Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Wednesday, June 22, 2011

Para 07

Parah-Wa-Iza-Samay-oo 07 


Surat-Maeeda 05
(Sura-Maeeda Madina mai Nazil hui, is mai aikso-bees (120) Aayatain hain)

05.83 Aur jab woh rasool ki taraf nazil kerda (kalaam) ko suntay hain to aap unn ki aankhen aansoo say behti hui dekhtay hain iss sabab say kay enhon ney haq pehchan liya woh kehtay hain kay aey humaray rab! Hum eman ley aaye pus tu hum ko bhi unn logon kay sath likh ley jo tasdeeq kertay hain.

05.84 Aur humaray pass konsa uzur hai kay hum Allah Taalaa per aur jo haq hum ko phoncha hai uss per eman na layen aur hum iss baat ki umeed rakhtay hain kay humara rab hum ko nek logon ki rafaqat mein dakhil ker dey ga.

05.85 Iss liye inn ko Allah Taalaa inn kay iss qol ki waja say aisay baagh dey ga jin kay neechay nehren jari hongi yeh inn mein hamesha hamesha rahen gay aur nek logon ka yehi badla hai.

05.86 Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaat ko jhutlatay rahey woh log dozakh walay hain.

05.87 Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo pakeezah cheezen tumharay wastay halal ki hain unn ko haram mat kero aur hadd say aagay mat niklo be-shak Allah Taalaa hadd say nikalney walon ko pasan nahi kerta.

05.88 Aur Allah Taalaa ney jo cheezen tum ko di hain unn mein say halal marghoob cheezen khao aur Allah Taalaa say daro jiss per tum eman rakhtay ho.

05.89 Allah Taalaa tumhari qasmon mein laghv qasam per tum say moaakhiza nahi farmata lekin moaakhiza uss per farmata hai kay tum jin qasmon ko mazboot ker do. Iss ka kaffaara das mohtajon kko khana dena hai osat darjay ka jo apney ghar walon ko khilatay ho ya unn ko kapra dena ya aik ghulam ya londi aazad kerna hai aur jiss ko maqdoor na ho to teen din kay rozay hain yeh tumhari qasmon ka kaffaara hai jabkay tum qasam kha lo aur apni qasmon ka khayal rakho1 issi tarah Allah Taalaa tumharay wastay apney ehkaam biyan farmata hai takay tum shukar kero.

05.90 Aey eman walo! Baat yehi hai kay sharab aur juaa aur thaan aur faal nikalney ka paansay kay teer yeh sab gandi baaten shetani kaam hain inn say bilkul alag raho takay tum falah yaab ho.
http://qurantube.blogspot.com/


05.91 Shetan to yun chahata hai kay sharab aur juaey kay zariye say tumharay aapas mein adawat aur bughz waqey kera dey aur Allah Taalaa ki yaad say aur namaz say tum ko baaz rakhay so abb bhi baaz aajao.

05.92 Aur tum Allah Taalaa ki ita’at kertay raho aur rasool ki ita’at kertay raho aur ehtiyaat rakho. Agar aeyraaz kero gay to yeh jaan rakho kay humaray rasool kay zimmay sirf saaf saaf phoncha dena hai.

05.93 Aisay logon per jo kay eman rakhtay hon aur nek kaam kertay hon iss cheez mein koi gunah nahi jiss ko woh khatay peetay hon jabkay woh log taqwa rakhtay hon aur eman rakhtay hon aur nek kaam kertay hon phir perhezgari kertay hon aur khoob nek amal kertay hon Allah aisay neko kaaron say mohabbat rakhta hai.

05.94 Aey eman walo! Allah Taalaa qadray shikar say tumhara imtehan keray ga jin tak tumharay haath aur tumharay naizay phonch saken gay takay Allah Taalaa maloom ker ley kay kaun shaks iss say binn dekhay darta hai so jo shaks iss kay baad hadd say niklay ga uss kay wastay dard naak saza hai.

05.95 Aey eman walo! (wehshi) shikar ko qatal mat kero jabkay tum halat-e-ehraam mein ho. Aur jo shaks tum mein say iss ko jaan boojh ker qatal keray ga to uss per fidya wajib hoga jo kay masawi hoga uss janwar kay jiss ko iss ney qatal kiya hai jiss ka faisla tum mein say do moatbar shaks ker den khuwa woh fidya khaas chopayon mein say ho jo niaz kay tor per kaaba tak phonchaya jaye aur khuwa kaffaara masakeen ko dey diya jaye aur khuwa iss kay barabar rozay rakh liye jayen takay apney kiye ki shamat ka maza chakhay Allah Taalaa ney guzishat ko moaf ker diya aur jo shaks phir aisi hi herkat keray ga to Allah Taalaa intiqam ley ga aur Allah zabardast hai intiqam lenay wala.

05.96 Tumharay liye dariya ka shikar pakrna aur iss ka khana halal kiya gaya hai. Tumharay faeeday kay wastay aur musafiron kay wastay aur khushki ka shikar pakarna tumharay liye haram kiya gaya hai jab tak tum halat-e-ehraam mein raho aur Allah Taalaa say daro jiss kay pass jama kiye jao gay.

05.97 Allah ney kaaba ko jo kay adab ka makan hai logon kay qaeem rehney ka sabab qarar dey diya aur izzat walay maheeney ko bhi aur haram mein qurbani honey walay janwar ko bhi aur unn janwaron ko bhi jin kay galay mein pattay hon yeh iss liye takay tum iss baat ka yaqeen ker lo kay be-shak Allah tamam aasmanon aur zamin kay andar ki cheezon ka ilm rakhta hai aur be-shak Allah sab cheezon ko khoob janta hai.

05.98 Tum yaqeen jano kay Allah Taalaa saza bhi sakht denay wala hai aur Allah Taalaa bari maghfirat aur bari rehmat wala bhi hai.

05.99 Rasool kay zimmay to sirf phonchana hai. Aur Allah Taalaa sab janta hai jo kuch tum zahir kertay ho aur jo kuch tum posheedah rakhtay ho.

05.100 Aap farma dijiye kay na pak aur pak barabar nahi go aap ko na pak ki kasrat bhali lagti ho Allah Taalaa say dartay raho aey aqal mando! Takay tum kaamyaab ho.
Top Top


05.101 Aey eman walo!aisi baaten mat poocho kay kay agar tum per zahir ker di jayen to tumhen na gawar ho aur agar tum zamaanaay-e-nuzool-e-quran mein inn baaton ko poocho gay to tum per zahir ker di jayen gi sawalaat-e-guzishta Allah ney moaf ker diye aur Allah bari maghfirat wala bara hilm wala hai.

05.102 Aisi baaten tum say pehlay aur logon ney bhi poochi thin phir inn baaton kay munkir hogaye.

05.103 Allah Taalaa ney na bahiyyra ko mashroo kiya hai aur na saaeeba ko na waseela ko aur na haam ko lekin jo log kafir hain woh Allah Taalaa per jhoot lagatay hain aur kasay kafir aqal nahi rakhtay.

05.104 Aur jab inn say kaha jata hai kay Allah Taalaa ney jo ehkaam nazil farmay hain unn ki taraf aur rasool ki taraf rujoo kero to kehtay hain hum ko wohi kafi hai jiss per hum ney apney baron ko paya kiya agar cheh inn kay baray na kuch samajh rakhtay hon aur na hidayat rakhtay hon.

05.105 Aey eman walo! Apni fiker kero jab tum raah-e-raast per chal rahey ho to jo shaks gumrah rahey uss say tumahara koi nuksan nahi. Allah hi kay pass tum sab ko jana hai phir woh tum sab ko batla dey ga jo kuch tum sab kertay thay.

05.106 Aey eman walo! Tumharay aapas mein do shaks ka gawah hona munasib hai jabkay tum mein say kissi ko maut aaney lagay aur waseeat kerney ka waqt ho woh do shaks aisay hon kay deen daar hon khuwa tum mein say hon ya ghair logon mein say do shaks hon agar tum kahin safar mein gaye ho aur tumhen maut aajaye agar tum ko shuba hoto inn dono ko baad namaz rok lo phir dono Allah ki qasmen khayen kay hum iss qasam kay ewaz koi nafa nahi lena chahatayagar cheh koi qarabat daar bhi ho aur Allah Taalaa ki baat ko hum posheedah keren gay hum iss halat mein sakht gunehgar hongay.

05.107 Phir gar iss ki itlaa ho kay woh dono gawah kissi gunah kay murtakib huye hain to inn logon mein say jin kay muqablay mein gunah ka irtakaab hua tha woh do shaks jo sab mein qareeb tar hain jahan woh dono kharay huye thay yeh dono kharay hon phir dono Allah ki qasam khayen kay bil yaqeen humari yeh qasam inn dono ki uss qasam say ziyada raast hai aur hum ney zara tajawuz nahi kiya hum iss halat mein sakht zalim hongay.

05.108 Yeh qareeb zariya hai iss amar ka kay woh log waqiya ko theek tor per zahir keren ya iss baat say darr jayen kay inn say qasmen lenay kay baad qasmen ulti parr jayen gi aur Allah Taalaa say daro aur suno! Aur Allah Taalaa faasiq logon ko hidayat nahi kerta.

05.109 Jiss roz Allah Taalaa tamam payghumbaron ko jama keray ga phir irshad farmaye ga tum ko kiya jawab mila tha woh arz keren gay kay hum ko kuch khabar nahi tu hi be-shak posheedah baaton ko poora jannay wala hai.

05.110 Jab kay Allah Taalaa irshad farmaye ga kay aey essa bin marium mera inam yaad kero jo tum per aur tumhari walida per hua hai jab mein ney tumhen rooh-ul-quddus say taeed di. Tum logon say kalaam kertay thay godd mein bhi aur bari umar mein bhi aur jabkay mein ney tum ko kitab aur hikmat ki baaten aur toraat aur injeel ki taleem di aur jab kay tum meray hukum say gaaray say aik shakal banatay thay jaisay parinday ki shakal hoti hai phir tum iss kay andar phoonk maar detay thay jiss say woh parind bann jata tha meray hukum say aur tum acha ker detay thay maadar zaad andhay ko aur korhi ko meray hukum say aur jab kay tum murdon ko nikal khara ker letay thay meray hukum say aur jab kay mein ney bani israeel ko tum say baaz rakha jab tum unn kay pass daleelen ley ker aaye thay phir unn mein jo kafir thay unhon ney kaha tha kay ba-juz khullay jadoo kay yeh aur kuch bhi nahi.
http://qurantube.blogspot.com/

05.111 Aur jabkay mein ney hawareen ko hukum diya kay tum mujh per aur meray rasool per eman laao unhon ney kaha hum eman laye aur aap shahid rahiye kay hum pooray farman bardaar hain.

05.112 Woh waqt yaad kay qabil hai jab kay hawariyon ney arz kiya kay essa bin marium! Kiya aap ka rab aisa ker sakta hai kay hum per aasman say aik khuwaan nazil farma dey? Aap ney farmaya Allah say daro agar tum eman laye ho.

05.113 Woh bolay kay hum yeh chahatay hain kay uss mein say khayen aur humaray dilon ko poora itminaan hojaye aur humaray yeh yaqeen aur barh jaye kay aap ney hum say sach bola hai aur hum gawahi denay walon mein say hojayen.

05.114 Essa ibn-e-marium ney dua ki kay aey Allah aey humaray perwerdigar! Hum per aasman say khana nazil farma! Kay woh humara liye yaani hum mein jo awwal hain aur jo baad kay hain sabb kay liye aik khushi ki baat ho jaye aur teri taraf say aik nishani hojaye aur tu hum ko rizq ata farma dey aur tu sab ata kerney walon say acha hai.

05.115 Haq Taalaa ney irshad farmaya kay mein woh khana tum logon per nazil kerney wala hun phir jo shaks tum mein say iss kay baad na haq shanasi keray ga to mein uss ko aisi saza doon ga kay woh saza duniya jahaan walon mein say kissi ko na doon ga.

05.116 Aur woh waqt bhi qabil-e-ziker hai jab kay Allah Taalaa farmaye ga kay aey essa ibn-e-marium kiya tum ney inn logon say keh diya tha kay mujh ko aur meri maa ko bhi ilawa Allah kay mabood qarar dey lo! Essa arz keren gay kay mein to tujh ko munza samajhta hun mujh ko kissi tarah zeba na tha kay mein aisi baat kehta jiss ka kehney ka mujh ko koi haq nahi agar mein ney kaha hoga to tujh ko iss ka ilm hoga. Tu to meray dil kay andar ki baat bhi janta hai aur mein teray nafs mein jo kuch hai uss ko nahi janta. Tamam ghaibon ka jannay wala tu hi hai.

05.117 Mein ney to inn say aur kuch nahi kaha magar sirf wohi jo tu ney mujh say kehney ko farmaya tha kay tum Allah ki bandagi ikhtiyar kero jo mera bhi rab hai aur tumhara bhi rab hai. Mein inn per gawah raah jab tak inn mein raah. Phir jab tu ney mujh ko utha liya to tu hi inn per mutlaa raha. Aur tu her cheez ki poori khabar rakhta hai.

05.118 Agar tu inn ko saza dey to yeh teray banday hain aur agar tu inn ko moaf farma dey to tu zabardast hai hikmat wala hai.

05.119 Allah irshad farmaye ga kay yeh woh din hai kay jo log sachay thay unn ka sacha hona unn kay kaam aayega unn ko baagh milen gay jin kay neechay nehren jari hongi jin mein woh hamesha hamesha ko rahen gay. Allah Taalaa inn say razi aur khush aur yeh Allah say razi aur khush hain yeh bari (bhaari) kamyaabi hai.

05.120 Allah hi ki hai saltanat aasmanon ki aur zamin ki aur unn cheezon ki jo inn mein mojood hain aur woh her sheh per poori qudrat rakhta hai.
http://qurantube.blogspot.com/




Surat-Aanam 06
(Sura-Aanam Makka mai Nazil hui, is mai aikso-pansath (165) Aayatain hain)


06.01 Tamam tareefen Allah hi kay laeeq hain jiss ney aasamanon aur zamin ko peda kiya aur tareekiyon aur noor ko banaya phir bhi kafir log (ghair Allah ko) apney rab kay barabar qarar detay hain.

06.02 Woh aisa hai jiss ney tum ko mitti say banaya phir aik waqt moyyen kiya aur (doosra) moyyen waqt khaas Allah hi kay nazdeek hai phir bhi tum shak rakhtay.

06.03 Aur wohi hai mabood-e-bar haq aasmanon mein bhi aur zamin mein bhi woh tumharay posheeda ehwaal ko bhi aur tumharay zahir ehwaal ko bhi janta hai aur tum jo kuch amal kertay ho uss ko bhi janta hai.

06.04 Aur inn kay pass koi nishani bhi unn kay rab ki nishaniyon mein say nahi aati magar woh iss say aeyraaz hi kertay hain.

06.05 Enhon ney iss sachi kitab ko bhi jhutlaya jabkay woh inn kay pass phonchi so jaldi hi inn ko khabar mill jayegi uss cheez ki jiss kay sath yeh istehzaa kiya kertay thay.

06.06 Kiya enhon ney dekha nahi kay hum inn say pehlay kitni jamaton ko halak ker chukay hain jin ko hum ney duniya mein aisi qooat di thi kay tum ko woh qooat nahi di aur hum ney unn per khoob barishen barsaeen aur hum ney unn kay neechay say nehren jari kin. Phir hum ney unn ko unn kay gunahon kay sabab halak ker daala aur unn kay baad doosri jamaton ko peda ker diya.

06.07 Aur agar hum kaghaz per likha hua koi navishta aap per nazil farmatay phir uss ko yeh log apney haathon say chu bhi letay tab bhi yeh kafir log yeh kehtay kay yeh kuch bhi nahi magar sareeh jadoo hai.

06.08 Aur yeh log yun kehtay hain kay inn kay pass koi farishta kiyon nahi utara gaya aur agar hum koi farishat bhej detay to sara qissa hi khatam ho jata. Phir inn ko zara mohlat na di jati.

06.09 Aur agar hum iss ko farishta tajveez kertay to hum uss ko aadmi hi banatay aur huamray iss fail say phir inn per wohi ashkaal hota jo abb ashkaal ker rahey hain.

06.10 Aur waqaee aap say pehlay jo payghumbar huye hain unn kay sath bhi istehzaa kiya gaya hai. Phir jin logon ney unn say mazaq kiya tha unn ko uss azab ney aa ghera jiss kay tamaskhur uratay thay.
http://qurantube.blogspot.com/

06.11 Aap farma dijiye kay zara zamin mein chalo phiro phir dekh lo kay takzeeb kerney walon ka kiya anjam hua.

06.12 Aap kahiye kay jo kuch aasmano aur zamin mein mojood hai yeh sab kiss ki milkiyat hai aap keh dijiye kay sab Allah hi ki milkiyat hai Allah ney meharbani farmana apney upper laazim farma liya hai tum ko Allah qayamat kay roz jama keray ga iss mein koi shak nahi jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay.

06.13 Aur Allah hi kay mulk hain woh sab kuch jo raat mein aur din mein rehti hain aur wohi bara sunnay wala bara jannay wala hai.

06.14 Aap kahiye kay kiya Allah kay siwa jo kay aasmanon aur zamin ka peda kerney wala hai aur jo kay khaney ko deta hai aur uss ko koi khaney ko nahi deta aur kissi ko mabood qarar doon aap farma dijiye kay mujh ko yeh hukum hua hai kay sab say pehlay mein islam qabool keroon aur tu mushrikeen mein say hergiz na hona.

06.15 Aap keh dijiye kay mein agar apney rab ka kehna na manon to mein aik baray din kay azab say darta hun.

06.16 Jiss shaks say uss roz woh azab hata diya jaye to uss per Allah ney bara reham kiya aue yeh sareeh kaamyabi hai.

06.17 Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi takleef phonchaye to uss ka door kerney wala siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi. Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi nafa phonchaye to woh her cheez per poori qudrat rakhney wala hai.

06.18 Aur wohi Allah apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur wohi bari hikmat wala aue poori khabar rakhney wala hai.

06.19 Aap kahiye kay sab say bari cheez gawahi denay kay liye kaun hai aap kahiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah gawah hai aur meray pass yeh quran bator wahee kay bheja gaya hai takay mein iss quran kay zariye say tum ko aur jiss ko yeh quran phonchay unn sab ko daraon kiya tum sach much yehi gawahi do gay kay Allah Taalaa kay sath kuch aur mabood bhi hain aap keh dijiye kay mein to gawahee nahi deta. Aap farma dijiye kay bus woh to aik hi mabood hai aur be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun.

06.20 Jin logon ko hum ney kitab di hai woh log rasoolon ko pehchantay hain jiss tarah apney beton ko pehchantay hain. Jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay.
http://qurantube.blogspot.com/

06.21 Aur uss say ziyada bey insaf kaun hoga jo Allah Taalaa per jhoot bandhay ya Allah ki aayaat ko jhoota batlaye aisay bey insafon ko kaamyabi na hogi.

06.22 Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jiss roz hum unn tamam khaleeq ko jama keren gay phir hum mushrikeen say kahen gay kay tumharay woh shurka jin kay mabood honey ka tum dawa kertay thay kahan gaye?

06.23 Phir unn kay shirk ka anjam iss kay siwa aur kuch bhi na hoga kay woh yun kahen gay kay qasam Allah ki apney perwerdigar ki hum mushrik na thay.

06.24 Zara dekho to enhon ney kiss tarah jhoot bola apni janon per aur jin cheezon ko woh jhoot moot tarasha kertay thay woh sab ghaeeb hogaye.

06.25 Aur inn mein baaz aisay hain kay aap ki taraf kaan lagatay hain aur hum ney inn kay dilon per parda daal rakha hai iss say kay woh iss ko samjhen aur inn kay kanon mein daat dey rakhi hai aur agar woh log tamam dalaeel ko dekh len to bhi inn per kabhi eman na layen yahan tak kay jab yeh log aap kay pass aatay hain to aap say khuwa ma-khuwa jhagartay hain yeh log jo kafir hain yun kehtay hain kay yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad baaten hain jo pehlon say chali aarahi hain.

06.26 Aur yeh log iss say doosron ko bhi roktay hain aur khud bhi iss say door door rehtay hain aur yeh log apney hi ko tabah ker rahey hain aur kuch khabar nahi raktay.

06.27 Aur agar aap uss waqt dekhen jab yeh dozakh kay pass kharay kiye jayen to kahen gay haaye kiya achi baat ho kay hum phir wapis bhej diye jayen aur agar aisa hojaye to hum apney rab ki aayaat ko jhoota na batlayen aur hum eman walon mein say hojayen.

06.28 Bulkay jiss cheez ko iss say qabal chupaya kertay thay woh inn kay samney aagaee hai aur gar yeh log phir wapis bhej diye jayen tab bhi yeh wohi kaam keren gay jiss say inn ko mana kiya gaya tha aur yaqeenan yeh bilkul jhootay hain.

06.29 Aur yeh kehtay hain kay sirf yeh dunyawi zindagi humari zindagi hai aur hum zinda na kiye jayen gay.

06.30 Aur agar aap uss waqt dekhen jab yeh apeny rab kay samey kharay kiye jayen gay. Allah farmaye ga kay kiya yeh amar waqaee nahi hai? Woh kahen gay be-shak qasam apney rab ki. Allah Taalaa farmaye ga to abb apney kufur kay ewaz azab chakho.
http://qurantube.blogspot.com/

06.31 Be-shak khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah say milney ki takzeeb ki yahan tak kay jab woh moyyen waqt unn per dafatan aa phonchay ga kahen gay kay haaye afsos humari kotahi per jo iss kay baray mein hui aur halat inn ki yeh hogi kay woh apney baar apni peethon per laaday hongay khoob sunn lo kay buri hogi woh cheez jiss ko woh laaden gay.

06.32 Aur dunyawi zindagi to kuch bhi nahi ba-juz lahoo-o-laab kay. Aur daar-e-aakhirat mutaqqiyon kay liye behtar hai. Kiya tum sochtay samajhtay nahi ho.

06.33 Hum khoob jantay hain kay aap ko inn kay aqwaal maghmoom kertay hain so yeh log aap ko jhoota nahi kehtay lekin yeh zalim to Allah ki aayaton ka inkar kertay hain.

06.34 Aur boht say payghumbar jo aap say pehlay huye hain unn ki bhi takzeeb ki jaa chuki hai so unhon ney iss per sabar hi kiya unn ki takzeeb ki gaee unn ko ezza phonchaee gaeen yahan tak kay humari imdad unn ko phonchi aur Allah ki baaton ka koi badalney wala nahi aur aap kay pass baaz payghumbaron ki baaz khabren phonch chuki hain.

06.35 Aur agar aap ko inn ka aeyraaz giran guzarta hai to agar aap ko yeh qudrat hai kay zamin mein koi surang ya aasman mein koi seerhi dhoond lo phir koi moajza ley aao to kero aur agar Allah ko manzoor hota to inn sab ko raah-e-raast per jama ker deta so aap nadanon mein say na ho jaiye.

06.36 Wohi log qabool kertay hain jo suntay hain. Murdon ko Allah zinda ker kay uthaye ga phir sab Allah hi ki taraf laye jayen gay.

06.37 Aur yeh log kehtay hain kay inn per koi moajza kiyon nahi nazil kiya gaya inn kay rab ki taraf say aap farma dijiye kay Allah Taalaa ko bey shak poori qudrat hai iss per kay woh moajza nazil farma dey lekin inn mein aksar bey khabar hain.

06.38 Aur jitney qisam kay jaandaar zamin per chalney walay hain aur jitney qisam kay parind janwar hain kay apnay dono baazoo’on per urtay hain inn mein koi qisam aisi nahi kay jo kay tumhari tarah kay giroh na hon hum ney daftar mein koi cheez nahi chori phir sab apney perwerdigar kay pass jama kiye jayen gay.

06.39 Aur jo log humari aayaton ki takzeeb kertay hain woh to tarah tarah ki zulmaton mein behray goongay ho rahey hain Allah jiss ko chahaye bey raah ker dey aur woh jiss ko chahaye seedhi raah laga dey.

06.40 Aap kahiye kay apney haal to batlao kay agar tum per Allah ka koi azab aa paray ya tum per qayamat hi aa phonchay to kiya Allah kay siwa kissi aur ko pukaro gay. Agar tum sachay ho.
http://qurantube.blogspot.com/


06.41 Bulkay khaas ussi ko pukaro gay phir jiss kay liye tum pukaro gay agar woh chahaye to uss ko hata bhi dey aur jin ko tum shareek thehratay ho unn sab ko bhool bhaal jao gay.

06.42 Aur hum ney aur ummaton ki taraf bhi jo kay aap say pehlay guzar chuki hain payghumbar bhejay thay so hum ney unn ko tangdasti aur beemari say pakra takay woh izhar-e-ijz ker saken.

06.43 So jab unn ko humari saza phonchi thi to unhon ney aajzi kiyon nahi ikhtiyar ki? Lekin unn kay quloob sakht hogaye aur shetan ney unn kay aemaal ko unn kay khayal mein aaraasta ker diya.

06.44 Phir jab woh log unn cheezon ko bhoolay rahey jin ki unn ko naseehat ki jati thi to hum ney unn per her cheez kay darwazay kushada ker diye yahan tak kay jab unn cheezon per jo kay unn ko mili thin woh khoob itra gaye hum ney unn ko dafatan pakar liya phir to woh bilkul mayyus hogaye.

06.45 Phir zalim logon ki jarr kat gaee aur Allah Taalaa ka shukar hai jo tamam aalam ka perwerdigar hai.

06.46 Aap kahiye kay yeh batlao agar Allah Taalaa tumhari sama’at aur basarat biluk ley ley aur tumhary dilon per mohar ker dey to Allah Taalaa kay siwa aur koi mabood hai kay yeh tum ko phir dey dey. Aap dekhiye to hum kiss tarah dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say paish ker rahey hain phir bhi yeh aeyraaz kertay hain.

06.47 Aap kahiye kay yeh batlao agar tum per Allah Taalaa ka azab aa paray khuwa achanak ya aelaaniya to kiya ba-juz zalim logon kay aur bhi koi halak kiya jaye ga.

06.48 Aur hum payghumbaron ko sirf iss wastay bheja kertay hain kay woh bisharat den aur darayen phir jo eman ley aaye aur durusti ker ley so unn logon per koi andesha nahi aur na woh maghmoom hongay.

06.49 Aur jo log humari aayaton ko jhoota batlayen unn ko azab phonchay ga ba-waja iss kay, kay woh na farmani kertay hain.

06.50 Aap keh dijiye kay na to mein tum say yeh kehta hun kay meray pass Allah kay khazaney hain aur na mein ghaib janta hun aur na mein tum say yeh kehta hun kay mein farishta hun. Mein to sirf jo kuch meray pass wahee aati hai uss ka ittabaa kerta hun aap kahiye kay andha aur beena kahin barabar ho sakta hai. So kiya tum ghor nahi kertay?
http://qurantube.blogspot.com/

06.51 Aur aisay logon ko daraiye jo iss baat say andesha rakhtay hain kay apney rab kay pass aisi halat mein jama kiye jayen gay kay jitney ghair Allah hain na koi unn ka madadgar hoga aur na koi shafi hoga iss umeed per kay woh darr jayen.

06.52 Aur unn logon ko na nikaliye jo subha-o-shaam apney perwerdigar ki ibadat kertay hain khaas ussi ki raza ka qasad rakhtay hain. Unn ka hisab zara bhi aap kay mutalliq nahi aur aap ka hisab zara bhi unn kay mutalliq nahi kay aap unn ko nikal den. Werna aap zulm kerney walon mein say hojayen gay.

06.53 Aur issi tarah say hum ney baaz ko baaz kay zariye say aazmaeesh mein daal rakha hai takay yeh log kaha keren kiya yeh log hain kay hum sab mein say inn per Allah Taalaa ney fazal kiya hai. Kiya yeh baat nahi hai kay Allah Taalaa shukar guzaron ko khoob janta hai.

06.54 Aur yeh log jab aap kay pass ayen jo humari aayaton per eman rakhtay hain to (yun) keh dijiye kay tum per salamti hai tumharay rab ney meharbani farmana apney zimmay muqarrar ker liya hai kay jo shaks tum mein say bura kaam ker bethay jahalat say phir woh iss kay baad tauba ker ley aur islah rakhay to Allah (ki shaan hai kay woh) bari maghfirat kerney wala aur bari rehmat wala hai.

06.55 Issi tarah hum aayaat ki tafseel kertay rehtay hain aur takay mujrimeen ka tareeqa zahir hojaye.

06.56 Aap keh dijiye kay mujh ko iss say moomaniyat ki gaee hai kay unn ki ibadat keroon jin ko tum log Allah Taalaa ko chor ker pukartay ho. Aap keh dijiye kay mein tumhari khuwaishaat ki ittabaa na keroon kiyon kay iss halat mein to mein bey raah hojaoon ga aur raah-e-raast per chalney walon mei na rahoon ga.

06.57 Aap keh dijiye kay meray pass to aik daleel hai meray rab ki taraf say aur tum iss ki takzeeb kertay ho jiss cheez ki tum jald baazi ker rahey ho woh meray pass nahi. Hukum kissi ka nahi ba-juz Allah Taalaa kay Allah Taalaa waqaee baat ko batla deta hai aur sab say acha faisla kerney wala wohi hai.

06.58 Aap keh dijiye kay agar meray pass woh cheez hoti jiss ka tum taqaza ker rahey ho to mera aur tumhara bahumi qissa-e-faisal ho chuka hota aur zalimon ko Allah Taalaa khoob janta hai.

06.59 Aur Allah Taalaa hi kay pass hain ghaib ki kunjiyan (khazaney) inn ko koi nahi janta ba-juz Allah kay. Aur woh tamam cheezon ko janta hai jo kuch khushki mein hain aur jo kuch daryaon mein hain aur koi patta nahi girta magar woh iss ko bhi janta hai aur koi dana zamin kay tareek hisson mein nahi parta aur na koi tarr aur na koi khush cheez girti hai magar yeh sab kitab-e-mubeen mein hain.

06.60 Aur woh aisa hai kay raat mein tumhari rooh ko (aik gona) qabz ker deta hai aur jo kuch tum din mein kertay ho uss ko janta hai phir tum ko jaga uthata hai takay miyaad-e-moyyen tamam ker di jaye phir ussi ki taraf tum ko jana hai phir tum ko batlaye ga jo kuch tum kiya kertay thay.
http://qurantube.blogspot.com/

06.61 Aur wohi apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur tum per nigehdaasht rakhney wala bhejta hai yahan tak kay jab tum mein say kissi ko maut aa phonchti hai uss ki rooh humaray bhejay huye farishtay qabz ker letay hain aur woh zara kotahi nahi kertay.

06.62 Phir sab apney maalik-e-haqeeqi kay pass laye jayen gay. Khoob sunn lo faisla Allah hi ka hoga aur woh boht jald hisab ley ga.

06.63 Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko khushki aur darya ki zulmat say nijat deta hai. Tum uss ko pukartay ho girr girra ker aur chupkay chupkay kay agar tu hum ko inn say nijat dey dey to hum zaroor shukar kerney walon mein say ho jayen gay.

06.64 Aap keh dijiye kay Allah hi tum ko inn say nijat deta hai aur her ghum say tum phir bhi shirk kerney lagtay ho.

06.65 Aap kahiye kay iss per bhi wohi qadir hai kay tum per koi azab tumharay upper say bhej dey ya tumharay paon talay say ya kay tum ko giroh giroh ker kay sab ko bhira dey aur tumharay aik doosray ki laraee chakha dey. Aap dekhiye to sahi hum kiss tarah dalaeel mukhtalif pehloo’on say biyan kertay hain shayad woh samajh jayen.

06.66 Aur aap ki qom iss ki takzeeb kerti hai halankay woh yaqeeni hai. Aap keh dijiye kay mein tum per taaeenaat nahi kiya gaya hun.

06.67 Her khabar (kay waqoo) ka aik waqt hai aur jald hi tum ko maloom hojaye ga.

06.68 Aur jab aap unn logon ko dekhen jo humari aayaat mein aib joee ker rahey hain to inn logon say kinara kash hojayen yahan tak kay woh kissi aur baat mein lagg jayen aur agar aap ko shetan bhula dey to yaad aaney kay baad phir aisay zalim logon kay sath mat bethen.

06.69 Aur jo log perhezgar hain unn per inn ki baaz purs ka koi asar na phonchay ga aur lekin inn kay zimmay naseehat ker dena hai shayad woh bhi taqwa ikhtiyar keren.

06.70 Aur aisay logon say bilkul kinara kash rahen jinhon ney apney deen ko khel tamasha bana rakha hai aur dunyawi zindagi ney unhen dhokay mein daal rakha hai aur iss quran kay zariye say naseehat bhi kertay rahen takay koi shaks apney kirdaar kay sabab (iss tarah) na phans jaye kay koi ghair Allah uss ka na madagar ho aur na sifarshi aur yeh keyfiyar ho kay agar duniya bhar ka maawza bhi dey daalay tab bhi uss say na liya jaye. Aisay hi hain kay apney kirdaar kay sabab phans gaye unn kay liye nihayat tez garam pani peeney kay liye hoga aur dard naak saza hogi apney kufur kay sabab.
http://qurantube.blogspot.com/

06.71 Aap keh dijiye kay kiya hum Allah Taalaa kay siwa aisi cheez ko pukaren kay na woh hum ko nafa phonchaye aur na hum ko nuksan phonchaye aur kiya hum ultay phir jayen iss kay baad kay hum ko Allah Taalaa ney hidayat ker di hai jaisay koi shaks ho kay uss ko shetanon ney kahin jangal mein bey raah ker diya ho aur woh bhatakta phirta ho uss kay kuch sathi bhi hon kay woh uss ko theek raastay ki taraf bula rahey hon kay humaray pass aa. Aap keh dijiye kay yaqeeni baat hai kay raah-e-raast woh khaas Allah hi ki raah hai aur hum ko yeh hukum hua hai kay hum perwerdigar-e-aalam kay pooray mootee hojayen.

06.72 Aur yeh kay namaz ki pabandi kero aur iss say daro aur wohi hai jiss kay pass tum jama kiye jao gay.

06.73 Aur wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko bar haq peda kiya aur jiss waqt Allah Taalaa itna keh dey ga tu ho ja bus woh ho paray ga. Uss ka kehna haq aur ba-asar hai. Aur sari hakoomat khaas ussi ki hogi jab kay soor mein phoonk maari jayegi woh jannay wala hai posheeda cheezon ka aur zahir cheezon ka aur wohi hai bari hikmat wala poori khabar rakhney wala.

06.74 Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jab ibrahim (alh-e-salam) ney apney baap aazar say farmaya kay kiya tu button ko mabood qarar deta hai? Be-shak mein tujh ko aur teri sari qom ko sareeh gumrahi mein dekhta hun.

06.75 Aur hum ney aisay hi tor per ibrahim (alh-e-salam) ko aasmanon aur zamin ki makhlooqaat dikhlaeen aur takay kaamil yaqeen kerney walon say hojayen.

06.76 Phir jab raat ki tareeki unn per cha gaee to unhon ney aik sitara dekha aap ney farmaya kay yeh mera rab hai magar jab woh ghuroob hogaya to aap ney farmaya kay mein ghuroob ho janey walon say mohabbat nahi rakhta.

06.77 Phir jab chand ko dekha chamakta hua to farmaya kay yeh mera rab hai lekin jab woh ghuroob hogaya to aap ney farmaya kay agar mujh ko meray rab ney hidayat na ki to mein gumrah logon mein shamil ho jaon ga.

06.78 Phir jab aftab ko dekha chamakta hua to farmaya kay yeh mera rab hai yeh to sab say bara hai phir jab woh bhi ghuroob hogaya to aap ney farmaya be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun.

06.79 Mein apna rukh uss ki taraf kerta hun jiss ney aasman-o-zamin ko peda kiya yaksoo hoker aur mein shirk kerney walon mein say nahi hun.

06.80 Aur unn say unn ki qom ney hujjat kerna shuroo kiya aap ney farmaya kiya tum Allah kay moamlay mein mujh say hujjat kertay ho halankay uss ney mujhay tareeqa batla diya hai aur mein unn cheezon say jin ko tum Allah kay sath shareek banatay ho nahi darta haan agar mera perwerdigar hi koi amar chahaye mera perwerdigar her cheez ko apney ilm mein gheray huye hai kiya tum phir bhi khayal nahi kertay.
http://qurantube.blogspot.com/

06.81 Aur mein inn cheezon say kaisay darron jin ko tum ney shareek banaya hai halankay tum iss baat say nahi dartay kay tum ney Allah kay sath aisi cheezon ko shareek thehraya hai jin per Allah Taalaa ney koi daleel nazil nahi farmaee so inn do jamaton mein say aman ka ziyada mustahiq kaun hai agar tum khabar rakhtay ho.

06.82 Jo log eman rakhtay hain aur apney eman ko shirk kay sath makhloot nahi kertay aison hi kay liye aman hai aur wohi raah-e-raast per chal rahey hain.

06.83 Aur yeh humari hujjat thi woh hum ney ibrahim (alh-e-salam) ko unn ki qom kay muqablay mein di thi hum jiss ko chahatay hain martabon mein barha detay hain. Be-shak aap ka rab bara hikmat wala bara ilm wala hai.

06.84 Aur hum ney unn ko ishaq diya aur yaqoob her aik ko hum ney hidayat ki aur pehlay zamney mein hum ney nooh ko hodayat ki aur unn ki aulad mein say dawood ko aur suleman ko aur ayub ko aur yousuf ko aur musa ko aur haroon ko aur issi tarah hum nek kaam kerney walon ko jaza diya kertay hain.

06.85 Aur (naiz) zakriya ko aur yahya ko aur essa ko aur ilyas ko sab nek logon mein say thay.

06.86 Aur naiz ismail ko yasaa ko aur younus ko aur loot ko aur her aik ko tamam jahaan walon per hum ney fazeelat di.

06.87 Aur naiz inn kay kuch baap dadon ko aur kuch aulad ko aur kuch bhaiyon ko aur hum ney unn ko maqbool banaya aur hum ney unn ko raah-e-raast ki hidayat ki.

06.88 Allah ki hidayat hi hai jiss kay zariye apney bandon mein say jiss ko chahaye uss ko hidayat kerta hai aur agar farzan yeh hazraat bhi shirk kertay to jo kuch yeh aemaal kertay thay woh sab ikaarat ho jatay.

06.89 Yeh log aisay thay kay hum ney unn ko kitab aur hikmat aur naboowat ata ki thi so agar yeh log naboowat ka inkar keren to hum ney iss kay liye aisay boht say log muqarrar ker diye hain jo iss kay munkir nahi hain.

06.90 Yehi log aisay thay jin ko Allah Taalaa ney hidayat ki thi so aap bhi inn hi kay tareeq per chaliye aap keh dijiye kay mein tum say iss per koi maawza nahi chahata yeh to sirf tamam jahaan walon kay wastay aik naseehat hai.
http://qurantube.blogspot.com/

06.91 Aur inn logon ney Allah ki jaisi qadar kerna wajib thi wesi qadar na ki jab kay yun keh diya kay Allah ney kiss bashar per koi cheez nazil nahi ki aap yeh kahiye kay woh kitab kiss ney nazil ki hai jiss ko musa laye thay jiss ki keyfiyat yeh hai kay woh noor hai aur logon kay liye woh hidayat hai jiss ko tum ney inn mutafarriq oraaq mein rakh chora hai jin ko zahir kertay ho aur boht si baaton ko chupatay ho aur tum ko boht si aisi baaten bataee gaee hain jin ko na tum jantay thay aur na tumharay baray. Aap keh dijiye kay Allah ney nazil farmaya hai phir inn ko inn kay kharafaat mein kheltay rehney dijiye.

06.92 Aur yeh bhi aisi hi kitab hai jiss ko hum ney nazil kiya hai jo bari barkat wali hai apney say pehlay kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur takay aap makkay walon ko aur aas pass walon ko darayen. Aur jo log aakhirat ka yaqeen rakhtay hain aisay log iss per eman ley aatay hain aur woh apni namaz per madawmat rakhtay hain.

06.93 Aur uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per jhoot tohmar lagaye ya yun kahey kay mujh per wahee aati hai halankay uss kay pass kissi baat ki bhi wahee nahi aaee aur jo shaks yun kahey kay jaisa kalaam Allah ney nazil kiya hai ussi tarah ka mein bhi laata hun aur agar aap uss waqt dekhen jabkay yeh zalim log maut ko sakhtiyon mein hongay aur farishtay apney haath barha rahey hongay kay haan apni jaanen nikal lo. Aaj tum ko zillat ki saza di jaye gi iss sabab say kay tum Allah Taalaa kay zimmay jhooti baaten lagatay thay aur tum Allah Taalaa ki aayaat say takabbur kertay thay.

06.94 Aur tum humaray pass tanha tanha aagaye jiss tarah hum ney awwal baar tum ko peda kiya tha aur jo kuch hum ney tum ko diya tha uss ko apney peechay hi chor aaye aur hum to tumharay humrah tumharay inn shafaat kerney walon ko nahi dekhtay jin ki nisbat tum dawa rakhtay thay kay woh tumharay moamlay mein shareek hain. Waqaee tumharay aapas mein to qata talluq hogaya aur woh tumhara sab tum say gaya guzra hua.

06.95 Be-shak Allah Taalaa daaney ko aur guthliyon ko phaarney wala hai woh jaandaar ko bey jaan say nikal laata hai aur woh bey jaan ko jaandaar say nikalney wala hai Allah Taalaa yeh hai so tum kahan ultay chalay jarahey ho.

06.96 Woh subha ka nikalney wala hai aur uss ney raat ko rahat ki cheez banaya hai aur sooraj aur chand ko hisab say rakha hai. Yeh thehraee baat hai aisi zaat ki jo kay qadir hai baray ilm wala hai.

06.97 Aur woh aisay hai jiss ney sitaron ko peda kiya takay tum unn kay zariye say andheron mein khushki mein aur darya mein bhi raasta maloom ker sako. Be-shak hum ney dalaeel khoob khol khol ker biyan ker diye hain unn logon kay liye jo khabar rakhtay hain.

06.98 Aur woh aisa hai jiss ney tum ko aik shaks say peda kiya phir aik jagah ziyada rehney ki hai aur aik jagah chanday rehney ki be-shak hum ney dalaeel khoob khoob khol khol ker biyan ker diye unn logon kay liye jo samajh boojh rakhtay hain.

06.99 Aur woh aisa hai jiss ney aasman say pani barsaya phir hum ney uss kay zariye say her qisam kay nabaat ko nikala phir hum ney uss say sabz shaakh nikali kay uss say hum upper talay daaney charhay huye nikaltay hain aur khujoor kay darakhton say yani unn kay guphay mein say khoshay hain jo neechay ko latkay jatay hain aur angooron kay baagh aur zaitoon aur anaar kay baaz aik doosray say miltay jultay hotay hain aur kuch aik doosray say miltay jultay nahi hotay. Her aik kay phal ko dekho jab woh phalta hai aur iss kay pakney ko dekho iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.

06.100 Aur logon ney shayateen ko Allah Taalaa ko shareek qarar dey rakha hai halankay inn logon ko Allah hi ney peda kiya hai aur inn logon ney Allah kay haq mein betay aur betiyan bila sanad tarash rakhi hain aur woh pak aur bartar hai unn baaton say jo yeh kertay hain.
http://qurantube.blogspot.com/

06.101 Woh aasmanon aur zamin ka mojid hai Allah Taalaa ki aulad kahan ho sakti hai halankay uss ki koi biwi to hai nahi aur Allah Taalaa ney her cheez ko peda kiya aur woh her cheez ko khoob janta hai.

06.102 Yeh hai Allah Taalaa tumhara rab! Uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi her cheez ka peda kerney wala hai to tum uss ki ibadat kero aur woh her cheez ka kaar saaz hai.

06.103 Uss ko to kissi ki nigah moheet nahi ho sakti aur woh sab nigahon ka moheet ho jata hai aur wohi bara bareek been ba khabar hai.

06.104 Abb bila shuba tumharay pass tumharay rab ki janib say haq beeni kay zaraye phonch chukay hain so jo shaks dekh ley ga woh apna faeeda keray ga aur jo shaks andha rahey ga woh apna nuksan keray ga aur mein tumhara nigaraan nahi hun.

06.105 Aur hum iss tor per dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say biyan kertay hain takay yeh yun kahen kay aap ney kissi say parh liya hai aur takay hum iss ko danish mandon kay liye khoob zahir ker den.

06.106 Aap khud iss tareeq per chaltay rahiye jiss ki wahee aap kay rab ki taraf say aap kay pass aaee hai Allah Taalaa kay siwa koi laeeq-e-ibadat nahi aur mushrikeen ki taraf khayal na kijiye.

06.107 Aur agar Allah Taalaa ko manzoor hota to yeh shirk na kertay aur hum ney aap ko inn ka nigraan nahi banaya. Aur na aap inn per mukhtaar hain!

06.108 Aur gaali mat do unn ko jin ki yeh log Allah Taalaa ko chor ker ibadat kertay hain kiyon kay phir woh ba-raah-e-jahal hadd say guzar ker Allah Taalaa ki shaan mein gustakhi keren gay hum ney iss tarah her tareeqay walon ko unn ka amal marghoob bana rakha hai. Phir apney rab hi kay pass inn ko jana hai so woh inn ko batla dey ga jo kuch bhi woh kiya kertay thay.

06.109 Aur inn logon ney qasmon mein bara zor laga ker Allah Taalaa ki qasam khaee kay agar inn kay pass koi nishani aajaye to woh zaroor hi uss per eman ley aayen gay aap keh dijiye kay nishaniyan sab Allah kay qabzay mein hain aur tum ko iss ki kiya khabar kay woh nishaniyan jiss waqt aajayen gi yeh log tab bhi eman na layen gay.

06.110 Aur hum bhi inn kay dilon ko aur inn ki nigahon ko pher den gay jaisa kay yeh log iss per pehli dafa eman na laye aur hum inn ko inn ki sirkashi mein heyraan rehney den gay.

No comments:

Post a Comment

Adbox