn mein say aksar log emaan laney walay thay bhi nahi.

26.122 Aur be-shak aap ka perwerdigar albatta wohi hai zabardast reham kerney wala.

26.123 Aadiyon ney bhi rasoolon ko jhutlaya.

26.124 Jabkay unn say unn kay bhai hood ney kaha kay kiya tum dartay nahi?

26.125 Mein tumhara amanatdaar payghumbar hun.

26.126 Pus Allah say daro aur mera kaha mano!

26.127 Mein iss per tum say koi ujrat talab nahi kerta mera sawab to tamam jahaan kay perwerdigar kay pass hi hai.

26.128 Kiya tum aik aik teelay per bator khel tamasha yaadgar (emaarat) bana rahey ho.

26.129 Aur bari san’at walay (mazboot mehal tameer) ker rahey ho goya kay tum hamesha yahin raho gay.

26.130 Aur jab kissi per hath daaltay ho to sakhti aur zulm say pakartay ho.
http://qurantube.blogspot.com/

26.131 Allah say daro aur meri pairwee kero.

26.132 Uss say daro jiss ney unn cheezon say tumhari imdad ki jinhen tum jantay ho.

26.133 Uss ney tumahri madad ki maal say aur aulad say.

26.134 Baghaat say aur chashmon say.

26.135 Mujhay to tumhari nisbat baray din kay azab ka andesha hai.

26.136 Unhon ney kaha kay aap waaz kehn ya waaz kehney walon mein na hon hum per yaksan hai.
26.137 Yeh to bus puraney logon ki aadat hai.

26.138 Aur hum hergiz azab nahi diye jayen gay.

26.139 Chunkay aadiyon ney hazrat hood ko jhutlaya iss liye hum ney unhen tabah ker diya yaqeenan iss mein nishani hai aur inn mein say aksar bey emaan thay.

26.140 Be-shak aap ka rab wohi hai ghalib meharbaan.
http://qurantube.blogspot.com/

26.141 Samoodiyon ney bhi payghumbaron ko jhutlaya.

26.142 Unn kay bhai saleh ney unn say farmaya kay kiya tum Allah say nahi dartay?

26.143 Mein tumhari taraf Allah ka amanatdaar payghumbar hun.

26.144 To tum Allah say daro aur mera kaha mano.

26.145 Mein iss per tum say koi ujrat nahi mangta meri ujrat to bus perwerdigar-e-aalam per hi hai.

26.146 Kiya inn cheezon mein jo yahan hain tum aman kay sath chor diye jao gay.

26.147 Yaani inn baghon aur inn chashmon.

26.148 Aur inn kheton aur inn khajooron kay baghon mein jin kay shagoofay naram-o-nazuk hain.

26.149 Aur tum paharon ko taraash taraash ker pur takalluf makannat bana rahey ho.

26.150 Pus Allah say daro aur meri ita’at kero.
http://qurantube.blogspot.com/

26.151 Bey baak hadd say guzar janey walon ki ita’at say baaz aajao.

26.152 Jo mulk mein fasad phela rahey hain aur islah nahi kertay.

26.153 Woh bolay kay bus tu unn mein say hai jin per jadoo ker diya gaya hai.

26.154 Tu to hum jaisa insan hai. Agar tu sachon say hai to koi moajza ley aa.

26.155 Aap ney farmaya yeh hai oontni pani peenay ki aik bari iss ki aur aik muqarrar din ki bari pani peenay ki tumhari.

26.156 (khabardar!) issay buraee say hath na lagana werna aik baray bhari din ka azab tumhari girift ker ley ga.

26.157 Phir bhi enhon ney uss ki koonchen kaat daalen bus woh pasheymaan hogaye.

26.158 Aur azab ney unhen aa dabocha. Be-shak iss mein ibrat hai. Aur inn mein say aksar log momin na thay.

26.159 Aur be-shak aap ka rab bara zabardast aur meharbaan hai.

26.160 Qom-e-loot ney bhi nabiyon ko jhutlaya.
http://qurantube.blogspot.com/


26.161 Unn say unn kay bhai loot (alh-e-salam) ney kaha kiya tum Allah ka khof nahi rakhtay?

26.162 Mein tumhari taraf amanatdaar rasool hun.

26.163 Pus tum Allah Taalaa say daro aur meri ita’at kero.

26.164 Mein tum say iss per koi badla nahi maangta mera ajar to sirf Allah Taalaa per hai jo tamam jahaan ka rab hai.

26.165 Kiya tamam jahaan walon mein say mardon kay sath shehwat raani kertay ho.

26.166 Aur tumahri jin aurton ko Allah Taalaa ney tumhara jora banaya hai unn ko chor detay ho bulkay tum ho hi hadd say guzar janey walay.

26.167 Unhon ney jawab diya kay aey loot! Agar tu baaz na aaya to yaqeenan nikal diya jayega.

26.168 Aap ney farmaya mein tumharay kaam say sakht na khush hun.

26.169 Meray perwerdigar! Mujhay aur meray gharaney ko iss (wabal) say bacha ley jo yeh kertay hain.

26.170 Pus hum ney ussay aur uss kay mutalaqqeen ko sab ko bacha liya.
http://qurantube.blogspot.com/


26.171 Ba-juz aik burhiya kay kay woh peechay reh jaaney walon mein ho gaee.

26.172 Phir hum ney baqi aur sab ko halak ker diya.

26.173 Aur hum ney unn per aik khas qisam ka meenh barsaya pus boht hi bura meenh tha jo daraye gaye logon per barsa.

26.174 Yeh majra bhi sirasir ibrat hai. Inn mein say bhi aksat musalman na thay.

26.175 Be-shak tera perwerdigar wohi hai ghalbay wala meharbaani wala.

26.176 Aeeka walon ney bhi rasoolon ko jhutlaya.

26.177 Jabkay inn say shoaib (alh-e-salam) ney kaha kay kiya tumhen darr khof nahi?

26.178 Mein tumhari tarah amanatdaar rasool hun.

26.179 Allah ka khof khao aur meri farmanbardari kero.

26.180 Mein iss per tum say koi ujrat nahi chahata mera ajar tamam jahaano kay paalney walay kay pass hai.
http://qurantube.blogspot.com/

26.181 Naap poora bhara kero kum denay walon mein shamooliyat na kero.

26.182 Aur seedhi sahih tarazoo say tola kero.

26.183 Logon ko unn ki cheezen kami say na do bey baki kay sath zamin mein fasad machatay na phiro.

26.184 Uss Allah ka khof rakho jiss ney khud tumhen aur agli makhlooq ko peda kiya hai.

26.185 Unhon ney kaha tu to unn mein say hai jin per jadoo ker diya jata hai.

26.186 Aur tu to hum hi jaisa aik insan hai aur hum to tujhay jhoot bolney walon mein say hi samajhtay hain.

26.187 Agar tum sachay logon mein say hai to hum per aasaman kay tukray gira dey.

26.188 Kaha kay mera rab khoob jannay wala hai jo kuch tum ker rahey ho.

26.189 Chunkay unhon nay issay jhutlaya to unhen saaibaan walay din kay azab ney pakar liya. Woh baray bhari din ka azab tha.

26.190 Yaqeena iss mein bari nishani hai aur inn mein kay aksar musalman na thay.
http://qurantube.blogspot.com/


26.191 Aur yaqeenan tera perwerdigar albatta wohi hai ghalbay wala merharbani wala.

26.192 Aur be-shak-o-shuba yeh (quran) rab-ul-aalameen ka nazil farmaya hua hai.

26.193 Issay amanatdaar farishta ley ker aaya hai.

26.194 Aap kay dil per utra hai kay aap aagah ker denay walon mein say ho jayen.

26.195 Saaf arabi zaban mein.

26.196 Aglay nabiyon ki kitabon mein bhi iss quran ka tazkarah hai.

26.197 Kiya enhen yeh nishani kafi nahi kay haqqaniyat quran ko to bani-israeel kay ulamaa bhi jantay hain.

26.198 Aur agar hum issay kissi ajami shaks per nazil farmatay.

26.199 Pus woh inn kay samney iss ki tilawat kerta to yeh issay bawar kerney walay na hotay.

26.200 Issi tarah hum ney gunehgaron kay dilon mein iss inkar ko dakhil ker diya hai.
http://qurantube.blogspot.com/

26.201 Woh jab tak dard-naal azabon ko mulahiza na kerlen emaan na layen gay.

26.202 Pus woh azab unn ko na gahan aajaye ga unhen iss ka shaoor bhi na hoga.

26.203 Uss waqt kahen gay kiya humen kuch mohlat di jayegi?

26.204 Pus kiya yeh humaray azab ki jaldi macha rahey hain?

26.205 Acha yeh bhi batao kay agar hum ney enhen kaee saal bhi faeeda uthaney diya.

26.206 Phir enhen woh azab aa laga jin say yeh dhamkaye jatay thay.

26.207 To jo kuch bhi yeh barattay rahey iss mein say kuch bhi faeeda na phoncha sakay ga.

26.208 Hum ney kissi basti ko halak nahi kiya hai magar issi haal mein kay uss kay liye daraney walay thay.

26.209 Naseehat kay tor per aur hum zulm kerney walay nahi hain.

26.210 Iss quran ko shetan nahi laye.
http://qurantube.blogspot.com/


26.211 Aur na woh iss qabil hain na unhen iss ki taqat hai.

26.212 Bulkay woh to sunnay say bhi mehroon ker diye gaye hain.

26.213 Pus tu Allah kay sath kissi aur mabood ko na pukar kay tu bhi saza paney walon mein say ho jaye.

26.214 Apnay qareebi rishtay walon ko dara dey.

26.215 Uss kay sath farotni say paisa aa jo bhi emaan laaney wala ho ker teri tabey daari keray.

26.216 Agar yeh log teri na farmani keren to tu elaan ker dey kay mein inn kamon say beyzaar hun jo tum ker rahey ho.

26.217 Apna poora bharosa ghalib meharbaan Allah per rakh.

26.218 Jo tujhay dekhta rehta hai jabkay tu khara hota hai.

26.219 Aur sajda kerney walon kay darmiyan tera ghoomna phirna bhi.
http://qurantube.blogspot.com/

26.220 Woh bara hi sunnay wala aur khoob jannay wala hai.

26.221 Kiya mein tumhen bataon kay shetan kiss per utartay hain.

26.222 Woh her aik jhootay gunehgaar per utartay hain.

26.223 (uchat’ti) hui suni sunaee phoncha detay hain aur inn mein say aksar jhootay hain.

26.224 Shaeeron ki pairwee woh kertay hain jo behkay huye hon.

26.225 Kiya aap ney nahi dekha kay shaeer aik aik bayabaan mein sir takratay phirtay hain.

26.226 Aur woh kehtay hain jo kertay nahi.

26.227 Siwaye unn kay jo emaan laye aur nek amal kiye aur ba-kasrat Allah Taalaa ka ziker kiya aur apni mazloomi kay baad intiqam liya jinhon ney zulm kiya hai woh bhi abhi jaan len gay kay kiss kerwat ulat’tay hain.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Namal 27
(Sura-Namal Makka mai Nazil hui, is mai teranway (93) Aayatain hain)


27.01 Tua-Seen yeh aayaten hain quran ki (yani wazeh) aur roshan kitab ki.

27.02 Hidayat aur khushkhabri emaan walon kay liye.

27.03 Jo namaz qaeem kertay hain aur zakat ada kertay hain aur aakhirat per yaqeen rakhtay hain.

27.04 Jo log qayamat per emaan nahi latay hum ney unhen unn kay kartoot zeenat daar ker dikhaye hain pus woh bhataktay phirtay hain.

27.05 Yehi log hain jin kay liye bura azab hai aur aakhirat mein bhi woh sakht nuksan yaafta hain.

27.06 Be-shak aap ko Allah hakeem-o-aleem ki taraf say quran sikhaya ja raha hai.

27.07 (yaad hoga) jab musa (alh-e-salam) ney apnay ghar walon say kaha mein ney aag dekhi hai mein wahan say ya to koi khabar ley ker ya aag ka koi sulagta hua angara ley ker abhi tumharay pass aajaonga takay tum seenk taap kerlo.

27.08 Jab wahan phonchay to aawaz di gaee kay ba-barkat hai woh jo iss aag mein hai aur barkat diya gaya hai woh jo uss kay aas pass hai aur pak hai Allah jo tamam jahano ka palney wala hai.

27.09 Musa! Sunn baat yeh hai kay mein hi Allah hun ghalib ba-hikmat.

27.10 Tu apni laathi daal dey musa ney jab ussay hilta julta dekha iss tarah kay goya woh aik saanp hai to mun moray huye peeth pher ker bhagay aur palat ker bhi na dekha aey musa! Khof na kha meray huzoor mein payghumber dara nahi kertay.
http://qurantube.blogspot.com/

27.11 Lekin jo log zulm keren phir uss kay ewaz neki keren uss buraee kay peechay to mein bhi bakshney wala meharbaan hun.

27.12 Aur apna hath apney girbaan mein daal woh safaid chamkeela hoker niklay ga baghair kissi aib kay tu no nishaniyan ley ker firaon aur uss ki qom ki taraf jaa yaqeenan woh bad-kaaron ka giroh hai.

27.13 Pus jab unn kay pass aankhen khol denay walay humaray moajzzay phonchay to woh kehney lagay yeh to sareeh jadoo hai.

27.14 Unhon ney inkar ker diya halankay unn kay dil yaqeen ker chukay thay sirf zulm aur takabbur ki bina per. Pus dekh lijiye kay inn fitna perdaaz logon ka anjam kaisa kuch hua.

27.15 Aur hum ney yaqeenan dawood aur suleman ko ilm dey rakha thaaur dono ney kaha tareef uss Allah kay liye hai jiss ney humen apnay boht say emaan daar bandon per fazeelat ata farmaee hai.

27.16 Aur dawood kay waris suleman huye aur kehney lagay logo! Humen perindon ki boli sikhaee gaee hai aur hum sab kuch mein say diye gaye hain. Be-shak yeh bilkul khula hua fazal-e-elahee hai.

27.17 Suleman kay samney unn kay tamam lashkar jinnaat aur insan aur perind mein say jama kiye gaye (her her qisam ki) alag alag darja bandi kerdi gaee.

27.18 Jab woh chewuntiyon kay maidan mein phonchay to aik chewunti ney kaha aey chewuntiyon! Apnay apnay gharon mein ghus jao aisa na ho kay bey khabri mein suleman aur uss ka lashkar tumhen rond dalay.

27.19 Uss ki iss baat per suleman muskura ker hans diye aur dua kerney lagay kay aey perwerdigaar! Tu mujhay tofiq dey kay mein teri inn nematon ka shukar baja laaon jo tu ney mujh per inam ki hain aur meray maa baap per aur mein aisay nek amal kerta rahon jin say tu khush rahey mujhay apni rehmat say nek bandon mein shamil kerlay.

27.20 Aap ney paerindon ka jaeeza liya aur farmaney lagay yeh kiya baat hai kay mein hud hud ko nahi dekhta? Kiya waqaee woh ghair hazir hai?
http://qurantube.blogspot.com/


27.21 Yaqeenan mein ussay sakht saza doon ga ya ussay zibah ker daloon ga ya meray samney koi sareeh daleel biyan keray.

27.22 Kuch ziyada dare na guzri thi kay aaker uss ney kaha mein aik aisi cheez ki khabar laya hun kay tujhay uss ki khabar hi nahi mein saba ki aik sachi khabar teray pass laya hun.

27.23 Mein ney dekha kay unn ki badshaat aik aurat ker rahi hai jissay her qisam ki cheez say kuch na kuch diya gaya hai aur uss ka takht bhi bari azmat wala hai.

27.24 Mein ney ussay aur uss ki qom ko Allah Taalaa ko chor ker sorraj ko sajda kertay huye paya shetan ney unn kay kaam unhen bhalay ker kay dikhla ker sahih raah say rok diya hai pus woh hidayat per nahi aatay.

27.25 Kay ussi Allah kay liye sajday keren jo aasmano aur zaminon ki posheeda cheezon ko bahir nikalata hai aur jo kuch tum chupatay ho aur zahir kertay ho woh sab kuch janta hai.

27.26 Uss kay siwa koi mabood bar-haq nahi wohi azmat walay arsh ka malik hai.

27.27 Suleman ney kaha abb hum dekhen gay kay tu ney sach kaha hai ya tu jhoota hai.

27.28 Meray iss khat ko ley ja ker unhen dey dey phir unn kay pass say hut aa aur dekh kay woh kiya jawab detay hain.

27.29 Woh kehney lagi aey sardaro! Meri taraf aik ba-wuqa’at khat daala gaya hai.

27.30 Jo suleman ki taraf say hai aur jo bakhsish kerney walay meharbaan Allah kay naam say shuroo hai.
http://qurantube.blogspot.com/


27.31 Yeh kay tum meray samney sirkashi na kero aur musalman bann ker meray pass aajao.

27.32 Uss ney kaha aey meray sardaro! Tum meray iss moamlay mein mujhay mashwara do. Mein kissi amar ka qataee faisla jab tak tumhari mojoodgi aur raye na ho nahi kiya kerti.

27.33 Inn sab ney jawab diya kay hum taqat aur qooat walay sakht bhirney walay hain. Aagay aap ko ikhtiyar hai aap khud hi soch lijiye kay humen aap kiya kuch hukum farmati hain.

27.34 Uss ney kaha badshah jab kissi basti mein ghustay hain to ussay ujaar detay hain aur wahan kay ba-izzat logon ko zaleel ker detay hain. Aur yeh log bhi aisa hi keren gay.

27.35 Mein unhen aik hadiya bhejney wali hun phir dekh loon gi kay qasid kiya jawab ley ker lot’tay hain.

27.36 Pus jab qasid hazrat suleman kay pass phoncha to aap ney farmaya kiya tum maal say mujhay madad lena chahatay ho? Mujhay to meray rab ney iss say boht behtar dey rakha hai jo uss ney tumhen diya hai pus tum hi apnay tohfay say khush raho.

27.37 Jaa unn ki taraf wapis lot jaa hum unn (kay muqablay) per woh lashkar layen gay jin kay samney parney ki unn mein taqat nahi aur hum unhen zaleel-o-pust ker kay wahan say nikal bahir keren gay.

27.38 Aap ney farmaya aey sardaro! Tum mein koi hai jo unn kay musalman ho ker phonchney say pehlay hi uss ka takht mujhay laa dey.

27.39 Aik qavi hekal jinn kehney laga aap apni majlis say uthen uss say pehlay mein ussay aap kay pass laa deta hun yaqeen maniye kay mein iss per qadir hun aur hun bhi amanat daar.

27.40 Jiss kay pass kitab ka ilm tha woh bol utha kay aap palak jhapkayen uss say bhi pehlay mein ussay aap kay pass phoncha sakta hun. Jab aap ney ussay apnay pass mojood paya to farmaney lagay yehi meray rab ka fazal hai takay woh mujhay aazmaye kay mein shukar guzari kerta hun aur jo na shukri keray to mera perwerdigar (bay perwa aur buzurg) ghani aur kareem hai.
http://qurantube.blogspot.com/

27.41 Hukum diya kay iss kay takht mein kuch pher badal kerdo takay maloom hojaye kay yeh raah paa leti hai ya unn mein say hoti hai jo raah nahi patay.

27.42 Phir jab woh aagaee to uss say kaha (daryaft kiya) gaya kay aisa hi tera (bhi) takht hai? Uss ney jawab diya kay yeh goya wohi hai humen iss say pehlay hi ilm diya gaya tha aur hum musalman thay.

27.43 Ussay unhon ney rok rakha tha jin ki woh Allah kay siwa perastish kerti rahi thi yaqeenan woh kafir logon mein say thi.

27.44 Uss say kaha gaya kay mehal mein chali jao jissay dekh ker yeh samajh ker kay yeh hoz hai uss ney apni pindliyan khol din farmay yeh to seeshay say mundhi hui emaarat hai kehnay lagi aey meray perwerdigar! Mein ney apnay aap per zulm kiya. Abb mein suleman kay sath Allah rab-ul-aalameen ki mootiy aur farmanbardaar banti hun.

27.45 Yaqeenan hum ney samood ki taraf unn kay bhai saleh ko bheja kay tum sab Allah ki ibadat kero phir bhi woh do fareeq bann ker aapas mein larney jhagarney lagay.

27.46 Aap ney farmaya aey meri qom kay logo! Tum neki say pehlay buraee ki jaldi kiyon macha rahey ho? Tum Allah Taalaa say istaghfaar kiyon nahi kertay takay tum per reham kiya jaye.

27.47 Woh kehnay lagay hum to teri aur teray sathiyon ki bad-shagooni ley rahey hain? Aap ney farmaya tumhari bad-shagooni Allah kay haan hai bulkay tum fitney mein paray huye log ho.

27.48 Uss shehar mein no sardar thay jo zamin mein fasad phelatay rehtay thay aur islaah nahi kertay thay.

27.49 Unhon ney aapas mein bari qasmen kha kha ker ehad kiya kay raat hi ko saleh aur uss kay ghar walon per hum chapa maaren gay aur uss kay warison say saaf keh den gay kay hum uss kay ehal ki halakat kay waqt mojood na thay aur hum bilkul sachay hain.

27.50 Unhon ney makar (khufiya tadbeer) aur hum ney bhi aur woh issay samajhtay hi na thay.
http://qurantube.blogspot.com/

27.51 (abb) dekh ley unn kay makar ka anjam kaisa kuch hua? Kay hum ney unn ko aur unn ki qom ko sab ko ghaarat ker diya.

27.52 Yeh hain unn kay makanaat jo unn kay zulm ki waja say ujray paray hain jo log ilm rakhtay hain unn kay liye iss mein bari nishani hai.

27.53 Hum ney unn ko jo emaan laye thay aur perhezgaar thay baal baal bacha liya.

27.54 Aur loot ka (zikar ker) jabkay uss ney apni qom say kaha kay kiya bawajood dekhney bhalney kay phir bhi tum bad-kaari ker rahey ho?

27.55 Yeh kiya baat hai kay tum aurton ko chor ker mardon kay pass shewat say aatay ho? Haq yeh hai kay tum bari hi nadani ker rahey ho.

27.56 Qom ka jawab ba-juz iss kehnay kay aur kuch na tha kay aal-e-loot ko apnay shehar say shahar badar kerdo yeh to baray pak baaz bann rahey hain.

27.57 Pus hum ney ussay aur uss kay ehal ko ba-juz uss ki biwi kay sab ko bacha liya uss ka andaza to baqi reh janey walon mein hum laga hi chukay thay.

27.58 Aur unn per aik (khas qisam ki) barish barsa di pus unn dhamkaye huye logon per buri barish hui.

27.59 Tu keh dey kay tamam tareef Allah hi kay liye hai aur uss kay bar-gazeeda bandon per salam hai. Kiya Allah Taalaa behtar hai ya woh jinhen yeh log shareek thera rahey hain.

No comments:

Post a Comment

Adbox