Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Wednesday, June 22, 2011

Para 06

Parah-La-Yohibbullaho 06

Surat-Nisa 04
(Sura-Nissa Madina mai Nazil hui, is mai aikso-cheyattar (176) Aayatain hain)


04.148 Buraee kay sath aawaz buland kerney ko Allah Taalaa pasand nahi farmata magar mazloom ko ijazat hai aur Allah Taalaa khoob sunta janta hai.

04.149 Agar tum kissi neki ko aelaaniya kero ya posheeda ya kiss buraee say dar guzar kero pus yaqeenan Allah Taalaa poori moafi kerney wala aur poori qudrat wala hai.

04.150 Jo log Allah kay sath aur uss kay payghumbar kay sath kufur kertay hain aur jo log yeh chahtay hain kay Allah aur uss kay rasool kay darmiyan farq keren aur jo log kehtay hain kay baaz nabiyon per to humara eman hai aur baaz per nahi aur chahtay hain kay iss kay aur uss kay bain bain koi raah nikalen.

04.151 Yaqeen mano kay yeh sab log asli kafir hain aur kafiron kay liye hum ney ehanat aamez saza tayyar ker rakhi hai.

04.152 Aur jo log Allah per aur uss kay tamam payghumbaron per eman latay hain aur inn mein say kissi mein farq nahi kertay yeh hain jinhen Allah unn kay poora sawab dey ga aur Allah bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.

04.153 Aap say yeh ehal-e-kitab darkhuast kertay hain kay aap inn kay pass koi aasmani kitab layen hazrat musa (alh-e-salam) say to enhon ney iss say boht bari darkhuast ki thi kay humen khullam khula Allah Taalaa ko dikha dey pus inn kay iss zulm kay baees inn per karakay ki bijli aa pari phir bawajood yeh kay inn kay pass boht daleel phonch chuki thi enhon ney bachray ko apna mabood bana liya lekin hum ney yeh bhi moaf farma diya aur hum ney musa ko khula ghalba (aur sareeh daleel) inayat farmaee.

http://qurantube.blogspot.com/


04.154 Aur inn ka qol lenay kay liye hum ney inn kay saron per toor pahaar laa khara ker diya aur enhen hukum diya kay sajda kertay huye darwazay mein jao aur yeh bhi farmaya kay haftay kay din mein tajawuz na kerna aur hum ney inn say sakht say sakht qol-o-qarar liye.

04.155 (yeh saza thi) ba sabab inn ki ehad shikni kay aur ehkaam-e-elahee kay sath kufur kerney kay aur Allah kay nabiyon ko na haq qatal ker daalney kay aur iss sabab say kay yun kehtay hain kay humaray dilon per ghilaf hai. Halankay dar asal inn kay kufur ki waja say inn kay dilon per Allah Taalaa ney mohar laga di hai iss liye yeh qadar-e-qaleel hi eman latay hain.

04.156 Aur inn kay kufur kay baees aur marium per boht bara bohtan bandhney kay baees.

04.157 Aur yun kehney kay baees kay hum ney Allah kay rasool maseeh essa bin marium ko qatal ker diya halankay na to enhon ney ussay qatal kiya na sooli charhaya bulkay inn kay liye unn (essa) ki shabeeh bana diya gaya tha. Yaqeen jano kay hazrat essa (alh-e-salam) kay baray mein ikhtilaf kerney walay unn kay baray mein shak mein hain unhen iss ka koi yaqeen nahi ba-juz takhmeeni baaton per amal kerney kay itna yaqeeni hai kay enhon ney unhen qatal nahi kiya.

04.158 Bulkay Allah Taalaa ney unhen apni taraf utha liya aur Allah bara zabardast aur poori hikmaton wala hai.

04.159 Ehal-e-kitab mein aik bhi aisa na bachay ga jo hazrat essa (alh-e-salam) ki maut say pehlay unn per eman na laa chukay aur qayamat kay din aap unn per gawah hongay.
http://qurantube.blogspot.com/

04.160 Jo nafees cheez inn kay liye halal ki gaee thi woh hum ney inn per haram ker di inn kay zulm kay baees aur Allah Taalaa ki raah say aksar logon ko rokney kay baees.

04.161 Aur sood jiss say mana kiye gaye thay ussay lenay kay baees aur logon ka maal na haq maar khaney kay baees aur inn mein jo kuffaar hain hum ney unn kay liye alam naak azab mohiyya ker rakha hai.

04.162 Lekin inn mein say kaamil aur mazboot ilm walay hain aur eman walay hain jo uss per eman latay hain jo aap ki taraf utara gaya hai aur jo aap say pehlay utara gaya aur namzon ko qaeem rakhney walay hain aur zakat kay ada kerney walay hain aur Allah per aur qayamat kay din per eman rakhney walay hain yeh hain jinhen hum boht baray ajar ata farmayen gay.

04.163 Yaqeenan hum ney aap ki taraf issi tarah wahee ki hai jaisay kay nooh (alh-e-salam) aur inn kay baad walay nabiyon ki taraf ki aur hum ney wahee ki ibrahim aur isamail aur ishaq aur yaqoob aur unn ki aulad per aur essa aur ayub aur younus aur haroon aur suleman ki taraf. Aur hum ney dawood (alh-e-salam) ko zaboor ata farmaee.

04.164 Aur aap say pehlay kay boht say rasoolon kay waqiyaat hum ney aap say biyan kiye hain aur boht say rasoolon kay nahi bhi kiye aur musa (alh-e-salam) say Allah Taalaa ney saaf tor per kalaam kiya.

04.165 Hum ney enhen rasool banaya hai khushkhabriyan sunaney walay aur aagah kerney walay takay logon ki koi hujjat aur ilzam rasoolon kay bhejney kay baad Allah Taalaa per reh na jaye. Allah Taalaa bara ghalib aur bara hikmat wala hai.

04.166 Jo kuch aap ki taraf utara hai uss ki babat khud Allah Taalaa gawahi deta hai kay issay apney ilm say utara hai aur farishtay bhi gawahi detay hain aur Allah Taalaa bator gawah kafi hai.

04.167 Jin logon ney kufur kiya aur Allah Taalaa ki raah say auron ko roka woh yaqeenan gumrahi mein door nikal gay.

04.168 Jin logon ney kufur kiya aur zulm kiya unhen Allah Taalaa hergiz hergiz na bakshay ga aur na unhen koi raah dikhaye ga.

04.169 Ba-juz jahannum ki raah kay jiss mein woh hamesha hamesha paray rahen gay aur yeh Allah Taalaa per bilkul aasan hai.

http://qurantube.blogspot.com/

04.170 Aey logo! Tumharay pass tumharya rab ki taraf say haq ley ker rasool aagaya hai pus tum eman lao takay tumharay liye behtri ho aur agar tum kafir hogaye to Allah hi ki hai her woh cheez jo aasmanon aur zamin mein hai aur Allah daana hai hikmat wala hai.

04.171 Aey ehal-e-kitab! Apney deen kay baray mein hadd say na guzar jao aur Allah per ba-juz haq kay aur kuch na kaho maseeh essa bin marium (alh-e-salam) to sirf Allah Taalaa kay rasool aur uss kay kalma (kunn say peda shuda) hain jisay marium (alh-e-salam) ki taraf daal diya tha aur uss kay pass ki rooh hain iss liye tum Allah ko aur uss kay sab rasoolon ko maano aur na kaho kay Allah teen hain iss say baaz aajao kay tumharay liye behtri hai Allah ibadat kay laeeq to sirf aik hi hai aur woh iss say pak hai kay uss ki aulad ho ussi kay liye hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Aur Allah kafi hai kaam bananey wala.

04.172 Maseeh (alh-e-salam) ko Allah ka banda honey mein ko nang-o-aar ya takabbur-o-inkar hergiz ho hi nahi sakta aur na muqarrab farishton ko uss ki bandagi say jo bhi dil churaye aur takabbur-o-inkar keray Allah Taalaa unn sab ko ikhatta apni taraf jama keray ga.

04.173 Pus jo log eman laye hain aur shaista aemaal kiye hain unn ko unn ka poora poora sawab inayat farmaye ga aur apney fazal say unhen aur ziyada dey ga aur jin logon ney nang-o-aar aur sikashi aur inkar kiya unhen alam naak azab dey ga aur woh apney liye siwaye Allah kay koi himayati aur imdad kerney wala na payen gay.

04.174 Aey logo tumharay pass tumharay rab ki taraf say sanad aur daleel aa phonchi aur hum ney tumhari janib wazeh aur saaf noor utaar diya hai.

04.175 Pus jo log Allah Taalaa per eman laye aur ussay mazboot pakar liya unhen to woh un-qarib apni rehmat mein ley ley ga aur unhen apni taraf ki raah-e-raast dikha dey ga.

04.176 Aap say fatwa poochtay hain aap keh dijiye kay Allah Taalaa (khud) tumhen kalala kay baray mein fatwa deta hai. Agar koi shaks marr jaye jiss ki aulad na ho aur aik behan ho to uss kay liye choray huye maal ka aadha hissa hai aur woh bhai uss behan ka waris hoga agar uss ki aulad na ho. Pus agar behnen do hon to unhen kul choray huye ka do tehaee milay ga. Aur agar koi shaks iss natay kay hain mard bhi aur aurten bhi to mard kay liye hissa hai misil do aurton kay Allah Taalaa tumharay liye biyan farma raha hai kay aisa na ho kay tum behak jao aur Allah Taalaa her cheez say waqif hai.
http://qurantube.blogspot.com/




Surat-Maeeda 05
(Sura-Maeeda Madina mai Nazil hui, is mai aikso-bees (120) Aayatain hain)


05.01 Aey eman walo! Ehad-o-paymaan pooray kero tumharay liye maweshi chopaye halal kiye gaye hain ba-juz unn kay jin kay naam parh ker suna diye jayen gay magar halat-e-ehraam mein shikar ko halal jannay walay na banna yaqeenan Allah jo chahaye hukum kerta hai.

05.02 Aey eman walo! Allah Taalaa kay shaaeer ki bey hurmati na kero na adab walay maheenon ki na haram mein qurban honey walay aur pattay pehnaye gaye janwaron ki jo kaaba ko ja rahey hon aur na unn logon ki jo bait-ullah kay qasad say apney rab taalaa kay fazal aur uss ki raza joee ki niyat say ja rahey hon haan jab tum ehraam utaar dalo to shikar khel saktay ho jin logon ney tumhen masjid-e-haram say roka tha unn ki dushmani tumhen iss baat per aamaadah na keray kay tum hadd say guzar jao neki aur perhezgari mein aik doosray ki imdad kertay raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti mein madad na kero aur Allah Taalaa say dartay raho be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai.

05.03 Tum per haram kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jiss per Allah kay siwa doosray ka naam pukara gaya ho aur jo gala ghutney say mara ho aur jo kissi zarab say marr gaya ho aur jo oonchi jagah say girr ker marra ho aur jo kissi kay seeng maarney say marra ho aur jissay darindon ney phaar khaya ho lekin ussay tum zibah ker dalo to haram nahi aur jo aastanon per zibah kiya gaya ho aur yeh bhi kay quraa kay teeron kay zariye faal geeri kero yeh sab bad tareen gunah hain aaj kuffaar tumharay deen say na umeed hogaye khabardaar! Tum inn say na darna aur mujh say dartay rehna aaj mein ney tumharay liye deen ko kaamil ker diya aur tum per apna inam bharpoor ker diya aur tumharay liye islam kay deen honey per raza mand hogaya. Pus jo shaks shiddat ki bhook mein bey qarar hojaye ba-shart-e-kay kissi gunah ki taraf uss ka meelaan na ho to yaqeenan Allah Taalaa moaf kerney wala aur boht bara meharban hai.

05.04 Aap say daryaft kertay hain kay unn kay liye kiya kuch halal hai? Aap keh dijiye kay tamam pak cheezen tumharay liye halal ki gaee hain aur jin shikar khelney walay janwaron ko tum ney sidha rakha hai yani jinhen tum thora boht woh sikhatay ho jiss ki taleem Allah Taalaa ney tumhen dey rakhi hai pus jiss shikar ko woh tumharay liye pakar ker rok rakhen to tum uss say kha lo aur iss per Allah Taalaa kay naam ka zikar ker liya kero. Aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai.

05.05 Kul pakeezah cheezen aaj tumharay liye halal ki gaeen aur ehal-e-kitab ka zabeeha tumharay liye halal hai aur tumhara zabeeha unn kay liye halal hai aur pak daaman musalman aurten aur jo log tum say pehlay kitab diye gaye hain unn ki pak daaman aurten bhi halal hain jabkay tum unn kay mehar ada kero iss tarah kay tum unn say ba-qaeeda nikkah kero yeh nahi kay aelaaniya zinna kero ya posheedah bad kaari kero munkireen-e-eman kay aemaal zaya aur ikaarat hain aur aakhirat mein woh haarney walon mein say hain.

05.06 Aey eman walo! Jab tum namaz kay liye utho to apney mun ko aur apney haathon ko kohniyon samet dho lo aur apney siron ka masah kero aur apney paon ko takhnon samet dho lo aur agar tum janabat ki halat mein ho to ghusul kerlo haan agar tum beemar ho ya safar ki halat mein ho ya tum mein say koi hajat zaroori say farigh ho ker aaya ho ya tum aurton say milay ho aur tumhen pani na milay to tum pak mitti say tayammum kerlo issay apney chehron per aur haathon per mall lo Allah Taalaa tum per kissi qisam ki tangi nahi daalna chahata bulkay uss ka irada tumhen pak kerney ka aur tumhen apni bharpoor nemat denay ka hai takay tum shukar ada kertay raho.

05.07 Tum per Allah Taalaa ki jo nematen nazil hui hain unhen yaad rakho aur uss kay uss ehad ka bhi jiss ka tum say mohida hua hai jabkay tum ney kaha hum ney suna aur maana aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa dilon ki baaton ka jannay wala hai.

05.08 Aey eman walo! Tum Allah ki khatir haq per qaeem hojao raasti aur insaf kay sath gawahi denay walay bann jao kissi qom ki adawat tumhen khilaf-e-adal per aamaada na ker dey adal kiya kero jo perhezgari kay ziyada qarib hai aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeen mano kay Allah Taalaa tumharay aemaal say ba khabar hai.

05.09 Allah Taalaa ka wada hai jo eman layen aur nek kaam keren unn kay liye wasee maghfirat aur boht bara ajar-o-sawab hai.

05.10 Aur jin logon ney kufur kiya aur humaray ehkaam ko jhutlaya woh dozakhi hain.
Top Top


05.11 Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo ehsan tum per kiya hai ussay yaad kero jabkay aik qom ney tum per dast darazi kerni chahai to Allah Taalaa ney unn kay haathon ko tum tak phonchney say rok diya aur Allah Taalaa say dartay raho aur mominon ko Allah Taalaa hi per bharosa kerna chahaiye.

05.12 Aur Allah Taalaa ney bani israeel say ehad-o-paymaan liya aur unhi mein say baara sardar hum ney muqarrar farmaye aur Allah Taalaa ney farma diya kay yaqeenan mein tumharay sath hun agar tum namaz qaeem rakho gay aur zakat detay raho gay aur meray rasoolon ko maantay raho gay aur unn ki madad kertay raho gay aur Allah Taalaa ko behtar qarz detay raho gay to yaqeenan mein tumhari buraiyan tum say door rakhoon ga aur tumhen unn jannaton mein ley jaon ga jin kay neechay chashmay beh rahey hain abb iss ehas-o-paymaan kay baad bhi tum mein say jo inkari ho jaye woh yaqeenan raah-e-raast say bhatak gaya.

05.13 Phir unn ki ehad shikni ki waja say hum ney unn per apni laanat nazil farma di aur unn kay dil sakht ker diye kay woh kalaam ko uss ki jagah say badal daaltay hain aur jo kuch naseehat unhen ki gaee thi uss ka boht bara hissa bhula bethay unn ki aik na aik khayanat per tujhay itlaa milti hi rahey gi haan thoray say aisay nahi bhi hain pus tu unhen moaf kerta jaa aur dar guzar kerta reh be-shak Allah Taalaa ehsan kerney walon say mohabbat kerta hai.

05.14 Aur jo apney aap ko nasrani kehtay hain hum ney unn say bhi ehad-o-paymaan liya unhon ney bhi iss ka bara hissa faramosh ker diya jo unhen naseehat ki gaee thi to hum ney bhi unn kay aapas mein bughz-o-adawat daal di jo ta-qayamat rahey gi aur jo kuch yeh kertay thay un-qarib Allah Taalaa unhen sab bata dey ga.

05.15 Aey ehal-e-kitab! Tumhara pass humara rasool (PBUH) aa chuka hai jo tumahray samney kitab-ullah ki bakasrat aisi baaten zahir ker raha hai jinhen tum chupa rahey thay aur boht si baaton say dar guzar kerta hai tumharay pass Allah Taalaa ki taraf say noor aur wazeh kitab aa chuki hai.
05.16 Jiss kay zariye say Allah Taalaa unhen jo raza-e-rab kay darpay hon salamti ki raahen batlata hai aur apni tofiq say andheron say nikal ker noor ki taraf laata hai aur raah-e-raast ki taraf unn ki rehbari kerta hai.

05.17 Yaqeenan woh log kafir hogaye jinhon ney kaha kay Allah hi maseeh ibn-e-mariyum hai aap inn say keh dijiye kay agar Allah maseeh ibn-e-marium aur uss ki walida aur ruy-e-zamin kay sab logon ko halak ker dena chahaye to kaun hai jo Allah Taalaa per kuch bhi ikhtiyar rakhta ho? Aasmanon-o-zamin aur dono kay darmiyan ka kul mulk Allah Taalaa hi ka hai woh jo chahata hai peda kerta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.

05.18 Yahud-o-nasaara kehtay hain kay hum Allah kay betay aur uss kay dost hain aap keh dijiye kay phir tumhen tumharay gunahon kay baees Allah kiyon saza deta hai? Nahi bulkay tum bhi uss ki makhlooq mein say aik insan ho woh jisay chahata hai bakhsh deta hai aur jisay chahata hai azab kerta hai zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan ki her cheez Allah Taalaa ki milkiyat hai aur ussi ki taraf lotna hai.

05.19 Aey ehal-e-kitab! Bil yaqeen humara rasool tumharay pass rasoolon ki aamad kay aik waqfay kay baad aa phoncha hai. Jo tumharay liye saaf saaf biyan ker raha hai takay tumhari yeh baat na reh jaye kay humaray pass to koi bhalaee buraee sunaney wala aaya hi nahi pus abb to yaqeenan khushkhabri sunaney wala aur aagah kerney wala aa phoncha aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
http://qurantube.blogspot.com/

05.20 Aur yaad kero musa (alh-e-salam) ney apni qom say kaha aey meri qom kay logo! Allah Taalaa kay uss ehsan ka zikar kero kay uss ney tum mein say payghumbar banaye aur tumhen badshah bana diya aur tumhen woh diya jo tamam aalam mein kissi ko nahi diya.

05.21 Aey meri qom walo! Iss muqaddas zamin mein dakhil ho jao jo Allah Taalaa ney tumharay naam likh di hai aur apni pusht kay ball roo gardaani na kero kay phir nuksan mein jaa paro.

05.22 Unhon ney jawab diya kay aey musa wahan to zor aawar sirkash log hain aur jab tak woh wahan say na nikal jayen hum to hergiz wahan na jayen gay haan agar woh wahan say nikal jayen phir to hum (ba khushi) chalay jayen gay.

05.23 Do shakson ney jo khuda taras logon mein say thay jin per Allah Taalaa ka fazal tha kaha kay tum unn kay pass darwazay mein to phonch jao darwazay mein qadam rakhtay hi yaqeenan tum ghalib aajao gay aur agar tum momin ho to tumhen Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahaiye.

05.24 Qom ney jawab diya kay aey musa! Jab tak woh wahan hain tab tak hum hergiz wahan na jayen gay iss liye tum aur tumhara perwerdigar jaa ker dono hi larr bhiro hum yahin bethay huye hain.

05.25 Musa (alh-e-salam) kehney lagay elahee! Mujhay to ba-juz apney aur meray bhai kay kissi aur per koi ikhtiyar nahi pus tu hum mein aur inn na farmanon mein judaee ker dey.

05.26 Irshad hua kay abb zamin inn per chalees saal tak haram ker di gaee hai yeh khana badosh idhar udhar sir gardan phirtay rahen gay iss liye tum inn fasiqon kay baray mein ghumgeen na hona.

05.27 Aadam (alh-e-salam) kay dono beton ka khara khara haal bhi enhen suna do unn dono ney aik nazrana paish kiya inn mein say aik ki nazar qabool hogaee aur doosray ki maqbool na hui to woh kehney laga mein tujhay maar hi daalon ga uss ney kaha Allah Taalaa taqwa walon ka hi amal qabool kerta hai.

05.28 Go tu meray qatal kay liye dast darazi keray lekin mein teray qatal ki taraf hergiz apney haath na barhaon ga mein to Allah Taalaa perwerdigar-e-aalam say khof khata hun.

05.29 Mein to chahata hun kay tu mera gunah aur apney gunah apney sir rakh ley aur dozakhiyon mein shaamil hojaye zalimon ka yehi badla hai.
http://qurantube.blogspot.com/

05.30 Pus ussay uss kay nafs nay apney bhai kay qatal per aamaada ker diya aur uss ney ussay qatal ker daala jiss say nuksan paney walon mein say hogaya.

05.31 Phir Allah Taalaa ney aik kawway ko bheja jo zamin khod raha tha takay ussay dikhaye kay woh kiss tarah apney bhai ki naash ko chupa dey woh kehnay laga haaye afsos! Kiya mein aisa kerney say bhi gaya guzra hogaya kay iss kawway ki tarah apney bhai ki laash ko dafna deta? Phir to (bara hi) pashemaan aur sharminda hogaya.

05.32 Issi waja say hum ney bani israeel per yeh likh diya kay jo shaks kissi ko baghair iss kay, kay woh kissi ka qatil ho ya zamin mein fasaad machaney wala ho qatal ker daalay to goya uss ney tamam logon ko qatal ker diya aur jo shaks kissi aik ki jaan bacha ley uss ney goya tamam logon ko zinda ker diya aur unn kay pass humara boht say rasool zahir daleelen ley ker aaye lekin phir uss kay baad bhi unn mein kay aksar log zamin mein zulm-o-ziyadti aur zabadasti kerney walay hi rahey.

05.33 Jo Allah Taalaa say aur uss kay rasool say laren aur zamin mein fasaad kertay phiren unn ki saza yehi hai kay woh qatal ker diye jayen ya sooli charha diya jayen ya unhen jila watan ker diya jaye yeh to hui inn ki dunyawi zillat aur khuwari aur aakhirat mein inn kay liye bara bhari azab hai.

05.34 Haan jo log iss say pehlay tauba ker len kay tum unn per qaboo paalo to yaqeen mano kay Allah Taalaa boht bari bakhsish aur reham-o-karam wala hai.

05.35 Musalmano! Allah Taalaa say dartay raho aur uss ka qurb talash kero aur uss ki raah mein jihad kero takay tumhara bhala ho.

05.36 Yaqeen mano kay kafiron kay liye agar woh sab kuch ho jo saari zamin mein hai bulkay issay kay misil aur bhi ho aur woh iss sab ko qayamat kay din azab kay badlay fidiye mein dena chahayen to bhi na mumkin hai kay inn ka fidya qabool ker liya jaye inn kay liye to dard naak azab hi hai.

05.37 Yeh chahayen gay kay dozakh mein say nikal jayen lekin yeh hergiz iss mein say na nikal saken gay inn kay liye to dawami azab hain.

05.38 Chori kerney walay aurat aur mard kay haath kaat diya kero. Yeh badla hai uss ka jo enhon ney kiya azab Allah ki taraf say aur Allah Taalaa qooat aur hikmat wala hai.

05.39 Jo shaks apney gunah kay baad tauba ker ley aur islaah ker ley to Allah Taalaa rehmat kay sath uss ki taraf lot’ta hai yaqeenan Allah Taalaa moaf farmaney wala meharbani kerney wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/

05.40 Kiya tujhay maloom nahi kay Allah Taalaa hi kay liye zamin-o-aasman ki badshahat hai? Jissay chahaye saza dey aur jissay chahaye moad ker dey Allah Taalaa her cheez per qadir hai.

05.41 Aey rasool! Aap inn logon kay peechay na kurhiye jo kufur mein sabqat ker rahey hain khuwa woh inn (munfiqon) mein say hon jo zabani to eman ka dawa kertay hain lekin haqeeqatan unn kay dil ba eman nahi aur yahundiyon mein say kuch log aisay hain jo ghalat baaten sunnay kay aadi hain aur inn logon kay jasoos hain jo abb tak aap kay pass nahi aaye woh kalmaat kay asli moqay ko chor ker enhen mutaghayyur ker diya kertay hain kehtay hain kay agar tum yehi hukum diye jao to qabool ker lena aur agar yeh hukum na diye jao to alag thalag rehna aur jiss ka kharab kerna Allah ko manzoor ho to aap uss kay liye khudaee hidayat mein kissi cheez kay mukhtaar nahi. Allah Taalaa ka irada inn kay dilon ko pak kerney ka nahi inn kay liye duniya mein bhi bari zillat aur ruswaee hai aur aakhirat mein bhi inn kay liye bari sakht saza hai.

05.42 Yeh kaan laga laga ker jhoot kay sunnay walay aur ji bhar bhar ker haram kay khaney walay hain agar yeh tumharay pass aayen to tumhen ikhtiyar hai khuwa inn kay aapas ka faisla kero khuwa inn ko taal do agar tum inn say mun bhi phero gay to bhi yeh tum ko hergiz zarar nahi phoncha saktay aur agar tum faisla kero to inn mein adal-o-insaf kay sath faisla kero yaqeenan adal walon kay sath Allah mohabbat rakhta hai.

05.43 (tajjub ki baat hai kay) woh kaisay apney pass toraat hotay huye jiss mein ehkaam-e-elahee hain tum ko munsif banatay hain phir iss kay baad bhi phir jatay hain dar asal yeh eman-o-yaqeen walay hain hi nahi.

05.44 Hum ney toraat nazil farmaee hai jiss mein hidayat-o-noor hai yahudiyon mein issi toraat kay sath Allah Taalaa kay mannay walay anbiya (alheem-us-salam) aur ehal-ullah aur ulama faislay kertay thay kiyon kay unhen Allah ki iss kitab ki hifazat ka hukum diya gaya tha. Aur woh iss per iqrari gawah thay abb tumhen chahaiye kay logon say na darro aur sirf mera darr rakho meri aayaton ko thoray thoray mol per na becho jo log Allah ki utari hui wahee kay sath faislay na keren woh (pooray aur pukhta) kafir hain.

05.45 Aur hum ney yahudiyon kay zimmay toraat mein yeh baat muqarrar ker di thi kay jaan kay badlay jaan aur aankh kay badlay aankh aur naak kay badlay naak aur kaan kay badlay kaan aur daant kay badlay daant aur khaas zakhmon ka bhi badla hai phri jo shaks iss ko moaf ker dey to woh iss kay liye kuffara hai aur jo log Allah kay nazil kiye huye kay mutabiq hukum na keren wohi log zalim hain.

05.46 Aur hum ney unn kay peechay essa bin marium ko bheja jo apney say pehlay ki kitab yaani toraat ki tasdeeq kerney walay thay aur hum ney unhen injeel ata farmaee jiss mein noor aur hidayat thi aur woh apney say pehlay ki kitab toraat ki tasdeeq kerti thi aur woh sira sir hidayat-o-naseehat thi paarsa logon kay liye.

05.47 Aur injeel walon ko bhi chahaiye kay Allah Taalaa ney jo kuch injeel mein nazil farmaya hai ussi kay mutabiq hukum keren aur jo Allah Taalaa kay nazil kerda say hi hukum na keren woh (bad kaar) faasiq hain.

05.48 Aur hum ney aap ki taraf haq kay sath yeh kitab nazil farmaee hai jo apney say agli kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur inn ki mohafiz hai. Iss liye aap inn kay aapas kay moamlaat mein issi utari hui kitab kay sath hukum kijiye iss haq say hatt ker inn ki khuwaishon kay peechay na jaiye tum mein say her aik kay liye hum ney aik dastoor aur raah muqarrar ker di hai. Agar manzoor maula hota to tum sab ko aik hi ummat bana deta lekin uss ki chahat hai kay jo tumhen diya hai uss mein tumhen aazmaye tum nekiyon ki taraf jaldi kero tum sab ka rujoo Allah hi ki taraf hai phir woh tumhen her woh cheez bata dey ga jiss mein tum ikhtilaf kertay rehtay ho.

05.49 Aap inn kay moamlaat mein khuda ki nazil kerda wahee kay mutabiq hi hukum kijiye inn ki khuwaishon ki tabeydaari na kijiye aur inn say hoshiyaar rahiye kay kahin yeh aap ko Allah kay utaray huye kissi hukum say idhar udhar na keren agar yeh log mun pher len to yaqeen keren kay Allah ka irada yehi hai kay enhen inn kay baaz gunahon ki saza dey hi daalay aur aksar log na farmaan hi hotay hain.
http://qurantube.blogspot.com/

05.50 Kiya yeh log phir say jaheeliyat kay faisla chahtay hain yaqeen rakhney walay logon kay liye Allah Taalaa say behtar faislay aur hukum kerney wala kaun ho sakta hai?

05.51 Aey eman walo! Tum yahud-o-nasaara ko dost na banao yeh to aapas mein hi aik doosray kay dost hain. Tum mein say jo bhi inn mein say kissi say dosti keray woh be-shak enhi mein say hai zalimon ko Allah Taalaa hergiz raah-e-raast nahi dikhata.

05.52 Aap dekhen gay jin kay dilon mein beemari hai woh dor dor ker inn mein ghuss rahey hain aur kehtay hain kay humen khatra hai aisa na ho kay koi haadsa hum per parr jaye boht mumkin hai kay Allah Taalaa fatah dey dey. Ya apney pass say koi aur cheez laye phir to yeh apney dilon mein chupaee hui baaton per (bey tarah) naadim honey lagen gay.

05.53 Aur eman walay kahen gay kiya yehi woh log hain jo baray mubalighay say Allah ki qasmen kha kha ker kehtay hain kay hum tumharay sath hain. Inn kay aemaal ghaarat huye aur yeh na kaam hogaye.

05.54 Aey eman walo! Tum mein say jo shaks apney deen say phir jaye to Allah Taalaa boht jald aisi qom ko laye ga jo Allah ki mehboob hogi aur woh bhi Allah say mohabbat rakhti hogi woh naram dil hongay musalmanon per aur sakht aur tez hongay kuffaar per Allah ki raah mein jihad keren gay aur kissi malamat kerney walay ki malamat ki perwah bhi na keren gay yeh hai Allah Taalaa ka fazal jissay chahaye dey Allah Taalaa bari wusat wala aur zabardast ilm wala hai.

05.55 (musalmano)! Tumhara dosat khud Allah hai aur uss ka rasool hai aur eman walay hain jo namazon ki pabandi kertay hain aur zakat ada kertay hain aur woh rukoo (khushoo-o-khuzoo) kerney walay hain.

05.56 Aur jo shaks Allah Taalaa say aur uss kay rasool say aur musalmanon say dosti keray woh yaqeen manay kay Allah Taalaa ki jamat hi ghalib rahey gi.

05.57 Musalmano! Unn logon ko dost na banao jo tumharay deen ko hansi khel banaye huye hain (khuwa) woh unn mein say hon jo tum say pehlay kitab diye gaye ya kuffaar hon agar tum momin hoto Allah Taalaa say dartay raho.

05.58 Aur jab tum namaz kay liye pukartay ho wo woh issay hansi khel thehra letay hain. Yeh iss wastay kay bey aqal hain.

05.59 Aap keh dijiye kay aey yahudiyon aur nasraniyo! Tum hum say sirf iss waja say dusmaniyan ker rahey ho kay hum Allah Taalaa per aur jo kuch humari janib nazil kiya gaya hai aur jo kuch iss say pehlay utara gaya hai uss per eman laye hain aur iss liye bhi kay tum mein aksar faasiq hain.
http://qurantube.blogspot.com/

05.60 Keh dijiye kay kiya mein tumehn bataon? Kay iss say bhi ziyada bura ajar paaney wala Allah kay nazdeek kaun hai? Woh jiss per Allah Taalaa ney laanat ki aur uss per woh ghussa hua aur unn mein say baaz ko bandar aur sooar bana diya aur jinhon ney maboodaan-e-baatil ki parastish ki yehi log bad tar darjay walay hain aur yehi raah-e-raast say boht ziyada bhatakney walay hain.

05.61 Aur jab tumharay pass aatay hain to kehtay hain kay hum eman laye halankay woh kufur liye huye hi aaye thay aur iss kufur kay sath hi gaye bhi aur yeh jo kuch chupa rahey hain ussay Allah khoob janta hai.

05.62 Aap dekhen gay kay inn mein say aksar gunah kay kaamon ki taraf aur zulm-o-ziyadti ki taraf aur maal haram khaney ki taraf lapak rahey hain jo kuch yeh ker rahey hain woh nihayat buray kaam hain.

05.63 Enhen inn kay abid-o-aalim jhoot baaton kay kehney aur haram cheezon kay khaney say kiyon nahi roktay be-shak bura kaam hai jo yeh ker rahey hain.

05.64 Aur yahudiyon ney kaha Allah Taalaa kay haath bandhay huye hain aur inn kay iss qol ki waja say inn per laanat ki gaee bulkay Allah Taalaa kay dono haath khulay huye hain. Jiss tarah chahata hai kharach kerta hai aur jo kuch teri taraf teray rab ki janib say utara jata hai woh inn mein say aksar ko to sirkashi aur kufur mein barha deta hai aur hum ney inn mein aapas mein hi qayamat tak kay liye adawat aur bughz daal diya hai aur jab kabhi laraee ki aag ko bharkana chahatay hain to Allah Taalaa ussay bujha deta hai yeh mulk bhar mein shar-o-fasaad machatay phirtay hain aur Allah Taalaa fasaadiyon say mohabbat nahi kerta.

05.65 Aur agar yeh ehal-e-kitab eman latay aur taqwa ikhtiyar kertay to hum inn ki tamam burayian moaf farma detay aur zaroor enhen rahat-o-aaram ki jannaton mein ley jatay.

05.66 Aur agar yeh log toraat aur injeel aur inn ki janib jo kuch Allah Taalaa ki taraf say nazil farmaya gaya hai inn kay pooray paband rehtay to yeh log apney upper say aur neechay say roziyan patay aur khatay aik jamat to inn mein say darmiyana ravish ki hai baqi inn mein say boht say logon kay buray aemaal hain.

05.67 Aey rasool jo kuch bhi aap ki taraf aap kay rab ki janib say nazil kiya gaya hai phoncha dijiye. Agar aap ney aisa na kiya to aap ney Allah ki risalat ada nahi kiaur aap ko Allah Taalaa logon say bacha ley ga be-shak Allah Taalaa kafir logon ko hidayat nahi deta.

05.68 Aap keh dijiye kay ehal-e-kitab! Tum dar asal kissi cheez per nahi jab tak kay toraat aur injeel ko aur jo kuch tumhari taraf tumharay rab ki taraf say utara gaya hai qaeem na kerojo kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf say utra hai woh inn mein say bohton ko shararat aur inkaar mein aur bhi barhaye ga hi to aap inn kafiron per ghumgeen na hon.

05.69 Musalman yahudi sitara parast aur nasrani koi ho jo bhi Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman laye aur nek amal keray woh mehaz bey khof rahey ga aur bilkul bey ghum hojaye ga.
http://qurantube.blogspot.com/

05.70 Hum ney bil yaqeen bano israeel say ehad-o-paymaan liya aur unn ki taraf rasoolon ko bheja jab kabhi rasool unn kay pass woh ehkaam ley ker aaye jo unn ki apni mansha kay khilaf thay to unhon ney unn ki jamat ki takzeeb ki aur aik jamat ko qatal ker diya.

05.71 Aur yeh samajh bethay kay koi pakar na hogi pus andhay behray bann bethay phir Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool ki iss kay baad bhi unn mein say aksar andhay behray hogaye. Allah Taalaa unn kay aemaal ko ba-khoobi dekhney wala hai.

05.72 Be-shak woh log kafir hogaye jin ka qol hai kay maseeh ibn-e-marium hi Allah hain halankay khud maseeh ney unn say kaha tha aey bani israeel! Allah hi ki ibadat kero jo mera aur tumhara sab ka rab hai yaqeen mano kay jo shaks Allah kay sath shareek kerta hai Allah Taalaa ney uss per jannat haram ker di hai uss ka thikana jahannum hi hai aur gunehgaron ki madad kerney wala koi nahi hoga.

05.73 Woh log bhi qatan kafir hogaye jinhon ney kaha Allah teen mein ka teesra hai dar asal so Allah Taalaa key koi mabood nahi. Agar yeh log apney iss qol say baaz na rahey to inn mein say jo kufur per rahen gay unhen alam naak azab zarror phonchay ga.

05.74 Yeh log kiyon Allah Taalaa ki taraf nahi jhuktay aur kiyon istaghfar nahi kertay? Allah Taalaa boht hi bakhshney wala aur bara hi meharban hai.

05.75 Maseeh ibn-e-marium siwa payghumbar honey kay aur kuch bhi nahi uss say pehlay bhi boht say payghumbar ho chukay hain unn ki walida aik raast baaz aurat thi dono maa betay khana khaya kertay thay aap dekhiye kay kiss tarah hum inn kay samney daleelen rakhtay hain phir ghor kijiye kay kiss tarah woh phiray jatay hain.

05.76 Aap keh dijiye kay kiya tum Allah kay siwa unn ki ibadat kertay ho jo na tumharay kiss nuksan kay maalik hain na kissi nafay kay Allah hi khoob sunnay aur poori tarah jannay wala hai.

05.77 Keh dijiye aey ehal-e-kitab! Apney deen mein na haq ghuloov aur ziyadti na kero aur unn logon ki nafsani khuwaishon perwi na kero jo pehlay say behak chukay hain aur bohton ko behka bhi chukay hain aur seedhi raah say hatt gaye hain.

05.78 Bani israeek kay kafiron per (hazrat) dawood (alh-e-salam) aur (hazrat) essa bin marium (alh-e-salam)ki zabani laanat ki gaee iss waja say kay woh na farmaniyan kertay thay aur hadd say aagay barh jatay thay.

05.79 Aapas mein aik doosray ko buray kaamon say jo woh kertay thay roktay na thay jo kuch bhi yeh kertay thay yaqeenan woh boht hi bura tha.
http://qurantube.blogspot.com/

05.80 Inn mein say boht say logon ko aap dekhen gay kay woh kafiron say dostiyan kertay hain jo kuch enhon ney apney liye aagay bhej rakha hai woh boht bura hai kay Allah Taalaa inn say naraz hua aur woh hamesha jahannum mein rahen gay.

05.81 Agar enhen Allah Taalaa per aur nabi per aur jo nazil kiya gaya hai uss per eman hota to yeh kuffaar say dostiyan na kertay lekin inn mein kay aksar log faasiq hain.

05.82 Yaqeenan aap eman walon ka sab say ziyada dushman yahudiyon aur mushrikon ko payen gay aur eman walon say sab say ziyada dosti kay qareeb aap yaqeenan unhen payen gay jo apney aap ko nasaara kehtay hain yeh iss liye kay inn mein ulama aur ibadat kay liye gosha nasheen afraad paye jatay hain aur iss waja say kay woh takabbur nahi kertay.

No comments:

Post a Comment

Adbox