Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 12

Parah-Wama-Min-Daabbatin 12

Surat-Hood 11
(Sura-Hood Makka mai Nazil hui, is mai aikso-taees (123) Aayatain hain)


11.06 Zamin per chlaney phirney walay jitney jaandaar hain sab ki roziyan Allah Taalaa per hain wohi unn kay rehney sehney ki jagah ko janta hai aur unn kay sonpay janey ki jagah ko bhi sab kuch wazeh kitab mein mojood hai.

11.07 Allah hi woh hai jiss ney cheh din mein aasman-o-zamin ko peda kiya aur uss ka arsh pani per tha takay woh tumhen aazmaye kay tum mein say achay amal wala kaun hai agar aap inn say kahen kay tum log marney kay baad utha kharay kiye jaogay to kafir log palat ker jawab den gay kay yeh to nira saaf saaf jadoo hi hai.

11.08 Aur agar hum inn say azab ko gini chuni muddat tak kay liye peechay daal den to yeh zarror pukar uthen gay kay azab ko kaun si cheez rokay huye hai suno! Jiss din woh inn kay pass aayega phir inn say talney wala nahi phir to jiss cheez ki hansi ura rahey thay woh enhen gher ley gi.

11.09 Agar hum insan ko apni kissi nemat ka zaeeqa chakha ker phir ussay iss say ley len to boht hi na umeed aur bara hi na shukra bann jata hai.

11.10 Aur agar hum ussay koi nemat chakhayen iss sakhti kay baad jo ussay phonch chuki thi wo woh kehney lagta hai kay bus buraiyan mujh say jati rahin yaqeenan woh bara hi itraney wala shekhi khor hai.
http://qurantube.blogspot.com/

11.11 Siwaye unn kay jo sabar kertay hain aur nek kaamon mein lagay rehtay hain, enhi logon kay liye bakhsish bhi hai aur boht bara nek badla bhi.

11.12 Pus shayad kay aap iss wahee kay kissi hissay ko chor deney walay hain jo aap ki taraf nazil ki jati hai aur iss say aap ka dil tang hai sirf inn ki iss baat per kay iss per koi khazana kiyon nahi utra? Ya iss kay sath koi farishta hi aata sunn lijiye! Aap to sirf daraney walay hi hain aur her cheez ka zimmay daar Allah Taalaa hai.

11.13 Kiya yeh kehtay hain kay iss quran ko issi ney gharha hai jawab dijiye kay phir tum bhi issi ju misil das surten ghari hui ley aao aur Allah kay siwa jissay chahao apney sath bula bhi lo agar tum sachay ho.

11.14 Phir agar woh tumhari iss baat ko qabool na keren to tum yaqeen say jaan lo kay yeh quran Allah kay ilm kay sath utara gaya hai aur yeh kay Allah kay siwa koi mabood nahi pus kiya tum musalman hotay ho?

11.15 Jo shaks duniya ki zindagi aur iss ki zeenat per farifta hua chahata ho hum aison ko unn kay kul aemaal (ka badla) yahin bharpoor phoncha detay hain aur yahan enhen koi kami nahi ki jati.

11.16 Haan yehi woh log hain jin kay liye aakhirat mein siwaye aag kay aur kuch nahi aur jo kuch enhon ney yahan kiya hoga wahan sab ikarat hai aur jo kuch inn kay aemaal thay sab barbad honey walay hain.

11.17 Kiya woh shaks jo apney rab kay pass ki daleel per ho aur uss kay sath Allah ki taraf gawah ho aur iss say pehlay musa ki kitab (gawah ho) jo paishwa aur rehmat hai (auron kay barabar ho sakta hai?). yehi log hain jo iss per eman rakhtay hain aur tamam firqon mein say jo bhi iss ka munkir ho uss kay aakhri waday ki jagah jahannum hai pus tu iss mein kissi qisam kay shubay mein na reh yaqeenan yeh teray rab ki janib say sirasir bar haq hai lekin aksat log eman laney walay nahi hotay.

11.18 Uss say barh ker zalim kaun hoga jo Allah per jhoot banadhay aur yeh log apney perwerdigar kay samney paish kiye jayen gay aur saray gawan kahen gay kay yeh woh log hain jinhon ney apney perwerdigar per jhoot bandha khabaradar ho kay Allah ki laanat hai zalimon per.

11.19 Jo Allah ki raah say roktay hain aur iss mein kuji talash ker letay hain. Yehi aakhirat kay munkir hain.

11.20 Na yeh log duniya mein Allah ko hara sakay aur na inn ka koi himayati Allah kay siwa hua inn kay liye azab dugna kiya jayega na yeh sunnay ki taqat rakhtay thay aur na yeh dekhtay hi thay.
http://qurantube.blogspot.com/

11.21 Yehi hain jinhon ney apna nuksan aap ker liya aur woh sab kuch inn say kho gaya jo enhon ney gharr rakha tha.

11.22 Be-shak yehi log aakhirat mein ziyan kaar hongay.

11.23 Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi nek kiye aur apney paalney walay ki taraf jhuktay rahey wohi jannat mein janey walay hain jahan woh hamesha hi rehney walay hain.

11.24 Inn dono firqon ki misal andhay behray aur dekhney sunnay walay jaisi hai. Kiya yeh dono misal mein barabar hain? Kiya phir bhi tum naseehat hasil nahi kertay?

11.25 Yaqeenan hum ney nooh (alh-e-salam) ko uss ki qom ki taraf rasool bana ker bheja kay mein tumhen saaf saaf hoshiyar ker denay wala hun.

11.26 Kay tum sirf Allah hi ki ibadat kero mujhay to tum per dard naak din kay azab ka khof hai.

11.27 Uss ki qom kay kafiron kay sardaron ney jawab diya kay hum to tujhay apnye jaisa insan hi dekhtay hain aur teray tabeydaron ko bhi hum dekhtay hain kay yeh log wazeh tor per siwaye neech logon kay aur koi nahi jo bey sochay samajhay (tumhari pairwi ker rahey hain) hum to tumhari kissi qisam ki bartari apney upper nahi dekh rahey bulkay hum to tumhen jhoota samajh rahey hain.

11.28 Nooh ney kaha meri qom walo! Mujhay batao to agar mein apney rab ki taraf say kissi daleel per hua aur mujhay uss ney apney pass ki koi rehmat ata ki ho phir woh tumhari nigahon mein na aaee to kiya zabardasti mein ussay tumharay galay mandh doon halankay tum iss say bey zaar ho.

11.29 Meri qom walo! Mein tum say iss per koi maal nahi maangta. Mera sawab to sirf Allah Taalaa kay haan hai na mein eman walon ko apnay pass say nikal sakta hun unhen apney rab say milna hai lekin mein dekhta hun kay tum log jahalat ker rahey ho.

11.30 Meri qom kay logo! Agar mein inn mominon ko apney pass say nikal doon to Allah kay muqablay mein meri madad kaun ker sakta hai? Kiya tum kuch bhi naseehat nahi pakartay.
http://qurantube.blogspot.com/

11.31 Mein tum say nahi kehta kay meray pass Allah kay khazaney hain (suno!) mein ghaib ka ilm bhi nahi rakhta na mein yeh kehta hun kay mein koi farishta hun na mera yeh qol hai kay jin per tumhari nigahen zillat say parr rahi hain unhen Allah Taalaa koi nemat dey ga hi nahi inn kay dil mein jo hai ussay Allah hi khoob janta hai agar mein aisi baat kahon to yaqeenan mera shumar zalimon mein ho jaye ga.

11.32 (Qom kay logon ney) kaha aey nooh! Tu ney hum say behas ker li. Abb tu jiss cheez say humen dhamka raha hai wohi humaray pass ley aa agar tu sachon mein hai.

11.33 Jawab diya kay ussay bhi Allah Taalaa hi laye ga agar woh chahaye aur haan tum ussay haraney walay nahi ho.

11.34 Tumhen meri khair khuaee kuch bhi nafa nahi dey sakti go mein kitni hi tumhari khair khuaee kiyon na chahaon ba-shart-e-kay Allah ka irada tumhen gumrah kerney ka ho wohi tum sab ka perwerdigar hai aur ussi ki taraf tum lotaye jaogay.

11.35 Kiye yeh kehtay hain kay issay khud issi nay gharr liya hai? To jawab dey kay agar mein ney issay gharr liya ho mera gunah mujh per hai aur mein unn gunhaon say bari hun jo tum ker rahey ho.

11.36 Nooh ki taraf wahee bheji gaee kay teri qom mein sa yjo eman laa chukay unn kay siwa aur koi abb eman laye ga hi nahi pus tu inn kay kaamon per ghumgeen na ho.

11.37 Aur aik kashti humari aankhon kay samney aur humari wahee say tayyar ker aur zalimon kay baray mein hum say koi baat cheet na ker woh pani mein dobo diye janey walay hain.

11.38 Woh (nooh) kashti bananey lagay unn ki qom kay jo sardar unn ka pass say guzartay woh unn ka mazaq uratay woh kehtay agar tum humara mazaq uratay ho to hum bhi tum per aik din hansen gay jaisay tum hum per hanstay ho.

11.39 Tumhen boht jald maloom hojaye ga kay kiss per azab aata hai jo ussay ruswa keray aur uss per hameshgi ki saza utar aaye.

11.40 Yahan tak kay jab humara hukum aa phoncha aur tanoor ubalney laga hum ney kaha kay iss kashti mein her qisam kay (jaandaron mein say) joray (yani) do (janwar aik nurr aur aik mada) sawar kera ley aur apney ghar kay logon ko bhi siwaye unn kay jin per pehlay say baat parr chuki hai aur sab eman walon ko bhi uss kay sath eman laney walay boht hi kum thay.
http://qurantube.blogspot.com/

11.41 Nooh (alh-e-salam) ney kaha iss kashti mein beth jao Allah hi kay naam say iss ka chalna aur theharna hai yaqeenan mera rab bari bakhsish aur baray reham wala hai.

11.42 Woh kashti unhen paharon jaisi mojon mein ley ker jaa rahi thi aur nooh (alh-e-salam) ney apney larkay ko jo aik kinaray per tha pukar ker kaha aey meray piyaray bachay humaray sath sawar hoja aur kafiron mein shamil na reh.

11.43 Uss ney jawab diya kay mein to kissi baray pahar ki taraf panah mein aajaon ga jo mujhay pani say bacha ley ga nooh (alh-e-salam) ney kaha aaj Allah kay amar say bachaney wala koi nahi sirf wohi bachen gay jin per Allah ka reham hua. Ussi waqt unn dono kay darmiyan moj haeel hogaee aur woh dobney walon mein say ho gaya.

11.44 Farma diya gaya kay aey zamin apney pani ko nigal jaa aur aey aasman bus ker thum jaa ussi waqt pani sukha diya gaya aur kaam poora ker diya gaya aur kashti “jodi” naami pahar per jaa lagi aur farma diya gaya kay zalim logon per laanat nazil ho.

11.45 Nooh (alh-e-salam) ney apney larkay ko pukara aur kaha kay meray rab mera beta to meray ghar walon mein say hai yaqeenan tera wada bilkul sacha hai aur tum tamam hakimon say behtar haakim hai.

11.46 Allah Taalaa ney farmaya aey nooh yaqeenan woh teray gharaney say nahi hai uss kay kaam bilkul hi na shaista hain tujhay hergiz woh cheez na maangni chahaiye jiss ka tujhay mutlaqan ilm na ho mein tujhay naseehat kerta hun kay tu jahilon mein say apna shumar keraney say baaz rahey.

11.47 Nooh ney kaha meray paalanhaar mein teri hi panah chahata hun uss baat say kay tujh say woh maangoon jiss ka mujhay ilm hi na ho agar tu mujhay na bakhshay ga aur tu mujh per reham na farmaye ga to mein khasara paaney walon mein hojaonga.

11.48 Farma diya gaya kay aey nooh! Humari janib say salamti aur unn barkaton kay sath utar jo tujh per hain aur teray sath ki boht si jamaton per aur boht si woh ummaten hongi jinhen hum faeeda to zaroor phonchayen gay lekin phir unhen humari taraf say dard naak azab phonchay ga.

11.49 Yeh khabren ghaib ki khabron mein say hain jin ki wahee hum aap ki taraf kertay hain enhen iss say pehlay aap jantay thay aur na aap ki qom iss liye aap sabar kertay rahiye yaqeen maniye kay anjam kaar perhezgaron kay liye hi hai.

11.50 Aur qom-e-aad ki taraf inn kay bhai hood ko bheja uss ney kaha meri qom walo! Allah hi ki ibadat kero uss kay siwa tumhara koi mabood nahi tum to sirf bohtaan bandh rahey ho.
http://qurantube.blogspot.com/

11.51 Aey meri qom! Mein tum say iss ki koi ujrat nahi maangta mera ajar uss kay zimmay hai jiss ney mujhay peda kiya hai to kiya phir bhi tum aqal say kaam nahi letay.

11.52 Aey meri qom kay logo! Tum apney paalney walay say apni taqseeron ki moafi talab kero aur uss ki janib mein toba kero takay woh barasney walay badal tum per bhej dey aur tumahri taqat per aur taqat qooat barha dey aur tum jurum kertay huye roo gardani na kero.

11.53 Unhon ney kaha aey hood! Tu humaray pass koi daleel to laya nahi aur hum sirf teray kehney say apney maboodon ko chorney walay nahi aur na hum tujh per eman laney walay hain.

11.54 Bulkay hum to yehi kehtay hain kay tu humaray kissi mabood kay buray jhaptay mein aagaya hai. Uss ney jawab diya kay mein Allah ko gawah kerta hun aur tum bhi gawah raho kay mein to Allah kay siwa unn sab say bey zaar hun jinhen tum shareek bana rahey ho.

11.55 Acha tum sab mill ker meray khilaf chalen chal lo aur mujhay bilkul mohlat bhi na do.

11.56 Mera bharosa sirf Allah Taalaa per hi hai jo mera aur tum sab ka perwerdigar hai jitney bhi paon dharney walay hain sab ki payshani wohi thamay huye hai. Yaqeenan mera rab bilkul sahih raah per hai.

11.57 Pus agar tum roo garadani kero to kero mein to tumhen woh paygham phonch chuka jo dey ker mujhay tumhari taraf bheja gaya tha. Mera rab tumharya qaeem muqam aur logon ko ker dey ga aur tum uss ka kuch na bigar sakogay yaqeenan mera perwerdigar her cheez per nigehban hai.

11.58 Aur jab humara hukum aa phoncha to hum ney hood ko aur uss kay musalman sathiyon ko apni khas rehmat say nijat ata farmaee aur hum ney unn sab ko sakht azab say bacha liya.

11.59 Yeh thi qom-e-aad jinhon ney apney rab ki aayaton ka inkar kiya aur uss kay rasoolon ki na farmani ki aur her aik sirkash na farman kay hukum ki tabeydari ki.

11.60 Duniya mein bhi inn kay peechay laanat laga di gaee aur qayamat kay din bhi dekh lo qom-e-aad ney apney rab say kufur kiya hood ki qom aad per doori ho.
http://qurantube.blogspot.com/

11.61 Aur qom-e-samood ki taraf unn kay bhai saleh ko bheja uss ney kaha aey meri qom tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa tumahra koi mabood nahi ussi ney tumhen zamin say peda kiya hai aur ussi ney tumhen iss zamin mein basaya hai pus tum uss say moafi talab kero aur uss ki taraf rujoo kero. Be-shak mera rab qarib aur duaon ka qabool kerney wala hai.

11.62 Unhon ney kaha aey saleh! Iss say pehlay to hum tujh say boht kuch umeeden lagaye huye thay kiya tu humen unn ki ibadaton say rok raha hai jinki ibadat humaray baap dada kertay chalay aaye humen to iss deen mein heyran kun shaq hai jiss ki taraf tu humen bula raha hai.

11.63 Iss ney jawab diya kay aey meri qom kay logo! Zara batao to agar mein apney rab ki taraf say kissi mazboot daleel per hua aur uss ney mujhay apney pass ki rehmat ata ki ho phir agar mein ney uss ki na farmani ker li to kaun hai jo uss kay muqablay mein meri madad keray? Tum to mera nuksan hi barha rahey ho.

11.64 Aur aey meri qom walo! Yeh Allah ki bheji hui oontni hai jo tumhary liye aik moajza hai abb tum issay Allah ki zamin mein khati hui chor do aur issay kissi tarah ki eza na phonchao werna fori azab tumhen pakar ley ga.

11.65 Phir bhi inn logon ney iss oontni kay paon kaat dalay iss per saleh ney kaha acha tum apney gharon mein teen teen din tak to reh seh lo yeh wada jhoota nahi hai.

11.66 Phir jab humara farman aa phoncha hum ney saleh ko aur unn per eman laney walon ko apni rehmat say uss say bacha liya aur uss din ki ruswaee say bhi yaqeenan tera rab nihayat nihayat tawana aur ghalib hai.

11.67 Aur zlimon ko baray zor ki chinghar ney aa dabocha phir to woh apney gharon mein ondhay paray huye reh gaye.

11.68 Aisay kay goya woh wahan kabhi abad hi na thay aagah raho kay qom-e-samood ney apney rab say kufur kiya. Sunn lo! Inn samoodiyon per phitkaar hai.

11.69 Aur humaray bhejay huye payghaamber ibrahim kay pass khushkhabri ley ker phonchay aur salam kaha unhon ney bhi jawab-e-salam diya aur baghair kissi takheer kay gaye ka bhuna hua bachra ley aaye.

11.70 Abb jo dekha kay unn kay hath bhi uss ki taraf nahi phonch rahey to unn say ajnabiyat mehsoos ker kay dil hi dil mein unn say khof kerney lagay unhon ney kaha darro nahi hum to qom-e-loot ki taraf bhejay huye aaye hain.
http://qurantube.blogspot.com/

11.71 Iss ki biwi jo khari hui thi woh hans pari to hum ney ussay ishaq ki aur ishaq kay peechay yaqoob ki khushkhabri di.

11.72 Woh kehney lagi haaye meri kum bakhti! Meray haan aulad kaisay hosakti hai mein khud burhiya aur yeh meray khawind bhi boht bari umar kay hain yeh to yaqeenan bari ajeeb baat hai!.

11.73 Farishton ney kaha kiya tu Allah ki qudrat say tajjub ker rahi hai? Tum per aey iss ghar kay logo Allah ki rehmat aur uss ki barkat nazil hon be-shak Allah hamd-o-sana ka saza waar aur bari shaan wala hai.

11.74 Jab ibrahim ka darr khof jata raha aur ussay bisharat bhi phonch chuki to hum say qom-e-loot kay baray mein kehney sunnay lagay.

11.75 Yaqeenan ibrahim boht tahammul walay naram dil aur Allah ki janib jhukney walay thay.

11.76 Aey ibrahim! Iss khayal ko chor dijiye aap kay rab ka hukum aa phoncha hai aur unn per na taalay janey wala azab zaroor aaney wala hai.

11.77 Jab humaray bhejay huye farishtay loot kay pass phonchay to woh inn ki waja say boht ghumgeen hogaye aur dil hi dil mein kurhney lagay aur kehney lagay kay aaj ka din bari musibat ka din hai.

11.78 Aur uss ki qom dorti hui uss kay pass aa phonchi woh to pehlay hi say bad kaariyon mein mubtila thi loot (alh-e-salam) ney kaha aey qom kay logo! Yeh hain meri betiyan jo tumharay liye boht hi pakeeza hain Allah say daro aur mujhay meray mehamnon kay baray mein ruswa na kero. Kiya tum mein say aik bhi bhala aadmi nahi.

11.79 Unhon ney jawab diya kay tu bakhoobi janta hai kay humen to teri betiyon per koi haq nahi hai aur tu humari asli chahat say bakhoobi waqif hai.

11.80 Loot (alh-e-salam) ney kaha kaash kay mujh mein tum say muqabla kerney ki qooat hoti ya mein kissi zabardast ka aasra pakar pata.
http://qurantube.blogspot.com/

11.81 Abb farishton ney kaha aey loot! Hum teray perwerdigar kay bhejay huye hain na mumkin hai kay yeh tujh tak phonch payen pus tu apney ghar walon ko ley ker kuch raat rahey nikal khara ho. Tum mein say kissi ko murr ker bhi na dekhna chahaiye ba-juz teri biwi kay iss liye kay ussay bhi wohi phonchney wala hai jo inn sab ko phonchay ga yaqeenan inn kay waday ka waqt subha ka hai kiya subha bilkul qarib nahi.

11.82 Phir jab humara hukum aa phoncha hum ney uss basti ko zair-o-zabar ker diya upper ka hissa neechay ker diya aur unn per kankreelay pathar barsaye jo teh ba teh thay.

11.83 Teray rab ki taraf say nishan daar thay aur woh inn zalimon say kuch door na thay.

11.84 ur hum ney madiyan walon ki taraf unn kay bhai shoaib ko bhej a uss ney kaha aey meri qom! Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi aur tum naap tol mein bhi kami na kero mein to tumhen aasooda haal dekh raha hun aur mujhay tum per gherney walay din kay azab ka khof (bhi) hai.

11.85 Aey meri qom! Naap tol insaf kay sath poori poori kero logon ko unn ki cheezen kum na do aur zamin main fasad aur kharabi na machao.

11.86 Allah Taalaa ka halal kiya hua jo bach rahey tumharya liye boht hi behtar hai agar tum eman walay ho mein tum per kuch nigehban (aur darogha) nahi hun.

11.87 Unhon ney jawab diya kay aey shoaib! Kiya teri salaat tujhay yehi hukum deti hai kay hum apney baap dadon kay maboodon ko chor den tu to bara hi ba waqar aur nek chalan aadmi hai.

11.88 Kaha aey meri qom! Dekho to agar mein apney rab ki taraf say roshan daleel liye huye hon aur uss ney mujhay apney pass say behtareen rozi dey rakhi hai mera yeh irada bilkul nahi kay tumhara khilaf ker kay khud uss cheez ki taraf jhuk jaon jiss say tmhen rok raha hun meri irada to apni taqat bhar islaah kerney ka hi hai. Meri tofiq Allah hi ki madad say hai ussi per mera bharosa hai aur ussi ki taraf mein rujoo kerta hun.

11.89 Aur aey meri qom (kay logo!) kahin aisa na ho kay tum ko meri mukhalifat unn azabon ka mustahiq bana dey jo qom-e-nooh aur qom-e-hood aur qom-e-saleh ko phonchay hain. Aur qom-e-loot to tum say kuch door nahi.

11.90 Tum apney rab say istaghfaar kero aur uss ki taraf toba kero yaqeen mano kay mera rab bari meharbani wala aur boht mohabbat kerney wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/

11.91 Unhon ney kaha aey shoaib! Teri aksar baaten to humari samajh mein hi nahi aatin aur hum to tujhay apney andar boht kamzor patay hain agar teray qabeelay ka khayal na hota to hum to tujhay sangsaar ker detay aur hum tujhay koi heysiyat wali hasti nahi gintay.

11.92 Enhon ney jawab diya kay aey meri qom kay logo! Kiya tumharay nazdik meray qabeelay kay log Allah say bhi ziyada zee izzat hain tum ney ussay pas-e-pusht daal diya hai yaqeenan mera rab jo kuch tum ker rahey ho sab ko gheray huye hai.

11.93 Aey meri qom kay logo! Abb tum apni jagah amal kiye jao mein bhi amal ker raha hun tumhen un-qarib maloom hojayega kay kiss kay pass woh azab aata hai jo ussay ruswa ker dey aur kaun hai jo jhoota hai. Tum intizar kero mein bhi tumharay sath muntazir hun.

11.94 Jab humara hukum (azab) aa phoncha hum ney shoaib ko aur unn kay sath (tamam) mominon ko apni khas rehmat say nijat bakhshi aur zalimon ko sakht chinghar kay azab ney dhar dabocha jiss say woh apney gharon mein ondhay paray huye hogaye.

11.95 Goya kay woh inn gharon mein kabhi basay hi na thay aagah raho madiyan kay liye bhi waisi hi doori ho jaisi doori samood ko hui.

11.96 Aur yaqeenan hum ney musa ko apni aayaat aur roshan daleelon kay sath bheja tha.

11.97 Firaon aur uss kay sardaron ki taraf phir bhi unn logon ney firaon kay ehkaam ki pairwi ki aur firaon ka koi hukum durust tha hi nahi.

11.98 Woh to qayamat kay din apni qom ka paish roo ho ker unn sab ko dozakh mein jaa khara keray ga woh boht hi bura ghaat hai jiss per laa kharay kiye jayengay.

11.99 Unn per to iss duniya mein bhi laanat chipka di gaee aur qayamat kay din bhi bura inam hai jo diya gaya.

11.100 Bastiyon ki yeh baaz khabren jinhen hum teray samney biyan farma rahey hain inn mein say baaz to mojood hain aur baaz (ki faslen) kat gaee hain.
http://qurantube.blogspot.com/

11.101 Hum ney unn per koi zulm nahi kiya bulkay khud unhon ney ho apney upper zulm kiya aur unhen unn kay maboodon ney koi faeeda na phonchaya jinhen woh Allah kay siwa pukartay thay jabkay teray perwerdigar ka hukum aa phoncha bulkay aur inn ka nuksan hi unhon ney barha diya.

11.102 Teray perwerdiar ki pakar ka yehi tareeqa hai jabkay woh bastiyon kay rehney walay zalimon ko pakarta hai beshak uss ki pakar dukh denay wali aur nihayat sakht hai.

11.103 Yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishan-e-ibrat hai jo qayamat kay azab say dartay hain. Woh din jiss mein sab log jama kiye jayen gay aur woh, woh din hai jiss mein sab hazir kiye jayen gay.

11.104 Issay hum jo multavi kertay hain woh sird aik muddat moyyen tak hai.

11.105 Jiss din woh aajayegi majal na hogi kay Allah ki ijazat kay baghair koi baat bhi kerley so inn mein koi bad bakht hoga aur koi nek bakht.

11.106 Lekin jo bad bakht huye woh dozakh mein hongay wahan cheekhen gay chillayen gay.

11.107 Woh wahin hamesha rehney walay hain jab tak aasman-o-zamin bar qarar rahen siwaye uss waqt kay jo tumhara rab chahaye yaqeenan tera rab jo kuch chahaye ker guzarta hai.

11.108 Lekin jo nek bakht kiye gaye woh jannat mein hongay jahan hamesha rahen gay jab tak aasman-o-zamin baqi rahey magar jo tera perwerdigar chahaye. Yeh bey inteha bakhsish hai.

11.109 Iss liye aap inn cheezon say shak-o-shuba mein na rahen jinhen yeh log pooj rahey hain inn ki pooja to iss tarah hai jiss tarah inn kay baap dadon ki iss say pehlay thi. Hum inn sab ko inn ka poora poora hissa baghair kissi kami kay denay walay hi hain.

11.110 Yaqeenan hum ney musa (alh-e-salam) ko kitab di. Phir iss mein ikhtilaf kiya gaya agar pehlay hi aap kay rab ki baat sadir na hogaee hoti to yaqeenan inn ka faisla ker diya jata enhen to iss mein sakht shuba hai.
http://qurantube.blogspot.com/

11.111 Yaqeenan inn mein say her aik jab unn kay roo baroo jayega to aap ka rab ussay uss kay aemaal ka poora poora badla dey ga. Be-shak woh jo ker rahey hain unn say woh ba khabar hai.

11.112 Pus aap jamay rahiye jaisa kay aap ko hukum diya gaya hai aur woh log bhi jo aap kay sath toba ker chukay hain khabardaar tum hadd say na barhna Allah tumharay aemaal ka dekhney wala hai.

11.113 Dekho zalimon ki taraf hergiz na jhukna werna tumhen bhi (dozakh ki) aag lagg jayegi aur Allah kay siwa aur tumhara madadgar na khara ho sakay ga aur na tum madad diye jaogay.

11.114 Din kay dono siron mein namaz barpa rakh aur raat ki kaee sa’aton mein bhi yaqeenan nekiyan burayion ko door ker deti hain yeh naseehat hai naseehat pakarney walon kay liye.

11.115 Aap sabar kertay rahiye yaqeenan Allah Taalaa neki kerney walon ka ajar zaya nahi kerta.

11.116 Pus kiyon na tum say pehlay zamaney kay logon mein say aisay ehal-e-khair log huye jo zamin mein fasad phelaney say roktay siwaye unn chand kay jinhen hum ney unn mein say nijat di thi zalim log to uss cheez kay peechay parr gaye thay jiss mein unhen aasoodgi di gaee thi aur woh gunehgar thay.

11.117 Aap ka rab aisa nahi kay kissi basti ko zulm say halak ker dey aur wahan kay log neko kaar hon.

11.118 Agar aap ka perwerdigar chahata to sab logon ko aik hi raah per aik giroh ker deta. Woh to barabar ikhtilaf kerney walay hi rahen gay.

11.119 Ba-juz unn per jin per aap ka rab reham farmaye unhen to issi lie peda kiya hai aur aap kay rab ki yeh baat poori hai kay mein jahannum ko jinno aur insanon sab say pur keroon ga.

11.120 Rasoolon kay sab ehwaal hum aap kay samney aap kay dil ki taskeen kay liye biyan farma rahey hain. Aap kay pass iss surat mein bhi haq phonch chuka jo nasihat aur waaz hai mominon kay liye.

11.121 Eman na laney walon say keh dijiye kay tum apney tor per amal kiye jao hum bhi amal mein mashghool hain.

11.122 Aur tum bhi intizar kero aur hum bhi muntazir hain.

11.123 Zaminon aur aasmanon ka ilm-e-ghaib Allah Taalaa hi ko hai tamam moamlaat ka rujoo bhi ussi ki janib hai pus tujhay ussi ki ibadat kerni chahaiye aur ussi per bharosa rakhan chahaiye aur tum jo kuch kertay ho uss say Allah Taalaa bey khabar nahi.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Yousuf 12
(Sura-Yousuf Makka mai Nazil hui, is mai aikso-giyara (111) Aayatain hain)


12.01 Alif-laam-raa yeh roshan kitab ki aayaten hain.

12.02 Yaqeenan hum ney iss quran ko arabi nazil farmaya hai kay tum samajh sako.

12.03 Hum aap kay samney behtareen biyan paish kertay hain iss waja say kay hum ney aap ki janib yeh quran wahee kay zariye nazil kiya hai aur yaqeenan aap iss say pehlay bey khabron mein say thay.

12.04 Jab kay yousuf ney apney baap say ziker kiya kay abba jaan mein ney giyara sitaron ko aur sooraj chand ko dekha kay woh sab mujhay sajda ker rahey hain.

12.05 Yaqoob (alh-e-salam) ney kaha piyaray bachay! Apney iss khuwab ka ziker apney bhaiyon say na kerna. Aisa na ho kay woh teray sath koi fareb kaari keren shetan to insan ka khula dushman hai.

12.06 Aur issi tarah tujhay tera perwerdigar bargazeedah keray ga aur tujhay moamla fehmi (ya khuwabon ki tabeer) bhi sikhaye ga aur apni nemat tujhay bharpoor ata farmaye ga aur yaqoob kay ghar walon ko bhi jaisay kay uss ney iss say pehlay teray dada aur per-dada yani ibrahim-o-ishaq ko bhi bhar poor apni nemat di yaqeenan tera rab boht baray ilm wala aur zabardast hikmat wala hai.

12.07 Yaqeenan yousuf aur uss kay bhaiyon mein daryaft kerney walon kay liye (bari) nishaniyan hai.

12.08 Jabkay unhon ney kaha kay yousuf aur uss ka bhai ba-nisbat humaray baap ko boht ziyada piyaray hain halankay hum (taqatwar) jamat hain koi shak nahi kay humaray abba sareeh ghalati mein hain.

12.09 Yousuf ko to maar hi dalo yaa ussay kissi (na maloom) jagah phenk do kay tumharay walid ka rukh sirf tumhari taraf hi hojaye. Iss kay baad tum nek ho jana.

12.10 Inn mein say aik ney kaha yousuf ko qatal to na kero bulkay ussay kissi andhay koowen (ki teh) mein daal aao kay ussay koi (aata jata) qafila utha ley jaye agar tumhen kerne hi hai to yun kero.
http://qurantube.blogspot.com/

12.11 Unhon ney kaha abba! Aakhir aap yousuf (alh-e-salam) kay baray mein hum per aitbaar kiyon nahi kertay hum to iss kay khair khua hain.

12.12 Kal aap zaroor issay humaray sath bhej dijiye kay khoob khaye piye aur khelay iss ki hifazat kay hum zimmay daar hain.

12.13 (yaqoob alh-e-salam ney) kay issay tumhara ley jana mujhay to sakht sadma dey ga aur mujhay yeh bhi khutka laga rahey ga kay tumhari ghaflat mein issay bheyriya kha jaye.

12.14 Unhon ney jawab diya kay hum jaisi (zor aawar) jamat ki mojoodgi mein bhi agar issay bheyriya kha jaye to hum bilkul nikammay hi huye.

12.15 Phir jab issay ley chalay aur sab ney mill ker thaan liya kay issay ghair abad gehray koowen ki teh mein phenk den hum ney yousuf (alh-e-salam) ki taraf wahee ki kay yaqeenan (waqt aaraha hai kay) tu enhen iss majray ki khabar iss haal mein dey ga kay woh jantay hi na hon.

12.16 Aur isha kay waqt (woh sab) apney baap kay pass rotay huye phonchay.

12.17 Aur kehney lagay kay abba jaan hum to aapas mein dor mein lagg gaye aur yousuf (alh-e-salam) ko hum ney asbaab kay pass chora pus ussay bheyriya kha gaya aap to humari baat nahi manen gay go hum bilkul sachay hi hon.

12.18 Aur yousuf kay kurtay ko jhoot moot kay khoon say khoon aalood bhi ker laye thay baap ney kaha yun nahi bulkay tum ney apney dil hi say aik baat bana li hai. Pus sabar hi behtar hai aur tumahri banaee hui baaton per Allah hi say madad ki talab hai.

12.19 Aur aik qafila aaya aur unhon ney apney pani laney walay ko bheja uss ney apna dol latkaya kehney laga waah waah khushi ki baat hai yeh to aik larka hai unhon ney issay maal-e-tijarat qarar dey ker chupa diya aur Allah Taalaa iss say ba khabar tha jo woh ker rahey thay.

12.20 Aur unhon ney issay boht hi halki qeemat per ginti kay chand dirhamon per hi baich dala woh to yousuf kay baray mein boht hi bey raghbat thay.
http://qurantube.blogspot.com/

12.21 Misir walon mein say jiss ney ussay khareeda tha uss ney apni biwi say kaha issay boht izzat-o-ehtram kay sath rakho boht mumkin hai kay yeh humen faeeda phonchaye ya issay hum apna beta hi bana len yun to hum ney misir ki sir zamin yousuf ka qadam jama diya kay hum ussay khuwab ki tabeer ka kuch ilm sikha den. Allah apney iraday per ghalib hai lekin aksar log bey ilm hotay hain.

12.22 Aur jab (yousuf) pukhtagi ki umar ko phonch gaye hum ney ussay qooat-e-faisla aur ilm diya hum neko karon ko issi tarah badla detay hain.

12.23 Uss aurat ney jiss kay ghar mein yousuf thay yousuf ko behlana phuslana shuroo kiya kay woh apney nafs ki nigrani chor dey aur darwazay band ker kay kehney lagi lo aajao. Yousuf ney kaha Allah ki panah! Woh mera rab hai mujhay uss ney boht achi tarah rakha hai. Bey insafi kerney walon ka bhala nahi hota.

12.24 Uss aurat ney yousuf ki taraf qasad kiya aur yousuf uss ka qasad kertay agar woh apney perwerdigar ki daleel na dekhtay yun hi hua iss wastay kay hum uss say buraee aur bey hayaee door ker den. Be-shak woh humaray chunay huye bandon mein say tha.

12.25 Dono darwazay ki taraf doray aur uss aurat ney yousuf ka kurta peechay ki taraf say kheench ker phaar dala aur darwazay kay pass hi aurat ka shohar dono ko mill gaya to kehney lagi jo shaks teri biwi kay sath bura irada keray bus uss ki saza yehi hai kay ussay qaid ker diya jaye ya aur koi dard naak saza di jaye.

12.26 Yousuf ney kaha yeh aurat hi mujhay phusla rahi thi aur aurat kay qabeelay hi kay aik shaks ney gawahee di kay agar iss ka kurta aagay say phata hua ho to aurat sachi hai aur yousuf jhoot bolney walon mein say hai.

12.27 Aur agar iss ka kurat peechay ki janib say phaara gaya hai aur aurat jhooti hai aur yousuf sachon mein say hai.

12.28 Khawind ney jo dekha kay yousuf ka kurta peeth ki janob say phaara gaya hai to saaf keh diya kay yeh to tum aurton ki chaal baazi hai be-shak tumhari chaal baazi both bari hai.

12.29 Yousuf abb iss baat ko aati jati kero aur (aey aurat) tu apney gunah say toba ker be-shak tu gunehgaron mein say hai.

12.30 Aur shehar ki aurton mein charcha honey laga kay aziz ki biwi apney (jawan) ghulam ko apna matlab nikalney kay liye behlaney phuslaney mein lagi rehti hai inn kay dil mein yousuf ki mohabbat beth gaee hai humaray khayal mein to woh sarreh gumrahi mein hai.
http://qurantube.blogspot.com/


12.31 Iss ney jab unn ki iss pur fareb gheebat ka haal suna to unhen bulwa bheja aur unn kay liye aik majlis muattab ki aur unn mein say her aik ko aik churi di. Aur kaha aey yousuf! Inn kay samney chalay aao inn aurton ney jab ussay dekha to boht bara jana aur apney hath kaat liye aur zaban say nikal gaya kay hasha-lillah! Yeh insan to hergiz nahi yeh to yaqeenan koi boht hi buzurg farishta hai.

12.32 Uss waqt aziz-e-misir ki biwi ney kaha yehi hain jin kay baray mein tum mujhay tanay dey rahi thin mein ney her chand iss say apna matlab hasil kerna chaha lekin yeh baal baal bacha raha aur jo kuch mein iss say keh rahi hun agar yeh na keray ga to yaqeenan yeh qaid ker diya jayega aur be-shak yeh boht hi bey izzat hoga.

12.33 Yousuf (alh-e-salam) ney dua ki kay aey meray perwerdigar! Jiss baat ki taraf yeh aurten mujhay bula rahi hain uss say to mujhay jail khana boht pasand hai agar tu ney inn ka fun fareb mujh say door na kiya to mein to inn ki taraf maeel hojaonga aur bilkul na danon mein ja milon ga.

12.34 Uss kay rab ney uss ki dua qabool kerli aur inn aurton kay dao paich uss say pher diye yaqeenan woh sunnay wala jannay wala hai.

12.35 Phir inn tamam nishaniyon ko dekh lenay kay baad unhen yehi maslehat maloom hui kay yousuf ko kuch muddat kay liye qaid khanay mein rakhen.

12.36 Uss kay sath do aur jawan bhi qaid khanay mein dakhil huye inn mein say aik ney kaha kay mein ney khuwab mein apney aap ko sharab nichortay dekha hai aur doosray ney kaha mein ney apney aap ko dekha hai kay mein apney sir per roti uthaye huye hun jisay parinday kha rahey hain humen aap iss ki tabeer batiye humen to aap khoobiyon walay shaks dikhaee detay hain.

12.37 Yousuf ney kaha tumhen jo khana diya jata hai uss kay tumharay pass phonchney say pehlay hi mein tumhen iss ki tabeer batla doon ga. Yeh sab uss ilm ki badolat hai jo mujhay meray rab ney sikhaya hai mein ney unn logon ka mazhab chor diya hai jo Allah per eman nahi rakhtay aur aakhirat kay bhi munkir hain.

12.38 Mein apney baap dadon kay deen ka paband hun yani ibrahim-o-ishaq aur yaqoob kay deen ka humen hergiz yeh saza waar nahi kay hum Allah Taalaa kay sath kissi ko bhi shareek keren hum per aur tamam aur logon per Allah Taalaa ka yeh khas fazal hai lekin aksar log na shukri kertay hain.

12.39 Aey meray qiad khaney kay sathiyo! Kiya mutafarriq kaee aik perwerdigar behtar hain? Ya aik Allah zabardast taqatwar?

12.40 Uss kay siwa tum jin ko pooja paat ker rahey ho woh sab naam hi naam hain jo tum ney aur tumharay baap dadon ney khud hi gharr liye hain. Allah Taalaa ney inn ki koi daleel nazil nahi farmaee farman-rawaee sirf Allah Taalaa hi ki hai uss ka famaan hai kay rum sab siwaye uss kay kissi aur ki ibadat na kero yehi deen durust hai lekin aksar log nahi jantay.
http://qurantube.blogspot.com/


12.41 Aey meray qaid khaney kay rafiqo! Tum dono mein say aik to apney badshah ko sharab pilaney per muqarrar hojayega lekin doosra sooli per charhaya jayega aur parinday uss ka sir noch noch khayen gay tum dono jiss kay baray mein tehqeeq ker rahey thay uss kaam ka faisla ker diya gaya.

12.42 Aur jiss ki nisbat yousuf ka guman tha kay inn dono mein say yeh choot jayega uss say kaha kay apney badshah say mera ziker bhi ker dena phir ussay shetan ney apney badshah say ziker kerna bhula diya aur yousuf ney kaee saal qaid khaney mein hi kaatay.

12.43 Badshah ney kaha mein ney khuwab mein dekha hai kay saat moti taza farba gayen hain jin ko saat laaghar dubli patli gayen kha rahi hain aur saat baliyan hain hari hari aur doosri saat bilkul khushk. Aey darbariyo! Meray iss khuwab ki tabeer batlao agar tum khuwab ki tabeer dey saktay ho.

12.44 Unhon ney jawab diya kay yeh to urtay uratay pareshan khuwab hain aur aisay shoreedah pareshan khuwabon ki tabeer jannay walay hum nahi.

12.45 Unn do qadiyon mein say jo raha hua tha ussay muddat kay baad yaad aagaya aur kehney laga mein tumhen iss ki tabeer batla doon ga mujhay janay ki ijazat dijiye.

12.46 Aey yousuf! Aey boht baray sachay yousuf! Aap humen iss khuwab ki tabeer batlaiye kay saat moti taza gayen hain jinhen saat dubli patli gayen kha rahi hain aur saat bilkul sabz khoshay hain aur saat hi doosray bhi bilkul khushk hain takay mein wapis jaa ker unn logon say kahon kay woh sab jaan len.

12.47 Yousuf ney jawab diya kay tum saat saal tak pay dar pay lagataar hasb-e-aadat ghalla boya kerna aur fasal kaat ker ussay baaliyon samet hi rehney dena siwaye apney khaney ki thori si miqdaar kay.

12.48 Iss kay baad saat saal nihayat sakht qehat kay aayen gay woh iss ghallay ko kha jayen gay jo tum ney unn kay liye zakheera rakh chora tha siwaye uss thoray say kay jo tum rol rakhtay ho.

12.49 Iss kay baad jo saal aayega uss mein logon per khoob barish barsaee jayegi aur uss mein (sheera-e-angoor bhi) khoob nichoren gay.

12.50 Aur badshah ney kaha yousuf ko meray pass lao jab qasid yousuf kay pass phoncha to enhon ney kaha apney badshah kay pass wapis jaa aur uss say pooch kay unn aurton ka haqeeqi waqiya kiya hai jinhon ney apney hath kaat liye thay? Unn kay heelay ko (sahih tor per) jannay wala mera perwerdigar hi hai.
http://qurantube.blogspot.com/

12.51 Badshah ney poocha aey aurto! Uss waqt ka sahih waqiya kiya hai jab tum dao fareb kerkay yousuf ko uss ki dili manshah say behkana chahati thi unhon ney saaf jawab diya kay maaz Allah hum ney yousuf mein koi buraee nahi paee phir to aziz ki biwi bhi bol uthi kay abb to sachi baat nithar aaee. Mein ney hi ussay warghalaya tha uss kay ji say aur yaqeenan woh sachon mein say hai.

12.52 (yousuf alh-e-salam ney kaha) yeh iss wastay kay (aziz) jaan ley kay mein ney uss ki peeth peechay uss ki khayanat nahi ki aur yeh bhi kay Allah dagha baazon kay hathkanday chalney nahi deta.

No comments:

Post a Comment

Adbox