Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 09

Parah-Qaalal-Malao 09

Surat-Aeyraaf 07
(Sura-Aeyraaf Makka mai Nazil hui, is mai doso-chay (206) Aayatain hain)


07.88 Unn ki qom kay mutakabbir sardaron ney kaha aey shoaib! Hum aap ko aur jo aap kay humrah eman laye hain unn ko apni basti say nikal den gay illa yeh kay tum humaray mazhab mein phir aajao. Shoaib (alh-e-salam) ney jawab diya kay kiya hum tumharay mazhab mein aajayen go hum iss ko makrooh hi samajhtay hon.

07.89 Hum Allah Taalaa per bari jhooti tohmat laganey walay hojayen gay agar hum tumharay deen mein aajayen iss kay baad kay Allah Taalaa ney hum ko iss say nijat di aur hum say mumkin nahi kay tumharay mazhab mein phir aajayen lekin haan yeh kay Allah hi ney humara maalik hai muqaddar kiya ho. Humaray rab kay ilm her cheez per moheet hai hum Allah hi per bharosa rakhtay hain. Aey humaray perwerdigar! Humaray aur humari qom kay darmiyan haq kay moafiq faisla ker dey aur tu sab say acha faisla kerney wala hai.

07.90 Aur unn ki qom kay kafir sardaron ney kaha agar tum shoaib (alh-e-salam) ki raah per chalo gay to be-shak bara nuksan uthao gay.

07.91 Pus unn ko zalzalay ney aa pakra so woh apney gharon mein ondhay kay ondhay paray reh gaye.

07.92 Jinhon ney shoaib (alh-e-salam) ki takzeeb ki thi unn ki yeh halat hogaee jaisay inn gharon mein kabhi basay hi na thay. Jinhon ney shoaib (alh-e-salam) ki takzeeb ki thi wohi kahasaray mein parr gaye.

07.93 Uss waqt shoaib (alh-e-salam) unn say mun mor ker chalay aur farmaney lagay kay aey meri qom! Mein ney tum ko apney perwerdigar kay ehkaam phoncha diye thay aur mein ney tumhari khair khuwahi ki. Phir mein inn kafir logon per kiyon ranj keroon.

07.94 Aur hum ney kissi basti mein koi nabi nahi bheja kay wahan kay rehney walon ko hum ney sakhti aur takleef mein na pakra hota kay woh girr girayen.

07.95 Phir hum ney uss bad haali ki jagah khushaali badal di yahan tak kay unn ko khoob taraqqi hui aur kehney lagay kay humaray aaba-o-ajdaad ko bhi tangi aur rahat paish aaee thi to hum ne unn ko dafatan pkara liya aur unn ko khabar bhi na thi.

07.96 Aur agar unn bastiyon kay rehney walay eman ley aatay aur perhezgari ikhtiyar kertay to hum unn per aasman aur zamin ki barkaten khol detay lekin unhon ney takzeeb ki to hum ney unn kay aemaal ki waja say unn ko pakar liya.

07.97 Kiya phir bhi inn bastiyon kay rehney walay iss baat say bey fikar ho gaye hain kay unn per humara azab shab kay waqt aa paray jiss waqt woh sotay hon.

07.98 Aur kiya inn bastiyon kay rehney walay iss baat say bey fikar hogaye hain kay inn per humara azab din charhay aa paray jiss waqt kay woh apney khelon mein masghool hon.

07.99 Kiya pus woh Allah ki iss pakar say bey fikar hogaye. So Allah ki pakar say ba-juz unn kay jin ki shamat hi aagaee ho aur koi bey fikar nahi hota.

07.100 Aur kiya unn logon ko jo zamin kay waris huye wahan kay logon ki halakat kay baad (inn waqiyaat-e-mazkoor ney) yeh baat nahi batlaee kay agar hum chahayen to inn kay jurm kay sabab inn ko halak ker dalen aur hum inn kay dilon per band laga denpus woh na sunn saken.
http://qurantube.blogspot.com/

07.101 Inn bastiyon kay kuch kuch qissay hum aap say biyan ker rahey hain aur inn sab kay pass unn kay payghumbar mojzaat ley ker aaye phir jiss cheez ko enhon ney ibtidaa mein jhoota keh diya yeh baat nahi hui kay phir iss ko maan letay Allah Taalaa issi tarah kafiron kay dilon per band laga deta hai.

07.102 Aur aksar logon mein hum ney wafay-e-ehad na rakha aur hum ney aksar logon ko bey hukum hi paya.

07.103 Phir inn kay baad hum ney musa (alh-e-salam) ko apney dalaeel dey ker firaon aur uss kay umraa kay pass bheja magar unn logon ney inn kay bilkul haq ada na kiya. So dekhiye unn mufisdon ka kiya anjam hua?

07.104 Aur musa (alh-e-salam) ney farmaya kay aey firaon! Mein rabbul aalameen ki taraf say payghumbr hun.

07.105 Meray liye yehi shayaan hai kay ba-juz sach kay Allah ki taraf koi baat mansoob na keroonmein tumharay pass tumhara rab ki taraf say aik bari daleel bhi laya hun so tu bani israeel ko meray sath bhej dey.

07.106 Firaon ney kaha agar aap koi moajza ley ker aaye hain to iss ko abb paish kijiye! Agar aap sachay hain.

07.107 Pus aap ney apna asa daal diya so dafatan woh saaf aik azdaha bann gaya.

07.108 Aur apna haath bhair nikala so woh yakayak sab dekhney walon kay roo baroo boht hi chamkta hua hogaya.

07.109 Qom-e-firaon mein jo sardar log thay unhon ney kaha kay waqaee yeh shaks bara maahir jadoogar hai.

07.110 Yeh chahata hai kay tum ko tumhari sir zamin say bahir ker dey so tum log kiya mashwara detay ho.
Top Top


07.111 Unhon ney kaha aap inn ko aur inn kay bhai ko mohlat dijiye aur shehron mein harkaaron ko bhej dijiye.

07.112 Kay woh sab maahir jadoogaron ko aap kay pass laa ker hazir ker den.

07.113 Aur woh jadoogar firaon kay pass hazir huye kehney lagay kay agar hum ghalib aaye to hum ko koi bara sila milay ga?

07.114 Firaon ney kaha kay haan aur tum muqarrab logon mein shamil hojao gay.

07.115 Unn saahiron ney araz kiya aey musa! Khuwa aap daaliye aur ya hum hi daalen?

07.116 musa (alh-e-salam) ney farmaya kay tum hi dalo pur jab unhon ney dala to logon ki nazar bandi ker di aur unn per haibat ghalib ker di aur aik tarah ka bara jadoo dikhlaya.

07.117 Aur hum ney musa (alh-e-salam) ko hukum diya kay apna asa daal dijiye! So asa ka daalna tha kay uss ney unn kay saray banay banaye khel ko nigalna shuroo kiya.

07.118 Pus haq zahir hogaya aur unhon ney jo kuch banaya tha sab jata raah.

07.119 Pus woh log uss moqay per haar gaye aur khoob zaleel hoker phiray.

07.120 Aur woh jo saahir thay sajday mein gir gaye.
http://qurantube.blogspot.com/

07.121 Kehney lagay hum eman laye rabbul aalameen per.

07.122 Jo musa aur haroon ka bhi rab hai.

07.123 Firaon kehney laga tum musa per eman laye ho baghair iss kay kay mein tum ko ijazat doon? Be-shak yeh saazish thi jiss per tumhara amal daramad hua hai iss shehar mein takay tum sab iss shehar say yahan kay rehney walon ko bahir nikal do. So abb tum ko haqeeqat maloom hui jati hai.

07.124 Mein tumharay aik taraf kay haath aur doosri taraf kay paon kaaton ga. Phir tum sab ko sooli per latka doon ga.

07.125 Unhon ney jawab diya kay hum (marr ker) apney maalik hi kay pass jayen gay.

07.126 Aur tu ney hum mein konsa aib dekha hai ba-juz isskay kay hum apney rab per eman ley aaye jab woh humaray pass aaye. Aey humaray rab! Humaray upper sabar ka faizan farma aur humari jaan halat-e-islam per nikal.

07.127 Aur qom-e-fiaon kay sardaron ney kaha kay kiya aap musa (alh-e-salam) aur unn ki qom ko yun hi rehney den gay kay woh mulk mein fasaad kertay phiren aur woh aap ko aur aap kay maboodon ko tarak kiye rahen. Firaon ney kaha kay hum abhi inn logon kay beton ko qatal kerna shuroo ker den gay aur aurton ko zinda rehney den gay aur hum ko inn per her tarah ka zor hai.

07.128 Musa (alh-e-salam) ney apni qom say farmaya Allah Taalaa ka sahara hasil karo aur sabar karo yeh zameen Allah Taalaa ki hai apney bandon mein say jiss ko chahay woh maalik bana dey aur akhir kamyabi unhi ki hoti hai jo Allah say dartay hain.

07.129 Qoam kay log kehney lagay kay hum to hamesha museebat hi mein rahey aap ki tashreef aawari say qabal bhi aur aap ki tashreef aawari kay baad bhi. Musa (alh-e-salam) ney farmaya kay boht jald Allah tumharay dushman ko halak ker dey ga aur bajaye unn kay tum ko iss sar-zameen ka khalifa bana dey ga phir tumhara tarz-e-amal dekhay ga.

07.130 Aur hum ney firaon walon ko mubtila kiya qehat saali mein aur phalon ki kum peda waari mein takay woh naseehat qabool keren.
http://qurantube.blogspot.com/

07.131 So jab inn per khushali aajati to kehtay kay yeh to humaray liye hona hi chahaiye aur agar inn ko koi bad haali paish aati to musa (alh-e-salam) aur unn kay sathiyon ki nahoosat batlatay. Yaad rakho kay inn nahoosat Allah Taalaa kay pass hai lekin inn kay aksar log nahi jantay.

07.132 Aur yun kehtay kaisi hi baat humaray samney lao kay inn kay zariye say hum per jadoo chalao jab bhi hum tumhari baat hergiz na maanen gay.

07.133 Phir hum ney unn per toofan bheja aur tiddiyan aur ghun ka keera aur mendak aur khoon kay yeh sab khulay khulay moajzay thay. So woh takabbur kertay rahey aur woh log kuch tha hi jaraeem paisha.

07.134 Aur jab unn per koi azab waqey hota to yun kehtay kay aey musa! Humaray liye apney rab say iss baat ki dua ker dijiye! Jiss ka uss ney aap say ehad ker rakha hai agar aap iss azab ko hum say hata den to hum zaroor zaroor aap kay kehney say eman ley aayen gay aur hum bani israeel ko bhi (raah ker kay) aap kay humrah ker den gay.

07.135 Phir jab unn sya iss azab ko aik khaas waqt tak kay uss tak unn ko phonchna tha hata detayto woh foran hi ehad shikni kerney lagtay.

07.136 Phir hum ney unn say badla liya yani unn ko darya mein gharq ker diya iss sabab say kay woh humari aayaton ko jhutlatay thay aur inn say bilkul hi ghaflat kertay thay.

07.137 Aur hum ney unn logon ko jo kay bilkul kamzor shumat kiye jatay thay uss sir zamin kay poorab pachim ka maalik bana diya jiss mein hum ney barkat rakhi hai aur aap kay rab kay nek wada bani israeel kay haq mein unn kay sabar ki waja say poora hogaya aur hum ney firaon kay aur uss ki qom kay saakhita per daakhita kaar khanon ko aur jo kuch woh oonchi oonchi emarten banwatay thay sab ko darhum barhum ker diya.

07.138 Aur hum ney bani israeel ko darya kay paar utaar diya. Pus unn logon ka aik qom per guzar hua jo apney chand button say lagay bethay thay kehney lagay aey musa! Humaray liye bhi aik mabood aisa hi muqarrar ker dijiye! Jaisay inn kay yeh mabood hain. Aap ney farmaya kay waqaee tum logon mein bari jahalat hai.

07.139 Yeh log jiss kaam mein lagay hain yeh tabah kiya jayega aur inn kay yeh kaam mehaz bey bunyad hai.

07.140 Farmaya kiya Allah Taalaa key siwa aur kissi ko tumhara mabood tajweez ker doon? Halankay uss ney tum ko tamam jahaan walon per foqiyat di hai.
http://qurantube.blogspot.com/

07.141 Aur qoh waqt yaad kero jab hum ney tum ko firaon walon say bacha liya jo tum ko bari sakht takleef phonchatay thay. Tumharay beton ko qatal ker daaltay thay aur tumhari aurton ko zinda chor detay thay aur iss mein tumharay perwerdigar ki taraf say bari bhari aazmaeesh thi.

07.142 Aur hum ney musa (alh-e-salam) say tees raaton kay wada kiya aur dus raat mazeed say inn tees raaton ko poora kiya. So inn kay perwerdigar ka waqt pooray chalees raat ka hogaya. Aur musa (alh-e-salam) ney apney bhai haroon (alh-e-salam) say kaha kay meray baad inn kay intizam rakhna aur islah kertay rehna aur bad nazam logon ki raaye per amal mat kerna.

07.143 Aur jab musa (alh-e-salam) humaray waqt per aaye aur unn kay rab ney unn say baaten kin to arz kiya kay aey meray perwerdigar! Apna deedar mujh ko kera dijiye kay mein aik nazar aap ko dekh loon irshad hua kay tum mujh ko hergiz nahi dekh saktay lekin tum iss pahar ki taraf dekhtay raho woh agar apni jagah per bar qarar raha to tum bhi mujhay dekh sako gay. Pus jab unn kay rab ney pahar per tajalli farmaee to tajalli ney uss kay purkhachay ura diye aur musa (alh-e-salam) bey hosh ho ker girr paray. Phir jab hosh mein aaye to arz kiya be-shak aap ki zaat pak hai mein aap ki janab mein tauba kerta hun aur mein sab say pehlay aap per eman laney wala hun.

07.144 Irshad hua kay aey musa! Mein ney payghubari aur apni hum kalaami say aur logon per tum ko imtiaz diya hai to jo kuch tum ko mein ney ata kiya hai uss ko lo aur shukar kero.

07.145 Aur hum ney chand takhtiyon per her qisam ki naseehat aur her cheez ki tafseel unn ko likh ker di tum inn ko poori qooat say pakar lo aur apni qom ko hukum kero kay inn kay achay achay ehkaam per amal keren abb boht jald tum logon ko inn bey hukmon ka muqam dikhlata hun.

07.146 Mein aisay logon ko apney ehkaam say bar-gashta hi rakhon ga jo duniya mein takabbur kertay hain jiss ka unn ko koi haq hasil nahi aur agar tamam nishaniyan dekh len tab bhi woh inn per eman na layen aur agar hidayat ka raasta dekhen to iss ko apna tareeqa na banayen aur agar gumrahi ka raasta dekh len to iss ko apna tareeq bana len. Yeh iss sabab say hai kay enhon ney humari aayaton ko jhutlaya aur inn say ghafil rahey.

07.147 Aur yeh log jinon ney humari aayaton ko aur qayamat kay paish aaney ko jhutlaya unn kay sab kaam ghaarat gaye. Inn ko wohi saza di jayegi jo kuch yeh kertay thay.

07.148 Aur musa (alh-e-salam) ki qom ney unn kay baad apney zewaron ka aik bachra mabood thehra liya jo kay aik qalib tha jiss mein aik aawaz thi. Kiya enhon ney yeh na dekha kay woh inn say baat nahi kerta tha aur na inn ko koi raah batlata tha uss ko enhon ney mabood qarar diya aur bari bey insafi ka kaam kiya.

07.149 Aur jab naadim huye aur maloom hua kay waqaee woh log gumrahi mein parr gaye to kehney lagay kay agar humara rab hum per reham na keray aur humara gunah moaf na keray to hum bilkul gaye guzray hojayen gay.

07.150 Aur jab musa (alh-e-salam) apni qom ki taraf wapis aaye gussay aur ranj mein bharay huye to farmaya kay tum ney meray baad yeh bari buri janasheeni ki? Kiya apney rab kay hukum say pehlay hi tum ney jald baazi ker li aur jaldi say takhtiyan aik taraf rakhin aur apney bhai kay sir pakar ker unn ko apni taraf ghaseetney lagay. Haroon (alh-e-salam) ney kaha aey meray maa jaye! Inn logon ney mujh ko bey haqeeqat samjha aur qareeb tha kay mujh ko qatal ker dalen to tum mujh per dushmanon ko mat hansao aur mujh ko inn zalimon kay zail mein mat shumar kero.
http://qurantube.blogspot.com/

07.151 Musa (alh-e-salam) ney kaha aey meray rab! Meri khata moaf farma aur meray bhai ki bhi aur hum dono ko apni rehmat mein dakhil farma aur tu sab reham kerney walon say ziyada reham kerney wala hai.

07.152 Be-shak jin logon ney go sala parasti ki hai unn per boht jald unn kay rab ki taraf say ghazab aur zillat iss dunyawi zindagi hi mein paray gi aur hum iftra pardazon ko aisi hi saza diya kertay hain.

07.153 Aur jin logon ney gunah kay kaam kiye phir woh inn kay baad tauba ker len aur eman ley aayen to tumhara rab iss tauba kay baad gunah moaf ker denay wala rehmat kerney wala hai.

07.154 Aur jab musa (alh-e-salam) ka gussa farad hua to inn takhtiyon ko utha liya aur inn kay mazameen mein unn logon kay liye jo apney rab say dartay thay hidayat aur rehmat thi.

07.155 Aur musa (alh-e-salam) ney sattar aadmi apni qom mein say humaray waqt-e-moyyen kay liye muntakhib kiye so jab unn ko zalzalay ney aa pakra to musa (alh-e-salam) arz kerney lagay kay aey meray perwerdigar! Agar tujh ko yeh manzoor hota to iss say qabal hi inn ko aur mujh ko halak ker deta. Kiya tu hum mein say chand bey waqufon ki harkat per sab ko halak ker dey ga? Yeh waqiya teri taraf say mehaz aik imtehan hai aisay imtehanaat say jiss ko tu chahaye gumrahi mein daal dey aur jiss ko chahaye hidayat per qaeem rakhay. Tu hi to humara kaar saaz hai pus hum per maghfirat aur rehmat farma aur tu sab moafi denay walon say ziyada acha hai.

07.156 Aur hum logon kay naam duniya mein bhi nek haali likh dey aur aakhirat mein bhi hum teri taraf rujoo kertay hain. Allah Taalaa ney farmaya kay mein apna azab ussi per waqey kerta hun aur meri rehmat tamam ashiya per moheet hai. To woh rehmat unn logon kay naam zaroor likhon ga jo Allah say dartay hain aur zakat detay hain aur jo humari aayaton per eman latay hain.

07.157 Jo log aisay rasool nabi ummi ka ittabaa kertay hain jin ko woh log apney pass toraat-o-injeel mein likha hua patay hain. Woh inn ko nek baaton ka hukum farmatay hain aur buri baaton say mana kertay hain aur pakeezah cheezon ko halal batatay hain aur gandi cheezon ko inn per haram farmatay hain aur inn logon per jo bojh aur toq thay unn ko door kertay hain. So jo log iss nabi per eman latay hain aur inn ki himayat kertay hain aur inn ki madad kertay hain aur iss noor ka ittabaa kertay hain jo inn kay sath bheja gaya hai aisay log poori falah paney walay hain.

07.158 Aap keh dijiye kay aey logo! Mein tum sab ki taraf uss Allah Taalaa ka bheja hua hun jiss ki badshahi tamam aasmanon aur zamin mein hai uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi wohi zindagi deta hai aur wohi mot deta hai so Allah Taalaa per eman lao aur uss kay nabi ummi per jo kay Allah Taalaa per aur uss kay ehkaam per eman rakhtay hain aur inn ka ittabaa kero takay tum raah per aajao.

07.159 Aur qom-e-musa mein aik jamat aisi bhi hai jo haq kay mutabiq hidayat kerti hai aur issi kay mutabiq insaf bhi kerti hai.

07.160 Aur hum ney unn ko baara khaandanon mein taqseem ker kay sab ki alag alag jamat muqarrar ker di aur hum ney musa (alh-e-salam) ko hukum diya jabkay unn ki qom ney unn say pani maanga kay apney asa ko falan pathar per maaro pus foran uss say baara chashmay phoot niklay. Her her shaks ney apney pani peenay ka moqa maloom ker liya aur hum ney unn per abar ko saya figan kiya aur unn ko mann-o-salwa (taran jabeen aur bateren) phonchaen khao nafees cheezon say jo hum ney tum ko di hain aur unhon ney humara koi nuksan nahi kiya lekin apna hi nuksan kertay thay.
http://qurantube.blogspot.com/

07.161 Aur jab inn ko hukum diya gaya kay tum log iss aabadi mein jaa ker raho aur khao uss say jiss jagah tum raghbat kero aur zaban say yeh kehtay jana kay tauba hai aur jhukay jhukay darwazon mein dakhil hona hum tumhari khatayen moaf ker den gay. Jo log nek kaam keren gay unn ko mazeed baran aur den gay.

07.162 So badal daala inn zalimon ney aik aur kalma jo khilaf tha uss kalmay kay jiss ki inn say farmaeesh ki gaee thi iss per hum ney unn per aik aafat-e-samawi bheji iss waja say kay woh hukum ko zaya kertay thay.

07.163 Aur aap inn logon say uss basti walon ka jo kay darya-e(-shor) kay qarib aabad thay uss waqt ka haal poochiye! Jabkay woh haftay kay baray mein hadd say nikal rahey thay jabkay unn kay haftay kay roz to unn ki machliyan zahir ho ho ker unn kay samney aati thin aur jab haftay ka din na hota to unn kay samney na aati thin hum unn ki iss tarah per aazmaeesh kertay thay iss sabab say kay woh bey hukmi kiya kertay thay.

07.164 Aur jab kay unn mein say aik jamat ney yun kaha kay tum aisay logon ko kiyon naseehat kertay ho jin ko Allah bilkul halak kerney wala hai ya unn ko sakht saza denay wala hai? Unhon ney jawab diya kay tumharay rab kay roo baroo uzur kerney kay liye aur iss liye kay shayad yeh darr jayen.

07.165 So jab woh iss ko bhool gaye jo inn ko samjhaya jata tha to hum ney unn logon ko to bacha liya jo iss buri aadat say mana kiya kertay thay aur unn logon ko jo kay ziyadti kertay thay aik sakht azab mein pakar liya iss waja say kay woh bey hukmi kiya kertay thay.

07.166 Yani jab woh jiss kaam say unn ko mana kiya gaya tha uss mein hadd say nikal gaye to hum ney unn ko keh diya tum zaleel bandar bann jao.

07.167 Aur woh waqt yaad kerna chahaiye kay aap kay rab ney yeh baat batla di kay woh inn yahud per qayamat tak aisay shaks ko zaroor musallat kerta rahey ga jo inn ko sazay-e-shadeed ki takleef phonchata rahey ga bila shuba aap ka rab jaldi hi saza dey deta hai aur bila shuba woh waqaee bari maghfirat aur bari rehmat wala hai.

07.168 Aur hum ney duniya mein inn ki mukhtalif jamaten ker den. Baaz inn mein nek thay aur baaz inn mein aur tarah thay aur hum inn ko khushaliyon aur bad haliyon say aazmatay rahey kay shayad baaz aajayen.

07.169 Phir inn kay baad aisay log inn kay janasheen huye kay kitab ko inn say hasil kiya woh iss duniya-e-faani ka maal mataa ley letay hain aur kehtay hain kay humari zaroor maghfirat hojaye gi halankay agar inn kay pass wesa hi maal mataa aaney lagay to iss ko bhi ley len gay. Kiya inn say iss kitab kay iss mazmoon ka ehad nahi liya gaya kay Allah ki taraf ba-juz haq baat kay aur kissi baat ki nisbat na keren aur enhon ney iss kitab mein jo kuch tha uss ko parh liya aur aakhirat wala ghar unn logon kay liye behtar hai jo taqwa rakhtay hain phri kiya tum nahi samajhtay.

07.170 Aur jo log kitab kay paband hain aur namaz ki pabandi kertay hain hum aisay logon ko jo apni islah keren sawab zaya na keren gay.
http://qurantube.blogspot.com/

07.171 Aur woh waqt bhi qabil-e-zikar hai jab hum ney pahar ko utha ker sayebaan ki tarah unn per moalliq ker diya aur inn ko yaqeen hogaya kay abb inn per gira aur kaha kay jo kitab hum ney tum ko di hai ussay mazbooti kay sath qabool kero aur yaad rakho jo ehkaam iss mein hain uss say tawaqqa hai kay tum mutaqqi bann jao.

07.172 Aur jab aap kay rab ney aulad-e-aadam ki pusht say unn ki aulad ko nikala aur unn say unn hi kay mutalliq iqrar liya kay kiya mein tumhara rab nahi hun? Sab ney jawab diya kiyon nahi! Hum sab gawah bantay hain. Takay tum log qayamat kay roz yun na kaho kay hum to iss say mehaz bey khabar thay.

07.173 Ya yun kaho kay pehlay pehlay shirk to humaray baron ney kiya aur hum unn kay baad unn ki nasal mein huye so kiya inn ghalat raah walon kay fail per tu hum ko halakat mein daal dey ga?

07.174 Hum issi tarah aayaat ko saaf saaf biyan kertay hain aur takay woh baaz ajayen.

07.175 Aur inn logon ko uss shaks ka haal parh ker sunaiye kay jiss ko hum ney apni aayaten den phir woh inn say bilkul hi nikal gaya phir shetan uss kay peechay lag gaya so woh gumrah logon mein shamil hogaya.

07.176 Aur agar hum chahatay to uss ko inn aayaton ki badolat buland martaba ker detay lekin woh to duniya ki taraf maeel hogaya aur apni nafsaani khuwaish ki pairwi kerney laga so uss ki halat kuttay ki si hogaee kay agar tu iss per hamla keray tab bhi haanpay ya uss ko chor dey tab bhi haanpay yehi halat unn logon ki hai jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya. So aap iss haal ko biyan ker dijiye shayad woh log kuch sochen.

07.177 Unn logon ki halat bhi buri halat hai jo humari aayaat ko jhutlatay hain aur woh apna nuksan kertay hain.

07.178 Jiss ko Allah hidayat kerta hai so hidayat paney wala wohi hota hai aur jiss ko woh gumrah kerdey so aisay hi log khasaray mein parney walay hain.

07.179 Aur hum ney aisay boht say jinn aur insan dozakh kay liye peda kiye hain jin kay dil aisay hain jin say nahi samajhtay aur jin ki aankhen aisi hain jin say nahi dekhtay aur jin kay kaam aisay hain jin say nahi suntay. Yeh log chopayon ki tarah hain bulkay yeh unn say bhi ziyada gumrah hain. Yeho log ghafil hain.

07.180 Aur achay achay naam Allah hi kay liye hain so unn naamon say Allah hi ko mossom kiya kero aur aisay logon say talluq bhi na rakho jo uss kay naamon mein kuj ravi kertay hain unn logon ko unn kay kiye ki zaroor saza milay gi.
http://qurantube.blogspot.com/

07.181 Aur humari makhlooq mein aik jamat aisi bhi hai jo haq kay moafiq hidayat kerti hai aur uss kay moafiq insaf bhi kerti hai.

07.182 Aur jo log humari aayaat ko jhutlatay hain hum unn ko ba-tadreej (girift mein) liye jarahey hain iss tor per kay unn ko khabar bhi nahi.

07.183 Aur unn ko mohlat deta hun be-shak meri tadbeer bari mazboot hai.

07.184 Kiya inn logon ney iss baat per ghor nahi kiya kay inn kay sathi ko zara bhi junoon nahi woh to sirf aik saaf saaf daraney walay hain.

07.185 Aur kiya inn logon ney ghor nahi kiya aasamanon aur zamin kay aalam mein aur doosri cheezon mein jo Allah ney peda ki hain aur iss baat mein kay mumkin hai kay unn ki ajal qarib hi aa phonchi ho. Phir quran kay baad konsi baat per yeh log eman layen gay?

07.186 Jiss ko Allah Taalaa gumrah kerdey uss ko koi raah per nahi laa sakta. Aur Allah Taalaa unn ko unn ki gumrahi mein bhataktay huye chor deta hai.

07.187 Yeh log aap say qayamat kay mutalliq sawal kertay hain kay iss ka waqoo kabb hoga? Aap farma dijiye kay iss ka ilm sirf meray rab hi kay pass hai uss kay waqt per uss ko siwa Allah kay koi aur zahir na keray ga. Woh aasmanon aur zamin mein bara bhari (haadsa) hoga woh tum per mehaz achanak aa paray gi. Woh aap say iss tarah poochtay hain jaisay goya aap iss ki tehqiqaat ker chukay hain. Aap farma dijiye kay iss ka ilm khaas Allah hi kay pass hai lekin aksar log nahi jantay.

07.188 Aap farma dijiye kay mein khud apni zaat-e-khaas kay liye kissi nafay ka ikhtiyar nahi rakhta aur na kissi zarar ka magar utna hi jitna Allah ney chaha ho aur agar mein ghaib ki baaten janta hota to mein boht say munafay hasil ker leta aur koi nuksan mujh ko na phonchta mein to mehaz daraney wala aur bisharat denay wala hun unn logon ko jo eman rakhtay hain.

07.189 Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney tum ko aik tan-e-wahid say peda kiya aur iss say uss ka jora banaya takay woh iss apney joray say unss hasil keray phir jab miyan ney biwi say qurbat ki to uss ko hamal reh gaya halka sa. So woh uss ko liye huye phirti rahi phri jab woh bojhal hogaee to dono miyan biwi Allah say jo unn ka maalik hai dua kerney lagay kay agar tu ney hum ko sahih saalim aulad dey di to hum khoob shukar guzari keren gay.
http://qurantube.blogspot.com/

07.190 So jab Allah ney dono ko sahih saalim aulad dey di to Allah ki di hui cheez mein woh dono Allah kay shareek qarar denay lagay so Allah pak hai unn kay shirk say.

07.191 Kiya aison ko shareek thehratay hain jo kissi cheez ko peda na ker saken aur woh khud hi peda kiye gaye hon.

07.192 Aur woh inn ko kissi qisam ki madad nahi dey saktay aur woh khud bhi madad nahi ker saktay.

07.193 Aur agar tum inn ko koi baat batlaney ko pukaro to tumharay kehney per na chalen tumharay aetbaar say dono amar barabar hain khuwa tum inn ko pukaro ya tum khamosh raho.

07.194 Waqaee tum Allah ko chor ker jin ki ibadat kertay ho woh bhi tum hi jaisay banday hain so tum unn ko pukaro phir unn ko chahaiye kay tumhara kehna ker den agar tum sachay ho.

07.195 Kiya inn kay paon hain jin say woh chaltay hon ya unn kay haath hain jin say woh kissi cheez ko thaam saken ya unn ki aankhen hain jin say woh dekhtay hon ya unn kay kaan hain jin say woh suntay hain aap keh dijiye! Tum apney sab shurka ko bula lo phir meri zarar saani ki tadbeer kero phir mujh ko zara mohlat mat do.

07.196 Yaqeenan mera madadgar Allah Taalaa hai jiss ney yeh kitab nazil farmaee aur woh nek bandon ki madad kerta hai.

07.197 Aur tum jin logon ki Allah ko chor ker ibadat kertay ho woh tumhari kuch madad nahi ker saktay aur na woh apni madad ker saktay hain.

07.198 Aur agar inn ko koi baat batlaney ko pukaro to iss ko na sunen aur inn ko aap dekhtay hain kay goya woh aap ko dekh rahey hain aur woh kuch bhi nahi dekhtay.

07.199 Aap dar guzar ko ikhtiyar keren nek kaam ki taleem den aur jahilon say aik kinara hojayen.
http://qurantube.blogspot.com/

07.200 Aur agar aap ko koi waswasa shetan ki taraf say aaney lagay to Allah ki panah maang liya kijiye bila shuba woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai.

07.201 Yaqeenan jo log khud taras hain jab unn ko koi khatra shetan ki taraf say aajata hai to woh yaad mein lag jatay hain so yakayak unn ki aankhen khul jati hain.

07.202 Aur jo shetan kay tabey hain woh inn ko gumrahi mein kheenchay ley jatay hain pus woh baaz nahi aatay.

07.203 Aur jab aap koi moajza inn kay samney zahir nahi kertay to woh log kehtay hain kay aap yeh moajza kiyon na laye? Aap farma dijiye! Kay mein uss ka ittabaa kerta hun jo mujh per meray rab ki taraf say hukum bheja gaya hai yeh goya bohr si daleelen hain tumharay rab ki taraf say aur hodayat aur rehmat hai unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.

07.204 Aur jab quran parha jaya keray to iss ki taraf kaan laga diya kero aur khamosh raha kero umeed hai kay tum per rehmat ho.

07.205 Aur aey shaks! Apney rab ki yaad kiya ker apney dil mein aajzi kay sath aur khof kay sath aur zor ki aawaz ki nisbat kum aawaz kay sath subha aur shaam aur ehal-e-ghaflat mein say mat hona.

07.206 Yaqeenan jo teray rab kay nazdeek hain woh uss ki ibadat say takabbur nahi kertay aur uss ki paki biyan kertay hain aur uss ko sajda kertay hain.

http://qurantube.blogspot.com/


Surat-Anfaal 08
(Sura-Anfaal Madina mai Nazil hui, is mai pichettar (75) Aayatain hain)


08.01 Yeh log aap say ghanimaton ka hukum daryaft kertay hain aap farma dijiye! Kay yeh ghanimaten Allah ki hain aur rasool ki hain so tum Allah say daro aur apny bahumi taalluqaat ki ki islaah kero aur uss kay rasool ki ita’at kero agar tum eman walay ho.

08.02 Bus eman walay to aisay hotay hain kay jab Allah Taalaa ka zikar aata hai to unn kay quloob darr jatay hain aur jab Allah ki aayaten unn ko parh ker sunaee jaatin hain hain to woh aayaten unn kay eman ko aur ziyada ker deti hain aur woh log apney rab per tawakkal kertay hain.

08.03 Jo kay namaz ki pabandi kertay hain aur hum ney unn ko jo kuch diya hai woh uss mein say kharch kertay hain.

08.04 Sachay eman walay yeh log hain inn kay liye baray darjay hain inn kay rab kay pass aur maghfirat aur izzat ki rozi hai.

08.05 Jaisa kay aap kay rab ney aap kay ghar say haq kay sath aap ko rawana kiya aur musalmanon ki aik jamat iss ko giran samajhti thi.

08.06 Woh iss haq kay baray mein iss kay baad kay uss ka zahoor hogaya tha aap say iss tarah jhagar rahey thay kay goya koi unn ko maut ki taraf haankay liye jata hai aur woh dekh rahey hain.

08.07 Aur tum log uss waqt ko yaad kero! Jab kay Allah tum say unn do jamaton mein say aik ka wada kerta tha kay woh tumharay haath aajaye gi aur tum iss tamanna mein thay kay ghair musallah jamat tumharay haath aajaye aur Allah Taalaa ko yeh manzoor tha kay apney ehkaam say haq ka haq hona sabit kerdey aur inn kafiron ki jarr kaat dey.

08.08 Takay haq ka haq hona aur baatil ka baatil hona sabit kerdey go yeh mujrim log na pasand hi keren.

08.09 Uss waqt ko yaad kero jab tum apney rab say faryad ker rahey thay phir Allah Taalaa ney tumhari sunn li kay mein tum ko aik hazat farishton say madad doon ga jo lagataar chalen aayen gay.

08.10 Aur Allah Taalaa ney yeh imdad mehaz iss lie ki kay bisharat ho aur takay tumharay dilon ko qarar ho jaye aur madad sirf Allah hi ki taraf say hai jo kay zabardast hikmat wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/

08.11 Uss waqt ko yaad kero jab kay Allah tum per oongh taari ker raha tha apni taraf say chain denay kay liye aur tum per aasman say pani barsa raha tha kay iss pani kay zariye say tum ko pak ker dey aur tum say shetani waswasay ko dafa kerdey aur tumharay dilon ko mazboot kerdey aur tumharay paon jama dey.

08.12 Uss waqt ko yaad kero jab kay aap ka rab farishton ko hukum deta tha kay mein tumhara sathi hun so tum eman walon ki himmar barhao mein abhi kuffaar kay dilon mein rob dalay deta hun so tum gardanon per maaro aur inn kay por por ko maaro.

08.13 Yeh iss baat ki saza hai kay enhon ney Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat ki. Aur jo Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat kerta hai so be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai.

08.14 So yeh saza chakho aur jaan rakho kay kafiron kay liye jahannum ka aza muqarrar hi hai.

08.15 Aey eman walo! Jab tum kafiron say doo badoo muqabil hojao to unn say pusht mat pherna.

08.16 Aur jo shaks unn say iss moqay per pusht pheray ga magar haan jo laraee kay liye paintra badalta ho ya jo (apni) jamat ki taraf panah lenay aata ho woh mustasna hai. Baqi aur jo aisa keray ga woh Allah kay ghazab mein aajaye ga. Aur uss ka thikana dozakh hoga woh boht hi buri jagah hai.

08.17 So tum ney unhen qatal nahi kiya lekin Allah Taalaa ney unhen qatal kiya. Aur aap ney khaak ki muthi nahi phenki bulkay Allah Taalaa ney woh phenki aur takay musalmanon ko apni taraf say unn ki mehnat ka khoob ewaz dey bila shuba Allah Taalaa khoob sunnay wala khoob jannay wala hai.

08.18 (aik baat to) yeh hui aur (doosri baat yeh hai) Allah Taalaa ko kafiron ki tadbeer ko kamzor kerna tha.

08.19 Agar tum log faisla chahatay ho to woh faisla tumharay samney aa mojood hua aur agar baaz ajao to yeh tumharay liye nihayat khoob hai aur agar tum phir wohi kaam kero gay to hum bhi phir wohi kaam keren gay aur tumhari jamiyat tumharay zara bhi kaam na aaye gi go kitni ziyada ho aur waqaee baat yeh hai kay Allah Taalaa eman walon kay sath hai.

08.20 Aey eman walo! Allah ka aur uss kay rasool ka kaha mano aur uss (ka kaha mannay) say roo-gardani mat kero suntay jantay huye.
http://qurantube.blogspot.com/


08.21 Aur tum unn logon ki tarah mat hona jo dawa to kertay hain kay hum ney sunn liya halankay woh suntay (sunatay kuch) nahi.

08.22 Be-shak bad tareen khaleeq Allah Taalaa kay nazdeek woh log hain jo behray hain goongay hain jo kay (zara) nahi samajhtay.

08.23 Aur agar Allah Taalaa inn mein koi khoobi dekhta to inn ko sunnay ki tofiq dey deta aur agar inn ko abb suna dey to zaroor roo gardani keren gay bey rukhi kertay huye.

08.24 Aey eman walo! Tum Allah aur rasool kay kehney ko baja lao jabkay rasool tum ko tumhari zindagi bakhsh cheez ki taraf bulatay hon. Aur jaan rakho kay Allah Taalaa aadmi kay aur uss kay qalb kay darmiyan aarr bann jaya kerta hai aur bila shuba tum sab ko Allah hi kay pass jama hona hai.

08.25 Aur tum aisay wabaal say bacho! Kay jo khaas ker sirf unhi logon per waqiya na hoga jo tum say inn gunhaon kay muratakib huye hain aur yeh jaan rakho kay Allah sakht saza denay wala hai.

08.26 Aur uss halat ko yaad kero! Jab tum zamin mein qaleel thay kamzor shumar kiye jatay thay. Iss andeshay mein rehtay thay kay tum ko log noch khasot na len so Allah ney tum ko rehney ki jagah di aur tum ko apni nusrat say qooat di aur tum ko nafees nafees cheezen ata farmaeen takay tum shukar kero.

08.27 Aey eman walo! Tum Allah aur rasool (kay huqooq) mein jantay huye khayanat mat kero aur apni qaabil-e-hifazat cheezon mein khayanat na kero.

08.28 Aur tum iss baat ko jaan rakho kay tumharay amwaal aur tumhari aulad aik imtehan ki cheez hai. Aur iss baat ko bhi jaan rakho kay Allah Taalaa kay pass bara bhari ajar hai.

08.29 Aey eman walo! Agar tum Allah say dartay raho gay to Allah Taalaa tum ko aik faislay ki cheez dey ga aur tum say tumharay gunah door ker dey ga aur tum ko bakhsish dey ga aur Allah Taalaa baray fazal wala hai.

08.30 Aur uss waqiye ka bhi zikar kijiye! Jabkay kafir log aap ki nisbat tadbeer soch rahey thay kay aap ko qaid ker len yaa aap ko qatal ker dalen yaa aap ko kharij-e-watan ker den aur woh to apni tadbeeren ker rahey thay aur Allah apni tadbeer ker raha tha aur sab say ziyada mustehkum tadbeer wala Allah hai.
http://qurantube.blogspot.com/

08.31 Aur jab inn kay samney humari aayaten parhi jati hain to kehtay hain kay hum ney sunn liya agar hum chahayen to iss kay barabar hum bhi keh den yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad baaten hain jo pehlon say manqool chali aarahi hain.

08.32 Aur jabkay inn logon ney kaha aey Allah! Agar yeh quran aap ki taraf say waqaee hai to hum per aasman say pathar barsa ya hum per koi dard naak azab waqey kerdey.

08.33 Aur Allah Taalaa aisa na keray ga inn mein aap kay hotay huye inn ko azab dey aur Allah inn ko azab na dey ga iss halat mein kay woh istaghfaar bhi kertay hon.

08.34 Aur inn mein kiya baat hai kay inn ko Allah Taalaa saza na dey halankay woh log masjid-e-haram say roktay hain jabkay woh log iss masjid kay mutawalli nahi. Iss kay mutawalli to siwaye muttaqiyon kay aur ashkhaas nahi lekin inn mein aksar log ilm nahi rakhtay.

08.35 Aur unn ki namaz kaaba kay sirf yeh thi seetiyan bajana aur taaliyan bajana. So apney kufur kay sabab iss azab ka maza chakho.

08.36 Bila shak yeh kafir log apne maalon ko iss liye kharch ker rahey hain kay Allah ki raah say roken so yeh lo to apney maalon ko kharach kertay hi rahen gay phir woh maal inn kay haq mein baees-e-hasrat hojayen gay. Phir maghloob hojayen gay aur kafir logon ko dozakh ki taraf jama kiya jayega.

08.37 Takay Allah Taalaa na pak ko pak say alag ker dey aur na pakon kay aik doosray say mila dey pus inn sab ko ikatha dher ker dey phir inn sab ko jahannum mein daal dey. Aisay log pooray khasaray mein hain.

08.38 Aap inn kafiron say keh dijiye! Kay agar yeh log baaz aajayen to inn kay saray gunah jo pehlay ho chukay hain sab moaf ker diye jayen gay aur agar apni wohi aadat rakhen gay to (kuffaar) sabeyqeen kay haq mein qanoon nafiz ho chuka hai.

08.39 Aur tum inn say iss hadd tak laro kay inn mein fasad aqeedah na rahey. Aur deen Allah hi ka hojaye phir agar yeh baaz aajayen to Allah Taalaa inn aemaal ko khoob dekhta hai.

08.40 Aur agar roo gardaani keren to yaqeen rakhen kay Allah Taalaa tumhara kaar saaz hai woh boht acha kaar saaz hai aur boht acha madadgar hai.

No comments:

Post a Comment

Adbox