Islamic Portal

Header Ads Widget

Breaking

LightBlog

Thursday, June 23, 2011

Para 17

Parah-Iqtaraba 17

Surat-Anbiya 21
(Sura-Anbiya Makka mai Nazil hui, is mai aikso-bara (112) Aayatain hain)


21.01 Logon kay hisab ka waqt qareeb aagaya phir bhi woh bey khabri mein mun pheray huye hain.

21.02 Inn kay pass inn kay rab ki taraf say jo bhi naee naee naseehat aati hai issay woh khel kood mein hi suntay hain.

21.03 Inn kay dil bilkul ghafil hain aur inn zalimon ney chupkay chupkay sirgoshiyan kin kay woh tum hi jesa insan hai phir kiya waja hai jo tum aankhon dekhtay jadoo mein aajatay ho.

21.04 Payghumber ney kaha mera perwerdigar her uss baat ko jo zamin-o-aasman mein hai ba-khoobi janta hai woh boht hi sunnay wala aur jannay wala hai.

21.05 Itna hi nahi bulkay yeh to kehtay hain kay yeh quran peraganda khuwabon ka majmooa hai bulkay iss ney az-khud issay ghar liya hai bulkay yeh shaeer hai werna humaray samney yeh koi aisi nishani latay jesay kay aglay payghumber bhejay gaye thay.

21.06 Inn say pehlay jitni bastiyan hum ney ujarin sab eman say khali thin. To kiya abb yeh eman layen gay.

21.07 Tujh say pehlay bhi jitney payghumber hum ney bhejay sabhi mard thay jin ki taraf hum wahee utartay thay pus tum ehal-e-kitab say pooch lo agar khud tumhen ilm na ho.

21.08 Hum ney inn kay aisay jism nahi banaye thay kay woh khana na khayen aur na woh hamesha rehney walay thay.

21.09 Phir hum ney unn say kiye huye sab waday sachay kiye unhen aur jin jin ko hum ney chaha nijat ata farmaee aur hadd say nikal janey walon ko gharat ker diya.

21.10 Yaqeenan hum ney tumhari janib kitab nazil farmaee hai jiss mein tumharay liye zikar hai kiya phir bhi tum aqal nahi rakhtay?
http://qurantube.blogspot.com/

21.11 Aure boht si bastiyan hum ney tabah ker din jo zalim thin aur unn kay baad hum ney doosri qom ko peda ker diya.

21.12 Jab unhon ney humaray azab ka ehsas ker liya to lagay uss say bhagney.

21.13 Bhag dor na kero aur jahan tumhen aasoodgi di gaee thi wahin wapis loto aur apney makanaat ki taraf jao takay tum say sawal to ker liya jaye.

21.14 Kehney lagay haaye humari kharabi! Be-shak hum zalim thay.

21.15 Phir to unn ka yehi qol raha yahan tak kay hum ney unhen jarr say kati hui kheti aur bujhi pari aag (ki tarah) ker diya.

21.16 Hum ney aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki cheezon ko kheltay huye nahi banaya.

21.17 Agar hum yun hi khel tamashay ka irada kertay to to ussay apnay pass say hi bana letay agar hum kerney walay hi hotay.

21.18 Bulkay hum sach ko jhoot per phenk maartay hain pus sach jhoot ka sir tor deta hai aur woh ussi waqt nabood ho jata hai tum jo baten banatay ho woh tumharay liye baees-e-kharabi hain.

21.19 Aasmano aur zamin mein jo hai ussi Allah ka hai aur jo uss kay pass hain woh uss ki ibadat say na sirkashi kertay hain aur na thaktay hain.

21.20 Woh din raat tasbeeh biyan kertay hain aur zara si bhi susti nahi kertay.
http://qurantube.blogspot.com/

21.21 Kiya inn logon ney zamin (ki makhlooqaat mein) say jinhen mabood bana rakha hai woh zinda ker detay hain.

21.22 Agar aasman-o-zamin mein siwaye Allah Taalaa kay aur bhi mabood hotay to yeh dono darhum barhum ho jatay pus Allah Taalaa arsh ka rab her uss wasf say pak hai jo yeh mushrik biyan kertay hain.

21.23 Woh apney kaamon key liye (kissi kay aagay) jawab deh nahi aur sab (uss kay aagay) jawab deh hain.

21.24 Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur mabood bana rakhay hain inn say keh do laao apni daleel paish kero. Yeh hain meray sath walon ki kitab aur mujh say aglon ki daleel. Baat yeh hain kay inn mein kay aksar log haq ko nahi jantay issi waja say mun moray huye hain.

21.25 Tujh say pehlay bhi jo rasool hum ney bheja uss ki taraf yehi wahee nazil farmaee kay meray siwa koi mabood bar-haq nahi pus tum sab meri hi ibadat kero.

21.26 (Mushrik log) kehtay hain kay rehman aulad wala hai (ghalat hai) uss ki zaat pak hai bulkay woh sab uss kay ba-izzat banday hain.

21.27 Kiss baat mein Allah per paish dasti nahi kertay bulkay uss kay farmaan per kaar band hain.

21.28 Woh inn kay aagay peechay kay tamam umoor say waqif hai woh kissi ki bhi sifarish nahi kertay ba-juz unn kay jin say Allah khush ho woh to khud haibat-e-elahee say larzan-o-tarsan hain.

21.29 Inn mein say agar koi bhi keh day kay Allah kay siwa mein laeeq-e-ibadat hun to hum ussay dozakh ki saza den hum zalimon ko issi tarah saza detay hain.

21.30 Kiya kafir logon ney yeh nahi dekha kay aasman-o-zamin ba-hum milay julay thay phir hum ney unhen juda kiya aur her zinda cheez ko hum ney pani say peda kiya kiya yeh log phir bhi emaan nahi latay.
http://qurantube.blogspot.com/

21.31 Aur hum ney zamin mein pahar bana diye takay woh makhlooq ko hila na sakay aur hum ney iss mein kushada raahen bana den takay woh raasta hasil keren.

21.32 Aasman ko mehfooz chat bhi hum ney hi banaya hai. Lekin log iss ki qudrat kay namoono per dehan hi nahi dhartay.

21.33 Wohi Allah hai jiss ney raat aur din aur sooraj aur chand ko peda kiya hai. Inn mein say her aik apney apney madaar mein tertay phirtay hain.

21.34 Aap say pehlay kissi insan ko bhi hum ney hameshgi nahi di kiya agar aap marr gaye to woh hamesha kay liye reh jayen gay.

21.35 Her jaandaar mot ka maza chakhney wala hai. Hum ba-tareeq imtehan tum say her aik ko buraee bhalaee mein mubtila kertay hain aur tum sab humari hi taraf lotaye jaogay.

21.36 Yeh munkireen tujhay jab bhi dekhtay hain to tumhara mazaq hi uratay hain kay kiya yehi woh hai jo tumharay maboodon ka zikar buraee say kerta hai aur woh khud hi rehman ki yaad kay bilkul hi munkir hain.

21.37 Insan jald baaz makhlooq hai. Mein tumhen apni nishaniyan abhi abhi dikhaoon ga tum mujh say jald baazi na kero.

21.38 Kehtay hain kay agar sachay ho to bata do kay yeh wada kab hai.

21.39 Kaash! Yeh kafir jantay kay uss waqt na to yeh kafir aag ko apney chehron say hata saken gay aur na apni peethon say aur na unn ki madad ki jayegi.

21.40 (Haan haan!) waday ki ghari unn kay pass achanak aajayegi aur enhen hakka bakka ker dey gi phir na to yeh log ussay taal saken gay aur na zara si mohlat diye jayengay.
http://qurantube.blogspot.com/

21.41 Aur tujh say pehlay rasoolon kay sath bhi hansi mazaq kiya gaya pus hansi kerney walon ko hi uss cheez ney gher liya jiss ki woh hansi uratay thay.

21.42 Inn say poochiye kay rehman say din aur raat tumhari hifazat kaun ker sakta hai? Baat yeh hai kay yeh log apnay rab kay zikar say phiray huye hain.

21.43 Kiya humaray siwa inn kay aur mabood hain jo enhen musibaton say bacha len. Koi bhi khud apni madad ki taqat nahi rakhta aur na koi humari taraf say rafaqat diya jata hai.

21.44 Bulkay hum ney enhen aur inn kay baap dadon ko zindagi kay saro saman diye yahan tak kay unn ki muddat-e-umar guzar gaee. Kiya woh nahi dekhtay kay hum zamin ko iss kay kinaron say ghatatay chalay aarahey hain abb kiya wohi ghalib hain?

21.45 Keh dijiye! Mein to tumhen Allah ki wahee kay zariye aagah ker raha hun magar behray log baat nahi suntay jabkay unhen aagah kiya jaye.

21.46 Agar enhen teray rab kay kissi azab ka jhonka bhi lag jaye to pukar uthen kay haye humari bad-bakhti! Yeqeenan hum gunehgar thay.

21.47 Qayamat kay din hum darmiyan mein laa rakhen gay theek theek tolney wali tarazoo ko. Phir kissi per kuch bhi zulm na kiya jayega. Aur agar aik raaee kay daney kay barabar bhi amal hoga hum ussay laa hazir keren gay aur hum kafi hain hisab kerney walay.

21.48 Yeh bilkul sach hai kay hum ney musa-o-haroon ko faislay kerney wali noorani aur perhezgaron kay liye waaz-o-naseehat wali kitab ata farmaee hai.

21.49 Woh log jo apney rab say bin dekhay khof khatay hain aur qayamat (kay tasawwur) say kaanptay rehtay hain.

21.50 Aur yeh naseehat-o-barkat wala quran bhi humin ney nazil farmaya hai kiya phir bhi tum iss kay munkir ho.
http://qurantube.blogspot.com/

21.51 Yaqeenan hum ney iss say pehlay Ibrahim ko iss ki samajh boojh bakhshi thi aur hum iss kay ehwaal say ba-khoobi waqif thay.

21.52 Jabkay uss ney apney baap say aur pani qom say kaha kay yeh moortiyan jin kay tum mujawar bann bethay ho kiya hain?

21.53 Sab ney jawab diya kay hum ney apnay baap dada ko enhi ki ibadat kertay huye paya.

21.54 Aap ney farmaya! Phir to tum aur tumharay baap dada sabhi yaqeenan khulli gumrahi mein mubtila rahey.

21.55 Kehnay lagay kiya aap humaray pass sach much haq laye hain ya yun hi mazaq ker rahey hain.

21.56 Aap ney farmaya nahi dar-haqeeqat tum sab ka perwerdigar to woh hai jo aasmano aur zamin ka malik hai jiss ney unehn peda kiya hai mein to issi baat ka gawah aur qaeel hun.

21.57 Aur Allah ki qasam mein tumharay inn maboodon kay sath jab tum alehda peeth pher ker chal do gay aik chaal chalon ga.

21.58 Pus uss ney unn sab kay tukray tukray ker diye haan sirf baray butt ko chor diya yeh bhi iss liye kay woh sab uss ki taraf hi loten.

21.59 Kehney lagay kay humaray khudaon kay sath yeh kiss ney kiya? Aisa shaks to yaqeenan zalimon mein say hai.

21.60 Bolay hum ney aik no-jawan ko innk a tazkara kertay huye suna tha jissay ibrahim (alh-e-salam) kaha jata hai.
http://qurantube.blogspot.com/

21.61 Sab ney kaha acha ussay majmay mein logon ki nigahon kay samney lao takay sab dekhen.

21.62 Kehnay lagay! Aey ibrahim (alh-e-salam) kiya tu ney hi humaray khudaon kay sath yeh harkat ki hai.

21.63 Aap ney jawab diya bulkay iss kaam ko inn kay baray ney kiya hai tum apney khudaon say hi pooch lo agar yeh boltay chaltay hon.

21.64 Pus yeh log apney dilon mein qaeel hogaye aur kehney lagay waqaee zalim to tum hi ho.

21.65 Phir apney saron kay bal ondhay hogaye (aur kehnay lagay kay) yeh to tujhay bhi maloom hai kay yeh bolney chaalney walay nahi.

21.66 Allah kay khalil ney ussi waqt farmaya afsos! Kiya tum Allah kay ilawa unn ki ibadat kertay ho jo na tumhen kuch bhi nafa phoncha saken na nuksan.

21.67 Tuff hai tum per aur inn per jin ki tum Allah kay siwa ibadat kertay ho. Kiya tumhen itni si aqal bhi nahi?

21.68 Kehney lagay issay jala do aur apney khudaon ki madad kero agar tumhen kuch kerna hi hai.

21.69 Hum ney farma diya aey aag! Tu thandi parr jaa aur ibrahim (alh-e-salam) kay liye salamti (aur aaram ki cheez) bann jaa!

21.70 Go unhon ney ibrahim (alh-e-salam) ka bura chaha lekin hum ney unhen nakaam bana diya.
http://qurantube.blogspot.com/

21.71 Aur hum Ibrahim aur Loot ko bacha ker uss zamin ki taraf ley chalay jiss mein hum ney tamam jahan walon kay liye barkat rakhi thi.

21.72 Aur hum ney ussay Ishaq ata farmaya aur Yaqoob iss per mazeed. Aur her aik ko hum ney saleh banaya.

21.73 Aur hum ney unehn paishwa bana diya kay humaray hukum say logon ki rehbari keren aur hum ney unn ki taraf nek kaamon kay kerney aur namazon kay qaeem rakhney aur zakat denay ki wahee (talqeen) ki aur woh sab kay sab humaray ibadat guzaar banday thay.

21.74 Hum ney loot (alh-e-salam) ko bhi hukum aur ilm diya aur ussay uss basti say nijat di jahan kay log ganday kaamon mein mubtila thay. Aur thay bhi woh bad-tareen gunehgaar.

21.75 Aur hum ney loot (alh-e-salam) ko apni rehmat mein dakhil ker liya bey shak woh neko kaar logon mein say tha.

21.76 Nooh kay uss waqt ko yaad kijiye jabkay uss ney iss say pehlay dua ki hum ney uss ki dua qabool farmaee aur ussay aur uss kay ghar walon ko baray karb say nijat di.

21.77Aur jo log humari aayaton ko jhutla rahey thay unn kay muqablay mein hum ney uss ki madad ki yaqeenan woh buray log thay pus hum ney unn sab ko dobo diya.

21.78 Aur dawood (alh-e-salam) aur suleman (alh-e-salam) ko yaad kijiye jabkay woh khet kay moamlay mein faisla ker rahey thay kay kuch logon ki bakriyan raat ko iss mein char chug gaee thin aur unn kay faislay mein hum mojood thay.

21.79 Hum ney iss ka sahih faisla suleman ko samjha diya. Haan her aik ko hum ney hukum-o-ilm dey rakha tha aur dawood kay tabey hum ney pahar ker diye thay jo tasbeeh kertay thay aur parind bhi. Hum kerney walay hi thay.

21.80 Aur hum ney ussay tumharay liye libaas bananey ki kaari gari sikhaee takay laraee kay zarar say tumhara bachao ho. Kiya tum shukar guzar bano gay?
http://qurantube.blogspot.com/

21.81 Hum ney tund-o-tez hawa ko suleman (alh-e-salam) kay tabey ker diya jo uss kay farmaan kay mutabiq uss zamin ki taraf chalti thi jahan hum ney barkat dey rakhi thi aur hum her cheez say ba-khabar aur dana hain.

21.82 Issi tarah say boht say shayateen bhi hum ney uss kay tabey kiye thay jo uss kay farmaan say ghotay lagatay thay aur iss kay siwa bhi boht say kaam kiya kertay thay inn kay nigehbaan hum hi thay.

21.83 Ayub (alh-e-salam) ki uss halat ko yaad kero jabkay uss ney apney perwerdigar ko pukara kay mujhay yeh beemari lag gaee hai aur tu reham kerney walon say ziyada reham kerney wala hai.

21.84 To hum ney uss ki sunn li aur jo dukh unhen tha ussay door ker diya aur uss ko ehal-o-ayaal ata farmaye bulkay unn kay sath waisay hi aur apni khaas meharbaani say takay sachay bandon kay liye sabab naseehat ho.

21.85 Aur ismail (alh-e-salam) aur idress (alh-e-salam) aur zulkifl (alh-e-salam) yeh sab sabir log thay.

21.86 Hum ney unhen apni rehmat mein dakhil ker liya. Yeh sab log nek thay.

21.87 Machli walay (hazrat younus alh-e-salam) ko yaad kero! Jabkay woh gussay say chal diya aur khayal kiya kay hum ussay na pakar saken gay. Bil-aakhir woh andheron kay andar say pukar utha kay elahee teray siwa koi mabood nahi tu pak hai be-shak mein zalimon mein say tha.

21.88 To hum ney uss ki pukar sunn li aur ussay ghum say nijat dey di aur hum emaan walon ko issi tarah bacha liya kertay hain.

21.89 Aur zakariya (alh-e-salam) ko yaad kero jab uss ney apney rab say dua ki aey meray perwerdigar! Mujhay tanah na chor tu sab say behtar waris hai.

21.90 Hum ney uss ki dua ko qabool farma ker ussay yahya (alh-e-salam) ata farmaya aur unn ki biwi ko unn kay liye durust ker diya. Yeh buzrug log nek kaamon ki taraf jaldi kiya kertay thay aur humen lalach tama aur darr khof say pukartay thay. Aur humaray samney aajzi kerney walay thay.
http://qurantube.blogspot.com/

21.91 Aur woh pak daman bibi jis ney apni asmat ki hifazat ki hum ney uss kay andar apni rooh say phoonk di aur khud unhen aur unn kay larkay ko tamam jahan kay liye nishani bana diya.

21.92 Yeh tumhari ummat hai jo haqeeqat mein aik hi ummat hai aur mein tum sab ka perwerdigar hun pus tum meri hi ibadat kero.

21.93 Magar logon ney aapas mein apney deen mein firqa bandiyan ker len sab kay sab humari hi taraf lotney walay hain.

21.94 Phir jo bhi nek kaam keray aur woh momin (bhi) ho to uss ki kosish ki bey qadri nahi ki jayegi. Hum to iss kay likhney walay hain.

21.95 Aur jis basti ko hum ney halak ker diya uss per lazim hai kay wahan kay log palat ker nahi aayen gay.

21.96 Yahan tak kay yajooj aur majooj khol diye jayen gay aur woh her bulandi say dortay huye aayen gay.

21.97 Aur sacha wada qareeb aa lagay ga uss waqt kafirion ki nigahen phati ki phati reh jayen gi kay haye afsos! Hum iss haal say ghafil thay bulkay fil-waqey hum qusoor waar thay.

21.98 Tum aur Allah kay siwa jin jin ki tum ibadat kertay ho sab dozakh ka endhan bano gay tum sab dozakh mein janey walay ho.

21.99 Agar yeh (sachay) mabood hotay to jahannum mein dakhil na hotay aur sab kay sab ussi mein hamesha rehnay walay hain.

21.100 Aur woh wahan chilla reahey hongay aur wahan kuch bhi na sunn saken gay.

21.101 Albatta bey-shak jin kay liye humari taraf say neki pehlay hi ther chuki hai. Woh sab jahannum say door hi rakhay jayen gay.
http://qurantube.blogspot.com/

21.102Woh to dozakh ki aahat tak na sunen gay aur pani mann bhati cheezon mein hamesha rehney walay hongay.

21.103 Woh bari ghabrahat (bhi) unhen ghumgeen na ker sakay gi aur farishtay unhen hathon haath len gay kay yehi tumhara woh din hai jiss kay tum wada diye jatay rahey.

21.104 Jiss din hum aasman ko yun lapet len gay jaisay toomaar mein auraaq lapet diye jatay hain jaisay kay hum ney awwal dafa pedaeesh ki thi issi tarah doobara keren gay. Yeh humarayu zimmay wada hai aur hum issay zaroor ker kay (hi) rahen gay.

21.105 Hum zaboor mein pind-o-naseehat kay baad yeh likh chukay hain kay zamin kay waris meray nek banday (hi) hongay.

21.106 Ibadat guzaar bandon kay liye to iss mein aik bara payghaam hai.

21.107 Aur hum ney aap ko tamam jahan walon kay rehmat bana ker hi bheja hai.

21.108 Keh dijiye! Meray pass to pus wahee ki jati hai kay tum sab ka mabood aik hi hai to kiya tum bhi uss ki farmanbardaari kerney walay ho?

21.109 Phir agar yeh mun mor len to keh dijiye kay mein ney tumhen yaksan tor per khabardaar ker diya hai. Mujhay ilm nahi kay jiss ka wada tum say kiya jaraha hai woh qareeb hai ya door.

21.110 Albatta Allah Taalaa to khulli aur zahir baat ko bhi janta hai aur jo tum chupatay ho ussay bhi janta hai.

21.111 Mujhay iss ka bhi ilm nahi mumkin hai yeh tumhari aazmaeesh ho aur aik muqarrara waqt tak ka faeeda (phonchana) hai.

21.112 Khud nabi ney kaha aey rab! Insaf kay sath faisla farma aur humara rab bara meharbaan hai jiss say madad talab ki jati hai unn baaton per jo tum biyan kertay ho.

http://qurantube.blogspot.com/

Surat-Hajj 22
(Sura-Hajj Madani mai Nazil hui, is mai atthattar (78) Aayatain hain)


22.01 Logo! Apnay perwerdigar say daro! Bilshuba qayamat ka zalzala boht hi bari cheez hai.

22.02 Jiss din tum ussay dekh lo gay her doodh pilaney wali apnay doodh peetay bachay ko bhool jayegi aur tamam hamal waliyon kay hamal girr jayen gay aur tu dekhay ga kay log madhosh dikhaee den gay halankay dar-haqeeqat who matwalay na hongay lekin Allah ka azab bara hi sakht hai.

22.03 Baaz log Allah kay baray mein batein banatay hain aur woh bhi bey ilmi kay sath aur her sirkash shetan ki pairwee kertay hain.

22.04 Jiss per (qazay-e-elahee) likh di gaee hai kay jo koi uss ki rafaqat keray ga woh ussay gumrah ker dey ga aur ussay aag kay azab ki taraf ley jayeg.

22.05 Logo agar tumhen marney kay baad ji uthney mein shak hai to socho hum ney tumhen mitti say peda kiya phir nutfay say phir khoon basta say phir gosht kay lothray say jo soorat diya gaya tha aur bey naqsha tha. Yeh hum tum per zahir ker detay hain aur hum jissay chahayen aik thehraye huye waqt tak reham-e-madir mein rakhtay hain phir tumhen bachpan ki halat mein duniya mein latay hain phir takay tum apni poori jawani ko phoncho tum mein say baaz to woh hain jo fot ker liye jatay hain aur baaz bey gharz umar ki taraf phir say lota diye jatay hain kay woh aik cheez say ba-khabar honey kay baad phir bey khabar hojaye. Tu dekhta hai kay zamin (banjar aur) khusk hai phir jab hum uss per barishen barsatay hain to woh ubharti hai aur phoolti hai aur her qisam ki ronaq daar nabataat ugati hai.

22.06 Yeh iss liye kay Allah hi haq hai aur wohi murdon ko jilata hai aur woh her her cheez per qudrat rakhney wala hai.

22.07 Aur yeh kay qayamt qata’an aaney wali hai jiss mein koi shak-o-shuba nahi aur yaqeenan Allah Taalaa qabron walon ko doobara zinda farmaye ga.

22.08 Baaz log Allah kay baray mein baghari ilm kay aur baghair hidayat kay aur baghair roshan kitab kay jhagartay hain.

22.09 Jo apni pehloo morney wala bann ker iss liye kay Allah ki raah say behka dey ussay duniya mein bhi ruswaee hogi aur qayamat kay din bhi hum ussay jahannum mein jalney ka azab chakhayen gay.

22.10 Yeh unn aemaal ki waja say hai jo teray hathon ney aagay bhej rakhay thay. Yaqeen mano kay Allah Taalaa apnay bando per zulm kerney wala nahi.
Top Top


22.11 Baaz log aisay bhi hain kay aik kinaray per (kharay) ho ker Allah ki ibadat kertay hain. Agar koi nafa mill gaya to dilchaspi leney lagtay hain aur agar koi aafat aagaee to ussi waqt mun pher letay hain enhon ney dono jahan ka nuksan utha liya. Waqaee yeh khulla nuksan hai.

22.12 Allah kay siwa unhen pukara kertay hain jo na unhen nuksan phoncha saken na nafa. Yehi to door daraz ki gumrahi hai.

22.13 Ussay pukartay hain jiss ka nuksan uss kay nafay say ziyada qareeb hai yaqeenan buray wali hain aur buray sathi.

22.14 Emaan aur nek aemaal walon ko Allah Taalaa lehren leti hui nehron wali jannaton mein ley jaye ga. Allah jo irada keray ussay ker kay rehta hai.

22.15 Jiss ka yeh khayal ho kay Allah Taalaa apnay rasool ki madad dono jahan mein na keray ga woh unchaee per aik rassa bandh ker (apnay halaq mein phanda daal ker apna gala ghont ley) phir dekh ley kay uss ki chalakkiyon say woh baat hat jati hai jo ussay tarpa rahi hai?

22.16 Hum ney issi tarah iss quran ko wazeh aayaton mein utara hai. Jissay Allah chahaye hidayat naseeb farmata hai.

22.17 Be-shak ehal-e-emaan aur yahoodi aur saabi aur nasrani aur majoosi aur mushtikeen inn sab kay darmiyan qayamat kay din khud Allah Taalaa faislay ker dey ga Allah Taalaa her her cheez per gawah hai.

22.18 Kiya tu nahi dekh raha kay Allah kay samney sajday mein hain sab aasmano walay aur sab zamino walay aur sooraj aur chand aur sitaray aur pahar aur darakht aur janwar aur boht say insan bhi. Haan boht say woh bhi hain jin per azab ka maqoola sabit ho chuka hai jisay rab zaleel ker dey ussay koi izzat deney wala nahi Allah jo chahata hai kerta hai.

22.19 Yeh dono apnay rab kay baray mein ikhtilaf kerney walay hain pus kafiron kay liye to aag kay kapray beywant ker katay jayen gay aur unn kay siron kay upper say sakht kholta hua pani bahaya jayega.

22.20 Jiss say unn kay pet ki sab cheezen aur khalen gala di jayen gi.
http://qurantube.blogspot.com/

22.21 Aur unn ki saza kay liye lohay kay hathoray hain.

22.22 Yeh jab bhi wahan kay ghum say nikal bhagney ka irada keren gay wahin lota diye jayen gay aur (kaha jayega) jalney ka azab chakho!

22.23 Emaan walon aur nek kaam walon ko Allah Taalaa inn jannaton mein ley jayega jin kay darakhton talay say nehren lehren ley rahi hain jahan woh soney kay kanggan pehnaye jayen gay aur sachay moti bhi. Wahan unn ka libas khlis resham hoga.

22.24 Unn ko pakeeza baat ki rehnumaee kerdi gaee aur qabil-e-sadd tareef raah ki rehnumee kerdi gaee.

22.25 Jin logon ney kufur kiya aur Allah ki raah rokney lagay aur uss hurmat wali masjid say bhi jissay hum ney tamam logon kay liye masavi ker diya hai wahin kay rehney walay hon ya bahir kay hon jo bhi zulm kay sath wahan ilhaad ka irada keray hum ussay dard-naak azab chakhayen gay.

22.26 Aur jabkay hum ney ibrahim (alh-e-salam) ko kaba kay makan ki jagah muqarrar kerdi iss shart per kay meray sath kissi ko shareek na kerna aur meray ghar ko tawaf qayam rukoo sajda kerney walon kay liye pak saaf rakhna.

22.27 Aur logon mein hajj ki manadi ker dey log teray pass paa piyada bhi aayen gay aur dublay patley oonton per bhi door daraz ki tamam rahon say aayen gay.

22.28 Apnay faeeday hasil kerney ko aajyen aur unn muqarrara dino mein Allah ka naam yaad keren unn chopayon per jo paltoo hain pus tum aap bhi khao aur bhookay faqeeron ko bhi khilao.

22.29 Phir woh apna mail kuchail door keren aur apni nazren poori keren aur Allah kay qadeem ghar ka tawaf keren.

22.30 Yeh hai aur jo koi Allah ki hurmaton ki tazeem keray uss kay apnay liye uss kay rab kay pass behtari hai. Aur tumharay liye chopaye janwar halal ker diya gaye ba-juz unn kay jo tumharay samney biyan kiye gaye hain pus tumhen buton ki gandagi say bachtay rehna chahiye aur jhooti baat say bhi perhez kerna chahiye.
http://qurantube.blogspot.com/


22.31 Allah ki toheed ko mantay huye uss kay sath kissi ko shareek na kertay huye. Suno! Allah kay sath shareek kerney wala goya aasman say gir para abb ya to ussay parinday uchak ley jayen gay ya hawa kissi door daraz ki jagah per phenk dey gi.

22.32 Yeh sunn liya abb aur suno! Allah ki nishaniyon ki jo izzat-o-hurmat keray uss kay dil ki perhezgari ki waja say yeh hai.

22.33 Inn mein tumharay liye aik muqarrara waqt tak faeeda hai phir inn kay halal honey ki jagah khan-e-kaaba hai.

22.34 Aur her ummat kay liye hum ney qurbani kay tareeqay muqarrar farmaye hain takay woh inn chopaye janwaron per Allah ka naam len jo Allah ney unhen dey rakhay hain. Samajh lo kay tum sab ka mabood-e-bar haq sirf aik hi hai tum ussi kay tabey farmaan ho jao aajzi kerney walon ko khuskhabri suna dijiye!

22.35 Unhen kay jab Allah ka zikar kiya jaye unn kay dil tharra jatay hain unhen jo buraee phonchay uss per sabar kertay hain namaz qaeem kerney walay hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai woh uss mein say bhi detay rehtay hain.

22.36 Qurbani kay oont hum ney tumharay liye Allah Taalaa ki nishaniyan muqarrar ker di hain inn mein tumhen nafa hai. Pus unhen khara ker kay unn per Allah ka naam lo phir jab unn kay pehloo zamin say lag jayen ussay (khud bhi) khao aur miskeen sawal say rukney walon aur sawal kerney walon ko bhi khilao issi tarah hum ney chopayon ko tumharay ma-tehat ker diya hai kay tum shukar guzari kero.

22.37 Allah Taalaa ko qurbaniyon kay gosht nahi phonchtay na unn kay khoon bulkay ussay to tumharay dil ki perhezgari phonchti hai. Issi tarah Allah ney inn janwaron ko tumhara mutee ker diya hai kay tum uss ki rehnumaee kay shuriye mein uss ki baraiyan biyan kero aur nek logon ko khuskhabri suna dijiye!

22.38 Sunn rakho! Yaqeenan sachay momino kay duhmano ko khud Allah Taalaa hata deta hai. Koi khayanat kerney wala na shukra Allah Taalaa ko hergiz pasand nahi.

22.39 Jin (musalmano) say (kafir) jang ker rahey hain unhen bhi muqablay ki ijazat di jati hai kiyon kay woh mazloom hain. Be-shak unn ki madad per Allah qadir hai.

22.40 Yeh woh hain jinhen na-haq apnay gharon say nikala gaya sirf unn kay iss qol per ker humara perwerdigar faqat Allah hai. Agar Allah Taalaa logon ko aapas mein aik doosray say na hatata rehta to ibadat khaney aur girjay aur masjiden aur yahoodiyon kay maabad aur woh masjiden bhi dha di jaten jahan Allah ka naam ba-kasrat liya jata hai. Jo Allah ki madad keray ga Allah bhi zaroor uss ki madad keray ga. Be-shak Allah Taalaa bari qooaton wala baray ghalbay wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/

22.41 Yeh woh log hain kay agar hum zamin mein inn kay paaon jama den to yeh poori pabandi say namazen qaeem keren aur zakaten den aur achay kaamon ka hukum keren aur burray kaamon say mana keren. Tamam kaamon ka anjam Allah kay ikhtiyar mein hai.

22.42 Agar yeh log aap ko jhutlayen (to koi tajjub ki baat nahi) to inn say pehlay nooh (alh-e-salam) ki qom aur aad aur samood.

22.43 Aur qom-e-ibrahim aur qom-e-loot.

22.44 Aur madiyan walay bhi apnay apnay nabiyon ko jhutla chukay hain. Musa (alh-e-salam) bhi jhutlaye ja chukay hain pus mein ney kafiron ko yun hi si mohlat di phir dhar dabaya phir mera azab kaisa hua?

22.45 Boht si bastiyan hain jinhen hum ney teh-o-bala kerdiya iss liye kay woh zalim thay pus woh apni chaton kay bal ondhi hui pari hain aur boht say abad koonwen beykaar paray hain aur boht say pakkay aur buland mehal weeran paray hain.

22.46 Kiya enhon ney zamin mein sair-o-sayyaahat nahi ki jo inn kay dil inn baton kay samajhney walay hotay ya kano say hi inn (waqeeyaat) ko sunn letay baat yeh hai kay sirf aankhen hi andhi nahi hotin bulkay woh dil andhay ho jatay hain jo seeno mein hain.

22.47 Aur azab ko aap say jaldi talab ker rahey hain Allah hergiz apna wada nahi talay ga. Haan albata aap kay rab kay nazdeek aik din tumhari ginti kay aitbar say aik hazar saal ka hai.

22.48 Boht si zulm kerney wali bastiyon ko mein ney dheel di phir aakhir unhen pakar liya aur meri hi taraf lot ker aana hai.

22.49 Ailaan kerdo kay logo! Mein tumhen khullam khulla chokanna kerney wala hi hun.

22.50 Pus jo emaan laye hain aur jinhon ney nek amal kiye hain unn hi kay liye bakhsish hai aur izzat wali rozi.
http://qurantube.blogspot.com/


22.51 Aur jo log humari nishaniyon ko pust kerney kay darpay rehtay hain wohi dozakhi hain.

22.52 Hum ney aap say pehlay jiss rasool aur nabi ko bheja uss kay sath yeh hua kay jab woh apnay dil mein koi aarzoo kerney laga shetan ney uss ki aarzoo mein kuch mila diya pus shetan ki milawat ko Allah Taalaa door ker deta hai phir apni baten pakki ker deta hai. Allah Taalaa dana aur ba-hikmat hai.

22.53 Yeh iss liye kay shetani milawat ko Allah Taalaa unn logon ki aazmaeesh ka zariya bana dey jin kay dilon mein beemari hai aur jin kay dil sakht hain. Be-shak zalim log gehri mukhalifat mein hain.

22.54 Aur iss liye bhi kay jinhen ilm ata farmaya gaya hai woh yaqeen kerlen kay yeh aap kay rab hi ki taraf say sirasir haq hi hai phir woh iss per emaan layen aur unn kay dil uss ki taraf jhuk jayen. Yaqeenan Allah Taalaa emaan daron ko raah-e-raast ki taraf rehbari kerney wala hi hai.

22.55 Kafir iss wahee-e-elahee mein hamesha shak-o-shuba hi kertay rahen gay hatta kay achanak unn kay saron per qayamat aajaye ya unn kay pass uss din ka azab aajaye jo manhoos hai.

22.56 Uss din sirf Allah hi ki badshaat hogi wohi unn mein faislay farmaye ga. Emaan aur nek amal walay to nematon say bhari jannaton mein hongay.

22.57 Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaton ko jhutlaya unn kay liye zaleel kerney walay azab hain.

22.58 Aur jin logon ney raah-e-khuda mein tarq-e-watan kiya phir woh shaheed ker diye gaye ya apni maut marr gaye Allah Taalaa unhen behtareen rizq ata farmaye ga. Aur be-shak Allah Taalaa rozi denay walon mein sab say behtar hai.

22.59 Unhen Allah Taalaa aisi jagah phonchaye ga kay woh iss say razi ho jayen gay be-shak Allah Taalaa ilm aur burdbari wala hai.

22.60 Baat yehi hai aur jiss ney badla liya ussi kay barabar jo uss kay sath kiya gaya tha phir agar uss say ziyadti ki jaye to yaqeenan Allah Taalaa khud uss ki madad farmaye ga. Be-shak Allah darguzar kerney wala bakshney wala hai.
http://qurantube.blogspot.com/


22.61 Yeh iss liye kay Allah raat ko din mein dakhil kerta hai aur din ko raat mein dakhil kerta hai aur be-shak Allah sunnay wala dekhney wala hai.

22.62 Yeh sab iss liye kay Allah hi haq hai aur uss kay siwa jisay bhi yeh pukartay hain woh batil hai aur be-shak Allah hi bulandi wlaa kibriyaee wala hai.

22.63 Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa aasman say pani barsata hai pus zamin sirsabz ho jati hai. Be-shak Allah Taalaa meharban aur ba-khabar hai.

22.64 Aasman aur zamin mein jo kuch hai ussi ka hai aur yaqeenan Allah wohi hai bey niaz tareefon wala.

22.65 Kiya aap ney nahi dekha kay Allah hi ney zamin ki tamam cheezen tumharay liye musakkhar ker di hain aur uss kay farmaan say pani mein chalti hui kashtiyan bhi. Wohi aasaman ko thamay huye hai kay zamin per uss ki ijazat kay baghair girr na paray be-shak Allah Taalaa logon per shafqat-o-narmi kerney wala aur meharban hai.

22.66 Ussi ney tumhen zindagi bakhshi phir wohi tumhen maar daley ga phir wohi tumhen zinda keray ga be-shak insan albatta na shukra hai.

22.67 Her ummat kay liye hum ney ibadat ka aik tareeqa muqarrar ker diya hai jissay woh baja laney walay hain pus enhen iss amar mein aap say jhagra na kerna chahiye aap apnay perwerdigar ki taraf logon ko buliye. Yaqeenan aap theek hidayat per hi hain.

22.68 Phir bhi agar yeh log aap say ulajhney lagen to aap keh den kay tumhary aemaal say Allah ba-khoobi waqif hai.

22.69 Be-shak tumharay sab kay ikhtilaf ka faisla qayamat walay din Allah Taalaa aap keray ga.
http://qurantube.blogspot.com/


22.70 Kiya aap ney nahi jana kay aasman-o-zamin ki her cheez Allah kay ilm mein hai. Yeh sab likhi hui kitab mein mehfooz hai. Allah Taalaa per to yeh amar bilkul aasan hai.

22.71 Aur yeh Allah kay siwa unn ki ibadat ker rahey hain jiss ki koi khudaee daleel nazil nahi hui na woh khud hi iss ka koi ilm rakhtay hain. Zalimon ka koi madadgar nahi.

22.72 Jab inn kay samney humaray kalaam ki khulli hui aayaton ki tilawat ki jati hai to aap kafiron kay chehron per na khushi kay saaf aasaar pehchan letay hain. Woh to qareeb hotay hain kay humari aayaten sunaney walon per hamla ker bethen keh dijiye kay kiya mein tumhen iss say bhi ziyada bad tar khabar doon. Woh aag hai jiss ka wada Allah ney kafiron say ker rakha hai aur woh boht hi buri jagah hai.

22.73 Logo! Aik misal biyan ki jarahi hai zara kaan laga ker suno! Allah kay siwa jin jin ko tum pukartay ho woh aik makkhi bhi to peda nahi ker saktay go saray kay saray hi jama ho jayen bulkay agar makkhi unn say koi cheez ley bhagay to yeh to ussay bhi uss say cheen nahi saktay bara boda hai talab kerney wala aur bara boda hai woh jiss say talab kiya jaraha hai.

22.74 Unhon ney Allah kay martabay kay mutabiq uss ki qadar jani hi nahi Allah Taalaa bara hi zor-o-qooat wala aur ghalib-o-zabardast hai.

22.75 Farishton mein say aur insano mein say payghaam phonchney walon ko Allah hi chaant leta hai be-shak Allah Taalaa sunnay wala dekhney wala hai.

22.76 Woh ba-khoobi janta hai jo kuch inn kay aagay hai aur jo kuch inn kay peechay hai aur Allah hi ki taraf sab kaam lotaye jatay hain.

22.77 Aey emaan walo! Rukoo sajda ketay raho aur apnay perwerdigar ki ibadat mein lagay raho aur nek kaam kertay raho takay tum kaamyaab hojao.

22.78 Aur Allah ki raah mein wesa hi jihad kero jesay jihad ka haq hai ussi ney tumhen bargazeedah banaya hai aur tum per deen kay baray mein koi tangi nahi daali deen apnay baap ibrahim (alh-e-salam) ka qaeem rakho ussi Allah ney tumhara naam musalman rakha hai iss quran say pehlay aur iss mein bhi takay payghumbar tum per gawah hojaye aur tum tamam logon kay gawah bann jao. Pus tumhen chahiye kay namazen qaeen rakho aur zakat ada kertay raho aur Allah ko mazboor thaam lo wohi tumhara wali aur malik hai. Pus kiya hi acha malik hai aur kitna hi behtar madadgar hai.

1 comment:

Adbox